POETRY
with POETRY
FACE TO FACE POETRY
Aye jaan-e-wafa
Aye jaan- e -wafa tujhse pyar nibhae kaise
tere mutabik dil ko apne dil banaye kaise
abhi to dekha bhi Nahin humne tujhe jee bhar ke
Phir abhi se tujh hum bhul jaaye to Jaye kaise
Ye bhi nahin Jaan de dun Teri khatir
lekin bin tere zindagi akhir bitaye kaise
kaha hai Kisi ne Ishq aakhri Nahin Hota
Phir tujhe Ishq apna aakhri hum bataen kaise
Tu Ho jaaye ishq akhiri mera. to kya baat ho
ye bhi nahin malum is baat ke liye tujhe manae kaise
tu Kabhi sambhalta to kabhi bahekta nazar aata hai
tujhe tujhme se he talash talash kar laye kaise
bas Rehaan ki ek baat ko tu sabr de
bin bhulaye tere Ishq ko bhala mushkuraye kaise
Tere Piche deewangi
Tere piche meri chahat ki deewangi aisi hai
Tere dedaar se haye ye surat-e-haal kisi hai
Ab tak dil ko bhaye kitne he chahere
Faqat jaise khyaal tu hu-ba-hu waisi hai
Ek mulaqaat na sahi ek dafaa baat to ho
Choro meri khwahish bhi na baccho jaisi hai
Mujhe to khabar nhi mere haal ki zara bhi
Tum he aake kaho deewangi meri acchi hai
Mulaqaat to hui na hui koi baat magar
Chalo ye adhi adhuri mulaqaat bhi acchi hai
Khwahish puri ho gayi
UMMED TO NA THI MAGAR KHWAHISH PURI HO GAYI
HUI TO KAM SE KAM HN MANA THODI DERI HO GAYI
KEHTA HAI KOI KHVAAB BADALTE NHI HAQIQAT MEIN
DEKHO MERE KHVABO KI TASVEER AUR GAHERI HO GYI
EK DIL KI ARZUU THI EK MULAQAAT KI UNSE BAAT KI
HUA KARAM AUR MERI DUAA KI MANZURI HO GAYI
USKE EK BAAR MERI TARAF DEKHNE SE HUA YE GAZAB
BUJHI-BUJHI SI SUBHA BE-JAAN THI WO SUNAHERI HO GYI
MUSHKURAYA MUQADDAR MERA MERE HAAL PE AISE
MILE TUM MUJHE AA MUKAMMAL DUNIYA MERI HO GAYI
kisi sufi kalaam si
Kisi Sufi kalaam si hai teri parcha.ii
Julf Jaise gazal tabassum Jaise rubaa.ii
Ba - khuda mera imaan khuda hai kasam se
Phir main kya krun jab khub hairaan hai khuda.i
Tujhse hai paher hai tujhse he meri saher
Hai tujhse he zakhm tujhse he davaa. ii
Milo.n ke safar jaisa hai tere dil ka thikana
Na arzuu ki aas, na is se mile mujhe rihaaii
Ya maula nahi hota ab sabr zara bhi humse
Kar Mera bhi faisla Kar meri bhi sunvaai
Kya Tu bhi khoya hua hai is duniyadari mein
Ya main he hu khamosh Jo deta nhi sunaai
Tere dar Ka Jo na Hua , hua dar-badar main
Kabhi banvaya tamasha, kabhi khud - numaai
instagram id:- Face_to_face_poerty
Facebook:- facetofacepoetry
Twitter:- https://twitter.com/IliyasHasan5
website:- http://www.facetofacepoetrys.com
Download now