Islamic Information Center
Taharat ke
Ahkaam aur
Masail
Edition 1
Compiled by: Shaikh Khaleelur
Rahman Sanabili
I. Diploma in Shariah Studies
Islamic Information Center
II. Kurla Head Office: V. Sakinaka: VII. Andheri:
III. Gala No. 6, Swastik Chamber, Below VI. Yadav Nagar, Opp Masjid,
Kurla Nursing Home, VIII.
Off Khairani Rd, Chandivali, Lane next to Jumbo King,
IV. Opp. Noorjehan 1, Pipe Road, Kurla
(W), Mumbai-70.
Sakinaka, Mumbai,
Maharashtra 400072. IX.X.
XI.
Off S.V. Road, Nr. Andheri
Station Jama Masjid,
Andheri (W), Mumbai-58.
DSS Online Exam Website: www.islamsmessage.com\iicou or www.iicou.com
Website: www.islamsmessage.com Email:
[email protected]Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
I. Taharat ka bayan aur iske masayel
1. Taharat ki fazilat
Safai aadha imaan hai
ِ اْل يم ِ ُ ال رس ٍ ِعَن أَبِي مال
ان ُ الطُّ ُه:ول الله ﷺ
َ ِْ ور َشط ُْر َ َك ْاْلَ ْشعَ ِر ِي ق
ُ َ َ َ ق:ال َ ْ
Allah ke rasool Sallallahu alaihi wasallam ne farmaya taharat aur safai aadha
imaan hai.
(SAHIH MUSLIM: 223)
Wudhu (jo taharat ka hissa hai) karne se chehra haath aur pair ke tamaam
sageera gunah maaf hojate hain
ِ أَ ِو ال- ضأَ الْعب ُد الْمسلِم ِ َ َالله ﷺق ِ ول َّ أ،َعَ ْن أَبِي ُه َريْ َرة
س َل َ َ فَ غ- ْم ْؤم ُن
ُ ُ ْ ُ ْ َ َّ إذَا تَ َو:ال َ َن َر ُس
آخ ِر قَطْ ِر ال َْم ِاء
ِ أَو مع- اء
ََ ْ
ِ وجهه خرج ِمن وج ِه ِه ُك ُّل خ ِطيئَةٍ نَظَر إِلَي ها بِعي ن ي ِه مع الْم
َ َ َ ْ َ َْ َ ْ َ َ َ ْ َ ْ َ ََ ُ َ ْ َ
آخ ِر قَطْ ِر ِ شتْ ها ي َداه مع الْم ِاء أَو مع ٍ ِ ِ ِ فَِإذَا غَسل ي َدي ِه َخر،-
َ َ ْ َ َ َ ُ َ َ َ َج م ْن يَ َديْه ُك ُّل َخطيئَة َكا َن بَط ََ ْ َََ
ِ أَو مع- اء
آخ ِر ِ شت ها ِرج ََله مع الْم ٍ ِ ْ س َل ِر ْجلَيْ ِه َخ َر َج ِ ِ
ََ ْ َ َ َ ُ ْ َ ْ َ ت ُك ُّل َخطيئَة َم َ َ فَإذَا غ،- ال َْماء
ُّ ج نَِقيًّا ِم َن
ِ ُالذن ِ
وب َ َحتَّى يَ ْخ ُر- قَطْ ِر ال َْماء
Hazrat Abu Hurairah kehte hai ke Allah ke Rasool Sallallahu alayhi
wasallam ne farmaya : Jab musalmaan ya momin banda wudhu karta hai aur
apna chehra dhota hai toh iske chehre se paani ke saath ya paani ke aakhri
qatre ke saath wo tamaam gunah maaf ho jate hai jo isne apni aankho se dekh
kar kiye the, fir jab wo apne haath dhota hai toh paani ke saath ya paani ke
aakhri qatre ke saath iske wo tamaam gunah maaf ho jate hai jo iske haatho
ne kiye the, fir jab wo apne pao dhota hai toh paani ke saath ya paani ke
aakhri qatre ke saath iske wo tamaam gunah maaf hojate hai jo iske pao ne
chal kar kiye the hatta ke wo gunaho se paak saaf hojata hai
(SAHIH MUSLIM: 244)
Islamic Information Center Page - 1 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
2. Tahaarat ki ahmiyat
Tahaarat ke begair namaaz hi nahi hoti
ص ََلةٌ بِغَيْ ِر طُ ُهور ِ ول ُ إِنِي َس ِم ْع:ال
َ ُ ََل تُ ْقبَل:ول
ُ الله ﷺ يَ ُق َ ت َر ُس َ َعن ابْ َن عُ َم َر ق
ٍ ُص َدقَةٌ ِم ْن غُل
ول َ ٍٍ َوََل
Hazrat Abdullah bin Umar farmate hai ke mene Allah ke Rasool (Sallallahu
alayhi wasallam) ko kehte huwe suna ke : namaaz begair taharat ke qubool
nahi ki jaati aur na hi maal-e-ganimat me se chori kiye huwe maal ka sadaqah
qubool kiya jata hai
(SAHIH MUSLIM: 224)
Tahaarat namaaz ke liye zaroori hai
ِ َّ ِم ْفتاح:ال ِ ٍ ِعَن أَبِي سع
ُ الص ََلة الطُّ ُه
،ور ُ َ َ َ عَ ِن النَّب ِي ﷺ ق، خ ْد ِر ِي ُ ْيد ال َ ْ
يم ِ وتَحلِيلُها الت،وتَح ِريمها التَّ ْكبِير
ُ َّسل
ْ َ ْ َ ُ َُ ْ َ
Hazrat Abu Saeed Khudri se riwayat hai ki Nabi (Sallallahu alayhi
wasallam) ne farmaya: tahaarat namaaz ke kunji hai, namaaz ki ibtida takbeer
aur khaatma sallam pherna hai
(SUNAN IBN MAJAH: 276, SAHEEH, ALBANI)
3. Tahaarat ki qisme
Bunyadi taur se tahaarat ki do qisme ki jaati hain.
1.Baatini tahaarat
apne nafs ko Allah aur iske Rasool sallalahu alaihi wa sallam ki na farmani aur
gunah ki milawat se bacha kar rakhna baatini tahaarat hai, Baatini tahaarat
hasil karne ke liye sachchi tauba, neki se muhabbat, sachai, tawaze aur tamam
nek kaamo ko sirf Allah ki raza ke husul ke jazbe ka hona nihayat hi zaruri hai.
2. Zaahiri tahaarat
Islamic Information Center Page - 2 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Na paak chizo se bachna aur na paki se apne aap ko saaf rakhna zaahiri
tahaarat gusl, wudhu aur tayammum ke zarye haasil ki jaati hai.
II. Gusl ka Bayaan
1. Gusl waajib karne wali chizo ka bayan:
6 chize aisi hi ke in me se kisi ek ki maujoodgi me musalmaan ke liye gusl
karna waajib hoga :
1.Mani ka apni jagah se nikal jana chahe mard ho ya Aurat, is ki do surate ho
sakti hain: nind me ya bedaari ki halat me chuncha agar bedaari ki halat me
nikle to lazzat ke sath niklna shart hai, chuncha agar bagair lazzat ke mani
khaarij hoto is se gusl waajib nahi hota, jaise ke bimaari ki wajah se basa
auqaat mani khaarij ho jati hai.
Aur agar nind ki halat me mani khaarij hoto isi ko ehtelaam kehte hain, is se
muttalaq taur par (chahe lazzat mehsoos ho ya na ho ) gusl waajib hojaye ga,
kyunke nind me shaur nahi hota aur kabhi kabhar lazzat bhi mehsoos nahi
hoti, lihaza soya huwa shaks bedaari ke bad mani ke asraat dekhe to is par
gusl waajib hai aur agar khawb (dream) to dekha lakin mani khaarij nahi hui
aur na hi mani ke asraat nazar aaye to phir gusl waajib nahi hoga.
2. Aala-e- tanasul ko aurat ki andaam-e-nahani me dakhil karne se gusl waajib
ho jayega chahe inzaal na bhi huwa ho, iski daleel imam muslim waigra ne
Nabi sallalahu alaihi wa sallam se bayan ki ke aap ne farmaya:
،س بَيْ َن ُشعَبِ َها ْاْلَ ْربَ ِع ثُ َّم َج َه َد َها ِ َن نَبِ َّي
ِ َ َالله ﷺق َّ أ،َعَ ْن أَبِي ُه َريْ َرة
َ َ إذَا َجل:ال
ِ فَ َق ْد وجب عَلَيْ ِه الْغُسل۔ وفِي ح ِد
يث َمطَ ٍر َوإِ ْن لَ ْم يُنْ ِز ْل َ َ ُْ َ ََ
Jab koi mard chaar shaako me beth jaye aur mard wa Aurat ki sharmgahe
apas me mil jaye to gusl waajib hojayega aur matar ki hadith me hai ke :
chahe inzaal na bhi ho.
(SAHIH MUSLIM)
Islamic Information Center Page - 3 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Is hadith ki wajah se humbistari me aala-e-tanasul Dakhil karne ki wajah se
dono par gusl waajib hojayega, chahe inzaal na bhi ho, ahle ilm ka is par ijma
hai.
3. kayi ulama ke yahan kisi kaafir ke islaam qubul karne par bhi gusl waajib
hojata hai kyunke aap sallallahu alaihi wa salllam ne kuch naye musalmaan
hone wale afraad ko gusl karne hukum diya jabke bohat se ahle ilm ka khayal
hai ke kisi kaafir ke musalmaan hone par gusl mustahab hai waajib nahi, inki
daleel ye hai ke Nabi sallallahu alaihi wa sallam se ye kisi ne bayan nahi kiya ke
aap har nau muslim ko gusl karne ka hukum dete the, chuncha dalail ko jama
karte huwe gusl ke hukum ko istihbaab par mahmool kiya jaye ga.
