Mukhtar E Qul
Pesh E Nazar
Tamam Taarif ALLAH Taala K Liye,Hum Chahe Jitni Hi Hamd Bayan Kare Tamam K Tamam Kam
Hai,Alhamdulillah
Tamheed
Hadees Shareef Me Aata Hai NABI ﷺNe Farmaya Hazrat Moosa Alaihissalam Ki Ummat 71 Firqo
Me Bati Aur Hazrat Esa Alaihissalam Ki Ummat 72 Firqo Aur Meri Ummat 73 Firqo Me Batjayegi Aur
Is Hadees E Paaak Per Tamam Firqo Ka Manna Hai Yeh Hai Sahi Hadees Hai,Isme Koi Shak O Shuba
Nai,Ab Yeh Alag Alag Firqe Kaise Wajud Me Aaye,Is Per Ullema E Kram Ne Bahut Se Kitabein Likhi Hai
Aur Haqeeqat B Yahi Hai In Sabke Aqeede Haq Se Juda Hogaye Aur Inhone Apna Alag Firqa Bana
Liya,Baqaul Hadees Mubarak K Haq Jamat Ahle Sunnat Wal Jamaat Hai Aur Yehi Sawad E Azam
Hai.Ab Infirqo Me Ek Yeh Aqeeda B Gadliya K NABI ﷺKisi Chiz Ka Ikhtiyar Nai Rakhte.
Taqwiyatul Imaan Safa 51 Per Ismail Dehlvi Likhta Hai “Jiska Naam Mohammad Ya Ali Hai Who Kisi
Chiz K Mukhtar Nai” Isi Tarah Wahbi Jamat B Munkir Hai Per Ahle Sunnat Wal Jamat Ka Aqeeda Hai
“ALLAH Taala Ne Aapko Mukhtar E Qul Banaya Hai” Aur Alhamdulillah Is Per Hum Dalail Pesh Karege
Aur Deobandi Wahbi Ka Radd B,In Sha ALLAH Taala.
Zahen Is Mauzu Per Banana K Liye Ek Missal Dena Chahta Hu , Jaise K Aap K Jism Me Jitney Aazah
Hai,Aur Usper Apka Ikhtiyar ,Haqeeqat Toh Yahi Hai K ALLAH Taala K Hukm K Bina Ek Patta Nai Hilta
Toh Aap Apne Jism Me Apni Marzi Se Kya Harkat Karoge Magar ALLAH Taala Ki Ataa Se Aapka Apne
Jism Per Pura Ikthiyar Hai,Uthna Baithna Chalna ,Khana Khaana,Sona,Jaagna ,Chahe Jis Tarah Ki
Harkat Aap Dena Chahe Aap De Sakte Hai Aur Yeh Qul Ikhtiyar Aapko ALLAH Taala Ne Ataa Kiya
Hai,Ab Ikhtiyar Dediya Toh Marte Dum Tak Aap Apne Jism Per Purey Ikhtiyar Rakhte Ho,Bilkul Isi
Tarah ALLAH Taala Ki Ataa Se Ambiya E Kram Ko Hum Aam Insaan Se Zyada Ka Ikhtiyar Diya,Aaye
Quran O Hadees Ki Roshni Me Dalail Pesh Karte Hai.
Daleel
Quran Shareef
Ayat # 1
Surah Nisa Aayat # 65
Tarjuma Kanzul Imaan : “Toh Aye Mehboob Tumhare Rab Ki Qasam Wah Musalman Na Hoge Jabtak
Apne Apas K Jhagde Me Tumhe Hakim Na Banaye Phir Jo Kuch Tum Hukm Farmado Apne Dilon Me
Issey Rukawat Na Paaye Aur Jee Se Maanle”
Jab Sahaba E Kram Me Jhagda Hua Tab Yeh Aayat Ka Nuzul Hua Aur NABI ﷺKi Shaan E Azmat B
Zahir Hogai K Apas K Jhagde Me Hakim Na Banana Wala Musalman Nai Kya Yeh Ikhtiyar Nai ??
