0% found this document useful (0 votes)
376 views142 pages

Aao-Bachchon-Hadees-Samjen (40 Hadess)

The document is a book titled '40 Ahadees Ma'a Tarjuma wa Tashreeh' authored by Shaikh Nooruddin Umeri, aimed at educating school children about Islamic teachings through Hadiths with translation and explanation. It emphasizes the importance of understanding Hadiths in a relatable manner for children and provides guidance on how to incorporate these teachings into various educational settings. The book is intended for use in schools, madrasas, and homes to foster a deeper understanding of Islamic principles among young learners.

Uploaded by

He Er
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
376 views142 pages

Aao-Bachchon-Hadees-Samjen (40 Hadess)

The document is a book titled '40 Ahadees Ma'a Tarjuma wa Tashreeh' authored by Shaikh Nooruddin Umeri, aimed at educating school children about Islamic teachings through Hadiths with translation and explanation. It emphasizes the importance of understanding Hadiths in a relatable manner for children and provides guidance on how to incorporate these teachings into various educational settings. The book is intended for use in schools, madrasas, and homes to foster a deeper understanding of Islamic principles among young learners.

Uploaded by

He Er
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF or read online on Scribd
You are on page 1/ 142
als "ii ODE Samjhein School ki Talba wa nett ke Liye 40 Ahadees Ma'a Tarjuma wa Tashreeh aN |_ ae bh Shaikh Nooruddin Umeri A 40 AHADEES With Translation And Explanation le. Pew i ‘a Aao ‘Bachchon ADE Samijhein School ki Talba Taalibaat ke Liye 40 Ahadees Ma'a Taxjuma wa Tashreeh Shaikh Nooruddin Umeri - Author: Shaikh Nooruddin Umeri M.A., MPhil in Arabic Director - Ocean The ABM School, Hyd. Design By: Syed Zabi Uddin Quadri (Suffah Graphics) Printed in India By: ABM PRINT TIME (Hyderabad) Published in, July, 2022. Price: INR 300/- All rights reserved under the Copyright Act. No part of this book may be reproduced and stored in any form or by any means, electronic or mechanical, including photocopying, without a prior written permission of the publisher. dee ooh Poe Gussa Karna kaisa Hal? 10 | Paaki Aadha Eemaan Hai (4 13 | Sadagah Karna 6 16 | Deen Aasaan Hai Gl 19 | Aib ko chupaana a eC 22 | Allah Se Daro 8 3 25 | Doosrun Par Rahem Karna (3 \o 28 | Achche Akhlaag Se Pesh Aana (10 I - T 31 Qur'an Seekhna Aur Sikhaana a 34 Mazloom Ki Bad-Dua Se Bachna (12 37 | Rishta Todne Wala (13 40 | Sadagah Dalee! Hai (14 43 | Achcho Akhiaaq (15 46 | Aagpas Mein Tohfa Dena (16 49 | -Aapas Mein Salaam Ko Aam Kama_| (17 63 Seedhe Haath Se Khaana (18 2 Pe a1 ‘Aasaani Paida Karna (20 / ‘Achcha Kaam Sadaqah Hai (19 Poe 65 Apne Bhai Ki Madad Karna (2 68 Subah Ke Wagt Mein Barkat Hai (22 n Sabar Roshni Hai (23 75 Qur'an Ki Tilaawat Karna (24 78 Nek Kaamo Mein Jaldi Karna (2 81 Allah Ki Ibaadat Karo (26 84 Kisi Khaane Par Aib Nikaalna (27 a7 Paanch Wagt Ki Namaaz Padhna (28 “)90 Dunya Momin Ke Liye Qaid Khaana Hai (29 93 Allah Narmi Ko Pasand Karta Hai (30 96 Allah Khubsurti Ko Pasand Karta Hai yy (31 100 Dene Waala Haath (32 103 Khaana Khilaaoo (33 107 Momin doosre Momin Ka Aaina Hai (34 110 Raaste Mein Baithna Mana Hai (35. 114 ‘Maa Baap Ki Na'farmaani Karna (36 118 \ Hamesha Sach Bolo (7 124 | Namaaz Noor Hai (38 (a eras, 8 | fasteners @ 2). A, Mere un Maa Baap ke naam Jin ki Khuddaari ne, jin ki mehnat ne, jin ki Qurbaaniyon ne Mujhe Bachpan mein hi bahot kuch sikhaaya tha. Mere us Bade Bhai Abdul Al-qayyum Saheb ke naam jinko Hamaari taleem ke khaatir khud ko taleem se mehroom rehna pada. Meri zindagi ke pehle ustad RETIRED Janaab Ahmed Saheb Momin ke naam, jo ke abhi Baahayaath hai, jin ki Shafaqqat, Mohabbat, Ulfat, Tarbiyat ne mujhe Sachpan mein hi Ustad ki Azmat ko samjha diya tha. Mere Mohsin wa Murabbi Fazilath Us Sheikh Hafiz Abdul Hafeez Umri Madni Hafidhahullah ke naam jin’hone Jamia Daar Us Salaam Omerabad ke ibtedaayi ayyaam jo ke Aazmaishon aur mushkil se bhare huwe they meri sarparasti main koi kasar bagi nahi rakhi thi. Mere Mushfiq wa Mohtaram Fazilat Us Shaikh Hafiz Ibraheem Umri Hafidhahullah ke naam jin‘hone faraaghat tak mujhe apni sarparasti wa nigraani mein rakha, koi din aisa nahi guzra jis main unho ne meri khabar na li ho. Unke alaawa bhi bahot saare log hai jinko main apni doosri kitaab main jagah dunga, In sha Allah. Poa i 3 Daur-e-haazir main ham apne bachchon ki tarbiyat ke liye fikar mand hai, unke liye achche schools ka intekhaab karte hai, badi badi fees bhi adaa karte hai saalha saal un bachchon ke liye mehnat bhi karte hai. Apne bachchon ke deen ki fikr bhi karte hain, unko Masjid bhi le jaate hai, Sabahi masaayi Madarsa main bhi shareekh karte hain, kuch log apne bachchon ko hifz main shareek karte hai, kuch log aalim wa faazil banaane ke liye bade bade jaamia’at ka intekhaab bhi karte hai, ye saari cheezein hamaare deen se mohabbat ki alaamatein hain. Ham deen se behad mohabbat karte hain isi liye apne bachchon ko deen sikhaana chahate hain, apni Dunya wa aakhirat ki kamyaabi deen main talaash karte hai. Usi mohabbat wa ulfat ko dekhte huwe hamne apne pyare pyare bachchon ke liye choti choti ahadees ka intekhaab kiya hai jin ko hamaare nanehaal, aankhoon ke taare, bachpan main hi Ahadees ko na sirf yaad karein balke unko achchitarah samajh bhi sakein. A’am taur par ham apne choote bachchon ko Ahadees Ma'a Tarjuma yaad dilaate hai, lekin unki sateh par utar kar samjhaane ki