4. Maut ki wajah se bhi mayyat ko gusl dena waajib ho jata hai, siwaye jung
me shaheed hone wale shaks ke ke ise gusl nahi diya jayega.
5 aur 6 . haiz aur nifaas ki wajah se, iski daleel farman-e-risalaat hai:
صلِي ِِ َّ فَ َد ِعي،ُضة
ْ الصَلَةَ َوإِذَا أَ ْدبَ َر
َ ت فَاغْتَسلي َو ِ
َ فَِإذَا أَقْ بَ لَت
َ ْالحي
Jab haiz aaye to tu Namaz tark kar de aur jab haiz khatam ho jaye to gusl
karo aur Namaz padho.
(SAHIH BUKHARI : 320)
2. Gusl e janabat ka bayan
Gusl me niyyat zaruri hai yani jis sabab se gusl waajib hua hai ise dur karne ki
niyyat kiye bagair masnoon gusl nahi hota ya yun keh le ke agar kisi par
humbistiri ki wajah se gusl waajib hua aur is ne gusl janabat ki niyyat hi nahi ki
to phir iska gusl nahi huwa balke ise gusl janabat ki niyyat karke dobara gusl
karna hoga.
3. Gusl janabat ka tariqa
1. Pehle dono hath achchi tarah dhona chahiye.
2. Phir baaye (left) hath se apni sharmgah ko achchi tarah dhona chahiye.
Islamic Information Center Page - 4 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
3. Phir namaz ke wudhu ki tarah wudhu karna chahiye.(sirf paw chod dena
chahiye)
4. Phir ungliyo ke zariye paani sar ke baalo ki jado tak pohanchna chahiye.
5. phir teen .. paani sar par dalna chahiye.
6. Phir baaqi saare jism par paani bahana chahiye.
7. Aakhir me dono paw dho lena chahiye.
Daleel :
.ْجنَابَ ِة يَ ْب َدأُ فَ يَ غْ ِسلُ يَ َديْ ِه ِ الله ﷺ إِذَا اغْت ِ ول َ ِعَ ْن عَائ
َ س َل م َن ال ََ ُ َك ا َن َر ُس:ت ْ َ قَال،َشة
.ِلص ََلة
َّ ِضوءَهُ ل ُ ضأُ ُو َّ ثُ َّم يَتَ َو.ُثُ َّم يُ ْف ِرغُ بِيَ ِمينِ ِه عَلَى ِش َمالِ ِه فَ يَ غْ ِسلُ فَ ْر َجه
ِ ُص ِ ِ
.الش ْع ِر
َّ ول ُ َصابِعَهُ في أ َ ثُ َّم يَأْ ُخ ُذ ال َْماءَ فَ يُ ْدخلُ أ
ٍ َث ح َفن ِِ
.ات َ َ استَ بْ َرأَ َح َف َن عَلَى َرأْسه ثَ ََل ْ َحتَّى إِذَا َرأَى أَ ْن قَ ْد
س َل ِر ْجلَيْ ِه ِ ِ ثُ َّم أَفَاض َعلَى سائِ ِر ج
َ َ ثُ َّم غ.سده ََ َ َ
Hazarat Ayesha kehti hain ke Rasool sallallahu alaihi wa sallam jab gusl
janabat farmate to is tarah aagaaz farmate, pehle hath dhote phir daaye
(right) hath se baaaye (left) hath par paani dalte aur apna aaza makhsoos
dhote,phir Namaz ke wudhu ki tarah wudhu karrte, phir paani lekar apni
ungliyo ke zarye sar ke baalo ki jado me daakhil karte phir teen chillu bhar ke
yake baad digre sar par dalte, phir baaqi saare badan par paani bahate, phir
(aakhir me ) apne dono paw dhote.
(SAHIH BUKHARI : 248, SAHIH MUSLIM : 316)
4. Masnoon guslo ka bayan
Gusl janabat ke baad ab in ahwaal ka zikr kiya ja raha hai jin me gusl karna
masnoon aur mustahab hai.
Juma ke din gusl
Islamic Information Center Page - 5 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Ibn umar se riwayat hai ke Rasool Allah sallallahu alaihi wa sallam ne
farmaya :
فَ لْيَ غْتَ ِس ْل،َالج ُمعَة َ إِذَا َجاءَ أ
ُ َح ُد ُك ُم
Jab tum me se koi shaks Namaze juma ke liye aaye to wo gusl kare.
(SAHIH BUKHARI : 877, SAHIH MUSLIM : 844)
Sayyadna Abu Hurairah se riwayat hai ke Rasool sallallahu alaihi wa
sallam ne farmaya :
ِِ ِ ٍ ِ ِ ِ ِ
َ أَ ْن يَغْتَس َل في ُك ِل َسبْ عَة أَيَّام يَ ْو ًما يَغْسلُ فيه َرأْ َسهُ َو َج،َح ٌّق عَلَى ُك ِل ُم ْسل ٍم
ُس َده
Har Musalmaan par haqq hai ke hafte me ek din (juma ko) gusl kare. Is me
sar aur apna badan dhoye.
(SAHIH BUKHARI : 897, SAHIH MUSLIM : 849)
Sayyadna Abu saeed khudri kehte hai hain ke Rasool sallallahu alaihi wa
sallam ne farmaya :
ب عَلَى ُك ِل ُم ْحتَلِ ٍم ِ غُسل ي وِم الجمع ِة و
اج
ٌ َ َ ُ ُ َْ ُ ْ
Juma ke din har baalig musalmaan par nahana waajib hai.
(SAHIH BUKHARI : 879)
Ibn Jawzi rahimullah farmate hain : Juma ka din gusl karna waajib hai
kyunke iski ahadith zyada Sahih aur qawi hain. Ibn hazam aur Allamma
shokaani rahimullah ne bhi isi mazhab ko ikhteyaar kiya hai.
(DEKHIYE AL-MOHALLAA : 255/1, WA NAIL AL-AWTAAR : 275/1)
Mayyat ko gusl dene wala gusl kare
Sayyadna Abu Hurairah riwayat karte hain ke Rasool sallalahu alaihi wa
sallam ne farmaya :
ت فَ لْيَ غْتَ ِس ْل
َ ِْمي
َ س َل ال
َّ ََم ْن غ
Jo shaks mayyat ko gusl de ise chahiye ke wo khud bhi nahaye.
(HASAN SAHIH, SUNAN ABI DAWOOD :3161,3162)
Islamic Information Center Page - 6 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Ibn Umar farmate hain : hum mayyat ko gusl dete phir hum me se baaz
gusl karte aur baaz na karte.
SAHIH AS SUNANUL KUBRA AL BAHIQEE 306/1 ,SUNAN AD DAR QUTNI 72/2 HADITH,1802 WA
SANAD WA SAHIH, HAAFIZ IBN HUJR NE AT TALKHEESUL HABIR : 138/1 ME ISE SAHIH KAHA
HAI.
Dono ahadith ko milane se masla ye saabit hua ke jo shaks mayyat ko gusl de ,
is ke liye nahana mustahab hai,zaruri nahi.
Naw Muslim ke liye gusl
اْل ْس ََل َم فَأ ََم َرنِي أَ ْن أَغْتَ ِس َل بِ َم ٍاء َو ِس ْد ٍر
ِْ ت النَّبِ َّي ﷺ أُ ِري ُد ِ َس بْ ِن ع
َ َاص ٍم ق
ُ ْ أَتَي:ال ِ ْعَ ْن قَ ي
Sayyadna Qais bin Aasim se riwayat hai ke jab wo musalmaan hue to
Rasool Allah Sallallahu alaihi wa sallam ne inhe hukm diya ke wo paani aur beri
ke patto se gusl kare.
(SUNAN ABI DAWOOD :355, SAHIH)
Lakin jaisa ke pehle bhi zikr kiya jaa chuka hai.
Eidain ke roz gusl
Nafey kehte hain ke sayyadna ibn Umar Eidul fitr ke roz eidgah jane se
pehle gusl kiya karte the.
(SAHIH) AL MOTTA IMAAM MAALIK : 436-177/1, HADITH :428, WA SANAD SAHIH ISKI SANAD
ASAHUL ASAAID HAI.)
Sayyadna Ali ne farmaya : Juma , Arfa, Qurbani aur Eidul fitr ke din gusl
karna chahiye.
(SAHIH) AS SUNANUL KUBRA LI BAHIQEE : 278/3, ASH SHAFIYEE FIL IMAAM : 163/7, WA SANAD
SAHIH,WA SHARH MA’ANE AL ASAAR : 119/1
Ye Eidain ke roz gusl par sab se achchi daleel hai.Imaam Nawawi farmate
hain : is masle me etemaad sayyadna Abdullah bin Umar ke asar par hai,
nez iski bunyaad juma ke gusl par qayas hai.
(AL MAJMOOU : 11/5)
Ehraam ka gusl
Islamic Information Center Page - 7 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
ِِ ِ ِ ٍِ ِ
َ َعن َزيْد بْ ِن ثَابت أَنَّهُ َرأَى النَّب َّي ﷺ تَ َج َّر َد ِْل ْه ََلله َواغْت
س َل
Sayyadna Zaid bin Saabit se riwayat hai ke Hajj ka ahraam bandhte waqt
Rasool Allah sallallahu alaihi wa sallam ne gusl farmaya.
(SUNAN TIRMIDHI : 830, SAHIH )
Makka me daakhil hote waqt gusl karna
Ibn Umar farmate hain ke Rasool Allah sallallahu alihi wa sallam make me
dhakil hote waqt gusl karte the.