Ayat # 2
Surah Ahzab Ayat # 36
Tarjuma Kanzul Imaan : “Aur Kisi Musalman Mard Na Musalman Aurat Ko Pahuchta Hai K Jab ALLAH
Wa Rasul Kuch Hukm Farmade Toh Inhe Apne Muamla Ka Kuch Ikhtiyar Rahe.
Yaani ALLAH Aur NABI ﷺKa Hukm Baad Ummat Ka Kuch Ikhtiyar Nai,Issye B Saabit Hai Ikhtiyar E
Mustafa ﷺ.
Ayat # 3
Surah Al Araf Ayat # 157
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Suthri Chizen Inke Liye Halal Farmayega Aur Gandi Chizen Inper Haram
Karega”
Subhan ALLAH Yeh B Ikhtiyar Hasil K Acchi Chizen Halal Karde Toh Halal Aur Haram Farmade Toh
Haram.
Ayat # 4
Surah Tauba Ayat # 29
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Haram Nai Mante Is Chiz Ko Jisko Haram Kiya ALLAH Aur Uske Rasul Ne”
Subhan ALLAH
Is Ayat Se Saaf Wazeh Hogaya Ki Nabi ﷺK Liye “Haram Qarar Dene” K Ikhtiyar Ko Na Manne Wala
Kafir Sifat Hai,Musalman Ki Nai.
Ayat # 5
Surah Tauba Ayat # 74
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Inhe (Yaani Kuffar Aur Munafiq Ko) Kya Bura Yahi Na K ALLAH Aur Uske
Rasul Ne Inhe (Yaani Musalman Ko) Apne Fazl Se Gani Kardiya”
Subhan ALLAH, Agar Ikhtiyar Na Hota Toh Gani Kaise Karte.
Ayat # 6
Surah Tauba Ayat # 59
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Kya Accha Hota Agar Wah Isper Razi Hote Jo ALLAH Aur Rasul Ne Inko
Diya”
Subhan ALLAH ,Kaun Deta Hai Dene Ko Muh Chahiye , Dene Wala Hai Saccha Humara Nabi ﷺ.
Ayat # 7
Surah Al Ahzab Ayat # 37
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur Aye Mehboob Yaad Karo Jab Tum Farmate The Ussey Jisey ALLAH Ne
Ne’mat Di Aur Tumne Isey Ne’mat Di”
Subhan ALLAH, Nabi ﷺALLAH Ki Ataa Se “Gani” “Ataa Karna” “Ina’am Farmane Wala” Per Ikhityar
Hai.
Ayat # 8
Surah Al Hahsr Ayat # 7
Tarjuma Kanzul Imaan: “Aur (Jo) Kuch Tumhe Rasul Ataa Farmaye Wah Lelo Jissey Mana Farmaye
Baaz Aao”
Subhan ALLAH , Issey Saabit Hua K Nabi ﷺJo Kuch Chahe Ataa Farmane Aur Jo Kuch Chahe Mana
Farmane Ka Ikhtiyar Rakhte Hai
Ayat # 9
Surah Nisa Ayat # 78
Tarjuma Kanzaul Imaan: “Tum Jaha Kahi Ho Maut Tumhe Aalegi Agarche Mazboot Qilo’n Me Ho”
Is Ayat Se Malum Hua Ki Maut Per Kisi Ka Zor Nai,Koi Jaha Kahi B Chup Jaye Maut Usko Usi K Maqam
Per Daboch Legi Aur Jab Maut Ka Waqt Aajaye Toh Phir Lamha Bhar B Taqdeem Wa Taakhir Mumkin
Nai.
Ab Is Aayat Ko Zahen Me Rakhe Aur Ikhtiyar E Ambiya Alaihissalam Dekhe .