koshish nahi karte. Jis ki wajah se hamaare bachche bahot saari Ahadees ko yaad to kar lete hai lekin samajh nahi paate. Isi pas-e-manzar ko rakhte huwe ham ne ye beeda utha rakha hai ke ab bachchon ko Ahadees samjhayenge kyunke ab samajhne ka waqt aa chuka hai. Bachochon ko Ahadees Ma‘a tarjuma samjhaane ki ek chhoti si koshish ka aaghaz hai, is mainn jahan tak ho sake bachchon ki nafsiyaat ka khayaal rakha gaya hai. Ahadees ko samjhane ke liye unke hi aas paas ki misaale di gayihai. O Poa Unke saath pesh ane waale halaat ko hi rakha gaya hai, taake wo ahadees ko ajnabi na samjhaayein. Ye Kitaab Kin Kin logon Ko Kaam Aas! 1} Schools mainn 4th class se lekar 7th class tak rakhi ja sakti hai. 2) Madaaris mainn A’alimiyat suwwam tak rakhi ja sakti hai. 3} Masaajid mainn qaayam sabahi-o-masei maktab mainn rakhi ja sakti hai. 4} Wo maa'yien jo apne bachchon ko deen sikhaana chahti hai wo rozaana ek ek hadees padh kar suna sakti hai. 5} Chand masaajid mainn schooli talba ke liye hafta waari class rakhe jaate hai wahan bhi rakhi ja sakti hai. 6} Summer camps mainn bhi rakhi ja sakti hai. 7} Agar aap ke bachchon ko maghrib ke baad koi ustad Nazera padhane aate hai to nazera ke saath ye ahadees samjha sakte hai. 8} Agar koi hadees ka musabaqaah rakhna chahte hai to musabaqaah main rakhi ja sakti hai. 9} Agar koi whatsapp par bachchon ko tarbiyat dena chahte hai is kitaab ko padhaya ja sakta hai. 10}Agar koi bachchon ko in'amaat dena chahte hai to is kitaab ko diya ja sakta hai. Algarz mukhtalif maqaasid ke liye ye kitaab istemaalkija saktihai. Ham aap se guzaarish karte hai ke is kitaab ko jitna ho sake pehlaayiye, taqseem kare, doosrun ki rehnumaayi kare. Rab-e-Zuljalaal se dua hai is kaar-e-khair mainn barkat ataa farmaaye ummat-e-Muslimaah ke naunehaalon ko deen samjhaane unki sahih rehnumaayi karne ki taufeeq ataa kare. i oO Is ilmi safar mein mere be-shumaar khair khawahon ne Mera bhar'poor saath diya. kuch logon ne mawaad ko behtar banaane main madad ki, kuch logon ne proof reading main madad ki, kuch logon ne typing main meri madad ki, kuch logon ne mashwaara ke zariye meri madad ki, kuch logon ne is kaam ko dekh kar meri bhar'poor himmat afzaayee ki. Maine unki mohabbat ko unki khair khawaahi ko, unki duaon ko, unki himmat afzaayee ko kabhi bhool nahi sakta. Main apni abliya Aalima Fazila Fehmida Muhammadi, mere chaar kaleje ke tukde, Shifa, Wafa, Hanzala, Zikra ka bhi mamnon-o-mashkoor hun, meri bai intehaa masrufiyaat ke bawajood bhi unke chehron par kabhi shikan nazar nahi aayi, balke hasi khushi Mera bharpoor saath diya. Rab-e-Zuljalaal se duaago hun ke Allah mere tamaam khair khawahon ki hifaazat farmaaye, un tamaam ko dunya wa aakhirat mein behtar badla ataa farmaaye. Aameen yarab-ul-A’alameen. ‘Aap ka kher khwah, Shaikh Nooruddin Umeri MA, MPhil. e ie SHY Eg} Alamaal ka Daar-o-Madaar Niyyato Par Hai (Sunan Abi Dawood - 2201) Pyare Nabi £3 ne farmaya sare A'amaal ka daar-o-madaar niyyaton par hai. Pyare bachchon ham log jab bhi kuch kaam karna chahte hai to sab se pehle dil main uska khayaal paida hota hai, phir us kaam ko anjaam dete hai. Jab namaaz ka waqt ho jaata hai to dil main namaaz ka iraada hota hi kaam se pehle dil main khayaal paida hota hai, jo khayaal dil main p: usiko niyyatkehte hain. Pyare bachchon kuch tog namaaz shuroo karne se pehle namaaz ki niyyat zubaan se karte hai. jaise "main do rak’at namaaz padhta hun waaste Allah ke muh mera ka'aba ki taraf wagaira wagaira", pyare bachchon is tarah zubaan se niyyat karna hamaare Nabi #8" se saabit nahihai. Pyare bachchon ham din main bahot sare achche kaam karte hain agar in kaamo ka maqsad Allah ko khush karna hai to phir wo kam Allah qubool karta hai, agar us kaam se t'areef sunna magsad hai, ya logon ki wah wah sunna magqsad hai to phir Allah qubool nahikarta, balke radd kar deta hai. Misaal ke taur par ham masjid se bahar nikalte hai log mangne khade hai unko dete huwe ye khayaal aaraha hai ke log ham ko dekhe aur hamaari t'areef karein to is main niyyat ghalat hai is par log t'areef to karenge lekin Allah ke paas koi sawaab nahimilega. Pyare bachchon jaante ho hamaare Nabi 42 ne kya farmaya? Aao ham , bataate hai, Allah ta’ala qayamat ke din 3 logon ko Bulaayega. Ekbahotbada Allah kiraah me kharch karne waala, Doosra Allahkiraah mein shaheed hone waala, Teesra hahot bada qaari hoga. Un teenu se sawalaat karega, ie sab jawaab denge, tab Allah kahega, tum logon ne jo kuch kiya tha dunya mein apni ta'reef ke liye kiya tha, dunya mein sab logon ne tumhaari t'areef karli ab yahan ‘tumhe kuch milne waala nahi hai. Is tarah teeno ko unke bade bade kaam karne ke bawajood bhi jahannum main daal diya jaayega, kyun ke unhone dikhaawe ke liye kiya tha pyare bachchon agar aadmikiniyyat achchiho to amalna kare to bhi Allah sawaab dega. Jaise Ek aadmi ne Nafil roze rakhne ka iraada kar liya lekin achaanak bimaar padh gaya rozanahirakh saka, lekin Allah phir bhiis ka sawaab dega. Pyare bachchon ek aadmi raat main uth kar namaaz padhne ka iraada kiya, lekin raat main gehri neend so gaya uth nahi saka, Ab Allah is ki niyyat ke mutabiqh sawaab likh dega Agarche ke usne amal nahikiya. Agar ham logon ke liye amal karte hai to sawaab se mehroom honge, agar aap ne class mein kisi ko pencil diya, kisi ko pen diya, kisi ko notes ya kisi kimadad ki aur niyyat ye haike Allah khush ho jaaye to Allah zaroor sawaab dega. Aap ke paas chocolate hai thoda sa apne dost ko share kiya apne biscuits main se thoda sa apne dost ko share kiya, maqsad yeh tha ke Allah khush ho jaaye to ab Allah zaroor khush hoga, aur ajar bhi dega, In sha Allah. SEE ICE Ag 1} Niyyat zubaan se karna hai ya dil ke iraade kanaamhai? 