(SAHIH BUKHARI : 1573, SAHIH MUSLIM : 1259)
Wudhu Ke Masayal
Allah tala ne farmaya:
وه ُك ْم ِ ِ َّ يا أَيُّها الَّ ِذين آمنُوا إِذَا قُمتُم إِلَى
َ الص ََلة فَاغْسلُوا ُو ُج ْ ْ َ َ َ َ
ِ وأَي ِدي ُكم إِلَى الْمرافِ ِق وامسحوا بِرء
وس ُك ْم َوأ َْر ُجلَ ُك ْم إِلَى الْ َك ْعبَ يْ ِنُُ ُ َ ْ َ ََ ْ َ َْ
Aye Imaan walo ! Jab tum Namaz ke liye khade ho toh apne chehro ko dholo
aur apne hatho ko kohniyo (elbow) tak aur apne saro ka masah karo aur apne
pairo ke takno (ankle) tak.
(SURAH MAIDAH:6)
Allah ke Rasool ne farmaya:
ِ إِ َّن اللَّهَ ََل ي ْقبل ص ََلةَ أ
َّ ث َحتَّى يَتَ َو
َضأ ْ َحد ُك ْم إِذَا أ
َ َح َد َ َ َُ َ
Allah kisi ki Namaz qubool nahi karta jab iska wudhu tut jaye yaha tak ke woh
dobara wudhu kar le.
(SUNAN TIRMIZI:76, SAHIH)
Islamic Information Center Page - 8 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
III. Fasl : Miswak ka bayan
Har namaz ke liye miswak kiya jaye
Allah ke Rasool ne farmaya:
ٍاك ِعنْ َد ُك ِل ص ََلة
ِ الس و
ِ ِ ِ ِ لَوََل أَ ْن أَ ُش َّق عَلَى ال
َ َ ين َْلَ َم ْرتُ ُه ْم ب
َ ْم ْؤمن
ُ ْ
Agar Mumino par mushkil aur gira nahi samjhta toh me inko har Namaz ke
waqt miswak karne ka hukm deta.
(SAHIH MUSLIM:252)
Miswak Karne Ki Fazilat :
Allah ke Rasool ne farmaya:
َّ ِضاةٌ ل
ِ لر
ب َ َم ْر،الس َواك َمط َْه َرةٌ لِلْ َف ِم
ِ
Yaqinan miswak muh ki paaki aur Rab ki khushnudi (Please) ka zariya hai.
(SUNAN NISAI:5, SAHIH)
IV. Wudhu Ka Tariqa
1. Wudhu Ki Fazilat Aur Iska Tariqa
Allah Ke Rasaool ne farmaya:
،ت َخطَايَا َو ْج ِه ِه ْ َويَ ْستَ نْ ِش ُق فَ يَ نْ تَثِ ُر إِ ََّل َخ َّر،ض ِ
ُ ض َم ْ ضوءَهُ فَ يَ تَ َم ُ ب َو ُ َما منْ ُك ْم َر ُجلٌ يُ َق ِر
افِ ت َخطَايا وج ِه ِه ِمن أَطْر ْ إِ ََّل َخ َّر،ُس َل َو ْج َههُ َك َما أ ََم َرهُ الله ِ ِِ ِ ِِ
َ ْ َْ َ َ َ ثُ َّم إذَا غ،َوفيه َو َخيَاشيمه
ت َخطَايَا يَ َديْ ِه ِم ْن أَنَ ِاملِ ِه َم َع ْ إِ ََّل َخ َّر،ْم ْرفَ َقيْ ِن ِ ثُ َّم ي غْ ِسل ي َديْ ِه إِلَى ال،اء ِ لِحيتِ ِه مع الْم
َُ َ َ َ َ َْ
ثُ َّم يَغْ ِس ُل،اء ِ اف َشع ِرهِ م ع الْم ِ ت َخطَايا رأْ ِس ِه ِمن أَطْر ْ إِ ََّل َخ َّر،ُح َرأْ َسه ِ الْم
َ ََ ْ َ ْ َ َ ُس َ م
ْ ي
َ م
َّ ث
ُ ، اء َ
،صلَّى ِ ت خطَايا ِرجلَي ِه ِمن أَنَ ِاملِ ِه مع ال ِ
َ َام ف َ َ فَِإ ْن ُه َو ق،ْماء َ ََ ْ ْ ْ َ َ ْ إِ ََّل َخ َّر،قَ َد َميْه إِلَى الْ َك ْعبَ يْ ِن
ف ِم ْن َ ص َر ِِ ِ ِ
َ ْ إِ ََّل ان، َوفَ َّرغَ قَ لْبَهُ للَّه،ٌفَ َح ِم َد اللهَ َوأَثْ نَى عَلَيْه َو َم َّج َدهُ بِالَّذي ُه َو لَهُ أ َْهل
ِ
َُخطيئَتِ ِه َك َهيْ ئَتِ ِه يَ ْو َم َولَ َدتْهُ أ ُُّمه
Islamic Information Center Page - 9 -
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Jo shaks wudhu me kulli kare, naak me paani chadhaye phir jhaade toh iske
chehre , muh aur nathne (nostril) ke gunah nikal jaate hai. Phir jab apna
chehra dhulta hai jis tarah Allah ne ise huqm diya hai toh iske chehre ke
gunah iske daadhi (beard) ke ehteraaf se paani ke sath nikal jaate hai phir
apne dono haatho ko kohniyo tak dhulta hai toh iske dono haatho ke
gunaah iske poro se paani ke sath nikal jaate hai phir apne sar ka masah
karta hai toh iske sar ke gunaah iske baal ke kinaro se paani ke sath nikal
jaate hai , phir agar who khada hota hai aur namaz ada karta hai Allah ki
ta’areef karta hai, iski sana or buzurgi bayan karta hai jiska woh haqdaar
hai or apne dil ko Allah ke liye khaali kar deta hai ,(isi tarah apni namaz puri
karta hai) toh gunaaho se paak hokar is din ki tarah laut ta hai jis din iski
maa ne ise paida kiya tha.
(MUSLIM:832)
2. Wudhu Me Niyyat Shart Hai.
Allah ke Rasool ne farmaya:
َوإِنَّ َما لِ ُك ِل ْام ِر ٍئ َما نَ َوى،ات
ِ َّال بِالنِي
ُ إِنَّ َما اْلَ ْع َم
Beshak aa’mal ka daromadar niyyato par hai aur har shaks ko wahi milega jiski
usne niyyat ki hai.
(SAHIH BUKHARI:1)
Har amal ka taluq niyyat se juda hota hai jaisi niyyat hoti hai waisa hi badla
paata hai wudhu me yeh niyyat honi chahiye ke Allah ta’la ke hukm ke
takmeel me wudhu kar raha hu.
3. Wudhu karte waqt Bismillah kehna
Allah ke rasool ne farmaya:
اس َم اللَّ ِه عَلَيْ ِه ِ ُ ََل و
ْ ضوءَ ل َم ْن لَ ْم يَ ْذ ُك ْر ُ
us shaks ka wudhu hi nahi jo Bismillah na kahe. (sunan tirmizi:25, hasan)
Islamic Information Center Page - 10
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
4. Kulli karne se pehle dono hateliyon (palms) ka dhulna
Allah ke Rasool ne farmaya:
ِ َاْل ن
،اء َحتَّى يَغْ ِسلَ َها ثَ ََلثًا ِْ س يَ َدهُ فِي ِ ِِ ِ
ْ فَ ََل يَغْم،َح ُد ُك ْم م ْن نَ ْومه
َظأ ْ إِذَا
َ استَ يْ َق
ْ َفَِإنَّهُ ََل يَ ْد ِري أَيْ َن بَات
ُت يَ ُده
Jab tum me ka koi apni nind se jaage to apne haatho ko teen (3) martaba
dhoye bagair bartan me na dale kyunke wo nahi jaanta ke iska haath sote
waqt kaha kaha hoga. Ise puri jamat ne rivayat kiya hai magar Bukhari ne
ta’dad ka zikr nahi kiya hai.
(MUSLIM:278)
5. Paani Ko Sidhe Haath Se Lena
ٍ ضي الله عنْه دعا بِوض
وء ُ َ َ َ ُ َ ُ َ ِ َن عُثْ َما َن بْ َن عَ َّفا َن َر َّ عن ُح ْم َرا َن َم ْولَى عُثْ َما َن أ
ٍ ث م َّر ِ
استَ نْ ثَ َر
ْ ض َو
َ ض َم
ْ ثُ َّم َم،ات َ َ س َل َك َّفيْه ثَ ََل َّ فَ تَ َو
َ َضأَ فَ غ
Humran Uthman Bin Affaan ke gulaam bayan karte hai inhone hazrat
Uthman Bin Affaan ko dekha ke inho ne wudhu ka paani mangwaya phir
apne bartan se apne dono haatho par paani daala or in dono ko teen teen
martaba dhoya phir apne dahine (right) haath ko wudhu ke bartan me daakhil
kiya phir kulli kiya naak me paani daala.
(BUKHARI:159, MUSLIM:226)
6. Kulli Karne Ka Bayan.
Allah ke Rasool ne farmaya:
ْ ض ِم
ض ْ ْت فَ َم َّ إِذَا تَ َو
َ ضأ
Jab tum wudhu karo toh kulli karlo.
(SUNAN ABU DAWOOD:144, SAHIH)
7. Naak Me Paani Chadha Kar Ise Jhadna.
Allah ke Rasool ne farmaya:
Islamic Information Center Page - 11
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
ثُ َّم لِيَ نْ ثُ ْر،َح ُد ُك ْم فَ لْيَ ْجعَ ْل فِي أَنْ ِف ِه َّ إِذَا تَ َو
َ ضأَ أ
Jab tumme ka koi wudhu kare toh apni naak me paani daale phir ise jhaade.
