1|Page
2|Page
BA-FAIZ-E-ROOHANI
Nabeera E Huzoor Ghaus E Aazam
Dastageer, Shahenshah E Mumbai, Haji
Sayyed Sultan Bahauddin Shah Asfahani
Radi Al-Maula Ta’ala Anhum
Wa
Shaikhul Islaam, Mujaddid E Islaam,
Haafizul Hadees, Imaam Jalaaluddeen
Suyooti Radi Al-Maula Ta’ala Anhu
Wa
Aaqa E Ne'mat Hazrat Sayyed Shamsuddin
Qadri Radi Al-Maula Ta’ala Anhu
3|Page
Sharf E INTIsaab
Jumla Shehzadgaan E Mazhar E AalaHazrat
Ke Naam, Bil-Khusoos,
Shehzada E Huzoor Mazhar E AalaHazrat,
Khaleefa E Mufti E Aazam E Hind, Imaam E
Haq, Waqif E Rumooz E Haqeeqat Hazrat
Allama Maulana Mufti Muhammad Idrees
Raza Khan Sahab Qibla Hashmati Damat
Barkatuhumul Aaliya Qudsiya
Jinki Khidmaat E Deen O Sunniyat Se
Awam O Khawas Mustafeed Hue, Jinhone
Jumla Dushmanan E Islaam Ke Parkhacche
Udaa Diye, Jinki Zaban E Faiz E Tarjuman Se
Lakhoñ Bhatke Huoñ Ne Raah E Hidayat Paayi.
Gar Qubool E Uftad Zahe Izz O Sharf
Faqeer Ubaid E Hashmat Ali Gufralahul Qawi
4|Page
Aagaz E Kitaab
ی
ن اصطف ہ
ی عبادہ الذی ہ
ی ہو سال ہم عل ہ
لل ہو کف ہ
الحمد ہ
Mujh (Imaam Jalaaluddeen Suyooti Radiul Maula Anhu)
Se Bohot Sarey Afraad Ne Kayi Martaba Suwal Kiya Keh
Ahadees E Mubarkah Meiñ Rizq Ki Kushaadgi Ke Liye Jo Aa’mal
Wa Af’aal Warid Hue Haiñ, Maiñ Unheiñ Jama Karduñ, Taaki Jo
Afraad Rizq Ki Tangi Ki Wajah Se Pareshan Haiñ, Woh Inheiñ
Apne Upar Lazim Karleiñ. Toh Maine Yeh Risala Murattib Kiya
Aur Iska Naam “قق باصو ہل الرز ہ
”حصو ہل الرف ہRakha Hai. Is Risale Ko
Do Abwab Meiñ Taqseem Kiya Hai
(Pehli Fasl)
Ahadees E Mubarkah Meiñ Mazkoor Duaoñ Aur
Azkar Ke Baare Meiñ
1. Tibrani Ne “Almu’ajjamul Ausat” Meiñ Hazrat
Sayyeduna Abu Hurairah Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat
Kiya Hai Keh Huzoor Nabi E Kareem ﷺNe Irshad Farmaya “Jiske
Gunah Kaseer Ho Jayeiñ Toh Usey Chahiye Keh “Astaghfaar” Ki
Kasrat Karey Aur Jis Shakhs Ka Rizq Tang Ho Jaye Toh Usey
Chahiye Keh Kasrat Se “Laa Haula Wala Quwwata Illa Billah”
Padhey.
2. Imaam Ahmed, Abu Dawood Aur Ibn E Majah Ne
Hazrat Sayyeduna Ibn E Abbas Radi Allahu Ta’ala Anhu Se
5|Page
Riwayat Kiya Hai Keh Huzoor Nabi E Kareem ﷺNe Irshad
Farmaya “Jis Shakhs Ne Astagfaar Ko Laazim Kiya Toh Allah
Ta’ala Usey Har Tangi Se Nijaat Aur Har Gham Se Khulaasi
Ataa Farmata Hai Aur Usey Aisi Jagah Se Rizq Ataa Farmata
Hai Jahañ Se Usey Gumaan Bhi Nahi Hota”.
3. Abu Ubaid Apni Kitab “Fazailul-Qur'an” Meiñ, Haris
Bin Muhammad Bin Abi Usamah Abu Ya'ala Apni Musnad
Meiñ, Jabke Ibn E Mardaviya Apni Tafseer Meiñ Aur Bayhaqi
“Shu’ab Al-Iman” Meiñ Hazrat Sayyiduna Ibn E Mas’ood (Radi
Allahu Ta’ala Anhu) Se Riwayat Karte Haiñ. Aap Farmate Haiñ
Ke Maine Huzoor E Kareem ﷺKo Irshad Farmate Suna Hai : Jo
Har Raat “Surah E Waqiah” Ki Tilawat Karega, Usey Kabhi Faqa
Karne Ki Naubat Nahin Padegi.
4. Ibn E Mardaviya Hazrat Sayyiduna Anas Radi Allahu
Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor Nabi E Kareemﷺ
Ne Irshad Farmaya: “Surah Waqiah Surah Ginaa (Maaldari
Wali Surat) Hai, Isey Padha Karo Aur Apni Aulad Ko Bhi Iski
Taleem Diya Karo.”
