0% found this document useful (0 votes)
1K views97 pages

Hongey Juda Na Hum

The story revolves around a boy named Armaan who is infatuated with a girl named Ruby, whom he sees daily at the bus stop. As their friends tease him about his feelings, both Armaan and Ruby experience a mutual attraction but are hesitant to express it. Their connection deepens over time, leading to moments of longing and missed opportunities, culminating in a chance encounter at a market where they finally learn each other's names.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
0% found this document useful (0 votes)
1K views97 pages

Hongey Juda Na Hum

The story revolves around a boy named Armaan who is infatuated with a girl named Ruby, whom he sees daily at the bus stop. As their friends tease him about his feelings, both Armaan and Ruby experience a mutual attraction but are hesitant to express it. Their connection deepens over time, leading to moments of longing and missed opportunities, culminating in a chance encounter at a market where they finally learn each other's names.

Uploaded by

tarrriq
Copyright
© © All Rights Reserved
We take content rights seriously. If you suspect this is your content, claim it here.
Available Formats
Download as PDF, TXT or read online on Scribd
You are on page 1/ 97

HONGEY JUDA NA HUM

Aazad nagar sahar ki sabse badi aabadi wala area sahar ki 30% aabadi issi area me rehti
hai

kahani suru hoti hai Aazad nagar ke bus stop se jaha kuch log khade bus ka wait kar rahe
the subah ke 8 baje the sabko jaldi thi kisi ko office pahuchne ki jaldi kisi ko college jane
ki jaldi kisi ko kuch kisi ko kuch kulmilakar iss waqt sabhi ko apni manzil tak pahuchne ki
jaldi thi zahir si baat hai jaha bheed hogi waha shoor sharaba bhi hoga koi bus wale ko
galiya de raha tha to koi apne office ke boss ko par in sab se bekhabar ek ladka jiski aankhe
lagatar sadak ke ek mod par hi tiki hui thi usse na to kisi aur ki aawaz sunai de rahi thi aur
na hi usse kahi jane ki koi jaldi thi uske saath bus stop par khade uske dono dost usse kuch
keh rahe the par sab bekar tha kyuki wo iss waqt kuch bhi sunne hi halat me nahi tha na
jane uski ye tarasti aankhe kise dhund rahi thi uska wo bechain dil dhadak to raha tha par
na jane kiske liye apne dosto ki bakwas se tang aakar wo ladka gusse se bola

Ladka:- Aadil (ladke ka dost) tu thodi der ke liye chup rahega ya fir main apne tareeke se
tera mouh band karau

Aadil:- yaar tujhe subah subah kya ho jata hai baki time to tu bilkul normal rehta hai tabhi
unka ek aur dost (Junaid) bol pada

Junaid:- tujhe nahi pata kya in janab ka mood subah 15 minute tak kharab rehta hai 8 se
8:15 tak fir jab ek haseen si mohtarma samne uss gali ki mod se apni patli si kamar ko
nagin ki tarah balkhati hui yaha aa jayegi tab apne bhai jaan ka chehra khushi se khil uthta
hai Aadil hairat se puchta hai

Aadil:- acha par ye sab kab se chal raha hai aur in janab ko ye rog kaise lag gaya ye to
hamesha se in sab se koso dur bhagte the

Junaid:- tu to aaj hi apne khala ke yaha se wapas aaya hai tujhe kaise pata chalega ye
janab in 3 dino me pure aashiq ban gaye hain tabhi wo ladka gusse se dono ko ghurte hue
bola

Ladka:- abe aisa kuch bhi nahi hai Junaid tu apni bakwas band kar warna tera hi haath tere
pichwade daal dunga