(BUKHARI:162)
Allah ke Rasool ne farmaya:
ِ ضأَ أَح ُد ُكم فَ لْيست نْ ِش ْق بِمنْ ِخري ِه ِمن الْم
اء ثُ َّم لِيَ نْ تَثِ ْر َ َ َْ َ َ ْ َ ْ َ َّ إِذَا تَ َو
Jab tumme ka koi wudhu kare toh apni naak ke dono banso (nostrils) me paani
chadhaye phir ise jhaade.
( MUSLIM:237)
8. Ek Hi Chullu Se Kulli Karna Aur Naak Me Paani Chadhana
ِ ِ ِ ٍ ِ َّ ِ
،سلَ ُه َماَ َ أَنَّهُ أَفْ َرغَ م َن ا ِْلنَاء عَلَى يَ َديْه فَ غ،عَ ْن عَبْد الله بْ ِن َزيْد
ِ ِمن َك َّف ٍة و- ش َق
ٍاح َدة َ ْاستَ ن
َ ْ ْ ض َو
َ ض َم ْ أ َْو َم- س َل َ َثُ َّم غ
Abdullah Bin Zaid (R.A.) ne ek martaba bartan se apne dono haatho par paani
undela aur in dono ko dhoya, phir dhoya ya ek hi chullu se kulli kiya aur naak
me paani chadhaya….. (Bukhari:191)
9. Left Hand Se Naak Jhaadi Jaye
،» َونَثَ َر بِيَ ِدهِ الْيُ ْس َرى فَ َفعَ َل َه َذا ثَ ََلثًا،ش َق
َ ْاستَ ن ٍ أَنَّه «دعا بِوض: عن علِ ٍي
ْ ض َو
َ ض َم
ْ فَ تَ َم،وء ُ َ ََ ُ َ َْ
ور نَبِ ِي اللَّ ِه ﷺ ُ َه َذا طُ ُه:ال
َ َثُ َّم ق
Hazrat Ali ne ek dafa wudhu ka paani mangwaya aur kulli ki naak me paani
chadhaya or apne baye haath se naak saaf kiya aur aisa teen martaba kiya phir
kaha isi tarah Nabi ka wudhu tha. (Nisai:91, sahih)
10. Chehre Ko Apne Dono Haatho Se Dhulne Ka Bayan.
ٍ
ُس َل بِ ِه َما َو ْج َهه
ِِ ِ َ َ أ، فَ َجعَ َل بِ َها َه َك َذا،ثُ َّم أَ َخ َذ غَ ْرفَةً ِم ْن َماء
َ َ فَ غ،ضافَ َها إلَى يَده اْلُ ْخ َرى
Ibn Abbas (R.A.) ne ek martaba wudhu kiya……. phir ek chullu paani liya aur is
tarah kiya aur apne dusre haath ko bhi is (paani wale hath) me mila liya aur in
Islamic Information Center Page - 12
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
dono se apne chehre ko dhoya……phir kaha main ne isi tarah Nabi ko
wudhu karte hue dekha hai
(BUKHARI:140)
11. Right Side Se Wudhu Kiya Jaye
، َك ا َن النَّبِ ُّي ﷺ يُ ْع ِجبُهُ التَّيَ ُّم ُن:ت
ْ َ قَال،َشةَ ِعَ ْن عَائ
ِ وفِي َشأْنِ ِه ُكلِه،ِ وطُهوِره، وتَ ر ُّجلِ ِه،فِي تَنَ عُّلِ ِه
َ ُ َ ََ
Ayesha (R.A.) bayan farmati hai Nabi (S.AW.) apna juta pehen’ne, sar me
kanghi (comb) karne or paaki haasil karne me aur apne har kaam me right side
ko pasand karte the.
(BUKHARI :168 )
Allah ke Rasool ne farmaya:
إذا لبستم وإذا توضأتم فابدءوا بميامنكم
Jab tum kapda peheno aur jab wudhu karo toh apne dahini (right) taraf se
shuru karo.
(SAHIH AL JAMI’:787)
12. Ungliyo Me Khilaal Karne Ka Bayan
Allah ke Rasool ne farmaya:
َ َْصابِ ِع يَ َدي
َ ك َو ِر ْجلَ ْي
ك ِ َ ضأ َّ إِذَا تَ َو
َ ْت فَ َخل ْل بَ ْي َن أ
Jab tum wudhu karo toh apne dono haatho aur pairo ki ungliyo me khilaal
karlo. (Tirmizi:39, hasan sahih)
13. Apne Pero Ki Ungliyo Me Kis Tarah Khilaal Kiya Jaye ?
ِ ول
الله ﷺ َ ت َر ُس ُ ْ َرأَي:ال ٍ عَ ِن الْمستَ و ِر ِد ب ِن َش َّد
َ َاد ق ْ ْ ُْ
ِضأَ َخلَّل أَصابِع ِرجلَي ِه بِ ِخنْص ِرهَّ إِذَا تَ َو
َ ْْ َ َ َ
Islamic Information Center Page - 13
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Mustaurid Ibn Shaddaad (R.A.) bayan farmate hai mene Rasool ko wudhu
karte hue dekha aap ne apne dono pairo ki ungliyo ka khilaal apni khinsir yaani
choti ungli se kiya. (Musnad Ahmad:18010, sahih)
14. Daadhi (Beard) Me Khilaal Karna Mustahab Hai.
ِ َّ ول اللَّ ِه ﷺ تَ َو
ُضأَفَ َخلَّ َل ل ْحيَ تَه َّ أ،عَ ْن عُثْ َما َن
َ َن َر ُس
Uthman Bin Affan (R.A.) farmate hain Rasool ne wudhu me apni daadhi ka
khilaal kiya.
(SUNAN IBN E MAJAH:430, SAHIH)
15. Ragadne (Rub) Karne Ka Bayan.
ك
ُ ُ َه َك َذا يَ ْدل:ول
ُ ضأَ فَ َجعَ َل يَ ُق َّ أ،الله بْ ِن َزيْ ٍد
َّ َن النَّبِ َّي ﷺ تَ َو ِ عَن عَب ِد
ْ ْ
Abdullah Bin Zaid (R.A.) bayan karte hai Nabi ne wudhu kiya aur is tarah
karne lage yaani ragadne lage.
(MUSNAD AHMAD:16441, SAHIH)
16. Sar Ka Masah Aur Iski Kaifiyat
، فَ لَ َّما بَلَ َغ َم ْس َح َرأْ ِس ِه،َضأ
َّ ول اللَّ ِه ﷺ تَ َو َ ت َر ُس ُ ْ َرأَي:الَ َ ق،ب ِ ِ
َ عَ ِن الْم ْق َد ِام بْ ِن َم ْعدي َك ِر
َان الَّ ِذي بَ َدأِ َّهما إِلَى الْم َك
َ
ِِ ِ
َ ُ ثُ َّم َرد، فَأ ََم َّر ُه َما َحتَّى بَ لَ َغ الْ َق َفا،ض َع َك َّفيْه عَلَى ُم َق َّد ِم َرأْسه
َ َو
ِ
ُمنْه
Miqadaam Bin Ma’di Karib bayan karte hai ke mene Allah ke Rasool ko
wudhu karte hue dekha jab sar ka masah karne lage toh dono hatheliyo
(palms) ko sar ke agle hisse par rakha aur in dono ko guddi tak guzar kar le
gaye phir in dono ko us jagah wapas le aaye jaha se shuru kiya tha. (Abu
Dawood:122, sahih)
17. Is Baat Ka Bayan Ke Dono Kaan Sar Me Se Hai Aur In Dono Ka
Ek Hi Paani Se Masah Kiya Jayega.
Allah ke Rasool ne farmaya:
Islamic Information Center Page - 14
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
َّ ان ِم َن
ِ ْالرأ
س ِ َْاْلُذُن
Dono kaan sar me se hai. (sunan tirmizi:37, sahih)
18. Dono Kaan Ke Baahiri Aur Andhruni Hisse Ka Masah Kiya
Jayega.
السبَّابَتَ ْي ِن ِ ول اللَّ ِه ﷺ مسح أُذُنَي ِه َد
َّ ِاخلَ ُه َما ب َّ اس أ
َ َن َر ُس ٍ َّعَ ِن ابْ ِن عَب
ْ َََ
ِ اهرهما وب ِ ِ ِ ِ ِ ِ َ ََو َخال
اطنَ ُه َماَ َ َ ُ َ َس َح ظ َ فَ َم،ف إبْ َه َاميْه إلَى ظَاه ِر أُذُنَيْه
Ibn Abbas (R.A.) bayan katre hai Rasool ne apne dono kaano ke andhruni
hisse ka dono shahadat ki ungli se masah kiya, aur inke baahiri hisse par dono
anghuto ko phere, is tarah Aap ne in dono ke bahiri aur andhruni hisse ka
masah kiya. (sunan ibn e majah:439, hasan sahih)
19. Sar Ka Masah Naye Paani Se Kiya Jayega.
ِض ِل ي ِده ٍ ِِ
َ ْ َس َح بِ َرأْسه بِ َماء غَيْ ِر ف
َ َو َم
Abdullah Bin Zaid Bin A’simil Maazinee (R.A.) ne bayan kiya inhone Rasool
ko wudhu bkarte hue dekha……: phir apne sar ka masah kiya jo inke hath
ke bache hue paani ke ilawa tha (yaani naye paani se)….. (Muslim:236)
20. Hath Ke Bache Hue Paani Se Sar Ka Masah Karna
ِض ِل م ٍاء َكا َن فِي ي ِده ِ ِِ
َ َ ْ َس َح بَِرأْسه م ْن ف ِ َّ الربَيِ ِع أ
َ َن النَّب َّي ﷺ َم ُّ عَ ِن
Rubay’i (R.A.) bayan karte hai Nabi ne apne sar ka masah apne hath ke
bache hue paani se kiya. (sunan abu dawood:130, hasan)
