RAMZAN SHAREEF MEIN MUSALMAN KYA KARIEN
(1) Sab se pehle hum roza rakhein ke roza har musalman baaligh mard aur aurat
par farz hai aur roza jismani aur roohani beemariyon ka khudadaad ilaaj hai.
(2) Tamaam gunaho se baar baar taubah karein aur Allah taala sey baqshish
maangien.
(3) Farz namazein paabandi sey padhney ke saath saath ,tahajjud, ishraaq,
chasth,avabeen vaghera paabandi aur doosri nafl namazon ka khoob ehtimaam
karein key nafl namazon ke zariye Allah taala se taaluq paida hota hai.
(4) yeh Mubarak mahina baar baar nahi aata , gyaara maheena key baad ek
martaba milta hai is mein zyaada sey zyaada ibadath karein , quran shareef ki
tilawat zyada karein.
(5) jannat ka sawal aur dozakh sey panaah chahein , kalimey tayyiba vo isteghfaar
ka khoob vird karein.
(6) Duaein zyada se zyada maangein khaas kar tahajjud aur iftar key waqt khoob
duaein maangein, apne rishtedaron aur saarey musalmanon ke liye duaein
karein.
(7) chuharey ya khajoor sey iftaar karna mustahab hai ,taaq adad yani ek ,teen
yaa paanch adad khajoor ya chuharey sey iftaar karna chahiye, iftaar key waqt
yeh dua padhein, ALLAHUMMA LAKA SAMTHU VA BIKA AMANTU WA
ALAIKA TAWAKKALTU WA AALA RIZQIKA AFTARTU.
(8) kuch na kuch sahree ke waqt khaliya karein agarchey paani ka ek ghoont kyu na
ho, ke bila shuba sehry me barkat hai aur yeh sunnat hai, roze ki niyyat yeh hai,
BISMILLAHI GHADIN NAVAITU MIN SHAHRI RAMZAAN.
ZAKAAT KI FARZIYAT AUR TAAKEED
Jis key pas nisaab key baqadar maal vo daulat ho aur uski zakaat na nikaal ta ho vo
ALLAH TAALA key nazdeek badaa gunahgaar hai, qiyamat key din us par badaa azaab
hoga ,
MASALAH :- jis pas saade baavan toleh chaandi yaa sadeh saath tole sona yaa uski
qeemat key barabar dusra maal vo asbaab ho aur ek saal tak baaqi rahey to saal guzar
ney par uskee zakaat dena wajib hai aur agar us sey kam ho to us zakaat dena wajib
nahein,
MASALAH :- agar koyi saal key shuroo vo aakhir mein maaldaar rahey aur saal key
beech mein thodey din maal kam hojayeto zakaat maaf nahi hoti, zakaat dena wajib hai,
MASALAH :- chandi soney key bartan ,challa, haar vo deegar zeveraat vagera sab par
zakaat wajib hai, chahey pahanti rahe ho ya band rakhey ho aur kabhi nahi pahente ho
gharz key chandi soney ki har cheez par zakaat wajib hai.
MASALAH :- kisi key pas no to poori meqdaar soney ki hai na poori meqdaar chaandi
ki balkey thoda sa sona aur thodi si chaandi hai to agar dono ki qeemat milakar saade
baavan toley chaandi key barabar
Hojaye to zakaat wajib hai, aur agar dono cheezein thodee thodee hain key dono kee
qeemat itni chaandi key barabar nahi na itney soney key barabar to zakaat wajib nahi,
MASALAH :- jitna maal hai uska chaaliswan hissa zakaat mein dena wajib hai, yaani
sau (100) rupey par dhai rupey aur har hazar rupey par pachees rupey zakaat nikaali
jaye, soney aur chaandi ki zakaat nikalne ka tareeqa yeh hai key moujada qeemat key
hisaab sey zakaat nikali jaye, masalan agar ek tola sona kee qeemat Athaaraa hazaar
rupey hai aur aap key pas paanch toley sona hai to uski qeemat 90 hazar rupey huyi, is
90 hazar rupey ki zakaat 2250 rupey hogi, is tarteeb se aap key pas jitna sona ho uski
zakaat nikaalein, Hadees shareef mein hai key jisko ALLAH TAALA ney daulat diya ho
aur wo uski zakaat adaa na karey to uska maal qiyamat ke din ganja saamp ki shakal
banaya jayega, ganja saamp bohut zahreela hota hai aur uski aankh par do siyaah
noktey hongein, noktey bhi zyaada zahreeley hone ki alamat hai. Wo saamp uskey
galey mein daalaa jaayega , phir wo saamp usko pakdega aur kahega main tera maal
hun, main tera khazana hun, jo log chaandi soney ki zakaat nahein nikaltey hain unkey
baare mein QURAN SHAREEF ke sooreh taubah mein hai key unka sona aur chaandi
ko garam karkey unke badan mein daagh diya jaayega, uske aleva aur bhi bohut si
vayeedein aaye hain,
QURAN AUR HADEES mein zakaat na deney walon key liye bahut badaa azaab aay
hai aur zakaat deney walon key liye bade khush khabree hai , is Mubarak mahine mein,
gharibon ,mohtajon , yateemon, miskinon aur deeni madaris mein padhne wale ghareeb
vo yateem bachchaun par zyada sey zyada kharch karein key ramzan mein ek rupiya
kharch karna sattar rupiye kharch karne ke barabar hai, ramzan ki in ghadiyon mein
madarsa tahfeezul quran ka bhi khayal rakhein, madarsa hazaa mein hostel bhi hai, jis
mein ghareeb vo yateem bachchoun ke liye muft khaaney peeney ka nazm hai,
mahaana taqreeban 5 kuntal chaaval ka sarfa hai, saalana akhrajaat taqreeban panch
lakh rupey hain , Aap apni zakaat ki raqam madarsa haaza ko bhi dein aur apni duaon
mein yaad rakhein,
SADQA-E-FITR
(1) Eid ul fitr ke din fajar ka waqt shuroo honey par har musalman maldaar mard aur
aurat chotey wo badey par sadqa wajib hojata hai.