Aadil:- (haste hue) kuch to gadbad hai warna hamare khus mizaj bhai ko itna gussa kabhi
nahi aata zara hum bhi to dekhe aakhir wo bala hai kya cheej isse pehle ki wo ladka kuch
kehta samne se aa rahi uss katil dilnashi dilkash nazare ko dekh kar wo khamosh ho gaya
ek behad haseen si pari safed salwar suit pehne ussi bus stop ki taraf chali aa rahi thi uske
haatho ki hari kaanch ki chudiyo ki khanak aur pairo ki chandi ki payal ki chan chan itne
shoor me bhi wo ladka achi tarah sun sakta tha suraj ki kirne jab uss ladki ke kaano ki sone
ki baliyo me padti to uss chamak se ladke ki aankhe bhi chamak uthti ladki apni nazuk
ungliyo ko apne kaale reshmi baalo ki lato me pherti hui jaise jaise nazdeek aati utni hi
fizao me khusboo phailti jati ladka uss khusboo me madhosh sa ho gaya usne apni aankhe
band ki aur uss khusboo ko apni rooh me utarta chala gaya uski aisi halat dekh Junaid
dheere se Aadil ke kaan me kehta hai

Junaid:- dekha ye hi hai wo ladki jiske liye ye deewana ho gaya hai pichle 3 dino se ye hi
silsila chal raha hai ye ladki uss mod se apne college jane ke liye aati hai aur hamare bhai
sahab bas ek tak usse hi dekhte rehte hain ek baar bhi baat nahi ki uss ladki se ye bhi nahi
pata ki wo rehti kaha hai yaar naam tak to pata nahi uska bas itna pata hai ki SS college
me padhti hai

Aadil:- jab isse ladki ke bare me kuch nahi pata to college ka kaise pata chala

Junaid:- yaar ye hamare hi bus me safar karti hai aur hamare stop ke baad utarti hai ek
baar maine iska peecha kiya to pata chala

Aadil:- yaar to iska naam aur address bhi pata karna tha

Junaid:- tune aaj subah jo meri peeth par nishan dekhe the wo kahi girne se nahi aaye the
iss jallad ne peeta tha jab maine isse bataya ki maine uska college pata karne ke liye
peecha kiya hai

Aadil:- ajeeb aadmi hai ye aise kewal dekhte rehne se bhala kya milega kam se kam jake
uss ladki se baat to kare

Junaid:- ek kaam kar tu usse bol ki jake baat kar kaam khuda ki tu 2 din tak apna jabda
nahi hila payega in dono ki baato se bekhabar wo ladka apni madhoshi me khoya hua tha
ki tabhi bus aa gayi aur bus ke tez horn se ladki ki madhoshi tuti bus puri bhari hui thi aur
hoti bhi kyu na subah ka waqt jo tha majburan bohat se log khade khade hi safar kar rahe
the wo ladka bhi apne dosto ke saath khada tha wo bus ke aage wale hisse ki taraf tha aur
wo ladki uss se kafi fashle par bus ke peeche wale hisse par khadi thi wo ladka abhi bhi
apni tirchi nigaho se ussi ladki ko dekhe ja raha tha

Ladka:- (mann main) kaash ki upar wala mujh par thoda meharbaan ho jaye aur ye haseen
pari mere dil ki shehzadi ban jaye thaam le agar ye haath mera to jeete jee mujhe jannat
naseeb ho jaye dosto mohabbat me itni bekarari itni tadap sirf uss ladke ko hi nahi thi uss
ladki ka bhi yahi haal tha bas wo apne chahre par uthte bhaawo aur apne jazbaato par kisi
tarah se kabu rakhe hue thi aur wo bhi beech beech me chupke se ek nazar uss ladke par
daal hi deti