2) Ek aadmine raat mein tahajjud padhne kairaada kiya soo gaya, uthnaa saka kya abis ko ajar milega? 3} Woh 3 log kaun haijin ko Allah qayamat ke din jahannummein daalega? 4} Kya aap apne dostonko chocolate ya biscuits Allahko khush karne ke liye share karenge ? 5} Kya aap ne ye hadees yaad karli hai? +00 ee Poa Jo Shakhs eemaan Ke Saath Ramadan mein Roze Rakhta Hai Aur Khuda Se Is ka Sila Mangta Hai To Is ke Pichle CT eC Lm ORCC NAN (Sahih Mustim 760 a) Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaye agar koi eemaan aur ajar ki ummeed se roza rakhta hai to uske pichle chote chote gunah maaf ho jaate hai. Pyare bachchon jab Ramadan aata hai to hamein kitni khushi hoti hai kya aap bata sakte hai? Haan be-intehaa khushi hoti hai, rozaana sehri mein be-daar hona, ghar waalon ke saath sehri karna, phir asar ke baad iftaari ka intezaam karna, iftaari mein naye naye pakwaan khaana, phir taraweeh ke liye masjid jana, eid ka intezaar karna, eid ke liye naye naye kapde khareedna, eidgah jaana, al-garz poora Ramadan khushiyon se bhaara hota hai. Pyare bachchon Ramadan mein jahan har aadmi khush rehta hai wahi par hamaare gunaahon ko mitaaya jaata hai. Ek aadmi zindagi mein be-shumaar gunah karta hai, jab Ramadan ke roze rakhta hai, raat mein taraweeh padhta hai, aakhrike paanch taagraaton mein jaag kar ibaadat karta hai touske chootey chootey gunah maaf ho jaate hain. Pyare bachchon kya aap ko rozarakhne mein maza aata hai? kya aap ko sehri mein utna achcha lagta hai? kya aap ko iftaarike liye tayyaari kane mein mazaaaata hai? kya aap ko taraweeh ke liye jaane mein maza aata hai? haan, yaqeenan aata hoga. ie Pyare bachchon aap log bhi roza rakhe, ammi se kahe ke wo sehrike liye uthaaye. Jab aap roza rakh le to zyaada bhaag daudh na kare, sharaarat na kare, warna bhook pyaas bahothzyaada lag jaayengi. phir dil kahegake roza todh diya jaaye. Pyare bachchon Zuhar ke ba‘ad aap ki bhook badh jaati hai pyaas bhi badh-jaati hai, Asar ke ba'ad aur badh jaayengi. Aap log Qur'an ki tilaawat karte rahenge to zyaada mehsoos nahi hoga. Pyare bachchon jaate ho hamaare har nek ‘amal ka sawaab farishte likhte hai, lekin roze ka sawaab Allah subhanahu wa ta’ala khud likhte hai, i, kyun ke uska itna bada ajar haike Allah subhanahu wa ta'ala ke siwak Roza rakhne waalon ko jannat mein ek khaas darwaaze se daakhil kya jaayega. Roza rakhne waale ke muh se boo bhi aaye to Allah ke paas bahot pasandeedah hai. Roza rakhne se bahot saari bimaariyon se bach jaate hai. SEC Eg 1} Rozarakhne se kaunse gunah maaf hote hai? 2} Hamaare rozoon ka sawaab kaun likhte hi 3) Kya aap ko sehri mein utna achchallagtahai 4} Kya aap roze mein sharaarat karenge? 5} Aap ko iftaari ke waqt khushi kyun hoti hai? ie Gussa Mat Karo (Sahih Al-Bukhari - 6116) Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya tum gussa mat karo. Pyare bachchon gussa kis ko kehte hai samjhane ki zaroorat nahi kyun ke aap logon ne kayi martaba apne abbu ko ammi ko gussa dilaaya hoga, jab abbu gussa hote hai unka chehra badal jaata hai, jab ammi gussa hote hai to chehra badal jaata hai, muskuraana band ho jaata hai, jab teachar gussa hote hai to chehra badal jaata hai. 'Aam tour par abbu, ammi, aur teachar muskuraate hi rehte hain, lekin agar ham ghar mein shararat karte hai, ghar ganda karte hai, home work nahi karte, to gussa hote hai, hameinin gussa nahidilaana chahiye. Ham kabhi bhi Aaise kaam na kare jis se kisiko gussa aaye. Apne ammi abbu se pooche ke unko gussa kin-kin cheezon se aata hai, aur teachar se bhi pooche ke unko gussakin-kin cheezon se aata hai, aur wo kaam hargiz na kare jisse doosrun ko gussaaata ho, agar aap ke abu, ammiko baar- baar gussa aata hai to unse kahein ke hamaare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne gussa karne se manakyahai. Pyare bachchon agar class mein koi hamaari pencil cheen leta hai to gussa aata hai, koi hamaara bag hataata hai to gussa ata hai, koi book leta hai to gussa aata hai, lekin bachchon agar aap ko gussa aaye to fauran paani peelein to gussa khatam ho jaayega, ya wudu kare, ya jagah chhor kar hat-jaaye, agar khade ho to bait jaye to gussa khatamho jaayega, In sha Allah. Ne ie Project. Pyare bachchon kin-kin cheezon se gussa aata hai unki list banaaye, aur apne ghar ki deewaar (wall) per lagaaye aur un-kaamo se par‘hez kare jinse logon ko gussa ata hai. eased 1} Apne abbu se pooche unhe gussakab-kab ata hai? 2} Apne ammise pooche unhe gussakab-kab ata hai? 3) Apne bade bhai yabahen ho tounse bhipooche ke unko gussa kyun aurkab aata hai? 4) Aap bhibataaye ke aap ko gussa kab aurkyun aata hai? 5} Agar gussa aajaaye to kya karna chahiye bataaye? ie Paaki Aadha Eemaah Hai #S zr: oO coleg\t Ha 5 Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya paaki safaayi, aadha eemaan hai. Pyare bachchon Allah ta‘ala ko paak saaf rahne waale bachche bahot pasand hai, ammi abbu ko bhi paak saaf rahne waale bachche bahot pasand hai, aur hamaare school mein teachars bhi paak saaf rahne waale bachchon se pyaar karte hai, ye ‘sab log hamaare paak saaf rahne par bahot khush hote hai. Pyare bachchon paak saaf rahne ke liye har din subah sawere danton ko brush karna chahiye, Nahana chahiye, kapde saaf pahenna chahiye. Apne ammi se kahiye ke wo rozaana saaf kapde pahenaaye, aap ko rozaana nahane ke liye garam paani de. Jab aap school jaaye to aap ka uniform saaf ho, joote (shoes) saaf ho, aap ka bag saat hona chahiye. Apne class mein gandagina phaile, idhar-udhar papers ke tukde na daale, balke dust bin mein daale, Apna bag, box saleegeh se rakhe, ghar laut kar aaye to sab se pehle salaamkare, bag utaare, joote (shoes) nikaal kar ek taraf rakhe, socks nikaal kar dhone ke liye ammiko de, Apne kamre ko saaf rakhe, uniform ko nikaal kar dhone ke liye de. Jab ammikapde dho-kar sukha deti hai, to aap apne kapdon ko tae karte huwe apnial-maari mein ya apni khaas jagahrakhle. ron ; Apne socks ko ek khaas bag mein rakhiye kyun ke jab subha subha school jaate hai to socks nahi milte hai. Jab aap Qur'an padhte hai to wudhu kare, jab namaaz padhe to wudhu kare, jab aap raat mein sote hai to bhi wuzhu karke sojaaye, issey ek farishta hamaare liye raat bhar dua karta rahega. Bachchon aap ke liye ek project diya ja-raha hai ke kin cheezoon ko saaf rakhna chahiye, ek list banaaye. paak saaf rehne ke liye kya karna chahiye ek tist tayyar kare. Sawaalaat 1} Kyaaap neis hades ko yaad kiya hai? 2) Paak saaf rehne waalon ko kaun chahte hai? 3) Paak saaf rehne ke liye rozaana kya karna chahiye? 4} Hamaara uniform kaisa hona chahiye? 5} Aap ko paak saaf log kaise lagte hai? eyo ae Poa Sadaqah Kisi Bhi Tarah Se Daulat Me Kami Nahi Karta (Sahih Muslim - 2588) Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah ki raah mein sadqah karne se maal mein kami nahi hoti hai. Pyare bachchon jaante ho sadgah kisko kehte hain? sadaqah ka matlab ki gareeb aadmi ki madad karna, koi ghar ke paas ya bazaar mein ya raaste mein maangne aye to unhein kuch dena usko sadaqah kaha jaata hai. Allah ta’ala ko sadaqah karne waale log bahot pasand hai. Jaisa ke Altah ta‘ala Quran-e-Majeed mein farmata hai ee bel /5u0 te Beshak Allah Sadaqah Karne Waalon Ko. Behtar Badla Deta Hai. (Surah Yusuf : 88) Pyare bachchon aap log bhi zaroor sadaqah kare. Aap ke ghar ke saamne koi maangne aaye to aap ke abbu se ya ammi se kahe ke unko zaroor de. Bachchon ye bhi yaad rakho agar aap Alhamdulillah, Subhanatlah, Allahu Akbar padhte rahoge to ye bhi sadagah hai, agar aap kisi se muskura kar baatein karoge to ye bhi sadaqah hai. ron ; Agar raaste mein chalte chalte koi patthar hataaoge to yeh bhi sadaqah hai, koi kaanta hataoge to ye bhi sadaqah hai, agar aap ke ghar mein billi hai usey khaane doge to yeh bhi sadaqah hai, agar aap chat par kabutaron aur chidyonke liye dane daaloge to ye bhi sadaqah hai. bachchon agar aap ke class mein kisi ke paas pen ya pencil nahi hai aur aap ne thodi der likhne diya to ye bhi sadaqah hai, agar kisi ke pas rubber ya sharpener nahi hai aap ne unko istemaal ke liye diya to yeh bhi sadaqah hai, aap class mein chocolate khaa'rahe hai aap ke dost ke paas chocolate nahi hai aap ne unhein thoda sa chocolate de diya to ye bhi sadaqah hai. Aap ke notes complete hai aap ke dost ke incomplete hai aap ne unhe apne notes complete karne diya to ye bhi sadaqah hai. Project. Aapne jitne sadage ke tareege padha hai sab ko tarteeb se likhe, yaad kare, ek colourfut chart par likhe aur deewaar par chip'kaaye. SECC 1) Sadagah kis ko kehte hain? 2) Agar aap ne raaste se patthar hataaya to kya ee ye bhi sadaqah hai? e “, 1 Sawaalaat 1}, Hamlogon ke liye kaise aasaani paidakar sakte hain? 2} Logonkke liye aasaani paida karne kichand misaalen den? 3) Apnimushkitaat ko kinke saath share karna chahiye? 4} Hamghar mein kin-kin ke kaam ate hain? 5) Kya aapneishadeesko yaad kiya? o ey ree 200 ee ie OVE cite cua) GT 3851 Apne Bhai Ki Madad Karo (Sahih Al-Bukhari-6952) Anas Bin Maalik Raziallahu ta‘ala anhu kehte hain ke Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya ke apne bhai ki madad karo. Pyare bachchon! Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ki is pyaari hades se ham ko ye dars mil-raha hai ke ham apne har deeni bhai ki madad kare. Is hades mein "akhaka* bhai ka lafz sirf apne khaas bhai (Own Brothar) ke liye hi istemaal nahi kya gaya hai, balke aam (common sense) mein yaani khaas bhai ke saath-saath deeni bhai ke liye bhi istemaal kiya gaya hai. Pyare bachchon aap dunya ke kisi bhi ilaaqe mein chale jaayen aap ko har jagaah mssatmaan milenge aur islam ne tamaam insano ko bhi bhai-bhai mana hai kyunke sab hazrat aadam (alaihissalaam) ki aulaad hai. Pyare Bachchon Aap Ko Maloom Hai Ke lad Kisko Kaha Jaata Hai Kisi zaroorat-mand ki majboori par uski zaroorat ko poora karne mein us zaroorat-mand ka saath dena usko madad (help) kehte hain. Pyare bachchon zaroorat kisi bhi tarah ki ho, misaal ke taur par class mein agar koi ladka ya ladki ke paas school ki zaroorat-mand ‘A, cheezon mein jaise qalam (pen), Rubber 4| (eraser), Note hook (note book), ya phir water bottle, Lunch box, ya phir koi bhi cheez na ho aur wo cheez hamaare pas hai to am ko chahiye ke unki madad karne ki koshish karen ie Aur pyare bachchon madad sirf school hi mein nahi agar ghar mein bhi zaroorat padegi to ham zaroor hamaare ammi abbu aur hamaare bhai behan ki bhi madad karenge. Ay Agar hamaare ghar mein chote bhai behan hai aur unko homework karne mein mushkil ho'rahi ho to ham homework ko poora karne mein madad karenge aur saath hi saath ammi abu ke kaamo mein bhi madad karenge aur isi tarah khail ke maidaan mein bhi! bajaae uthne mein uskimadad karna chahiye. Aur isi tarah jab ham ghar se bahar jaate hai to ham ko bahot saare log aaise bhi nazar aate hai jinko doosrun ki madad ki zaroorat hoti hai, jaise koi andha shakhs jisko rasta bataa’sakte hai, ya phir koi zayeef shakhs jisko ham road cross karne mein madad kar sakte hai. Isi tarah bachchon bahot saare mawaage aate hain jahan par ham ko doosrun ki madad ke liye hamesha tayyaar rehna chahiye Aur Allah ke Rasool saltallahu alaihi wasallam ki hadees ko zinda karna chahiye. rata EM oR Poh she Wo is tarah se ke agar hamaara saathi maidaan mein gir-jaaye to uspar hasne ke 1} Zaroorat ke waqt apne dost kimadad kare. 2} Raaste mein kisi zaroorat-mand kimadad kare. 3} Ghar mein apne waaldain ki madad kare. Sawaalaat 1} Saare insaan kiski aulaad hai? 2} Kya sirf rishtedaaron ki madad karna hai yasabki? 