5. Imam Ibnus-Sunni Ne Hazrat Sayyiduna Ibn E Umar
Radi Allahu Ta’ala Anhum Se Riwayat Kiya Hai Ke Huzoor Nabi
E Kareem ﷺNe Irshad Farmaya: “Jab Tum Meiñ Se Koi Ma’ashi
Tangi Meiñ Mubtala Ho Jaye To Usey Kis Baat Ne Ye Kehne Se
Rok Diya Hai? (Yani Jab Koi Ma’ashi Pareshani Ka Shikar Ho To
Usey Chahiye Ke) Jab Bhi Ghar Se Nikla Kare To Ye Padha
Karey:
6|Page
Yaani Allah Ke Naam (Se Barkat Ho) Meri Jaan, Maal Aur
Deen Meiñ, Aye Allah! Mujhe Apni Taqdeer Par Raazi Rakh Aur
Jo Tu Ne Mere Liye Muqaddar Farma Diya Hai, Us Meiñ Barkat
Ata Farma, Hatta Ke Jisey Tu Ne Muakkhar Kar Diya Hai, Meiñ
Us Ki Jaldi Ko Na Chahooñ, Aur Jisey Tu Ne Jaldi Muqaddar Kar
Diya Hai, Meiñ Us Ki Takheer Na Chahooñ.
6. Tabrani Al-Mu’jamul-Awsat Meiñ Hazrat Sayyeda
Ayesha للا عنهہا
ي ہ رض ہSe Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor Nabi E
Kareem ﷺNe Irshad Farmaya: Jab Allah Ta’ala Ne Hazrat
Aadam علي ہه السال ہمKo Zameen Par Utara To Woh Khade Hue Aur
Khana E Ka’aba Ki Jagah Tashrif Laye, Phir Do Raka'at Namaz
Adaa Farmayi. Tab Allah Ta’ala Ne Un Par Is Dua Ka Ilhaam
Farmaya.
7|Page
Yaani, “Aye Allah! Tu Mere Posheeda Aur Ailaniya Tamam
Kaamoñ Ko Janta Hai, Neez Jo Kuch Mere Dil Meiñ Hai, Tu Usey
Bhi Janta Hai. Pas Meri Mazrat Qubool Farma Aur Mere
Gunahoñ Ko Ma’af Farma (Khayal Rahe Ke Ambiya E Kiram
Alaihimussalaam Masoom Hain Aur Har Gunnah-O-Lagzish Se Paak Wa
Munazzah Hain, Hamara Astaghfaar Karna Hamare Gunaahon Ko Mitata
Hai Aur Unka Astaghfaar Karna Kamaal Bandagi Par Dalalat Karta Hai Aur
Unke Darjaat Badhata Hai. Nez Unka Astaghfaar Unki Ummat Ke Liye Bhi
Hota Hai, Kamaal Masoomiyat Ke Bawajood Apne Aap Ko Gunahgar
Farmana Aur Apne Pyare Naaz Uthane Wale Rabb Ke Samne Inkisaran
Gunahgar Farmana Kamaal Abdiyat Par Daal Hai Dusra Koi Ma’azAllah
Unhe Gunahgar Kahe Toh Zaban Guddi Se Pakad Ke Kheenchi Jaaye... ~
Ubaid E Hashmat Ali), Aye Allah! Maiñ Tujhse Aise Imaan Aur
Sacche Yaqeen Ka Suwaal Karta Huñ Jo Mere Dil Ko Bhar De,
Hatta Ke Mujhe Yaqeen Ho Jaye Ke Mujhe Sirf Wahi Milega Jo
Tu Ne Mere Liye Likh Diya Hai Aur Jo Tu Ne Mere Liye Muqaddar
Kar Diya Hai, Mujhe Us Par Raazi Rehne Ki Taufeeq Ata Farma.”
(Jab Unhone Yeh Dua Padhi), Toh Allah Ta’ala Ne Wahi Ke
Zariye Irshad Farmaya: Aye Aadam! Maine Teri Taubah Ko
Qubool Kiya Aur Teri (Zahiri) Lughzish Se Darguzar Kiya, Aur Jo
Koi Bhi Is Dua Ke Zariye Suwaal Karega, Toh Maiñ Uske
Gunahoñ Ko Bakhsh Dunga Aur Apne Hukm Se Uski
8|Page
Mushkilaat Meiñ Madad O Kifayat Karunga, Aur Shaitan Ko
Usse Rok Dunga, Aur Uske Saath Har Muqabla Karne Wale Ko
Maiñ Kifayat Karunga Aur Duniya Ko Naak Ke Bal Uske Samne
Jhuka Dunga, Agarcha Ye (Duniya) Na Chahta Ho.
7. Abu Nuaim Aur Khateeb Ne "Rawate Maalik" Meiñ,
Jab Keh Delmi Ne Musnadul-Firdaus Meiñ Hazrat Sayyeduna
Ali ی عن ہہ
للا تعال ہ
رضی ہSe Riwayat Kiya Hai, Ke Huzoor Nabi
Kareem ﷺNe Irshad Farmaya: “Jis Shakhs Ne Din Meiñ Sau
(100) Martaba La Ilaha Illallahul Malikul-Haqqul-Mubeen
Padha. Usey Muhtaaji Se Amaan Naseeb Hogi Aur Qabr Ki
Wehshat Se Unsiyat Milegi.”
8. Tabrani Hazrat Sayyeduna Ibn E Mas’ood رضی ہللا عنہ
Se Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor Nabi Kareem ﷺNe Irshad
Farmaya: “Jo Shakhs Apne Ghar Meiñ Dakhil Hote Waqt Qul
Huwa-Allahu Ahad” (Mukammal Surah E Ikhlaas) Padhta Hai,
To Faqr (Mohtaaji) Uske Ghar Waloñ Aur Uske Padosiyoñ Se
Bhi Bhag Jata Hai.