Ladki:- (mann main) ye kya ho gaya hai mujhe kyu ek anjana mujhe apna sa lagne laga hai
kyu mera dil har waqt bechain sa rehne laga hai jab ye paas hota hai to aisa lagta hai ki
sari duniya ki khushi mujhe mil gayi ho par isse dur hote hi yahi ehsaas tab kyu nahi hota
kyu tab mann udaas ho jata hai meri saheliya kehti hain ki mujhe iss se pyar ho gaya hai
ho sakta hai ki wo sahi hon tabhi to har roz bas issi ke liye sajti sawarti hon jab ye bus se
utar ke apne college jata hai main tab tak khidki me se jhankti rehti hon jab tak ye meri
aankho se ojhal nahi ho jata agar issi ko pyar kehte hain to han mujhe isse pyar hai be
inteha pyar mann to kar raha hai ki abhi bhaag ke uske seene se lipat jaon aur kar du apni
mohabbat ka izhaar par darti hon iss samaj se samaj ke thekedaro se jinhe kisi ke pyar ki
kisi ke jazbaat ki koi perwah nahi hoti unhe to bas ek mauka chahiye kisi ka tamasha
banane ke liye aur main apne mohabbat ka tamasha bante hue nahi dekh sakti kaash koi
karishma ho jaye aur ye shehzada mera ho jaye tabhi bus ruki aur ladki apne khayalo se
bahar aayi usne ek nazar uss ladke par dali ladka apne dosto ke saath bus se utar raha tha
yani ki uska college aa gaya tha dono ek dusre se juda to nahi hona chahte the par kya
kare abhi waqt jo nahi aaya tha unke milan ka pichle kuch dino se har roz ye hi silsila chal
raha tha aur aage ke 2 dino tak bhi aisa hi chalta raha ladka besabri se bus stop par uss
ladki ka wait karta aur ladki saj sawar ke aati dono chori chori ek dusre ko dekhte aur aahe
bharte iss se aage badhne ki himmat kisi me bhi nahi thi fir ek din aisa aaya jab dono ko
pehli baar ek dusre ka naam pata chala dil jhoom utha tha dono ka apni mohabbat ka
naam sunke

Aaj sunday tha yani college ki chutti aaj dono ka dil bohat udaas tha kyuki ek dusre ko
dekh jo nahi paye the dono apne apne gharo me ek dusre ki yaad me tadap rahe the lekin
shayad unki ye tadap upar wale se na dekhi gayi ladki ki kuch saheliya ladki ka dil behlane
ke liye usse zabardasti apne saath market le gayi pehle to wo bohat mana karti rahi lekin
unki zidd ke aage ladki majboor ho gayi aur na chahte hue bhi usse unke saath jana pada
kismat se ladke ka dost Aadil bhi ussi market me apne kisi kaam se aaya hua tha uski nazar
jaise hi uss ladki par padi to usne jhat se apne dost ko call kiya

Aadil:- yaar tu jaldi se Naveen market aa ja ek surprise hai

Ladka:- nahi yaar abhi mera mood theek nahi hai

Aadil:- ek baar tu yaha aa to sahi khushi se uchal padega


Ladka:- (gusse se) ek baar me tujhe baat samajh me nahi aati kya bola na abhi mera mood
theek nahi hai

Aadil:- yaar tu itna baras kyu raha hai main to tere bhale ke liye bol raha tha kyuki teri
jaanebahar jaanejigar teri sapno ki sehzadi abhi theek mere samne khadi hai socha ek
baar tu usse dekh lega to tera mood fresh ho jayega par tu to tu hai kehte kehte chup ho
gaya udhar Aadil ko phone ke dusri taraf ab sirf beep beep ki aawaj sunayi de rahi thi
matlab call cut chuka tha ladke ne jaise hi suna ki wo ladki market me hai usne bina kuch
kahe call cut kar di aur jitna sambhaw ho sakta tha utni tez bike chalakar 15 minute me hi
market pahuch gaya waha pahuch kar usne Aadil ko call kiya

Ladka:- kaha hai tu

Aadil:- bola tha na market me hon

Ladka:- wo to mujhe pata hai iss waqt tu kaha hai main bhi market me hi hon

Aadil:- waah beta jab maine yaha aane ko kaha tab tera mood kharab tha ab jab pata
chala ki wo ladki bhi yahi hai to tera mood theek ho gaya aur bhagta hua yaha aa gaya
waah kya zamana aa gaya hai mohabbat dosti par bhari pad gayi magar ek baat yaad
rakhna mere bhai ladki ruth gayi to dusri mil jayegi lekin dost ruth jaye to dusra nahi
milega

Ladka:- abe nautanki apni bakwas band kar warna kuch bolne ke kabil nahi chodunga