21. Sar Ka Masah Ek Baar Kiya Jaye.
فَ َدعَا بِطَ ُهوٍر،صلَّى ِ ٍ ِ أَتَيْ نَا عَلِ َّي بْن أَبِي طَال:ال َ َعَ ْن عَبْ ِد َخيْ ٍر ق
َ ب َرض َي اللَّهُ عَنْهُ َوقَ ْد َ
ِ ومسح بِرأْ ِس ِه م َّرةً و: ما يصنع بِ ِه وقَ ْد صلَّى؟ ما ي ِري ُد إََِّل لِي علِمنا:فَ ُقلْنا
ًاح َدة َ َ َ َ َ ََ ََ َ ُ ُ َ َ َ ُ َْ َ َ َ
ول اللَّ ِه ﷺ فَ ُه َو َه َذاِ ضوء ر ُس
َ َ ُ َم ْن َس َّرهُ أَ ْن يَ ْعلَ َم ُو:ال
َ َثُ َّم ق
Abd Khayr bayan karte hai hum Ali Bin Abi Taalib (R.A.) ke paas aaye is
waqt who namaz padh chuke the phir bhi inhone wudhu ka paani
Islamic Information Center Page - 15
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
mangwaya hum ne kaha is ka kya karenge jab ke namaz padh chuke hai
darasl who hume (wudhu ka tariqa) sikhana chahte the……. apne sar ka ek
marta ba masah kiya phir farmaya jo chahta ho ke woh Nabi ke wudhu
ko dekhe toh woh yahi tariqa hai. (Nisai:92, Sahih)
22. Dono pairo ka dhona Farz hai.
اب ِم َن النَّا ِر
ِ َويْل لِ ْْلَ ْع َق:ال ِ ِ ِ ِ َّ عَ ْن أَبِي ُهريْ رةَ أ
ٌ َ َن النَّب َّي ﷺ َرأَى َر ُج ًَل لَ ْم يَغْس ْل عَقبَ يْه فَ َق ََ
Abu Hurairah (R. A) farmate hain Nabi ne ek Aadmi ko dekha jis ne apne
dono takhno ko nahi dhoya tha to Aap ne farmaya: Aise takhno ke liye vail
hai. (Muslim:242)
ص َرهُ النَّبِ ُّي ﷺ ِِ ِ ِ َّعن عُ َمر بْ ُن الْ َخط
َّ اب أ
َ ْضأَ فَ تَ َر َك َم ْوض َع ظُ ُف ٍر عَلَى قَ َدمه فَأَب
َّ َن َر ُج ًَل تَ َو
صلَّى ُ َح ِس ْن ُو
َ ثُ َّم، فَ َر َج َع،ضوءَ َك ْ ْار ِج ْع فَأ:الَ فَ َق
Umar bin Khataab bayan farmate hain ke ek aadmi ne wudhu kiya aur ek
naakhun ke brabar apne qadam me jagah sukhi chod di jab Nabi ki Nazar is
par padhi to farmaya: Jao aur achchi tarah wudhu karo wo dobara
gaya (wudhu kiya) phir Namaz padhi. (Muslim:243)
23. Ek ek martaba A'azaa (parts) wudhu ko dhona jayez hai.
ًضأَ النَّبِ ُّي ﷺ َم َّرةً َم َّرة
َّ تَ َو:ال ٍ َّعَ ِن ابْ ِن عَب
َ َ ق،اس
Hazarat Ibn Abbas bayan karte hain Nabi ne ek ek Martaba apne A'azaa
wudhu ko dhoya) wudhu kiya. (Bukhari:157)
24. Do do martaba A'azaa wudhu ko dhona jayez hai.
َّ عَ ْن عَبْ ِد اللَّ ِه بْ ِن َزيْ ٍد أ
َّ َن النَّبِ َّي ﷺ تَ َو
ضأَ َم َّرتَيْ ِن َم َّرتَيْ ِن
Abdullah bin Zaid ( R.A) bayan farmate hain Nabi ne do do Martaba (apne
A'azaa wudhu ko dhoya ) wudhu kiya. (Bukhari:158)
25. Teen teen martaba A'azaa wudhu ka dhona jayez hai.
Islamic Information Center Page - 16
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
ِ ول ِ ضوء ر ُس ِ ضأَ بِالْم َق
َ اع ِد فَ َق ٍ َعَ ْن أَبِي أَن
الله ﷺ ؟ َ َ ُ أ َََل أُ ِري ُك ْم ُو:ال َّ أ،س
َ َّ َن عُثْ َما َن تَ َو
َّ ثُ َّم تَ َو
ضأَ ثَََلثًا ثَ ََلثًا
Abu Anas bayan karte hai ek martaba uthmaan R.A wudhu karne ki jagah
bethe aur farmaya kya me tumhe Allah ke Rasool (saw) ke wudhu ka tariqa
na batlau phir unho ne teen teen martaba wudhu kiya. (Muslim:230)
26. Ba'z A'azaa ko do martaba aur ba'z ko teen martaba dhone ka
bayan.
َو ُه َو َج ُّد عَ ْم ِرو،ال لِعَبْ ِد اللَّ ِه بْ ِن َزيْ ٍد َ َ ق،َن َر ُج ًَل ِ ِ عَن أَب، عَن عَم ِرو ب ِن يحيى الما ِزنِ ِي
َّ أ،يه ْ َ َْ َ ْ ْ ْ
:ال عَبْ ُد اللَّ ِه بْ ُن َزيْ ٍد َّ ول اللَّ ِه ﷺ يَتَ َو َ ْ َكي،يع أَ ْن تُ ِريَنِي ِ
َ ضأُ؟ فَ َق ُ ف َكا َن َر ُس ُ بْ ِن يَ ْحيَى أَتَ ْستَط
س َل ْ ثُ َّم َم،س َل َم َّرتَ يْ ِن ِ ٍ ِ
َ َ ثُ َّم غ،استَ نْ ثَ َر ثََلَثًاْ ض َو َ ض َم َ َ فَأَفْ َرغَ عَلَى يَ َديْه فَ غ، فَ َدعَا ب َماء،نَعَ ْم
فَأَقْ بَ َل،ِس َح َرأْ َسهُ بِيَ َديْه ِ ِ ِ
َ ثُ َّم َم،س َل يَ َديْه َم َّرتَ يْ ِن َم َّرتَ يْ ِن إلَى الم ْرفَ َقيْ ِن
َ َ ثُ َّم غ،َو ْج َههُ ثََلَثًا
ان الَّ ِذي ِ َّهما إِلَى الم َك
َ َ ُ ثُ َّم َرد،ُب ب ِه َما إِلَى قَ َفاه
ِ بَ َدأَ بِم َق َّد ِم رأْ ِس ِه َحتَّى ذَ َه،بِ ِهما وأَ ْدبَ ر
َ َ ُ َ َ َ
ِ ثُ َّم غَسل ِرجلَيه،ُب َدأَ ِمنْه
ْ ْ ََ َ
Amr bin yahya Al Maazinee apne waalid se bayan karte hai ke ek aadmi ne
Abdullah bin Zaid (wo Amr bin yahya ke Dada hai) se kaha : kya tum is baat
ki taqat rakhte ho ke tum mujhe batao Allah ke Rasool (saw) kis tarah
wudhu karte the to Abdullah bin zaid ne kaha : Ha, phir unho ne paani
mangwaya aur Ise apne dono hath par undail liya ur Ise do martaba dhoya,
phir kulli kiya aur naak saaf ki teen martaba, phir apne chehre ko teen
martaba dhoya phir apne dono haatho ko kohniyo (elbow) tak do do
martaba dhoya, phir apne sar ka masah apne dono haatho se kiya aur inhe
aage le gaye aur piche laye apne sar ke agle hisse se shuru kiya yaha tak ke
in dono ko guddi tak le aaye phir in dono ko is jagah le aaye jaha se shuru
kiya tha, phir apne dono pairo ka dhoya. (Bukhari:185)
27. Wudhu me teen martaba se zyada dhona galat hai
َ َ عَ ْن َج ِد هِ ق،يه
َجاءَ أَ ْع َرابِي ٌَ إِلَى النَّبِ ِي ﷺ:ال ِ ِ عَن أَب،ب
ْ ٍ ْعَ ْن عَ ْم ِرو بْ ِن ُشعَي
Islamic Information Center Page - 17
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
،ضوءَ ثَ ََلثًا ثَ ََلثًا ِ يسأَلُه ع ِن الْو
ُ فَأ ََراهُ ال ُْو،ضوء
ُ ُ َ ُ َْ
َساءَ َوتَ عَ َّدى َوظَلَ َم
َ اد عَلَى َه َذا فَ َق ْد أ
َ فَ َم ْن َز،ُضوء
ُ « َه َك َذا ال ُْو:ال
َ َثُ َّم ق
Abdullah bin Umar bin Aas bayan karte hai ek martaba ek A'araabi ne Nabi
se wudhu ke mutaliq sawal kiya to aapne Ise teen teen martaba wudhu
karke dikhaya phir Kaha ye hai wudhu (ka tariqa) ab jo shaks is se zyada kare
to usne Gunah, Had se tajawuz aur Zulm kiya. (sunan nisai:140, hasan sahih)
28. A'azaa wudhu ko tarteeb se dhone ka bayan
فَأَفْ َرغَ عَلَى،وء ٍ مولَى عثْما َن ب ِن ع َّفا َن أَنَّه رأَى عثْما َن بن ع َّفا َن دعا بِوض،عن حمرا َن
ُ َ ََ َ َْ َ ُ َ ُ َ ْ َ ُ َْ َ ْ ُ ْ َ
ض ِ ثُ َّم أَ ْدخل ي ِمينه فِي الوض،ات ٍ ث م َّر ِِ ِ ِ ِ
َ ض َم ْ ثُ َّم تَ َم،وء ُ َ َُ َ َ َ َ َ َسلَ ُه َما ثََل َ َ فَ غ،يَ َديْه م ْن إنَائه
ثُ َّم،س َح بِ َرأْ ِس ِه ِ ِِ
َ ثُ َّم َم،س َل َو ْج َههُ ثََلَثًا َويَ َديْه إلَى الم ْرفَ َقيْ ِن ثََلَثًاَ َ ثُ َّم غ،استَ نْ ثَ َر
ْ ش َق َو َ ْاستَ ن
ْ َو
« َم ْن:ال َ َ َوق،ضوئِي ه ََذَا ُ ضأُ نَ ْح َو ُو َّ ت النَّبِ َّي ﷺ يَتَ َو َ َ ثُ َّم ق،س َل ُك َّل ِر ْج ٍل ثََلَثًا
ُ ْ َرأَي:ال َ َغ
غَ َف َر اللَّهُ لَهُ َما تَ َق َّد َم،ُسه ِ ُ ثُ َّم صلَّى رْكعتَ ي ِن َلَ يح ِد،ضوئِي ه َذا
َ ث في ِه َما نَ ْف َُ ََْ َ َ ُ ضأَ نَ ْح َو ُو َّ تَ َو
ِِمن ذَنْبِه
ْ
Humran hazrat usmaan bin affan raziallahu anhu ke gulaam bayan karte hain
ki unho ne hazrat usmaan bin affan raziallahu anhu ko dekha, unho new azoo
ka pani mangaya, aur usey apne bartan se duno hathon par daala aur un duno
k oteen teen martaba dhoya, fir apne right hand ko wazoo ke bartan me
daakhil kiya fir kulli ki aur naak me paani daala, aur jhada phir apne chehre ko
teen teen martaba dhoya aur apne dono haatho kohniyo tak teen teen
martaba dhoya phir apne sar ka masah kiya phir har pair ko teen teen martaba
dhoya aur farmaya : Mene Nabi (S.A W) ko mere isi wudhu ki tarah wudhu
karte hue dekha aur Nabi ne farmaya tha : jis ne mere is wudhu ki tatah
wudhu kiya phir do rakat Namaz padhi aur in do rakato me apne Nafs se koi
kalam na kiya to Allah iske pichle gunaho ko bakhsh dega. (Bukhari:164)
29. Wudhu ke baad Dua padhna mustahab hai aur Iske baad do
rakate padhna Afzal hai.