9. Ahmad Ne Sanad E Jayyid Ke Saath Hazrat Ibn E
Ka’ab رضی ہللا عنہSe Riwayat Kiya Hai Ke Ek Shakhs Ne Bargah
E Risalat ﷺMeiñ Arz Kiya: “Aye Allah Ke Rasool! Aap ﷺKya
Farmate Hain, Agar Maiñ Tamam Waqt Durood E Paak Hi
Padha Karuñ?” Toh Huzoor Nabi Kareem ﷺNe Irshad Farmaya:
“Yeh Dunyia Aur Akhirat Ke Ghamoñ Meiñ Tujhe Kifayat
Karega”
9|Page
10. Tabrani Sanad E Hasan” Ke Saath, Bayhaqi Hazrat
Sayyedatuna Ayesha للا عنہہا
ی ہ رض ہSe Riwayat Karte Haiñ. Huzoor
E Akram ﷺIrshad Farmaya Karte They: “Aye Allah! Meri Buzurgi
Aur Umr Ke Aakhri Hisse Tak Apne Rizq Ko Mujh Par Wasee'
Farma De”
11. Al-Mustaghfiri (Rahimahullah) “Kitabul-Da’waat”
Meiñ Hazrat Jabir Bin Abdullah Radi Allahu Ta’ala Anhu Se
Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor E Akram ﷺNe Irshad Farmaya.
“Kya Maiñ Tumheiñ Aisi Shay Ke Bare Meiñ Na Batauñ Jo
Tumheiñ Tumhare Dushmano Se Nijaat De Aur Tumhara Rizq
Tum Tak Pahuncha De. Toh Tum Allah Ta’ala Se Shab-O-Roz
Duaeiñ Manga Karo Kyun Ki Dua Momin Ka Hathiyar Hai.”
12. Al-Mustagfiri Hazrat Sayyedatuna Umm E Salmah
Radi Allahu Ta’ala Anha Se Riwayat Karte Haiñ Keh Huzoor E
Akram ﷺNamaz E Fajr Ke Baad Yuñ Farmaya Karte They:
Yaani “Aye Allah! Maiñ Tujhse Paakeezah Rizq, Nafa’ Wala
Ilm Aur Qubool Hone Wale Amal Ka Suwal Karta Hoon.”
13. Al-Mustagfiri (Rahimahullah) Hazrat Araaq Bin
Maalik Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ Ke Jab
Woh Jum'a Ki Namaz Padh Lete, Toh Palat Kar Masjid Ke
Darwaze Par Jaa Kar Baith Jaate Aur Arz Karte: “Aye Allah!
Maine Teri Dawat Ko Qubool Kiya Aur Tere Fareeze Ko Ada Kiya
10 | P a g e
Aur Jis Shay Ka Tu Ne Mujhe Hukm Diya Tha, Usey Ada Kiya.
Toh Ab Mujhe Apne Fazl Se Rizq Ata Farma Ke Beshak Tu Hi
Behtar Rizq Dene Wala Hai.”
14. Bukhari (Rahimahullah) “Al-Adabul Mufarrad” Meiñ
Nez Bazaar Aur Haakim Hazrat Abdullah Bin Umar Radi
Allahu Ta’ala Anhum Se Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor E
Akram ﷺNe Irshad Farmaya: “Jab Nooh (Alaihissalaam) Ke
Wisaal Ka Waqt Qareeb Aya To Apne Bete Ki Taraf Mutawajjah
Hue (Aur Farmaya) Maiñ Tumheiñ Do Batoñ Ka Hukm Karta
Hoon: (1) La Ilaaha Illallaah (2) Subhanallahi Wa Bihamdihi.”
Beshak Yeh Har Shay Ki Dua Hai Aur Inhi Ki Barkat Se Har
Jandaar Ko Rizq Milta Hai.”
15. Al-Mustaghfiri (Rahimahullah) Hazrat Jabir Bin
Abdullah Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ Ke
Huzoor E Akram ﷺNe Irshad Farmaya: “Kya Maiñ Tumheiñ
Who Baat Na Batauñ Jo Ke Hazrat Nooh (Alaihissalaam) Ne
Apne Bete Ko Hukman Farmayi Thi. Unhone Kaha Tha:
Subhanallahi Wa Bihamdihi, Pas Beshak Har Shay Usi Ki Hamd
Bayan Karti Hai Aur Yahi Saari Makhlooq Ki Dua Hai Aur Usi Ki
Badaulat Unheiñ Rizq Diya Jata Hai.”
16. Al-Mustaghfiri (Rahimahullah) Hazrat Ibn E Umar
Radi Allahu Ta’ala Anhuma Se Riwayat Karte Haiñ Keh Ek
Shakhs Ne Bargah E Risalat ﷺMeiñ Arz Kiya, “Yaa Rasoolallah!
Maiñ Apni Muflisi Ki Shikayat Pesh Karta Hoon.” Toh Huzoor E
Akram ﷺNe Irshad Farmaya: “Tu Farishtoñ Ki Dua Aur Tamam
Makhlooqaat Ki Tasbeeh Se Kyuñ Ghaafil Hai? Tuloo E Fajr Se
11 | P a g e
Le Kar Namaz E Subah Ki Adayegi Se Qabl Sau (100) Martaba
“Subhanallahi Wa Bihamdihi, Subhanallahil ‘Azeem,
Astaghfirullahal ‘Azeem” Parh Liya Karo Beshak Iski Barkat Se
Duniya Tere Paas Naak Ke Bal Haazir Hogi.