Aadil:- bhai gussa kyu ho raha hai main to bas mazak kar raha tha tu ek kaam kar Gulshan
music store ke paas aa ja main wahi khada hon ladka bhagta hua apne dost ke paas jata
hai

Ladka:- han ab bata kaha hai wo

Aadil:- wo dekh samne pani puri kha rahi hai ladke ne jab usse dekha to dekhta hi reh gaya
kya haseen lag rahi thi wo bilkul jannat se aayi hui pari ladka apna sudh budh kho kar uss
ore badhta chala gaya jaha wo ladki pani puri kha rahi thi ladki ki nazar jab uss ladke par
padi to wo bhi khushi se uchal padi par jab usne usse iss tarah apni ore aate dekha to uske
dil ki dhadkan kayi guna badh gayi ladka uss thele ke bilkul paas aa chuka tha ki tabhi ek
aawaj uske kadam rok deti hai

are Armaan beta kaise ho ladki ka mann machal utha jab usse apne pyar ka naam pata
chala
Ladki:- (mann main) hye kya naam hai Armaan mera Armaan wahi ladke ne jab palat kar
dekha to paya ki ek 50-55 saal ka ek aadmi khada hai

Armaan:- arre Abdul chacha aap yaha

Abdul:- main to yaha saman lene aaya tha aur tum batao kaha rehte ho aaj kal dukan par
bhi nahi aate (darasal Abdul ki Armaan ke ghar ke nazdeek hi ek chai ki dukan hai Armaan
aur uske sabhi dost har shaam uski dukan par baith kar chai ka maza lete aur ghanto baith
kar baate kiya karte the par jab se Armaan ne uss ladki ko dekha tab se usse kuch bhi acha
nahi lagta tha aankho me bas ussi ka chahra dil me bas ussi ko pane ki dua rehti)

Armaan aur Abdul me thodi baat hui Abdul ke jane ke baad jab Armaan palta tab tak
ladkiyo ka pani puri khana ho chuka tha aur wo jane lagi thi par wo ladki abhi bhi Armaan
ke naam me khoyi hui thi tabhi uski ek saheli ne uska kandha hilate hue kaha

arre Ruby kaha kho gayi chalna nahi hai kya Ruby ye naam sunte hi ladke ka dil jhoom
utha uske kaano me ek madhur sangeet bajne lagi aakhir kaar usse apni shehzadi ka naam
pata chal hi gaya tha ladki to sharmati hui apni saheliyo ke saath waha se chali gayi par
Armaan abhi bhi wahi khada apne khayalo me khoya hua tha wahi thodi dur khada uska
dost Aadil bade gaur se ye sab dekhta raha

Aadil:- iss gadhe ka kuch nahi ho sakta kitna acha mauka mila tha aaj uss ladki se baat
karne ka par sab bekar kar diya khuda jane kya hoga iska itna keh kar Aadil waha se chala
gaya par kisi ko ye kaha pata tha ki upar wala ab un dono par kuch zyada hi meharbaan
ho gaya tha tabhi to usne dono ko kareeb lane ke liye khud shajish rachi