Islamic Information Center Page - 18
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
ُ ت نَ ْوبَتِي فَ َرَّو ْحتُ َها بِعَ ِش ٍي فَأَ ْد َرْك
ت ْ َاْلبِ ِل فَ َجاء ِْ ُت عَلَيْ نَا ِرعَايَة ْ َ َكان:ال َ َ ق،عَ ْن عُ ْقبَةَ بْ ِن عَ ِام ٍر
ضأُ فَ يُ ْح ِس ُنَّ « َما ِم ْن مُ ْسلِ ٍم يَتَ َو:ت ِم ْن قَ ْولِ ِه ُ َّاس فَأَ ْد َرْك
َ ث الن ُ الله ﷺ قَائِ ًما يُ َح ِد ِ ول َ َر ُس
ال
َ َْجنَّةُ» ق َ ت لَهُ ال ْ َ إِ ََّل َو َجب، مُ ْقبِلٌ عَلَيْ ِه َما بِ َقلْبِ ِه َوَو ْج ِه ِه،صلِي َرْكعَتَ يْ ِن َ ُ ثُ َّم يَ ُقومُ فَ ي،ُضوءَه ُ ُو
ت فَِإذَا عُ َم ُر ُ َج َو ُد فَ نَظَ ْرْ الَّتِي قَ بْ لَ َها أ:ول ُ ي يَ ُق َّ َج َو َد َه ِذهِ فَِإذَا قَائِلٌ بَيْ َن يَ َد ْ َما أ:ْتُ فَ ُقل
- أ َْو فَ يُ ْسبِ ُغ- ضأُ فَ يُ بْلِ ُغ َّ َح ٍد يَتَ َو ِ ِ َ َ ق،ت آنًِفا َ ْك ِجئ َ ُ إِنِي قَ ْد َرأَيْ ت:ال
َ " َما منْ ُك ْم م ْن أ:ال َ َق
ْ الله َو َر ُسولُهُ إََِّل ف َُتِ َح ِ َن مح َّم ًدا عَب ُد
ُت لَه ْ َ ُ َّ أَ ْش َه ُد أَ ْن ََل إِلَهَ إََِّل اللهُ َوأ:ول ُ ضوءَ ثُ َّم يَ ُق
ُ ال َْو
ِ ِ ِ أَبْ واب الْجن َِّة الث
ََّمانيَةُ يَ ْد ُخلُ م ْن أَي َها َشاء َ َ ُ َ
Uqbah bin Aamir bayan karte hai hamare zimme unton (Camel) ki dekh
bhaal Karna tha pas jab meri baari aayi aur me Inhe chara kar shaam ke waqt
wapas laa raha tha to mene Rasool ko paya ke aap khade ho kar logo se
bayan kar rahe the, Mene aapke bayan se ye baat suni (aur isse sikha) ke jo
bhi Musalman wudhu karta hai aur behtreen tariqe se wudhu karta hai phir
khade ho kar do (2) rakat Namaz ada karta hai, aur is Namaz par Dil wa jaan
se tawajja kiye hota hai to iske liye jannat Waajib ho jaati hai kehte hai to
mene kaha kya hi behtreen chiz hai to ek kehne waale ne kaha "Nabi jo
baat isse pehle keh rahe the wo is se bhi zyada achchi thi ( jab mene is kehne
wale ko) dekha to wo Hazarat Umar (R. A) the aur unho ne kaha mene tumhe
dekha tum abhi aaye ho (aur is se pehle) Nabi ne farmaya : tumse jo shaks
bhi wudhu karta hai aur mukammal ya behtreen tariqe se wudhu karta hai phir
kehta hai (Arabic text) to iske liye jannat ke aatho (8) darwaaze khol diye jaate
hai wo jin me se bhi chahe dakhil ho.
Aur ek riwayat me hai :
ِ َن مح َّم ًدا عَب ُد
ُالله َو َر ُسولُه ْ َ ُ َّ أَ ْش َه ُد أَ ْن ََل إِلَهَ إِ ََّل اللهُ َوأ
Me gawahi deta hu ke nahi hai koi Ma'abood siwaye Allah ke jo tanha hai
aur Iska koi shareek nahi aur me gawahi deta hu ke Muhammad Sallalahu
alaihi wa sallam Allah ke bande aur uske Rasool hai. (Muslim: 234)
30. Rumaal rakhne ka bayan
ِ ف بِها ب ع َد الوض
وء ُ ُ ْ َ َ ُ ول اللَّ ِه ﷺ ِخ ْرقَةٌ يُنَ ِش
ِ َكا َن لِر ُس:ت
َ َ ِعَ ْن عَائ
ْ َ قَال،َشة
Islamic Information Center Page - 19
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Hazrat Ayesha bayan karti hain rasool ka ek rumaal tha jis se aap wudhu
ke baad chehra saaf kiya karte the. (Saheehul Jaami’: 4830, hasan)
31. Jo wudhu ke zayed paani ko pi le to aise karna jayez hai.
:ال َ َض َل طَ ُهو ِرهِ ف
َ َ ثُ َّم ق،ش ِربَهُ َو ُه َو قَائِ ٌم ْ َام فَأَ َخ َذ فَ َثُ َّم ق
ول اللَّ ِهﷺ ِ ف َكا َن طُ ُهور ر ُس
َُ َ ت أَ ْن أُ ِريَ ُك ْم َك ْي
ُ َْحبَ ب
ْأ
Abu Hayyah bayan farmate hain me ne Ali ko wudhu karte hue dekha …
phir khade hue aur apne wudhu ke bache hue paani ko pi liya aur khade hote
hi ise piya phir farmaya mene chaha ke tumhe rasool ke wudhu ka tariqa
batau. (Tirmidhi:49, sahih)
32. Wudhu ke liye paani lene me miyana rawi ikhtiyaar ki jaye.
ِ ي ْك ِفي أَح َد ُكم م ٌّد ِمن الْوض:ال ٍِ
وء ُ َ َ ُ ْ َ َ َ َس بْ ِن َمالك َع ِن النَّبِ ِي ﷺ أَنَّهُ ق
ِ َعَ ْن أَن
Anas bin maalik bayan farmate hain Rasool ne farmaya: har shaks ko ek
mud paani wudhu ke liye kaafi hona chahiye. (Musnad Ahmad:13788, sahih)
،ُ أ َْو َكا َن يَغْتَ ِسل،ُ َكا َن النَّبِ ُّي ﷺ يَغْ ِسل:ال ٍ َعَ ْن أَن
َ َس ق
ْم ِد ِ َّ ويَتَ و،اد
ُ ضأُ بال
ٍ ِ الصا ِع إِلَى َخم
َ َ سة أ َْم َد َ ْ َّ ِب
Hazrat Anas farmaate hain Nabi ek sa’a se lekar paanch mud tak paani
me gusl farmate aur wudhu ek mud paani me kiya karte the.(Bukhari-201,
Muslim-325)
V. Nawaqiz-e- Wudhu
Is dars ki shurwaat se pehle hum Islam ke usool ko dekh lete hain.
Ibadaat me hume har amal ke liye daleel ki zarurat hai. Agar kisi amal par
Islamic Information Center Page - 20
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
daleel na hoto chahe kitne hi zyada log amal kare wo amal sahi nahi hoga.