3) Aap school mein kyamadad kar sakte hai? 4} Aap gharmein kyamadad kar sakte hai? <{ 5) Aap baaharlogonkikyamadadkar sakte hain? ron ; CS CUM Lc RS Aye Allah Tu Meri Ummat Ke Subah Ke Waat Mein Barkat De. (Gunan Abi Dawood -2606) Aye Allah tu meri ummatke subah ke waqt mein barkat de. Pyare bachchon Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam apni ummat ke liye Allah ta'ala se ye dua maang-rahe hai ke Allah ta‘ala meri ummat ke logon ke liye subah ke waqt mein barkat de. Pyare bachchon Allah ta’ala ne insaano ki zindagi ko bahot hi tarteeb se banaaya hai aur is tarteebs mein insaano ka bahot khayaal rakha gaya hai. Insaan ki zindagi ki bhaag-daud subah se shuroo ho kar raat mein khatam hoti hai aur raatko Allah ta‘alane hamaare liye aaraam ka waqt banadiya hai. Din-bhar kaam karne ke baad insaan thak-jaata hai to Allah ta’ala ne usko aaraam karne ke liye raat banaaya hai. Pyare bachchon aapko ma‘aloom hai ke ham kabhi raat ko zyada jaagte hain to uska asar hamaari sehat par bhi padta hai! Haan ye baat sahih hai ke agar ham hamaari raat ko sone (sleep) mein nahi guzaarenge to hamaara din bhi kharaab hone waala hai. Subah ke baad jo zimmedaariyan (responsibilities) ham par hai, chahe school ko waqt par pahunchne ka maamnla ho ya phir (classwork) ho ya phir school ki doosri (studies) ho ya khail ke maindaan mein hamaara khelna ho ya tamaam zimmedaariyan ham se theek se nahi ho-sakengi. Dekha apne sirf ek raat ko derse sone (sleep) par hamaare poore din mein be barkati hogi. Ba-Barkat Kab Hogi‘ Agar ham subah ko jaldi uthey, Fajar ki namaaz ke baad kaam shuroo kar denge to hamaare poore din mein barkat hogi aur har kaam waqt par mukammal hota chala jaayega. hur agar ham fajr mein nahi jaagenge aur der tak sotey rahenge to hamaara sona hamaare poore din ko slow kar deta hai, aur ham har kaam mein late hote jaayenge, aur saath hi saath mentally distrub bhi hote jaayenge. Agar ham Fajar ki namaaz ke saath shuroo karenge to hamaare andar Allah ta‘ala ek khaas quwwath ko paida kerega aur ham hamaare zahen mein sukoon mehsoos karenge aur har kaam ko achchi tarah se poora kar paayenge. Aur pyare bachchon hamaare a'amaal ko Allah ta'ala ke paas pesh karne keliye chand farishton ko mugarrar kiya gaya hai jin mein se baaz Fajar se asar tak aur baaz asar se Fajar tak achche aur bure a'amaalko Allah ta'ala tak puhanchate hain! Agar ham log Fajar mein bedaar huwe baghair sote rahenge to Allah ta‘ala hamse kitna naraaz hoge, bhala Allah ta'ala ki naraazgi ke saath hamaara din achcha guzar sakta hai? Us mein barkat aa-sakti hai? Nahi. Is liye jo bhi subab ko jaldi uthta hai Allah ta’ala uske rizq mein bhi barkat dete hain aur uska pggra din bhi ba-barkat hota hai. To pyare bachchon aao aaj hamis baat ka ahad karte hain ke ham raaton ko jaldi so-jaayenge aur subah ko jaldi uthkar din ko ba-barkat banaayenge. Activities To Be Done 1} Raat ko jaldi so jaaye. 2} Subah jaldi uthey aur ghar par sab ko uthaayen. 3} Fajarkinamaazadaakaren. 4} Qur'an kitilaawat karen. Sawaalaat 1} Subah Jaldiuthne waalon ke liye Nabi 22" ne kis baat ki dua di hai? 7) 2) Raat mein zyadajaagne se kyahotahai? S) 3} Agar raat mein jaldi sona ho to kyakarna hoga? = (4 Apne ammi abbu se pooch-kar bataaye. rep yp 4} Kya doosrun ko bhijaldiuthaana chahiye? e e 5} Kya aapneis hadees ko yaadkiya hai? ie PTC aC (Sahih Muslim - 223) Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya sabarroshni hai. Pyare bachchon sabar Allah ta'ala ki bahot badi Nemat hai, jis insaan ko ye Nemat mil-jaaye wo dunya aur aakhirat mein kaamyaab ho jaayega. Pyare bachchon kya aap ko ma'aloomhain sabar kise kehte hain? Jab Hamein koi pareshaani pesh aaye aur ham us pareshaani ka himmat se saamna kare, bardaasht kare to usey sabarkehte hain. Pyare bachchon kya aap ko ma'aloomhai ke asal taaqatwar insaan kaun hota hai? Joapne gusse ko bardaasht karta hai, gussa ko pee-jaata hai to yahiinsaan asal mein taaqatwar hota hai. Pyare bachchon sabar ka waqt kab shuroo hota hai? Jab bhikoi pareshaani ka saamnaho to fauran (immediately) hamaara uspar y reaction achcha hona chahiye, ye sabar ka asal waqt hai. Ye nahi ke pehle rokar aur tamaasha kar ke phir sabar kare. Pyare bachchon hamein ye bhi yaad rakhna chahiye ke achaanak kuch bhi masla pesh aajaaye jo Hamein na-pasand ho to Hamein sabar karna chahiye. ie Jab bhi koi aisi un-expected khab: sune jo Hamein pasand nahi jai: 1}, Hambimaar ho jaaye ya hamaare saath kuch bhiHaadsa (accident) pesh aaye. 2} Yahamein apne dost kimadadkizaroorat thi usne hamaarimadad nahiki. 3) Yalmthehaan mein achchalikhne ke baawajood hamein (position) nahi mili. 4} YaHam par koijhoot-Bandh raha ho. 5} Yahamaarikoi qeemti (precious) cheez (thing) kho-jaaye. 6} Yahamaare waalidain/dost/ustad ham se naraazho jaaye. 7} Yaaise hikuch bhi (incidence) ho jaaye to hamein fauran Sabar karna hoga aur khamoshiikhtiyaar karna hoga. 8) Alhamdulillah kehna chahiye. 9} Achche alfaaz (good words) istemaal karnahoga. 