Agle din bus walo ne hadtaal kar di wo bhi anischit kaalin jab ye baat Aadil aur Junaid ko
pata chali to unhone apna college jana cancel kar diya majburan Armaan ko apni bike
lekar nikalna pada waise Armaan ke paas bike to bohat pehle se tha lekin wo hamesha se
college bus se jana hi pasand karta tha na jane kyu par usse acha lagta tha wo apni bike
lekar sabse pehle bus stop par gaya iss asha se ki shayad bhule bhatke usse Ruby ke
darshan ho jaye par usse kya pata tha ki Ruby kuch der pehle hi apni scooty lekar waha se
college ke liye ja chuki hai (aap sab soch rahe honge ki Ruby ke paas jab scooty thi to wo
bhala bus se safar kyu karti thi iss ka karan bhi Armaan hi hai pehle to wo hamesha apni
scooty lekar hi college jaya karti thi par ek din jab wo uss bus stop ke paas se ja rahi thi ki
tabhi uski nazar road ke beech bane divider par padi jaha ek 70-75 saal ki budhi aurat jiske
kapde kafi fate hue the kandhe par ek choti si potli latki thi kamar jhuk gayi thi lathi ke
sahare khadi thi kulmila kar wo ek budhi bhikaran thi jo shayad aadha road kisi tarah cross
kiya hoga aur baki aadha cross karna chahti thi par tez traffic ki wajah se kar nahi pa rahi
thi road ke beecho beech phasi budhiya apni dari aur sehmi aankho se kisi madad ki asha
kar rahi thi par aap to jante hi hain hum sab ek sabhya samaj ke thekedar hain jo baate to
bohat badi badi karta hain par kisi gareeb ki madad karna apne shaan ke khilaaf samjhte
hain bus stop me maujood sabhi log bas ye tamasha dekh rahe the par koi aage badh kar
uss budhiya ki madad nahi kar raha tha raste se jati hui Ruby ki nazar jaise hi uss budhiya
par padi to uske dil me daya aayi usne turant apni scooty side me khadi ki wo apna helmet
utarne hi wali thi ki tabhi ek ladka jo kareeb 6 foot ka lamba chauda tha dikhne me kisi
rajkumar se kam nahi tha budhiya ke paas gaya aur apni majboot baahe budhiya ke
kandhe me daal ke usse aaram se road cross karane laga dosto wo hamare Armaan bhai
sahab hi the un namardo ki jhund me ek asli mard ko dekh Ruby wahi dher ho gayi aur
mann hi mann sochti hai ki yaar jab raah chalte kisi anjaan ke liye iske dil me itna pyar aur
hamdardi hai to soch jise ye apna banayega to uske liye ye kya kar sakta hai usne dekha
ki budhiya ko road cross karane ke baad wo ladka jake bus stop par khada ho gaya bas fir
kya tha agle din se Ruby bhi bus se college jane lagi) ab kahani me aata hon

Idhar Armaan bus stop ke paas khada Ruby ka wait kar raha tha wahi Ruby Armaan ke
college ke paas ek book shop ke paas khadi uska wait kar rahi thi Ruby aaj thoda jaldi ghar
se nikli thi pehle to wo bhi bus stop par khadi Armaan ka wait kar rahi thi fir usne socha
ki bus walo ki to hadtaal hai ho sakta hai ki Armaan college na jaye iss liye wo waha se
nikal gayi par jaise hi wo uske college ke paas se jane lagi to na jane kyu uska dil rukne ko
kiya usse laga ki kuch der yaha wait kar lu shayad Armaan dikh jaye udhar jab Armaan ko
Ruby nahi dikhi to bechara bemann se apne college ke liye nikal gaya jaise hi wo apne
college ke gate ke paas pahucha to sabse pehle Ruby ki nazar uss par padi uska utra hua
chehra khushi se khil utha aur hota bhi kyu na apne pyar ko jo dekh liya tha wahi Armaan
college ke ander jate jate ruk gaya uska dil bohat zor se dhadakne laga tha usse laga ki
kuch to hai jo usse chutt raha hai Armaan ne turant bike se utar kar apne charo ore nazar
daudai fir jaise hi uski nazar book shop ke paas khadi Ruby par padi to uski dhadkane hi
band ho gayi aur uss pal wo khud ko Ruby ke paas jane se rok nahi paya wahi jab Ruby ne
dekha ki Armaan uski ore hi aa raha hai to wo bilkul ghabra gayi

Ruby:- (mann main) ye to mere paas hi aa raha hai agar puch liya ki main yaha kya kar rahi
hon to kya jawab dungi tabhi uski nazar apni scooty me lagi chabi par padi usne jhat se
chabi nikali aur chupke se apne purse me rakh li tabhi Armaan bhi waha pahuch gaya

Armaan:- hi aap yaha koi problem hai


Ruby:- ji wo wo main ek book lene ke liye yaha ruki thi jab wapas aayi to scooty ki chabi
nahi mil rahi hai