Kyunke Allah ke Rasool Salallahu alaihi wa sallam ki Hadith hai:
ٌّس عَلَيْ ِه أ َْم ُرنَا فَ ُه َو َرد ِ
َ َْم ْن عَم َل عَ َم ًَل لَي
Jis kisi ne aisa kaam kiya jis par humara hukum na hoto wo kaam radd
hai.(sahi muslim: 1718)
Ek riwayat me hai:
ٌّس ِمنْهُ فَ ُه َو َرد ِ َ من أَح َد
َ ْث في أ َْم ِرنَا َه َذا َما لَي ْ َْ
jis kisi ne humare is deen me koi aisi chiz ijaad ki jo is se nahi to wo chiz
mardood hai. (Bukhari 2550, muslim:1718)
Humne ye usool is liye dekha kyunke aaj log kisi bhi amal par keh dete
hain ke ye amal wudhu tod deta hai jabke wudhu sirf inhi chizo se toot ta
hai jin ke bare me Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne saaf taur
par bayan kiya hua aur jinki tafseeli bayan aage aa rahi hai.
1. Hawa ke nikalne se wudhu toot jata hai.
ِ ُ ال رس
َّ ث َحتَّى يَتَ َو
»َضأ َ َح َد َ ُ َلَ تُ ْقبَل:ول اللَّه ﷺ
ْ صَلَةُ َم ْن أ ُ َ َ َ ق:ول ُ يَ ُق،َعن أَبی ُه َريْ َرة
طٌ ض َرا
ُ ساءٌ أ َْو
َ ُ ف:الَ َ ق،ث يَا أَبَا ُه َريْ َرةَ؟
ُ الح َد
َ َما:ت ْ ال َر ُجلٌ ِم ْن َح
َ ض َرَم ْو َ َق
Abu Hurairah bayan karte hain ke Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa
sallam ne farmaya is shaks ki Namaz nahi qubool ki jaati hai johawa kharij kare
yaha tak ke wudhu kar le, hazr maut ke ek shaks ne kaha Abu Hurairah
Hadas kya hai? Farmaya bagair aawaz ya aawaz wali hawa.
(BUKHARI:135)
2. Shak se wudhu nahi toot ta
ُالر ُجلُ الَّ ِذي يُ َخيَّلُ إِلَيْ ِه أَنَّه
َّ ول اللَّ ِه ﷺِ عَ ْن عبد اللہ بن زيد بن عاصم أَنَّهُ َش َكا إِلَى ر ُس
َ
ص ْوتًا أ َْو يَ ِج َد َ َحتَّى يَ ْس َم َع- فْ ص ِر ِ َ الصَلَةِ؟ فَ َق
َ ْ أ َْو َلَ يَن- َلَ يَنْ َفت ْل:ال َّ الش ْيءَ فِي
َّ يَ ِج ُد
ً ِر
يحا
Islamic Information Center Page - 21
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Abdullah bin Zaid bin Aasim bayan karte hain ke inho ne Allah ke Rasool
Sallallaahu alaihi wa sallam se shikayat ki ke ek aadmi jise Namaz me koi chiz
nikalti hui mehsoos hoti hai to kya kare ? farmaya : Wo Namaz se na nikle jab
tak ke koi aawaz sune ya koi bu paye.
(BUKHARI : 137, MUSLIM : 361)
Allah ke Rasool sallal laahu alaihi wa sallam ne farmaya :
فَ ََل يَ ْخ ُر َج َّن ِم َن،ج ِمنْهُ َش ْيءٌ أ َْم ََل ِ ِِ ِ
َ إِذَا َو َج َد أ
َ فَأَ ْش َك َل عَلَيْه أَ َخ َر،َح ُد ُك ْم في بَطْنه َشيْ ئًا
ِ ِ ِ ال
ً أ َْو يَج َد ِر،ص ْوتًا
يحا َ ْم ْسجد َحتَّى يَ ْس َم َع َ
Jab koi shaks apne pet me mehsoos kare aur dushwaar ho jaye ke ya isse koi
chiz nikli hai ya nahi, to wo Masjid se bilkul na nikle yaha tak ke koi aawaz sun
le ya koi bu paye. (Muslim :263)
3. Nind Naaqiz wudhu hai.
Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya :
ْضأ
َّ ام فَ لْيَ تَ َو ِ ِ َّ ِوَكاء
َ َ فَ َم ْن ن،السه الْعَيْ نَان ُ
Dono Aankhe surain ka dhakkan hain lihaza jo so jaye wo wudhu kar le.
(ABU DAWOOD:203, HASAN)
Nind naaqiz wudhu hai jabke gehri ho aur sha'ur ko zaa-il kar de.
(IBN BAAZ)
4. Oongh se wudhu nahi toot’ta
،صلِي فَ لْيَ ْرقُ ْد
َ َُح ُد ُك ْم َو ُه َو ي
َسأ ِ َ َول اللَّ ِه ﷺ ق
َ َ إذَا نَع:ال َ َن َر ُس َ ِعَ ْن عَائ
َّ شةَ أ
،س ِ َ فَِإ َّن أَح َد ُكم إِذَا صلَّى وهو ن،حتَّى ي ْذهب عنْه النَّوم
اع
ٌ َُ َ َ ْ َ ُْ ُ َ َ َ َ َ
ِ َّ
ُسه
َ ب نَ ْف ُ ََلَ يَ ْد ِري لَعَلهُ يَ ْستَ غْف ُر فَ ي
ُّ س
Ayesha bayan karti hain ke Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne
farmaya jab Namaz ki halat me tum me se kisi ko oong aajaye to wo so jaye
yaha tak ke iski nind puri ho kyunke halat-e-Namaz me oong ne wale shaks ko
kya malum ke apne liye Astagfaar kiya hai ya apne Aap ko gaali di hai.
(BUKHARI :212 , MUSLIM :786)
Islamic Information Center Page - 22
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
5. Qe (Vomit) se wudhu nahi toot ta
َّ الله ﷺ فَأَفْطََر فَأُتِ َي بِ َم ٍاء فَ تَ َو
َضأ ِ ول ُ استَ َقاءَ َر ُس َ َ ق،الد ْر َد ِاء
ْ :ال َّ عَ ْن أَبِي
Abu Darda kehte hai ke Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne qe
(vomit) kiya aur Iftaar kiya phir aap ke liye paani laya gaya to wudhu kiya.
(AHMAD :27537, SAHIH)
Vomit ki wajah se wudhu karna waajib nahi balke mustahab hai kyunke pehli
Hadith me Nabi Sallallaahu alaihi wa sallam ka Mujarrad fe'l mazkoor hai aur ye
baat usool me saabit hai ke aap Sallallaahu alaihi wa sallam ka mujarrad fe'l
wujoob par dalalat nahi karta balke Iske liye khaas Daleel ki zarurat hai aur jis
riwayat me vomit ki wajah se wudhu ko waajib kaha gaya hai wo Da'eef hai.
(IBNE MAJAH: 1221, ZAYEEF)
yehi wajah hai ki aksar muhaqiqeen ne Ise Nawaqiz wudhu me shumar nahi
kiya hai.
Ibn Taymiyyah ne majmul fatawa me Shaikh Albani ne tamamul minnah me
vomit ke baad wudhu ko mustahab kaha hai.
6. Aurat ko chune se wudhu nahi toot ta
فِي،ي ِ ِ
َ َي َر ُسول اللَّه ﷺ َو ِر ْجَل ْ ت أَنَامُ بَيْ َن يَ َد ُ ْ ُكن:ت َ ِعَ ْن عَائ
ْ َ أَنَّ َها قَال،شةَ َز ْو ِج النَّبِ ِي ﷺ
س ي ل
َ ٍ ِوت ي ومئ
ذ ُ ي البو : ت
ْ ل
َ اَق ، ا م ه ْت
ُ ط س ب ام ق
َ ا ذ
َ َِ ف،ت ِر ْجلَ َّي
إ ُ ضْ ب قَ ف
َ ، يِقِبْ لَتِ ِه فَِإذَا سج َد غَمزن
َ ْ َ ْ َ ُ ُ َ َ ُ َ َ َ َ ََ َ َ
يح ِ َ يها َم ِ
ُ ص اب َف
Ayesha (apna Amal) bayan karti hain Me Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi
wa sallam ke samne soyi rehti thi aur mere dono qadam aapke qibla ki jaanib
hote, Jab aap sajda karte to mujhe ishara karte me apne pairo ko samet leti,
jab kadhe hote me inhe phela leti, kehti ye us waqt ki baat hai jab gharo me
chirag nahi hote the.
(BUKHARI: 382)
7. Bosa lene se wudhu nahi toot ta
ج إِلَى ِ ِ ِ قَ بَّل ب عض ن:ول اللَّ ِه ﷺ َ ِ عَ ْن عَائ،الزبَيْ ِر
َّ شةَ أ ُّ عَ ْن عُ ْر َوةَ بْ ِن
َ ثُ َّم َخ َر،سائه
َ َ َْ َ َ َن َر ُس
Islamic Information Center Page - 23
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
ْ ض ِح َك
ت ِ ْ ما ِهي إََِّل أَن:ْت
َ َ ف، ت َّ َولَ ْم يَتَ َو،ِالص ََلة
َ َ ُ قُ ل،ْضأ َّ
Urwah bin zubair, Ayesha se bayan karte hain Allah ke Rasool
Sallallaahu alaihi wa sallam ne apni kisi biwi ka bosa liya phir Namaz ke liye
nikle aur wudhu nahi kiya, mene kaha : wo to sirf aap hi ho sakti hain ( ye
Sun kar) wo hasne lagi.
( IBN MAJAH : 502, SAHIH)
8. Sharmgah ko chune se wudhu toot jata hai.
Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya:
َّ ص ِل َحتَّى يَتَ َو
َضأ َ ُس ذَ َك َرهُ فَ ََل ي
َّ َم ْن َم
Jo apni Sharmgah ko chuye wo wudhu kiye begair Namaz na padhe.