10} Allah ta'ala se sabarmaangna hoga. 11} Allah ta’ala seis par behtareen ajarki ummeed rakhnahoga. Pyare bachchon hamein ye bhi yaad rakhna hoga ke har kaam Allah ta'ala ke hukm se hi hota hai. ‘Aar Hamein kuch bhi nafa (profit) wa nuqsaan (loss) ho wo Allah ta'ala ke hukm se hi pahunchta hai. Is liye Hamein achchi aur buri taqdeer (destiny) per raazi rehna chahiye. Allah ta'ala hamesha apne bando ke haq mein khair ka muamla karta hai. Hamein mayoos nahi hona chahiye, Allah ta‘ala se achchi ummeed rakhna chahiye. Ek hi waqt mein kayi pareshaaniyon ka saamna bhi karna pade to koi mushkil nahi Alhamdulillah kehna chahiye, In sha Allah iska ajar bhi utna hi bada hoga. Pyare bachchon is hadees mein sabar ko roshni kaha gaya hai, sabar Hamein andhare se nikaal kar roshni ki taraf laata hai. Isi liye hamesha sabar se kaam lena chahiye, sabar ka phal meetha hota hai. +00 ee Poa Activity Hamein ye sabar talab karne ki dua yaad karni hai. ae 4 eee yaete 8 Bf yee Copal’ Ud gig |Site Lille ¢ 5a] Ly Rabbana Afrigh Alayna Sabran Watawaffana Muslimeena. Our Lord! pour out on us patience, and causey us to die as Muslims. [7:126] Allah ta’ala hamein hamaare har mu'aamle mein sabar aur namaaz se kaam lene waala banaaye, Aameen. Sawaalaat 1) Asal taagatwarkaun hai? 2) Hamein sabar kab Karna chahiye? 3) Agar hamaari koi chez kho jaye to kyakare? 4) Nafaaurnuksaan kis ki taraf se hota hai? 5) Kya aapneis hadeesko yaad kiya hai? Poa 37 2 Ol pas | 93531 (Sahih Muslim - 2667 a) _} Hazrat Abi Amaama radiallahu anhu se marwi hai ke Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ne farmaya hai ke Qur'an padha karo. Pyare bachchon kya aapko ma'aloom hai ke Allah ta’ala ne apne bando ke liye kaunsi-kaunsi kitaaben aur kin-kin ambiya par utaari hai? 1} Sab se pehli kitaab Zaboor jisko Allah ta'ala ne Hazrat Dawood (alaihissalaam) par naazil farmaya hai. 2} Doosri kitaab Tauraat hai jo Hazrat Musa (alaihissalaam) par naazil kiya gaya hai. 3) Aur Teesrikitaab Injeel hai jo Hazrat Esa (alaihissalaam) par naazil kiya gaya hai. Nabi Mohammed Sallallahu alaihi wasallam par naazil kiya gaya hai. Pyare bachchon kya aapko ma'aloom haike Allah ta'alane Qur'an ko kyun naazil farmaya hai aur iske naazil karne ke magsad kya hai? aur Qur'an ham ko kya sikhaata hai aur kiskipehchaan karwata hai? aur aapko ma'aloom hai ke Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne Qur'anko padhne ki Talqeen kyun kiya hai? To aaye aaj ham un tamaam cheezon ko ma‘aloom karenge. ie Pyare hachchon Qur'an ko naazil karne ka maqsad Allah ke bandon ki rehnu'maayi hai yaani Allah ta’ala ne Qur'an-e-Majeed mein apne bandon ke liye har cheez ko waazeh (clear) kar diya hai, ke kaunsi cheezein halal hain aur kaunsi cheezein haraam hai aur Qur'an mein ye bhi waazeh kar diya gaya hai ke sirf aur sirf Allah ki ibaadat karni chahiye aur ibaadat aur bandagi sirf Allah hikikarni chahiye, aur kisi par zulm nahi karna, apne waalidain ki izzat karni chahiye aur unki khidmat mein, unkiizzat mein koifarq nahi aana chahiye. Aur pyare bachchon Qur'an mein achche kaamon ki nekiyan aur bure kaamon ki saza bataayi gayi hai. Aur pyare bachchon Qur'an ko padhne se hamko Allah ta‘alaki qudrat wa taaqat ka bhi ilm hota hai, ham ko ma'aloom hota hai ke Allah ta'ala har cheez par Qaadir hai, wohi hai jo hamaari har museebat ko door karta hai aur wohi hai jo hamaari har Zaroorat ko poora karta hai. Aur wohi izzat dene waala hai aur wohi zillat dene waala hai wohi rizq dene waala hai aur wohi hamaarizindagi aur maut par qudrat rakhta hai. Pyare bachchon Qur'an Allah ta‘ala ke bando ke liye Allah ki taraf se ek paigham (message) hai, jisko padhna aur ma‘aloom karna ke Allah ta'ala ka (message) hamaare liye kya hai wo har musalman ke liye bahot zaroori hai, taake ham apni zindagi ko sawaar sake aur dozakh ki aag se khud ko bacha saken aur khud bhi achchiraah par chal saken aur doosru ko bhi achchi raah ki rehnu'maayi kar saken. To aaiye bachchon aaj ham is baat ka iraada kare ke ham rozaana Qur'an ko padh kar samajhne kikoshish karenge. Nets ¢ To Be Done 1} Apke abuse kahe ke wo nayee (new) Qur'anlaaye. 2) Agar ghar mein puraani Qur'an ho tousko sahih kare. 3} Rozaana Qur'anka ek saffah padhe. 4} Ghar mein kisko kitni suratein yaad hai ek list banaaye. 5} Rozaana Fajar ke baad ghar mein surah bagarah kirerecording (audio) buland aawaazselagaayen. Sawaalaat 1} Allah ne Qur'an kyun naazil kiya hai? 2} Zaboor kaunse Nabi par naazil huwi? 3} Taurat kaunse Nabi par naazil huwi? 4} Injeel kaunse Nabi par naazil huwi? 5} Qur'an kaunse Nabi parnaazil huwi? ie Nek Kaamo Mein Jaldi Karna JeSy teak eC Ce Lc) (Sahih Mustim - 118) Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya nek a'amaal mein jaldi karo. Pyare bachchon! is hadees mein Hamein nek kaamo mein jaldi karne ka hukm diya jaraha hai. Pyare bachchon! Ye Hades Hamein Nek Kaamo Mein Jaldi Karne Ka Hukm Deti Hai To Ham Pehle Dekhenge Ke Nek Kaam Kya Hote Hai? 1} Allah ta’ala ke ehkamaat ko maanna. (namaaz, roza, zakat, hajj) 2} Rasoolutlah sallallahu alaihi wasallam ki pairwi (follow) karna. 3} Waalidain ki baat maanna. 4} Teachar, doston aur padosiyon ki madad karna. 5} Ladaayi/gaali galooch (bad words) se bachna. 6} Apne (notes) kisike saath share karna. 7} Kisiko achchibaat bataana aur buraayise rokna. 8} Kisikomuskura kar dekhna aur unke liye aasaaniyan paida karma. 9} Sachchaai, Hamdardi aur haya ikhtiyaarkarna. 