17. Al-Mustaghfiri (Rahimahullah) Hazrat Hussham Bin
Abdullah Bin Zubair Radi Allahu Ta’ala Anhum Se Riwayat
Karte Haiñ Ke Hazrat Sayyiduna Umar Bin Khattab Radi Allahu
Ta’ala Anhu Ko Koi Mushkil Darpesh Hui To Huzoor E Akramﷺ
Ki Bargah Meiñ Haazir Hue Aur Us Sakhti Ki Shikayat Arz Karte
Hue Kehne Lage Ke Unheiñ Khajooroñ Ka Ek Wusq Ata Farmaa
Dijiye. Toh Huzoor E Akram ﷺNe Irshad Farmaya: “Agar Tu
Chahe To Maiñ Tere Liye Ek Wusq Khajooroñ Ka Hukm Kar Du,
Aur Agar Tu Chahe To Maiñ Tujhe Aise Kalimat Sikhadu Jo Tere
Liye Un Khajooroñ Se Behtar Ho. Tum Ye Padha Karo:
Yaani, ‘Aye Allah! Meri Chalte, Baithte, Khade Har Haalat
Meiñ Islam Ke Saath Hifazat Farma, Aur Dushman Aur
Hasideen Ko Meri Taraf Raah Na De, Aur Maiñ Har Us Shay Ke
Shar Se Teri Panah Talab Karta Hu Jise Teri Qudrat Ne Pakad
12 | P a g e
Rakha Hai, Aur Tamam Khair Tere Hi Dast E Qudrat Meiñ Hai
Aur Tujh Se Isi Khair Ka Talabgaar Hu.’”
18. Mustaghfiri (Rahimahullah) Hazrat Sayyiduna Ali
Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ Keh Huzoor E
Akram ﷺNe Irshad Farmaya: “(Aye Ali!) Tumhein Kya Cheez
Mehboob Hai, Paanch Sau Bakriya Aur Un Ki Milkiyat? Ya Ye
Paanch Kalimat? Jin Ke Zariye Tum Dua Karo. (Aye Ali!) Tum
Padha Karo:”
Yaani, “Aye Allah! Mere Gunahoñ Ko Ma’af Kar De, Mere
Rizq Ko Pakeezgi De, Aur Mere Akhlaq Meiñ Izafa Farma, Aur
Jo Tu Ne Mere Liye Se Muqaddar Kar Diya Hai, Usey Mujh Se
Na Rok, Aur Jis Shay Ko Tu Ne Mujh Se Door Kar Dia Hai, Toh
Mere Nafs Ko Us Shay Ki Taraf Na Jane De.”
19. Bazaar (Rahimahullah), Hakim, Bayhqi Kitabul
Daawaat Meiñ Hazrat Ayesha Radi Allahu Ta’ala Anha Se
Riwayat Karte Haiñ Ke Aap Radi Allahu Ta’ala Anha Farmati
Haiñ: Mujh Se Mere Walid E Girami (Sayyiduna Abu Bakr
Siddeeq Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Irshad Farmaya:
13 | P a g e
“Kya Maiñ Tumheiñ Woh Dua Na Sikhau Jo Mujhe
Rasoolallah ﷺNe Sikhayi Thi Aur Hazrat ‘Isa (Alaihissalaam)
Ne Ye Dua Apne Hawariyon (Sahabiyo) Ko Sikhayi Thi? Pus
Agar Tum Par Uhad (Pahad) Ke Barabar Bhi Qarz Hoga Toh
Allah Ta’ala Usey Utar Dega.” Maiñ Ne Arz Kiya Zaroor Bataiye!
Toh Aap Radi Allahu Ta’ala Anha Ne Irshad Farmaya: Ye Padha
Karo:
Yaani, “Aye Allah! Aye Fikroñ Ko Door Karne Wale, Gamoñ
Ke Mitane Wale, Pareshan Haal Ki Duaoñ Ko Qubool Karne
Wale, Duniya Aur Aakhirat Meiñ Meherbani Farmane Wale, Tu
Hi Toh Mujh Par Rehem Farmane Wala Hai, Aye Rehem Karne
Wale Tu Mujh Par Aisi Rehmat Farma Jo Mujhe Dusro Ki
Rehmat Se Beniyaz Karde).”
Hazrat Abu Bakr Siddiq Radiul Maula Anhu Farmate Haiñ
Ke Mujh Par Ek Bada Qarz Tha Jis Ki Wajah Se Mujhe
Sharmindagi Mehsoos Hoti Thi (Pas Is Dua Ko Padhte Hue)
Abhi Kuch Hi Arsa Guzra Tha Ke Allah Ta’ala Ne Mujhe Ek Jagah
Se Nafa ‘Ata Farmaya To Us Se Maine Apna Qarz Utar Diya.
Hazrat Ayesha Radi Allahu Ta’ala Anha Farmati Hain:
Mujh Par Hazrat Asma Radi Allahu Ta’ala Anha Ka Kuch Qarza
Tha Aur Main Is Wajah Se Unse Sharmindagi Mehsoos Karti
14 | P a g e
Thi. Phir Maine Is Dua Ko Padhna Shuru Kiya To Abhi Kuch Hi
Arsa Guzra Tha Ke Allah Ta’ala Ne Meeras O Sadqa Ke Alawa
Se Mujhe Rozi ‘Ata Farmayi Toh Usse Maine Wo Qarza Utar
Diya Aur Apne Bhai Abdur Rahman Bin Abu Bakr Ki Beti Ko Us
Meiñ Se Teen Zewarat Bhi Bana Kar Diye Lekin Us Ke Baad Bhi
Us Meiñ Se Achi Khaasi Miqdar Baqi Bach Rahi.