Hadees
Sahi Muslim Jild 2 Safa 267 Hadees 2372, English Book 43 Hadith 206 & Book 30 Hadith 5851Kitab Al
Fazail
َحَّدَثَنا، َقاَل َعْبٌد َأْخ َبَر َنا َوَقاَل اْبُن َر اِفٍع، َوَعْبُد ْبُن ُح َمْيٍد، َوَحَّدَثِني ُمَح َّمُد ْبُن َر اِفٍع
َقاَل، َعْن َأِبي ُهَر ْيَر َة، َعْن َأِبيِه، َعِن اْبِن َطاُوٍس، َأْخ َبَر َنا َمْعَمٌر، َعْبُد الَّر َّز اِق
َأ ُأ
ْر ِس َل َمَلُك اْلَمْوِت ِإَلى ُموَس ى َعَلْيِه الَّس َالُم َفَلَّما َج اَءُه َصَّكُه َفَفَق َعْيَنُه َفَر َجَع
َأ
َفَر َّد الَّلُه ِإَلْيِه َعْيَنُه- َقاَل- ِإَلى َر ِّبِه َفَقاَل ْر َس ْلَتِني ِإَلى َعْبٍد َال ُيِريُد اْلَمْوَت
َوَقاَل اْر ِج ْع ِإَلْيِه َفُقْل َلُه َيَضُع َيَدُه َعَلى َمْتِن َثْوٍر َفَلُه ِبَما َغَّطْت َيُدُه ِبُكِّل َش ْعَر ٍة
َأ َأ َأ
َقاَل َفاآلَن َفَس َل الَّلَه ْن ُيْدِنَيُه ِمَن. َس َنٌة َقاَل ْى َر ِّب ُثَّم َمْه َقاَل ُثَّم اْلَمْوُت
َأل
ا ْر ِض اْلُمَقَّدَس ِة َر ْمَيًة ِبَحَج ٍر َفَقاَل َر ُس وُل الَّلِه صلى الله عليه وسلم " َفَلْو
" ُكْنُت َثَّم َألَر ْيُتُكْم َقْبَر ُه ِإَلى َج اِنِب الَّطِريِق َتْح َت اْلَكِثيِب اَألْح َمِر
Tarjuma
Hazrat Abu Huraira رضي الله عنهRiwayat Karte Hai K Rasul ALLAH ﷺNe Farmaya K Malakul Maut
Alaihissalam Musa Alaihissalam K Paas Aaye Aur Unse Kaha K Apne Rab K Paas Chale (Yaani Aapki
Rooh Qabz Karne Aaya Hu) ,Hazrat Musa Alaihissalam Ne Malakul Maut Ko Aisa Tamacha Maara K
Inki Aankh Nikal Di,Malakul Maut Alaihissalam ALLAH Taala K Paas Laut Gaye Aur Arz Ki Aye Baari
Taala Tune Mujhe Apne Aise Bande K Paas Bhejdiya Jo K Maut Ka Toh Rakhta Hi Nai Aur Isne Toh
Meri Aankhen B Nikal Di Pas ALLAH Taala Ne Malakul Maut Ki Aankhen Lauta Di Aur Farmaya K Mere
Bande K Paas Jao Inse Kahe K Kya Aap Zindagi K Iradah Rakhte Hai ?Pas Aap Zindagi Ka Iradah Rakhte
Hai Toh Apna Haath Bail K Pusht Per Rakhe,Jitney Baal Aapke Haath K Niche Aajayege,Utne Saal
Aapko Mazeed Zindagi Dedijayegi,Hazrat Musa Alaihissalam Ne Kaha Phir Kya Hoga,Malakul Maut
Alaihissalam Ne Arz Ki Phir Akhikar Aapko Maut Ayegi Toh Hazrat Musa Alaihissalam Ne Kaha Phir
Toh Ab Qarib Hai(Yaani Apne Maut Ko Isi Waqt Ikhtiyar Karliya) Hazrat Musa Alaihissalam Ne Arz Ki
Aye ALLAH Taala Baitul Muqaddas Se Ek Phattar Phenke Jaane K Faasle Ki Mikdaar Per Meri Rooh
Qabz Karna ,Rasul ALLAH ﷺSe Farmaya ALLAH Ki Qasam Agar Me Is Jagah Hota Toh Me Tumko
Kasyb Ahmer (Jagah Ka Naam)Paas Raste Ki Ek Janib Me Musa Alaihissalam Ki Qabr Dekhta.