10} Logon ke liye khair-khwa banna unke baare mein husne-zan rakhna, achcha (positive) sochna, wagaira.,. c * F ie Pyare hachchon ye tamaam a'amaal neki mein shumaar hote hain, jinko karne se Allah ta‘ala Hamein behtareen ajar ataakartahai. Hamein Hamesha achche-achche kam karne mein jaldi karna hai, us mein (first) aanahai, insha Allah. 2). Pyare bachchon Ab Ham Jahalat Ke Kaam Kya Hote Hai Dekhenge Jaise.. 1) Shirk karna Yaani Allah kiibaadat mein kisi aurko shareekkarna. 2} Sharaab-noshi drink) sharaab peena. 3) Waalidain ki na-farmaanikarna. 4} kisi par zulmkarna. 5} Gana-bajaananaachnabe-hayaayee karna. 6} Jhoot bolna. 7} Chorikarna. 8} Dhoka dena. hy > 9} Kisi parrahemnakarna. Pyare bachchon ye saare a'amaal galat, bure, gunah hai, jinko karne se ham Allah ta'alakisazake haqdaar ban-jaate hain. To Hamein in tamaam bure kaamo se hamesha-hamesha door ikhtiyaar karna hai, inshaAllah. Pyare bachchon wo kaunse achche kaam hai jinko aap pasand karte hain ek list banaayen, aur ghar ki diwaar (wall) par lagaayen. Sawaalaat 1} Kuch achche kam jo aap ko pasand hai bataaye? 2} Wo bure kaam jo aap ko bahot hi na-pasand hai bataaye? 3} Gaali dena, gaane (songs) sunna, ladaayee karna achcha | kaam hai ya bura kaam hai? 4} Namaaz padna, ammi abbu ki baat manna achcha kaam hai ya bura kaam hai? 5} Kya apne is hadees ko yaad kiya hai? Ne 200 ee PACT BL osteo Ye 2 AN angel OVE LEU Ea Clee) (Sahih Mustim-18.a) Pyare Nabi sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Allah kiibaadatkaro. Pyare bachchon is hadees mein Allah ki ibaadat karne ka hukm diya ja-raha hai, kya aapko ma‘aloom haike ibaadat kis ko kehte hai? ibaadat yaani har wo kaam jo Allah ta‘ala ko pasand hai wo ibaadat hai. Ibaadat Alag Alag Tarah Ki Hoti Hai 1} Qouli (verbal) ibaadat jaise Dua, Zikr wa Azkaar karna, Astaghfirultah kehna, Allah se madad maangna wagaira. 2) Faeli (practical) zaahiri ibaadat matlab Namaaz, Roza, Hajj, Umrah Qurbaani karna wagaira. 3) Baatini (dil mein) wo ibaadat jo posheeda chupi huwi ho jaise Allah se mohabbat, khauf, ummeed, raghbat, tawwakkal wagaira. Pyare bachchon kya aapko ma'aloomhaike ham sab ko paida karne ka kyamaqsad (reason) hai? Ham sab ko paida karne kamagsad Allah talalakiibaadat hai. Jaisa ke Allah ta’ala ne Qur'an mein farmaya ose Y obYly Sell Mein Ne Jinnaat Aur Insaano Ko Mehez Is Liye Paida Kiya Hai Ke Wo Sirf Meri Ibaadat Kare. (Surah Adh Dhaariyaat 51: 56) ie Ab bataaye kya ham waaqiyee Allah ki ibaadat kar rahe hai? ya aise hi zindagi guzaar rahe hai (Time Pass)... Ham apni namaaz, roza, zakaat, hajj, umrah, zikr wa azkaar, duayein wagaira aisi ibaadato ke saath-saath roz marrah ke hamaare har kaam ko bhi ibaadat mein badal sakte hain jaanna chahonge wo kaise? Har kam ko sirf Allah ko khush karne ki niyyat se karenge to din bhar ke tamaam kaam ibaadat mein shaamil ho jaayenge, ma sha Allah. 1} Ammiabbukibaat manna. 2} Sabke saath achche se rehna. 3) Bhai, bahen, padosiyon aur khandaan waalonke saath achcha bartaokarna. 4} Gharkisafaayikarna. 5} Apne jismki safaayikarna. 6} Sehatkakhayaalrakhna. 7} Achcha khaana (nutritious) khaana take (energy) mile phir achche-achche kaam kar sake. 8} Ilmhaasilkarna, 9} Khali wagt mein (Fresh) hona achchi (activities) karna wagaira. Ye saare kam jo ham hamesha aise hi karte hain ab isko achchi niyyat ke Zariye ibaadat mein (convert) kar sakte hain, Subhanallah! Kitna aasaan hai ibaadat karna. Alhamdulillah kahiye bachchon Allah ta’ala ne hamaare liye bahot si aasaaniya paidakihailekin ham issey ghaafil (unknown) hai. Achchiniyyat ke saath kya kya kaam karenge ek list banaayen aur diwaar (wall) par lagaayen. SC CICcd 1} Ibaadat kisko kehte hai? 2} Qouli ibaadat ka matlab kya hai? 3} Kya hamaare am kaam bhi ibaadat ho sakte hai? 4} Ammi abbu ki baat manna bhi ibaadat hai? 5} Kya apne is hadees ko yaad kiya hai Ne ‘Aao Bachchon Hadees Samjhein « ie a + a BUGS teal GMCEL Nabi Kareem # Ne Kisi Khaane Par Aib Nahi Lagaaya. Al-Bukhari - §409) Nabi kareem sallallahu alaihi wasallamne kisi khaane par Aib nahi lagaaya. Pyare bachchon Allah ke Rasool sallaltahu alaihi wasallam ki is hadees ke Zariye ham ko naseehat milti hai ke aap sallallahu alaihi wasallam ne khaane ki cheez par kabhi bhi koi Aib nahi lagaaya hai. Aapko ma‘aloom hai ke Aib kisko kaha jaata hai? Aib yaani kisi chez ke khaate waqt uske andar maujood kami ka zikrkarna. Misaal ke taur par agar aap khaana kha'rahe hain aur khaane mein namak nahi hai ya phir khaana be-mazaa hai to ham fauran keh dete hain ke khaane mein falah cheez ki kami hai aur khaana be-maza hai, Isko kehte hai Aib lagaana Pyare bachchon kya aapko ma‘aloom haike Aib lagaane se Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam kyun par'haiz kiya karte they? Is liye ke khaana Allah ta‘alakinemato mein se ek bahot badi Nemat hai, agar khaane mein Aib lagaaye to Allah ta'ala ki Nemat mein na shukri karne ke baraabar ho ga, aur Aib ek aisi buraayee hai isse saamne waale ke dil ko buralagta hai, wois liye ke jo rizqhamaare saamne aata hai wo kayee tarahki mehnat ke baad ham tak pahunchta hai. Maslan jab hamaari ammi hamaare liye khaana tayyaar karti hai to yaqeenan is khaane ko tayyaar karne mein wo bahot mehnat karti hai aur jab wo mehnat se khaana tayyaar karne ke baad hamko deti hai aur ham apni ammi ke feelings ko samjhaae baghair keh dete haike khaana achcha nahi hai, to ammi ka dil dukhta hai aur wo apne aap mein sharmindagi mehsoos karti hai, to hamaara Aib lagaana unke dilko takleef pohunchata hai. ie Pyare bachchon hamko chahiye ke ham sabar ka muzaaharah kare aur thoda sa khaana kha-kar uthjaaye aisa karne se Allah ta‘ala ki Nemat kina-shukri