20. Abu Dawood Nez Behqi “Kitabul Daawaat" Meiñ
Hazrat Abu Saeed Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte
Hai Ke Nabi Kareem ﷺNe Ek Martaba Hazrat Abu Imama Radi
Allahu Ta’ala Anhu Ko Dekha To Unse Farmaya, “Tujhe Kya Hua
Hai?” Unhone Arz Kiya! Mujhe Ghamoñ Aur Qarzoñ Ne Gher
Rakha Hai, Toh Huzoor Nabi Kareem ﷺNe Irshad Farmaya:
“Kya Maiñ Tujhe Wo Kalaam Na Sikhauñ Jab Tu Usey Padha
Karey To Allah Ta’ala Tere Ghamoñ Ko Door Farma De Aur Tere
Qarzoñ Ko Utar De?” Phir Aap ﷺNe Irshad Farmaya! Tum
Subah-O-Shaam Ye Padha Karo:
Yaani “Aye Allah! Main Susti Se Teri Panah Mangta Hun,
Aur Bukhl O Buzdili Se Teri Panah Mangta Hu, Aur Qarz Ke Bojh
Aur Logoñ Ke Galbe Se Teri Panah Mangta Hun.”
15 | P a g e
21. Bayhaqi, Hazrat Ali ی عن ہہ
للا تعال ہ
ی ہ رض ہKe Bare Meiñ
Riwayat Karte Hain Ke Ek Makatab Ghulam Unki Khidmat Meiñ
Haazir Hua Aur Arz Karne Laga Ke Maal E Makatabat Ki Adaigi
Meiñ Meri Madad Farmayeiñ, Toh Aap ی عن ہہ للا تعال ہ
ی ہ رض ہNe
Irshad Farmaya: “Maiñ Tujhe Woh Kalimaat Na Sikhaun Jo
RasoolAllah ﷺNe Hameiñ Sikhaye They? Pas Agar Tum Par Koh
E Sabeer Ke Barabar Bhi Qarz Hoga Toh Allah Ta’ala Usey Utar
Dega.” Us Shakhs Ne Arz Kiya, Phir Toh Zaroor Sikhaeiñ! Aap
ی عن ہہ
للا تعال ہ
رضی ہNe Farmaya! Ye Padha Karo:
Yaani, “Aye Allah! Mujhe Rizq E Halal Ataa Farma Kar Rizq
E Haram Se Bacha, Aur Apne Fazl Se Mujhe Ghina (Maaldari)
Ata Farma Kar Dusro Se Beniyaz Farma.”
22. Mustaghfiri Ne Hazrat Ali ی للا تعالیہ عن ہہ
رض ہSe Riwayat
Kiya Hai Ke Hazrat Fatimah Salaamullahi Alaiha Ek Martaba
Huzoor Nabi Kareem ﷺKi Khidmat Meiñ Haazir Huvi Aur Arz
Karne Lagi Ke Malayika Ka Khana Tasbeeh O Tahleel Hai, Lekin
Hamara Khana Kya Hai? Toh Huzoor Nabi Kareem ﷺNe Irshad
Farmaya: “Us Zaat Ki Qasam! Jisne Mujhe Haq Ke Saath
Mab’oos Farmaaya Hai Ke Aal-E-Muhammad Ke Ghar Meiñ
Teen Din Se Aag Roshan Nahi Huvi, Albatta Abhi Kuch Aaya
Hai.”
16 | P a g e
Pas Agar Tum Chaaho Toh Us Meiñ Se Panchwan Hissa
Tumhein De Deta Hun, Aur Agar Tum Chaaho Toh Tumheiñ
Woh Panch Kalimaat Sikha Deta Hun Jo Jibrail Ne Mujhe
Bataye Hain. (Aye Beti Fatimah!) Tum Kaha Karo:
23. Abu Ya’la Hazrat Ayesha Radi Allahu Ta’ala Anha Se
Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor Nabi Kareem ﷺJab Bhi Bistar
Par Tashreef Laate, Toh Padhte:
17 | P a g e
Yaani, “Aye Allah! Saatoñ Aasmano Aur Arsh-E-Azeem Ke
Parwardigar, Aye Har Shay Ke Paalne Wale Tawrat-O-Injeel
(Zaboor) Aur Furqan (Qur'an Majeed) Ke Nazil Karne Wale,
Dana Aur Guthli Ko Cheer (Kar Unse Sabza Ugane) Wale, Maiñ
Har Us Cheez Se Teri Panah Mangta Hun Jisko Tere Dast E
Aqdas Ne Pakad Rakha Hai, Aye Allah! Tu Hi Sab Se Pehle Hai
Aur Tujh Se Pehle Koi Shay Nahi Thi Aur Tu Hi Sab Se Akhir Hai
Ke Tere Baad Koi Shay Nahi Hai Aur Tu Hi Batin (Meiñ
Jalwagar) Hai Ke Tere Alawa Koi Shay Nahi, Hamare Qarzoñ Ko
Utaar De Aur Hameiñ Mohtaaji Se Mehfooz Farma.”