Armaan:- oh ye to problem ho gayi ab aap kya karengi

Ruby:- soch rahi hon scooty ko yahi chod kar college chali jaon waha meri ek friend ke
paas same yahi scooty hai usse chabi lekar ghar jate waqt yaha se apni scooty le lungi par
ek dar hai ki scooty yaha se chori na ho jaye

Armaan:- aap uski tension mat lijiye aapki scooty yaha se koi nahi le jayega itna keh kar
wo book shop ke ander gaya aur usse kuch baat karke wapas aa gaya

Armaan:- maine dukaandar se bol diya hai wo nazar rakhega

Ruby:- thanks

Armaan:- isme thanks kis baat ki ye dukaandar mujhe janta hai meri baat ko mana nahi
karega waise aap kaise jayengi

Ruby:- rikshaw le lungi

Armaan:- agar aapko koi etraaz na ho to kya main aapko aapke college chod du yahi to
chahti thi Ruby bhala usse kya etraaz tha

Ruby:- agar aapko koi problem na ho to

Armaan:- isme problem kaisi ye to mera farz hai aakhir ek saath ek hi bus me safar karte
hai apne co passenger ka khayal rakhna meri sabse pehli duty hai itna keh kar dono
mushkura pade

Armaan:- aap rukiye main abhi bike lekar aata hon aaj to Armaan ki khushi ka koi thikana
hi nahi tha uski khwabo ki mallika uski shehzadi jo uske saath uski bike me baithne wali
thi wahi Ruby ka bhi yahi haal tha jis insaan ko wo hamesha sapno me hi dekha karti thi
aaj usne usse pehli baar baat ki aur uske saath baith kar college bhi jane wali thi khushi se
dono jhoom rahe the par apne chahre ke bhawo ko chupa rakhe the Armaan bike lekar
Ruby ke paas aaya aur Ruby usme baith gayi fir dono chal pade apne mohabbat ke pehle
safar par bhale hi ye safar chota sa tha par tha bohat hi khaas Armaan Ruby ko lekar uske
college ki ore chal deta hai thodi der tak dono chup chap hi baithe rehte hain fir Armaan
hi bolta hai

Armaan:- to Miss Ruby kya kar rahi hai aap Ruby mushkura kar kehti hai
Ruby:- acha to aapko hamara naam bhi pata hai

Armaan:- wo wo main wo

Ruby:- (haste hue) are are isme ghabrane wali kon si baat hai mujhe bhi to aapka naam
pata hai Armaan bohat hi acha naam hai

Armaan:- hoga par Ruby se kam waise kya padh rahi hai aap

Ruby:- main BA first year me hon aur aap

Armaan:- main Bcom final year me hon waise kon se college me hain aap tabhi Ruby boli

Ruby:- bike rokiye Armaan ne turant bike rok di aur hairat se palat kar Ruby ko dekhne
laga jaise puch raha ho ki usse achanak se kya ho gaya Armaan ki ghabrahat dekh Ruby
hasti hui kehti hai

Ruby:- are kya hua mera college aa gaya iss liye rokne ko kaha Armaan college ki taraf
dekh kar kehta hai

Armaan:- college aa gaya itni jaldi

Ruby:- jaldi kaha aapke college se pure 20 minute lagte hain mere college tak pahuchne
me

Armaan:- (mann main) 20 minute se mere saath thi par laga ki abhi bas 3-4 minute hi hue
hain kaash kuch waqt aur bita pata tabhi Ruby boli

Ruby:- acha to main chalti hon thanks

Armaan:- aap wapas kaise jayengi kahiye to main aapko yaha lene aa jaau

Ruby:- (mushkurate hue) nahi main chali jaungi aap mere liye apna time barbaad mat
kariye aur ab aap bhi jaaiye aapko bhi to college jana hoga fir Ruby Armaan ko bye bolkar
waha se chali gayi par Armaan uska to mann hi nahi kar raha tha apne college jane ka
samne mehbooba ho to kis kambakht ka dil karta hai kuch karne ka Armaan ne bhi aaj
college na jane ka faisla kiya aur dera daal diya Ruby ke college ke gate ke samne aur karta
raha uske bahar nikalne ka intejar mushkil se 2 ghante hi beete honge ki usse Ruby bahar
aati nazar aayi darasal aaj Ruby ka bhi mann padhne ka nahi kar raha tha aur karta bhi
kaise jis dil me naya naya pyar jaga ho fir usse kuch karne ka mann kaha hota hai Ruby
nikli to thi ghar jane ke liye par jaise hi uski nazar Armaan par padi to mann hi mann
mushkura di aur uski taraf chal padi
Ruby:- (muskura kar) lagta hai aap apne college nahi gaye