Is Hadees E Paak Se Saaf Zahir Hota Hai K Ambiya E Kram Ko Maut Wa Hayat Per Ikhtiyar Hota Hai.
Ikhtiyar E Musataf ﷺHadees Shareef Se
Hadees # 1
Tarjuma:
" Hazrat Uqba Ibne Aamir Se Marawi Hai Ki Huzoor ﷺNe Irshad Farmaya Ki Main Apne Houz Ko Is
Waqt Dekh Raha Hu, Aur Mujh Ko Tamam Roo E Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Di Gai Hai "
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 189 Kitab 23 Hadees 1344, English Book 23 Hadith 428
Sahih Muslim Jild 2 Safa 250 Hadees 5874, English Book 30 Hadith 5688
Is Hadees Shareef Me Huzoor ﷺNe Houze Kouser Ko Apna Houz Farmaya Goya Aap Iske Malik Hai
Aur Saari Roo E Zameen Ke Khazano Ki Kunjiya Khuda E Ta'ala Ne Aap Ko Ata Farmayi Hai Yaani Malik
Wa Mukhtar Hai.
Ek Aur Riwayat Me Aata Hai
Hazrat Sauban رضي الله عنهSe Rivayat Hai K Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلمNe Farmaya
Aye Logo Allah Ne Jamin Ko Mere Liye Lapet Diya Hai Yaha Tak K Maine Jamin K Mashrik Ko Bhi Dekh
Liya Aur Magrib Ko Bhi Dekh Liya Hai Aur Allah Ne Do Khazane Mujhe Ata Kiya Ek Surkh Khajana Aur
Ek Safed (White) Khajane.
Sahi Muslim Jild 2 Safa 390 Hadees 2889, English Book 24, Hadees 25
Hadees # 2
Tarjuma:
" Hazrat Ameere Muaaviya رضي الله عنهNe Logo Ko Khitab Karte Hue Farmaya Ki Huzoor ﷺKo
Maine Ye Farmate Hue Suna Hai Ki Allah Ta'ala Jis Se Bhalai Ka Irada Farmata Hai Usko Deen Me
Samajh Ataa Farmata Bai Aur Beshaq Main Bantne Wala Hu Aur Allah Ta'ala Dene Wala"
Sahih Bukhari Jild 1 Safa 16, English Jild 1 Kitab 3 Hadith 71
Is Hadees Se Saaf Wazeh Hogaya,Haqeeqi Dene Wala Beshak ALLAH Taala Hi Hai Aur Baantne Waley
Noor E Mustafa ﷺHai.Yaani Ta Qayamat Tak Jo B Ummat Me Batega Tamam Ikhtiyar E Mustafa ﷺ
K Haath Se Batega.
Hadees # 3
Tarjuma:
Hazrate Sayeedna Ayesha Siddiqua رضي الله عنهاSe Marvi Hai Ki Rasoolullah ﷺNe Irshad
Farmaya--Aye Ayesha Agar Main Chahu To Mere Sath Sone Ke Pahaad Chala Kare.
????
Mishkat Sharif Jild : 03, Kitabul Fitan Baab : Fi Akhlakihi Wa Shamailihi , Hadees : 5586
Imam Baghawi As Shafai, Sharaus Sunnah, Hadees : 3683
Is Hadees Se Saaf Zahir Hai K Aap K Chahne Se Yaani Is Per B Ikhtiyar K Chahe Toh Ya Na Chahe Toh
Sone Ke Pahad Saath Chale.