24. Tabarani Sanad-E-Hasan Ke Saath Hazrat Qeela
Binte Mukhramah Radi Allahu Ta’ala Anha Se Riwayat Karte
Haiñ Ke Jab Woh Raat Ko Apne Bistar Par Tashreef Le Jati, To
Yeh Padha Karti:
18 | P a g e
Yaani “Maiñ Allah Ta’ala Ki Aise Kaamil Kalimaat Ke Saath
Panah Leta Hoon Jis Se Koi Nek Aur Bad Tajawuz Nahi Kar
19 | P a g e
Sakta. In Tamam Makhlooqat Ke Shar Se Jo Aasman Se Utre
Aur Chadheiñ, Aur Zameen Par Maujood Aur Us Se Nikalne
Wali Makhlooqat Ke Shar Se, Aur Din Ke Fitnoñ Aur Raat Ke
Sitaroñ Ke Shar Se, Siwaye Us Ke Jo Raat Ko Khair Se Aaye, Aur
Maiñ Allah Ta’ala Par Imaan Lata Hun Aur Usi Par Bharosa
Karta Hun Tamam Tareefeiñ Usi Allah Ke Liye Haiñ Jis Ki Azmat
Ke Samne Har Shay Aajiz Hai Aur Tamam Tareefeiñ Usi Zaat
Ke Liye Haiñ Jis Ki Saltanat Ke Samne Har Shay Sarnagoñ Hai,
Aye Allah! Maiñ Tere Izzat Wale ‘Arsh’ Ke Payon Ke Saath Aur
Teri Kitab Ki Azmat Waali Bulandiyoñ Ke Saath Sawal Karta
Hun Aur Teri Buzurgi To Nihayat Aala Aur Tera Naam Nihayat
Mukarram Aur Tere Kamil Tareen Kalimaat Ke Jinse Koi Nek O
Bad Tajawuz Nahi Kar Sakta. Keh Tu Hamari Taraf Apni
Rehmat Ki Nazar Farma, Hamare Gunahoñ Ko Bakhsh De,
Hamare Fuqara Ko Ameer Kar De, Hamare Dushmanoñ Ko
Barbad Kar De, Be Libason Ko Libas Ata Farma, Qarzoñ Se
Khulaasi ‘Ataa Farma Aur Duniya-O-Akhirat Ki Bhalaiyañ Ataa
Farma. Aye Sab Se Ziyada Rehem Farmane Wale! Aur Maiñ
Allah Ta’ala Par Imaan Lata Hun Aur Usi Par Bharosa Karta
Hun. Tamam Tareefeiñ Allah Ta’ala Ke Liye Haiñ Aur Allah Sab
Se Bada Hai, Alhamdulillah (34 Martaba), Allahu Akbar (33
Martaba), Subhan Allah (33 Martaba) Phir Farmatey! Aye Beti,
Yeh Hikmat Ka Khazana Hai, Nez Aap Radi Allahu Ta’ala Anha
Ne Farmaya Ke Huzoor Nabi Kareem ﷺKi Sahabzadi (Sayyeda
Fatima) Aap ﷺKi Khidmat Meiñ Khadim Lene Ke Liye Hazir Hui
To Aap ﷺNe Irshad Farmaya: ‘Kya Maiñ Tumheiñ Khadim Se
Bhi Behtareen Shay Ke Bare Meiñ Na Batauñ?’ To Aap Radi
Allahu Ta’ala Anha Ne Arz Ki, ‘Kyun Nahi!’ (Zaroor Bataiye) Pas
Huzoor Nabi Kareem Ne Raat Ko Khane Ke Baad Bistar Par
Jaate Waqt Sau (100) Martaba Isey (Subhan Allah 33,
Alhamdulillah 33, Allahu Akbar 34) Padhne Ka Hukm Irshad
Farmaya.
20 | P a g e
(Khayaal Rahe Keh Hazraat E Ahlebait E Kiraam Ridwanullahi Alaihim
Ajmaeen Ke Dar Par Sayilo, Hajatmando, Gareeboñ Ki Bheed Lagey Rehna
Koi Nayi Baat Nahi Balki Zamane Ko Apne Dar Se Paalna Unka Shewa Hai,
In Hazraat Aur As'hab E Kiraam Ne Kabhi Koi Raqam Apne Nafs Ke Liye Sarf
Na Farmayi Aur Kasrat Se Sadqaat Kiya Karte They, Aur Unke Ikhrajat
Gareeboñ Ko Ataa Karna Hote They, Bilkhusoos Sayyedul Askhiya Imaam
Hasan E Mujtaba Radi Al-Maula Ta’ala Anhu Keh Apne Mubarak Joote Aur
Moze Tak Ataa Farmatey They~ Ubaid E Hashmat Ali)
25. Ibn E Asakar Ne Apni Tareekh Meiñ Abul Munzir
Hassham Bin Muhammad Se Un Ke Walid Ke Tariq Par Riwayat
Kiya Hai Ke Hazrat Hasan Bin Ali Radi Allahu Ta’ala Anhuma
Ko Kuch (Zahiri) Tangi Hui, Halañke Unheiñ Salana Ek Lakh Ka
Wazifa Mila Karta Tha Lekin Hazrat Ameer Muawiya Radi
Allahu Ta’ala Anhu Ne Kuch Saloñ Meiñ Woh Wazifa Nah Diya
Jis Ki Wajah Se Shadeed Tareen Tangi Ho Gayi. Toh Aap Ne
Dawaat Laane Ka Hukm Farmaya Taake Hazrat Muawiya Radi
Allahu Ta’ala Anhu Ko Apne Haalaat Ke Baare Meiñ Likh Kar
Wazeefe Ki Adaigi Yaad Dilaye, Phir Achanak Ruk Gaye Aur
Apne Halaat Ke Baare Meiñ Likhne Ko Munasib Khayaal Na
Farmaya. Pas, Huzoor E Kareem SallAllahu Alaihi Wasallam Ka
Khwaab Meiñ Deedar Kiya, Toh Aap SallAllahu Alaihi Wasallam
Ne Daryaft Farmaya: “Aye Hasan, Kaise Ho?” Unho Ne Arz Ki,
“Aye Baba Jaan! Maiñ Khairiyat Se Hun Lekin Apni Maali
Wazife Ki Takheer Hone Ki Shikayat Arz Ki.” Toh Huzoor E
Kareem SallAllahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya: “Kya
Tumne Dawaat Mangayi Thi, Taake Apni Jaisi Makhlooq Ko
Likh Kar Yaad Dilao? Main Ne Arz Ki, “Ji Haañ, Aye Baba Jaan!