Armaan:- nahi mann hi nahi kiya

Ruby:- kyu

Armaan:- pata nahi

Ruby:- (mann main) idiot jab mere liye dil me itna pyar hai to bol do na main sunne ke liye
mari ja rahi hon

Armaan:- par tum itni jaldi kyu nikal aayi abhi to tumhara college khatam bhi nahi hua hai

Ruby:- na jane kyu aaj padhne me mera mann nahi lag raha tha

Armaan:- to fir chale coffee pine

Ruby:- (muskura kar) ladki ko impress karne ka bohat purana tareeka hai ye sunkar
Armaan ne apna sar jhuka liya tabhi Ruby fir boli

Ruby:- waise kaha leke jane wale the ye sunkar Armaan ke chahre pe chamak aa gayi

Armaan:- tareeka purana hai par hamesha chalta hai fir dono chal pade coffee shop fir
waha se Armaan ke college waha se scooty leke dono saath me ghar ki taraf chal pade iss
dauran done ne apne phone number bhi exchange kiye kehte hai pyar ki shuruat dosti se
hoti hai jo unme ho gayi thi ab to ye roj ka silsila ho gaya tha Armaan apni bike leke bus
stop me Ruby ka intejar karta Ruby paidal hi aati aur Armaan ke bike me baith kar apne
college jati dono kuch der padhte fir thoda ghoom fir lete in sab me Armaan apne dosto
se bilkul cut sa gaya tha har gujarte waqt ke saath dono ki nazdikiya bohat badh gayi thi
mohabbat to kar li dono ne par iska anjaam kya hoga ye unhe nahi pata tha Armaan aur
Ruby kuch hi dino me ek dusre ke behad kareeb aa chuke the saath college jana saath
wapas aana ye to ab aam baat thi dono ab ghanto phone par baate kiya karte the jis wajah
se Armaan apne dosto se bhi kafi cut sa gaya tha Aadil aur Junaid ko iss baat ka bura to
lagta tha par apne dost ko khush dekh kar wo bhi khush ho jaya karte aise hi kuch din aur
beet gaye fir ek din Armaan aur Ruby jab college se wapas aa rahe the to raste me do
lafange Ruby ko chedne lage Armaan ne pehle to unhe mana kiya par jab wo nahi mane
to unme maar peet suru ho gayi Ruby Armaan ko rokti rahi par wo kaha rukne wala tha
Armaan ne aakhirkar un dono ko peet kar waha se bhaga hi diya fir jab wo palat kar Ruby
ke paas aaya to dekha Ruby gusse se usse dekh rahi hai

Armaan:- ab kya hua bhaga to diya un salo ko


Ruby:- (gusse se) kya jarurat thi tumhe unse ladne ki maza aata hai iss tarah sadak me
maar peet karne me

Armaan:- yaar main to tumhare liye hi unse lada dekha nahi kaisi badtamiji kar rahe the
tumhare saath

Ruby:- wo log lafange hain raah chalti ladkiyo ko chedna unka kaam hai iska matlab ye
nahi ki tum unse ladte firo

Armaan:- main raah chalti kisi bhi ladki ke liye nahi lada main sirf tumhare liye lada koi bhi
tumhare saath badtamiji kare ye mujhe bardast nahi

Ruby:- kyu kis haq se ab Armaan se aur raha na gaya aur usne apne dil ki baat bol hi di