Hadees # 4
Tarjuma:
Hazrate Bara'a Farmate Hai Ki Mere Ek Mamu Jinka Naam Abu Darda Tha Unhone Eid Ki Namaz Se
Pehle Qurbani Kar Di To Unse Rasoolullah ﷺNe Irshad Farmaya Tumhari Wo Qurbani To Gosht Ho
Gai. ( Yaani Qurbani Ka Sawab Nahi Milega ) To Unhone Ne Arz Kiya Yaa Rasoolullah ﷺMere Paas
Ek Palaa Hua 6 Maah Ka Bakri Ka Baccha Hai Uski Qurbani Kar Du ? Huzoor ﷺNe Irshad Farmaya Iski
Qurbani Kar Do . Lekin Ye Ijazat Sirf Tumhare Liye Hai . Tumhare Alawa Kisi Aur Ke Liye 6 Maah Ka
Bakri Ka Baccha Kaafi Nahi Hai .
????
Bukhari Jild 2 Safa 833 Hadith 75
Yani Huzoor ﷺNe Apne Khudadad Ikhtiyarat Se Janab Abu Darda Ke Liye Sirf 6 Maah Ke Bakri Ke
Bache Ki Qurbani Jayaz Farma Di. Lehaza Manna Padega Ki Beshaq Allah Ta'ala Ne Apne Rasool ﷺ
Ko Mukhtar Bana Kar Bheja Hai.
Hadees # 5
Sahi Muslim Hadees 489, English Book 4 Hadith 256 & 990
، َقاَل َس ِمْعُت اَألْوَز اِع َّي، َحَّدَثَنا ِهْقُل ْبُن ِزَياٍد، َحَّدَثَنا اْلَح َكُم ْبُن ُموَس ى َأُبو َصاِلٍح
َأ َأ
َحَّدَثِني َر ِبيَعُة ْبُن َكْعٍب، َحَّدَثِني ُبو َس َلَمَة،َقاَل َحَّدَثِني َيْحَيى ْبُن ِبي َكِثيٍر
َأ َأ
َقاَل ُكْنُت ِبيُت َمَع َر ُس وِل الَّلِه صلى الله عليه وسلم َف َتْيُتُه ِبَوُضوِئِه، اَألْس َلِمُّي
َأ َأ َأ
َقاَل " َوَغْيَر. َفُقْلُت ْس ُلَك ُمَر اَفَقَتَك ِفي اْلَجَّنِة. " َوَح اَجِتِه َفَقاَل ِلي " َس ْل
. " َقاَل " َفَأِعِّني َعَلى َنْفِس َك ِبَكْثَر ِة الُّس ُج وِد. ُقْلُت ُهَو َذاَك. " َذِلَك
Tarjuma:
Hazrat E Rabiya Bin Kaab Aslami Raziallahu Anho Kahte Haiń Ke Mai Raat Ko
Huzoor ﷺKi Khidmat Me Rahta Tha.Mai Huzoor ﷺKo Wazu Ke Liye Paani Aur Digar Samaan-E-
Zarurat Pesh Karta To Huzoor ﷺNe Farmaya "JO CHAHO MANG LO".Maine Arz Kiya
"HUZOOR JANNAT MANGTA HU AUR USME AAPKA SATH". Huzoor ﷺNe Farmaya "ISKE ALAWA AUR
BHI KUCH MANGNA HAI???". Maine Arz Kiya "Huzoor Yahi Chahiye" Farmaya"Zyada Sajdo Se Apne
Nafs Ki Islaah Karke Meri Muawinat(Himayat) Karo".
Is Hadees Ki Sharh Me Hazrat Mulla Ali Qari Rahimahullah Mirqat Jild 2 Me Likhte Hai
Tarjuma:
"ALLAH Ne Apko Quwwat Ata Farmayi Hai Ki Aap Jo Chahe ALLAH Ke Khazane Me Se De Sakte Hain”
Scan Page:
Is Hadees Per 34 Shawahid Maujud Hai Sahi Muslim Ko Milakar , Shawahid Link:
Http://Library.Islamweb.Net/Hadith/Hadithservices.Php?Type=2&Cid=2682&Sid=2901
Is Hadees Per Hazrat Sheyckh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi Iski Sharah Ashat Ul Lamat Jild 1 Safa 106
Chapi Farid Book Stall Me Likhte Hai “NABI ﷺJo Chahe Jisko Chahe Jitna Chahe ALLAH K Hukm Se
Dede”
Is Hadees Se Saaf Shaffaf Zahir Hua Ki NABI ﷺJo Chahe Jisey Chahe Ataa Karde Yaani Mukhtar E Qul
Hai Aur Isme Koi Do Rai Nai.