(2) Behtar ye hai ke namaz key liye eidgah jaaney sey pehle fitr ada kardein.
(3) Agar kisey ne kisee wajah se eid key din fitr na diyaa to maaf nahii hoga, Ab
baad mein kisi din zaroor dena chahiye ,
(4) Jis ney kisi wajah se ramzan key roze nahi rakhe aur jisne roze rakhey the sab
ko fitr dena wajib hai,
(5) fitrey mein agar gehun yaa gehun ka aata dey to ek kilo cheh sau tees gram
balkey ehtiyaat key liye poora do kilo de dena chahiye.
(6) agar gehun ya aata nahi diya balkey uski qeemat key barabar rupiya paisa diya
to behtar hai.
EID UL FITR KI SUNNATEIN
(1) Eid key din islaam key matabiq khushiyan manana,
(2) Subha savera uthna,
(3) Miswak karna,
(4) Ghusl karna,
(5) Ache se achachah kapda pehenna,
(6) Khushboo lagana,
(7) Eidgah saverey jana,
(8) Eidgah janey se pehle koi meethi cheez masalan khajoor vaghera khana.
(9) Eidgah janey se pehle sadq e fitr adaa karna,
(10) Eid ki namaz eidgah mein jaakar padhna,
(11) Ek raastey se jaana aur doosre raastey sey wapas aana,
(12) Raastey mein ahista awaaz se takbeer padhna ALLAHU AKBAR ALLAHU
AKBAR LAA ILAHA ILLALHU ALLAHU AKBAR ALLAHU AKBAR WALILLAHIL
HAMD.
Eid ke din sab sunnataun par amal karna chahiye.
NAMAAZ -E- EID KI TARKEEB
Eid key din do rakaat namaz bataurey shukriya key padhna wajib hai , eid ul fitr kee
namaz padhne ka tareeqa ye hai, ye niyyat karein ke main do rakaat namaz wajib eid ul
fitr ki chey zaaed takbeeron ke saath padhta hun, ye niyyat karke haath baand lein aur
SUBHNA KALLA HUMMA aakhir tak padh kar teen martaba ALLAHU AKBAR kahein
aur har martabaa dono haath kaanon tak uthaein aur takbeer ke baad haath chod dein,
aur har takbeer ke baad itni der khaamosh rahein key teen martaba subhanallah keh
sakein, teesri takbeer key baad haath na chodein balkey haath baandlein, Auzubillah ,
bismillah padhkar sooreh fatiha aur koyi doosree surath padhkar hasbe dastoor doosri
rakaat aise hi padhein , iskey baad teen martaba ALLAHU AKBAR isee tarah kahein
jaisey pehli rakaat mein kaha tha, lekin yahan teesri takbeer key baad haath na
baandhein balkey chod dein aur phir ALLAHU AKBAR kehte huye ruku mein chaley
jayein baaqi namaz aur namazon ki tarah poori karein, namaz key baad khutbah ghaur
se sunein,eid ka khutbah sunna wajib hai, yaani is waqt baat cheet karna bolna , namaz
padhna naa jaaez hai.
ALLAH TAALA mujhey aur tamaam musalmaano ko in baton par amal karney ki taufeeq
dey (AMEEN).
PRESENTED BY:-
Hafiz o Qari Zahed ur rehman
Nazim madarsa Tehfeezul quran
Tayyab nagar, Ramayya bowli,
Mahaboobnagar – (A.P)
Cell. No. 9440454482