bhi nahi hogi aur Allah ta'ala naraaz bhinahihonge. Pyare bachchon ham aaj is baat ka ahad karenge ke ham Aib kisi mein bhi nahi lagaayenge na-khaane mein na kisike bachche mein. lagaana bahot burak aul 2 Haa jab kabhi bhi ham kisi shakhs (person) mein koi kami dekhte hai to uspar hasne ke bajaaye us shakhs se Ibrat lesson le ke Allah ta‘ala ne ham ko aisa nahi banaaya hai aur Allah ta’ala ka shukr ada kare. Aur isi tarah se khaane ki cheezon ka bhi mu'aamla hai khaane mein Aib lagaane ke bajaaye ham ko shukr guzaar bana chahiye, kyun ke Allah ta'ala ne ham ko ye khaana diya hai warna bahot sare logon ko to khaana bhi nahi milta hai, ham ko Allah ta‘ala ne khaana diya hai, Alhamdulillah. Bachchon khaana hamaare liye kitni badi Nemat haiis liye khaana khaane se pehle dua padhe aur khaanakhaane ke baad bhi dua padhe taake Allah ta‘alakinemat ka shukr adaakar sake. Allah ta'ala nara ny neil Ekbade (big) chart par khaana kh: a jade (big) chart par khaanakhaane se NN a pehle ki dua aur baad ki dua likhey aur dining table ke paas lagaayen. 4 Sawaalaat 1} Khaane se pehle kya padhe? 6 pe 2) Khaane ke baad kya padhe? r§ 3} Kya hamaare Nabi sallallahu wasallam ne e @ khaane par kabhi Aib lagaaya? 4) Agar khaana achcha na-lage to kya kare? 5) Ammi khaana banaane me kitni mehnat karti hai? eyo ae Poa KcBlgls Tum Apni Paanch Namaazein Padho (sami at-Tirmidhi-61) Hazrat abu Amama raziallahuanhu se matwi hai ke Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya Tum Apni Paanch Namaazein Padho. Pyare bachchon Deen-e-islam apne maanne waalon par paanch waqt kinamaazo ko farzkarta haijo ye hai. ete PANE g rg Maghrib ms Isha'a | Jinki paa'band) kama har musalmaan par farz hai, jisko chodne se Allah ta'ala azaab dete hai. Pyare pachchon iske zariye ham ko deen-e-islam ke bahot hi ahem rukn ki paabandi ki taraf tawajjah dila rahe hai. Pyare bachchon aapko ma'aloom haike namaaz hamaare deen-e-islam ka ahem rukn kyun hai? Woisliye ke namaaz ek aisi ibaadat hai jis mein banda apne rabb se zyaada qareeb ho jaata hai, aur namaaz hi Allah ta‘ala se baat karne ka ek waahid zariya maanajaata hai. Pyare bachchon Hamaari Namaaz Ko Qubool Hone Ke Liye Bhi Chand Sharaait Hain, Agar Ham Un Sharaait Ko Poora Nahi Karenge To Phir Hamaari Namaaz Qubool Nahi Hogi. 1} Sab se pehli shart namaazi ke badan aur kapdo ke saath-saath namaazikijagah bhi paak hona zaroori hai, aur agar ham unka lihaaz nahi karenge to hamaari namaaz qubool nahi hogi. Poa 2} Doosri shart hamaara wudhu ka theek hona bhi zaroori hai, aur wudu mein istemaal hone waala paani bhi paak hona zaroori hai, aapko ma‘aloom hai ke aisa kyun? wo isliye ke wudhu ko namaaz ki kunji (key of salah) kaha jaata hai, yaani agar hamaara wudhu sahih hoga to hamaari namaaz durust hongi. 3} Teesri shart ye hai ke hamaari namaaz mein Khushoo wa Khuzoo ka hona bhi Zaroori hai. Khushoo-Khuzoo ka matlab ibaadat aise kare goya ke Aap Allah ko dekh rahe hai agar aisa nahi ho sakta to ibaadat aise kare goya ke wo hamko dekh raha hai. Srey crn 1} Hamaare namaaz ke arkaan, hamaara ruku, hamaara qayaam, hamaara sajda, gaida aur hamaari namaaz mein padhi jaane waali har cheez ko sahih adaa karna zaroorihai. 2) Aur har ek ko sukoon ke saath aur poora-poora adaa karna zaroori hai, tab hi hamaari namaaz qaabil-e-quboot hogi. Aur wo log jin’hone apni namaazo ko masjid mein adaa kya hoga unke liye (25) pachchees darje sawaab zyada likha jaata hai. Pyare bachchon jo bhi ghar se wudu kar ke masjid tak paidal safar karta huwa masjid ko pahunchta hai, to uske har ek qadam par uska ek darja buland hota hai, aur har ek adam par uska ek gunah mitaaya jaata hai. To pyare bachchon aajse aap aksar masjid ko paidal hi jaane ki koshish karenge taake aap bahot saare nekiyan kama saken. To pyare bachchon aaaiye aaj ham is baat ka ahad kare ke aajke baad ham hamaari namaaz ko sahih andaaz mein adaa karenge taake hamaari namaaz hamaare liye aakhirat mein nijaat ka zariya bane, aur saath hi saath zyaada se zyaada sawaab kamaane aur sawaab ke kaam karne mein jaldi karenge. Project Namaaz ki duao ka ek chart banaaye aur ghar ki diwaar par lagaaye. Sawaalaat 1} Ek din mein kitne waqt ki namaaz farz hai? 2} Namaaz ke liye kitne sharaait hai? 3} Namaaz ke arkaan kya hai? 4} Masjid mein jamaat ke saath namaaz padhne ka kya ajar hai? 5} Ghar mein wudu kar ke masjid tak paidal chale to kitna ajr hai? ») 2 we ie eZ 2S BBs nthe wu Dunya Momin Ke Liye Qaid Khaana Hai Aur Kaafir Ke Liye Jannat Hai (Sahih slim - 2956) Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ne farmaya dunya momin ke liye qaid khaana aur kaafirke liye jannat hai. Pyare bachchon Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam is hadees ke zariye ham ko ye ta’aleem de rahe hai ke dunya musalmaan ke liye qaid khaana aur kaafir ke liye jannathai. Pyare bachchon kya aapko ma'aloom hai ke jannat kya hai aur qaid khaana kisko kahajaatahai? Pyare bachchon jannat ek aise muqaam ko kaha jaata hai jisme_rehne waalon ko kisi qism ki paa’bandi nahi karni hongi, wo apni man-chaahi zindagi us mein guzaar sakta hai. Jannat mein rehne waalon ke liye koi rukaawat nahi hongi. Wo har tarah se jannat mein ek aazaad zindagi guzaarenge. ‘Aur qaid khaana yaanijail, pyare bachchonjail ek aisijagah hoti hai jahan par subahuthne se leker raat ko sone tak ek paa'band zindagi guzaarna padtahai. Wahan par har cheez ko ek qanoon ke mutabiq karna hota hai, aur agar jail mein koi jail ke diye gaye instructions ko todta hai to fauran usko saza di-jaatihai.

You might also like