Is Ke Alawa Maiñ Kya Karooñ?” Toh Huzoor E Kareem
SallAllahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya: “Aye Jaan E
Pidar, Ye Padho:
21 | P a g e
Yaani, “Aye Allah! Mere Dil Meiñ Sirf Apni Zaat Se Wabasta
Ummeedeiñ Daal Aur Apne Alawa Har Kisi Ki Umeedeiñ Khatm
Farma De Aur Maiñ Bhi Tere Alawa Kisi Aur Se Umeedeiñ
Wabasta Na Rakhun, Aye Allah! Jis Shay Se Mera Nafs Quwwat
Ke Bawajood ‘Aajiz Aa Jaye Aur Mere Aamaal Us Shay Ke Liye
Qaleel Ho Jayeiñ Aur Maiñ Raghbat Ke Bawajood Us Tak Na
Pohoch Saku Aur Mera Sawaal Us Tak Na Pahunch Sake Aur
Na Hi Meri Zabaan Par Aa Sake, Khwah Wo Koi Bhi Shay Ho Jo
Tu Ne Pehlo Aur Pichhlo Ko Bakhshi Haiñ, Toh Aye Allah! Uske
Sath Mujhe Bhi Khas Farma”
Aap Farmate Haiñ Ke Maine Abhi Ek Hafta Hi Isey Padha
Tha Ke Hazrat Muawiya Radi Allahu Ta’ala Anhu Ne Mujhe
22 | P a g e
Panch Lakh Bhijwa Diye, Toh Maine Kaha Ke Tamam Tareefeiñ
Allah Ta’ala Ke Liye Haiñ Jo Apne Zikr Karne Wale Ko Nahi
Bhoolta Aur Apne Maangne Wale Ko Na-Muraad Nahi Karta.
Phir Maine Huzoor E Kareem SallAllahu Alaihi Wasallam Ki
Khwaab Meiñ Ziyarat Ki, Toh Aap Ne Daryaft Farmaya: “Aye
Hasan, Kaise Ho?” Maine Arz Ki, “Aye Allah Ke Rasool! Khairiyat
Se Hun.” Aur Phir Apna Mamla Aap Ko Bayan Kar Diya, Toh Aap
SallAllahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya: “Aye Bete! Jo
Khaliq Se Ummeed Rakhta Hai Aur Makhlooq Ki Taraf
Tawajjah Nahi Karta, Us Ke Saath Aisa Hi Hota Hai.”
(Dusri Fasl)
Barkat-E-Rizq Ke Liye Aa’maal Ke Bare Meiñ
26. Bukhari Hazrat Sayyeduna Abu Hurairah Radi Allahu
Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ, Ke Huzoor E Akram ﷺNe
Irshad Farmaya: Jo Shakhs Chahta Hai Ke Uske Rizq Meiñ
Kushaadgi Aur Umr Meiñ Izafa Kardiya Jaye, To Usey Chahiye
Ke “Sila E Rehmi” (Mominoñ Se Accha Sulook) Kare.
27. Ibn E Majah Hazrat Sayyeduna Anas Radi Allahu
Ta’ala Anhu Se Riwayat Karte Haiñ, Ke Huzoor E Akram ﷺNe
Irshad Farmaya: Jo Shakhs Yeh Chahta Ho Ke Allah Ta’ala Uske
Ghar Meiñ Khair-O-Barkat Nazil Farmaye, Toh Usey Chahiye
Ke Khana Khane Se Pehle Aur Baad Meiñ Wuzu Kare (Yaani
Hath Munh Dho Liya Karey).
23 | P a g e
28. Abdul Razzaq Apni Musannaf Meiñ Hazrat
Muammar Se” Aur Woh Ek Quraishi Shakhs Se Riwayat Karte
Haiñ, Ke Huzoor E Akram ﷺJab Kabhi (Zahiran) Rizq Ki Tangi
Mulaheza Farmate, Toh Apne Ghar Waloñ Ko (Bakasrat)
Namaz Padhne Ka Hukm Irshad Farmate Aur Saath Hi Yeh
Aayat E Mubaraka Padhte:
سـہٴــلُ ہ
ك ْ ہل ن-صلو ِہة ہو اصْط ِب ْہر علہْہيهہاہ َّ ك ِبالہو اْ ُم ْہر ا ْهل ہ
ہو ا ْلعاقِب ہةُ ِللتَّ ْقو ہ- ن ن ْر ُزقُكہ
ى ن ْح ُہ-ِر ْزقًہا
Tarjuma: Aur Apne Ghar Walon Ko Namaz Ka Hukm De
Aur Khud Is Par Sabit Reh, Kuch Hum Tujhse Rozi Nahi Mangte,
Hum Tujhe Rozi Denge Aur Anjaam Ka Bhala Parhezgari Ke
Liye.