Hadees # 6
Sunan Abu Dawud Kitab Al Kharaj,Wal-Fai,Wal Imarah, Hadees 3026,English Book 20 Hadith 99 &
Book 19 Hadith 3020
َأ َأ
َعْن َح َّماِد، َحَّدَثَنا ُبو َداُوَد- َيْعِني اْبَن َمْنُج وٍف- ،َحَّدَثَنا ْح َمُد ْبُن َعِلِّي ْبِن ُس َوْيٍد
َأ َأ
َثِقيٍف، َّن َوْفَد، َعْن ُعْثَماَن ْبِن ِبي اْلَعاِص، َعِن اْلَح َس ِن، َعْن ُح َمْيٍد،ْبِن َس َلَمَة
َلَّما َقِدُموا َعَلى َر ُس وِل الَّلِه صلى الله عليه وسلم َأْنَز َلُهُم اْلَمْسِج َد ِلَيُكوَن َأَر َّق
َأ
ِلُقُلوِبِهْم َفاْش َتَر ُطوا َعَلْيِه ْن َال ُيْح َش ُر وا َوَال ُيْعَش ُر وا َوَال ُيَجُّبوا َفَقاَل َر ُس وُل الَّلِه
َأ
صلى الله عليه وسلم " َلُكْم ْن َال ُتْح َش ُر وا َوَال ُتْعَش ُر وا َوَال َخ ْيَر ِفي ِديٍن َلْيَس
" ِفيِه ُر ُكوٌع
Tarjuma:
Mukhtasar Kartau: “Zakat Aur Jihad Tark Karne Ki Shart Per Qabul Islam”
Subhan ALLAH,Nabi ﷺNe Qafiley Walo Ki Is Shart Ko Maanliya Aur Apna Ikhtiyar Bataya Aur Unhe
Islam Me Dakhil Karwaya.
Hadees # 7
Abu Dawud Shareef Kitab As Salat Jild Safa 67 , Musnad Imam Ahmed Bin Hanbal Jild 5 Safa 420 Safa
363 Hadees 43.
Mukhtasar Tarjuma: “Rasul ALLAH ﷺNe 3 Namaz Muaf Farmadi”
Subhan ALLAH
Hadees # 8
2 Nama Ko Ek Waqt Me Jama Karna,Chunke Quran Shareef Me ALLAH Taala Ne Farmaya
Surah Nisa Ayat 103
Tarjuma Kanzul Imaan: “Beshak Namaz Musalmano Per Waqt Bandha Hua Farz Hai”
Yaani Har Namaz Ko Waqt Per Padha Jaye Lekin NABI ﷺK Ikhitiyar Per Qurban Jaye ,Hadees Me
Aata Hai
Sahi Bukhari Jild 1 Safa 227
Tajuma: “Hazrat Abu Ayub Ansari Radia Taala Anhu Riwayat Karte Hai K Janab Rasul ALLAH ﷺNe
Hujjatul Wada K Mauqa Per Mazdalfa’a Me Magrib Aur Isha Ko Jamaa Karke Padha”
Tahsreeh: Ahnaaf K Nazdeek Siwaye Hajj K Dono Namazo Ko Ek Waqt Me Karke Padhna Haram Hai
Kyukay Sarkar ﷺNe Rukhsat Sirf Arfaat Aur Madalfa’a Me Di Hai.
Subhan ALLAH.