(SUNAN TIRMIDHI : 82, SAHEEH)
Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya :
ْضأ
َّ ت فَ ْر َج َها فَ لْتَ تَ َو َّ َوأَيُّ َما ْام َرأَةٍ َم،ْضأ
ْ س َّ فَ لْيَ تَ َو،ُس ذَ َك َره
َّ َم ْن َم
Jo Aadmi apni Sharmgah chuye wudhu kar le, aur jo Aurat apni Sharmgah
chuye to wo bhi wudhu karle.
(AHMAD : 7076, HASAN)
Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne farmaya :
إذا أفضى أحدكم بيده إلى فرجه وليس بينه وبينها حجاب وَل ستر
فقد وجب عليه الوضوء
Jab koi shaks begair parde aur aad ke apne hath se apni Sharmgah chuye to
wo wudhu karle jaise Namaz ke liye karta hai.
(SAHEEHUL JAMI': 362 )
9. Mazee Wudhu ko todne wali hai.
ِ َل النَّبِ َّي ﷺ لِم َك
ان ابْ نَتِ ِه َ َعَ ْن عَلِ ٍي ق
َ ْ َستَ ْحيِي أَ ْن أ
َ َسأ ْتأ ُ ْت َر ُج ًَل َم َّذاءً َوُكن
ُ ْ ُكن:ال
َّ يَغْ ِسلُ ذَ َك َرهُ َويَتَ َو:ال
ُضأ ِ َ ت ال ِْم ْق َد
َ َاد بْ َن ْاْلَ ْس َود ف
َ سأَلَهُ فَ َق ُ فَأ ََم ْر
Islamic Information Center Page - 24
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
Ali bayan karte hain ke mujhe bohat zyada mazee Aati thi, Aur mujhe
sharm aati thi ke me Allah ke Nabi Sallalahu alaihi wa sallam se is taluq se
sawal karu kyunke aapki beti meri zojiyat me thi mene Miqdaad bin Aswad
se kaha, to inho ne aap Sallallaahu alaihi wa sallam se sawal kiya, Nabi
Sallalahu alaihi wa sallam ne jawab dete hue kaha : jis ka ye haal ho wo
apni Sharmgah dhoye aur wudhu kare.
(BUKHARI : 269, MUSLIM :303)
10. Jis chiz ko aag par pakaya gaya ho Iske khane se wudhu nahi
toot ta.
،ْم ْس ِج ِد َّ أَ ْخبَ َرهُ أَنَّهُ َو َج َد أَبَا ُه َريْ َرةَ يَتَ َو،يم بْ ِن قَا ِر ٍظ
َ ضأُ عَلَى ال
ِ ِ ِ
َ عن عَبْد الله بْ َن إبْ َراه
تَ َوضَّئُوا ِم َّما:الله ﷺ يقو ُل ِ ول َ ت َر ُس ُ ضأُ ِم ْن أَثْ َوا ِر أَقِ ٍط أَ َكلْتُ َها ِْلَنِي َس ِم ْع
َّ إِنَّ َما أَتَ َو:ال
َ فَ َق
َّار ِ َّ م
ُ ست الن َ
Abdullah bin Ibrahim bin Qariz kehte hain inho ne Abu Hurairah ko masjid
me wudhu karte huwe paya Abu Hurairah ne kaha me ne paneer khaya tha
is liye me wudhu kar hu kyunke mene Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ko
farmate huwe suna : aag par pake huwe khane se tum wudhu karo.
(MUSLIM : 352)
Allah ke Nabi Sallalahu alaihi wa sallam ka ye farmaan : (Min Aswaar aqitt)
aqitt (Paneer) ye jame huwe dudh (milk) ko kehte hain aur ise aag par pakaya
jata hai. "Aswaar " ye "Sawr" ki jama hai ma'ane Paneer ka tukda.
َّ صلَّى َولَ ْم يَتَ َو
ْضأ ٍ َ ِالله ﷺ أَ َكل َكت
ِ ول َّ أ:اس
ٍ َّعَ ِن ابْ ِن عَب
َ ف َشاة ثُ َّم َ َ َن َر ُس
Abdullah bin Abbas bayan karte hain Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa
sallam ne bakri ki raan khayi aur wudhu kiye begair Namaz padhi.
(BUKHARI : 207, MUSLIM : 345)
Pehle aag par paki hui chiz khane se wudhu ka hukum tha lakin baad me ye
mansookh hogaya jaisa ke dono Haditho ko dekhne ke baad malum hota hai.
11. Bakri aur oont (Camel) ka gosht khane ke baad wudhu karna
Islamic Information Center Page - 25
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
kaisa hai ?
وم الْغَنَ ِم؟ِ ضأُ ِمن لُح ِ َ َل رس َّ أ،َعَ ْن َجابِ ِر بْ ِن َس ُم َرة
ُ ْ َّ ول الله ﷺ أَأَتَ َو ُ َ َ َن َر ُج ًَل َسأ
،ْضأ َ ْ َوإِ ْن ِشئ،ْضأ
َّ ت فَ ََل تَ َو َّ ت فَ تَ َو َ ْ إِ ْن ِشئ:الَ َق
اْل بِ ِل ِ ضأْ ِمن لُح
ِْ وم َّ ِ ِ ِ ِ ضأُ ِمن لُح
ُ ْ و ت ف
َ
ََ َْ م ع ن
َ : ال
َ ق
َ ؟ ل ب اْلْ وم ُ ْ َّ أَتَ َو: ال َ َق
Jaabir bin Samurah bayan karte hain ke ek shaks ne Allah ke Rasool
Sallallaahu alaihi wa sallam se pucha : kya me bakri ka gosht khane ke baad
wudhu karu Aap Sallalahu alaihi wa sallam ne farmaya : Agar chahe hoto to
wudhu karo aur chaho to na karo, phir is ne sawal kiya kya me oont ka gosht
khane ke baad wudhu karu farmaya : Haa oont ka gosht khane ke baad wudhu
karo...
( MUSLIM : 360)
Ek banda agar bakri ka gosht khata hai to ise wudhu karna zaruri nahi lakin
agar oont ka gosht khaye to ise wudhu karna hoga. Yaha ek sawal ho sakta
hai ke aakhir oont ka gosht khane se wudhu kyun toot ta hai? Iska jawab
hume Abu Dawood ki wo Hadith deti hai jis me Allah ke Rasool Sallallaahu
alaihi wa sallam ne oont ka gosht khane ke baad wudhu ka hukum diya,
sath sath ye bhi hukum diya ke tum oonto ke bethne ki jagah me Namaz
bhi na padho, phir Allah ke Rasool Sallallaahu alaihi wa sallam ne kaha: فَإِن َهَا
ِِالشيَا ِطين
َ ِم َنyaqinan wo Shaitano me se hain.
(ABU DAWOOD: 184, SAHEEH)
imam jauhari Rahimullah iski tashreeh karte huwe kehte hain ke oont
bohat zyada shaiytani kaam karta hai aur bohat zyada bura hota hai Isliye
wo Namazi ko khaufzada kar sakta hai aur ho sakta hai ke wo Namaz chod
kar bhag jaye Isliye waha Namaz padhne se roka gaya hai.
(AWNUL MABOOD : PART-1,PAGE-218 )
Malum huwa ke is ki shaiytani harkat hi ki wajah se wudhu bhi banane ka
hukum diya gaya.
12. Peshaab aur pakhana Nawaqiz wudhu hai.
Islamic Information Center Page - 26
-
Taharat ke Ahkaam aur Masail Diploma in Shariah Studies
،سلَّ َم عَلَيْ ِه ُ ُ أَنَّهُ أَتَى النَّبِ َّي ﷺ َو ُه َو يَب،اج ِر بْ ِن قُ نْ ُف ٍذ
َ َول ف
ِ عَ ِن الْم َه
ُ
َ ثُ َّم ا ْعتَ َذ َر إِلَيْ ِه فَ َق،َضأ
: ال َّ فَ لَ ْم يَ ُر َّد عَلَيْ ِه َحتَّى تَ َو
ٍ عَلَى طَهارة:ال َ َت أَ ْن أَذْ ُك َر اللَّهَ عَ َّز َو َجلَّ إََِّل عَلَى طُ ْه ٍر أ َْو ق ُ إِنِي َك ِر ْه
ََ
Muhaajir bin qunfuz bayan karte hain wo Nabi Sallalahu alaihi wa
sallam ke paas aaye is waqt Aap sallalahu alaihi wa sallam peshaab kar rahe
the inho ne aap ko salaam kiya to Nabi Sallalahu alaihi wa sallam ne inhe
koi jawab nahi diya yaha tak ke aap ne wudhu kiya (phir Salam kiya) aur
inse uzr pesh karte huwe farmaya : mujhe ye baat achchi nahi lagi ke me
begair paaki ke Allah ka zikr karu.
(ABU DAWOOD: 17,SAHEEH)
Aur ek riwayat me hai:
فَ لَ َّما فَ َرغَ ِم ْن،الس ََل َم
َّ فَ لَ ْم يَ ُر َّد عَلَ َّي،ت َعلَيْ ِه ُ سلَّ ْمَ َ ف،ُضأَّ ت النَّبِ َّي ﷺ َو ُه َو يَتَ َوُ ْأَتَ ي
ٍ ك إََِّل أَنِي ُكنْت علَى غَي ِر وض
وء َ إِنَّهُ لَ ْم يَ ْمنَ ْعنِي ِم ْن أَ ْن أ َُر َّد عَلَْي:ال
َ َ ق،ضوئِ ِه
ُ ُ ْ َ ُ ُ ُو
Main Nabi Sallalahu alaihi wa sallam ke paas aaya aur wo wudhu kar rahe the
mene Aap ko salaam kiya aap ne mujhe salaam ka jawab nahi diya, Aap ne
wudhu karne ke baad (mere salaam ka jawab diya) aur kaha me ne Isliye
tumhare salaam ka jawab nahi diya kyunke me be wudhu tha.
(IBNE MAJAH:350, SAHEEH)
Islamic Information Center Page - 27
-