29. Saeed Ibn E Mansur Khurasani Apni Sunan Meiñ Aur
Imam Ibn E Munzir Apni Tafseer Meiñ Hazrat Muammar Se
Batariq E Hamzah Az Abdullah Ibn E Salam Radi Allahu Ta’ala
Anhu Riwayat Karte Hain, Keh Unhone Farmaya: Huzoor E
Akram ﷺJab Kabhi Apne Ahl O Ayaal Meiñ Mushkil Ya Tangi
Dekhte, To Unheiñ (Bakasrat) Namaz Padhne Ka Hukm Dete
Aur Saath Hi Yeh Aayat E Kareema Tilawat Farmate:
سـہٴــلُ ہ
ك ْ ہل ن-صلو ِہة ہو اصْطبِ ْہر علہْہيهاہ َّ ك بِالہو اْ ُم ْہر ا ْهل ہ
ہو ا ْلعاقِب ہةُ ِللتَّ ْقو ہ-ك
ى ن ن ْر ُزقُ ہ
ن ْح ُہ- ِر ْزقًاہ.
24 | P a g e
Tarjuma: Aur Apne Ghar Waloñ Ko Namaz Ka Hukm De
Aur Khud Us Par Sabit Reh, Kuch Hum Tujhse Rozi Nahi
Mangte, Hum Tujhe Rozi Denge Aur Anjaam Ka Bhala
Parhezgari Ke Liye.
30. Ahmad Ibn E Hanbal “Kitab Al-Zuhad” Meiñ Aur Ibn
E Abi Hatim Ne Apni Tafseer Meiñ Hazrat Saabit Radiul Maula
Anhu Se Riwayat Kiya Hai, Ke Huzoor E Akram ﷺKe Ahel Meiñ
Jab Koi Badi Sakhti Dar Pesh Hoti, To Aap ﷺApne Ahel Ko
Pukarte Aur Farmate: “Aye Ghar Walo! Aye Ghar Walo! Namaz
Padho.”
Hazrat Saabit Radi Allahu Ta’ala Anhu Farmate Hain: Ke
Ambiya E Kiram Alaihumssalam Par Bhi Jab Koi Museebat Aati,
To Woh Namaz Hi Ki Taraf Daudte They.
31. Tabrani Aur Ibn E Mardaviya Hazrat Ma’az Ibn E Jabal
Se Riwayat Karte Haiñ, Keh Unhone Huzoor E Akram ﷺKo
Irshad Farmate Huve Suna: “Aye Logoñ! Allah Ta’ala Ke Taqwa
Ki Tijarat Karo, Phir Rizq Tumhare Paas Baghair Maal-O-Tijarat
Kiye Aajayega Aur Yeh Ayat Tilawat Farmayi:
ِب
ث ہل یہ ْحتس ُہ ّللا یہجْع ْہل لَّ ہه م ْخر ًجہا َّہو ہی ْر ُز ْق ہهُ ِم ْہ
ن حہْہي ُہ ق ٰہ ن یَّہتَّ ِہ
ہو م ْہ
Tarjuma: (Aur Jo Allah Se Dare, Allah Uske Liye Nijat Ki
Raah Nikal Dega Aur Usey Wahañ Se Rozi Dega Jahañ Uska
Gumaan Na Ho.) Phir Irshad Farmaya, “Aye Abuzar! Agar Log
Isey Thaam Leiñ Toh Yeh Unheiñ Kifaayat Kare.”
25 | P a g e
32. Ahmad Ibn E Hanbal, Nasaai Aur Ibn E Majah Ne
Hazrat Sauban Radi Allahu Ta’ala Anhu Se Riwayat Kiya Hai,
Ke Huzoor E Akram ﷺNe Irshad Farmaya:
“Be-Shak Banda Gunaah Kar Ke Usey Achha Jaanta Hai
Is Liye Rizq Se Mehroom Kar Diya Jata Hai.”
33. Ibn E Abi Hatim Apni Tafseer Meiñ Hazrat Imran Ibn
E Hussain Se Riwayat Karte Haiñ Ke Huzoor E Akram ﷺNe
Irshad Farmaaya: “Jo Allah Ta’ala Ki Taraf Mutawajjah Ho Jata
Hai, Toh Allah Ta’ala Uski Zarooratoñ Ko Poora Farmata Hai
Aur Usey Aisi Jagah Se Rizq Ataa Farmata Hai, Jahan Se Usey
Gumaan Bhi Nahi Hota, Aur Jo Duniya Ki Taraf Mutawajjah
Hota Hai, To Allah Ta’ala Bhi Usey Duniya Ke Hawale Kar Deta
Hai.”
*************
Important Note :- In Saare Wazaayif-O-Dua Ka Faida Usi
Ko Milega Jo Sunni Sahi Ul Aqeeda Hone Ke Saath Saath
Tamaam Bad-Mazhaboñ, Bad-Deenoñ, Kaafiroñ, Murtaddoñ
Wahabiyoñ, Devbandiyoñ, Tabalchiyoñ, Ghair Muqallidoñ,
Raafziyoñ, Qaadiyaaniyoñ Waghairahum Se Qalbi Nafrat
Rakhta Ho, Aur Unse Door O Nafoor Rehta Ho.
Warna Usi Rabb Ke Dushmano Se Meyl-Jhol, Dosti Yaari,
Rishtedari Rakh Kar Usi Se Mangte Ho? Tajjub Hai!