Hadees # 9
Sahi Muslim Kitab Al Fazail Jild 2 Safa 253 Hadees 2311 , English Book 43 Hadith 76 & Book 30 Hadith
5726 ,
Sahi Bukhari Kitab Al Adab Jild 2 Safa 891 ,Hadees 6034 ,English Book 78 Hadith 64 & Jild 8 Book 73
Hadtih 60.
َقاَل َس ِمْعُت َج اِبًر ا ـ، َعِن اْبِن اْلُمْنَكِدِر، َأْخ َبَر َنا ُس ْفَياُن،َحَّدَثَنا ُمَح َّمُد ْبُن َكِثيٍر
رضى الله عنه ـ َيُقوُل َما ُس ِئَل الَّنِبُّي صلى الله عليه وسلم َعْن َش ٍء َقُّط
ْى
َال
. َفَقاَل
Tarjuma: “Hazrat Jabir Bin Abdullah رضي الله عنهBayan Karte Hai K Kabhi Aisa Nahi Hua K Rasul
ALLAH ﷺSe Kisi Chiz Ka Sawal Kiya Gaya Ho Aur Apne “Nahi” Farmaya Ho”
Subhan ALLAH
Hadees # 10
Sahi Muslim Kitab Al Jihad Jild 2 Safa 94 Hadees 1765, English Book 32 Hadith 72,Book 19 Hadith
4363
َحَّدَثَنا ُقَتْيَبُة ْبُن َس ِعيٍدَ ،حَّدَثَنا َلْيٌث َ ،عْن َس ِعيِد ْبِن َأِبي َس ِعيٍدَ ،عْن َأِبيِهَ ،عْن َأِبي،
ُهَر ْيَر َة َأَّنُه َقاَل َبْيَنا َنْح ُن ِفي اْلَمْسِج ِد ِإْذ َخ َر َج ِإَلْيَنا َر ُس وُل الَّلِه صلى الله عليه
وسلم َفَقاَل " اْنَطِلُقوا ِإَلى َيُهوَد " َ .فَخ َر ْجَنا َمَعُه َحَّتى ِج ْئَناُهْم َفَقاَم َر ُس وُل الَّلِه
صلى الله عليه وسلم َفَناَداُهْم َفَقاَل " َيا َمْعَش َر َيُهوَد َأْس ِلُموا َتْس َلُموا " َ .فَقاُلوا
َقْد َبَّلْغَت َيا َأَبا اْلَقاِس ِم َ .فَقاَل َلُهْم َر ُس وُل الَّلِه صلى الله عليه وسلم " َذِلَك
َأ ُأ َأ
ِريُد ْس ِلُموا َتْس َلُموا " َ .فَقاُلوا َقْد َبَّلْغَت َيا َبا اْلَقاِس ِم َ .فَقاَل َلُهْم َر ُس وُل الَّلِه
صلى الله عليه وسلم " َذِلَك ُأِريُد " َ .فَقاَل َلُهُم الَّثاِلَثَة َفَقاَل " اْعَلُموا َأَّنَما
َأ ُأ َأ ُأ
اَألْرُض ِلَّلِه َوَر ُس وِلِه َو ِّني ِريُد ْن ْج ِلَيُكْم ِمْن َهِذِه اَألْر ِض َفَمْن َوَجَد ِمْنُكْم ِبَماِلِه
َش ْيًئا َفْلَيِبْعُه َوِإَّال َفاْعَلُموا َأَّن اَألْرَض ِلَّلِه َوَر ُس وِلِه " .
” Ki Haiﷺ Tarjuma Mukhtasar: “Tamam Zameen ALLAH Taala Aur Uske Rasul
Jisko Chahe Jo Zameen Se Chahe Dede.ﷺ Subhan ALLAH, Yaani ALLAH Taala K Hukm Se Nabi
Alhamdulillah,Hum Chahe Toh Issey Kahi Zyada Hadees Bayan Karsakte Hai Ikhtiyar Per Lekin Itni
Kaafi Hai Haq Samajne Walo Ko.
Wama Alayna Illal Balag
-Shaikh Mohammad Imran Saifi
-Sunni Hanfi Organisation