Armaan:- main pyar karta hon tumse iss haq se mara meri jaan ho tum iss haq se unhe
mara koi bhi chahe wo kisi bhi duniya se aaya ho tumhari taraf aankh utha kar bhi dekhe
main usse jaan se maar dunga tum sirf meri ho sirf meri kehte kehte chup ho gaya Armaan
ab usse samajh me aaya ki aavesh me aakar usne Ruby se kya keh diya wo ghabra gaya
tha usse dar lagne laga ki kahi Ruby ab usse dosti bhi na tod de wo apna sar jhuka ke khada
ho gaya

Ruby:- chalo yaha se mujhe der ho rahi hai itna kehna tha ki nahi Armaan ne turant bike
start ki aur chal diya bus stop ki ore pure raste dono chup rahe kuch hi der me bus stop
aa gaya Armaan ne side me bike roki Ruby bike se utar ke pehle idhar udhar nazar dali fir
achanak se Armaan ke gaalo par kiss kar liya Armaan to bilkul bhaochakka reh gaya iss
harkat se dopahar ka waqt tha iss liye waha log bohat hi kam the warna Armaan ki to band
hi baj jati kiss karne ke baad Ruby boli

Ruby:- bilkul ullu ho tumhe to ladki ko propose karna bhi nahi aata itna keh kar Ruby waha
se bhaag gayi aur Armaan bechara samjhne ki kosish kar raha tha ki ye hua kya kuch der
baad jab usse samjh me aaya to khushi ke mare laga road me nachne karta bhi kyu nahi
aakhir usne ladki jo pata li

dosto aapko samajh me to aa hi gaya hoga ki ye ek hindu muslim based story hai Armaan
muslim aur Ruby hindu hai par yaha thoda change hai pehle Armaan ka introduction deta
hon

Armaan pura naam Armaan Patel (hindu)

Pita: Diwakar Patel


Maa: Janki Devi

Armaan ke do bhai aur hain jo usse bade hain

1 Sanjay Patel

2 Avinash Patel

dono ki saadi ho chuki hai bada bhai (Sanjay) uski ek beti hai jo abhi kuch hi mahine ki hai
chote bhai ki abhi abhi saadi hui hai pita ka kapdo ka business hai jise wo Sanjay aur
Avinash ke saath mil kar chalate hai aamdani bohat achi hai iske saath hi teeno baap bete
ek hindu sangathan se jude hai iss sangathan ke mukhiya hai acharya aanandeshwar ji
maharaj sab inhe Swami ji kehte hai

Diwakar ji iss sangathan ke sabse jagruk karya karta hai aur Swami ji ke behad kareeb unka
manna hai ki aaj wo jo kuch bhi hai unhi ki kripa se hai Swami ji bhi kuch kam nahi hai
apne zhute chamatkar ko bhagwaan ki mahima bata kar bohat se hinduo ko apne
sangathan me shamil kar liya hai natija ye hua ki iss waqt pure Aazad nagar ki 30% aabadi
jisme lagbhag 20 % aabadi hindu hai sabhi Swami ji ke bhakt hai itna hi nahi un tamam
hinduo ko musalmano ke khilaf bhadkane ka kaam bhi Swami ji bakhubi nibhate hain

Diwakar ji bhi iski chapet me aa chuke the iss liye unhe Armaan ka uske dost Aadil aur
Junaid ke saath milna julna bilkul pasand nahi par Armaan kabhi bhi in sab baato ko nahi
manta tha uska kehna tha ki jab upar wale ne hame banane me koi bhed nahi ki to hum
kon hote hai ye jaat paat banane wale uski issi soch ne usse apne pita aur bhaiyo se agal
kar diya tha ribina Shaikh (rubu) muslim hai ghar ki ladli eklauti beti pyar se sab Ruby
bulate hai aalam Shaikh aabu ammi ka bohat pehle ki intekaal ho gaya tha teen bade bhai
hain Sikandar Shaikh Akram Shaikh Zakir Shaikh teeno saadi suda hai sari bhabhiya milkar
Ruby ko bilkul maa ki tarah bohat pyar deti hain mohabbat se bhare iss ghar me bhi ek
buri aadat hai maulana sahab kehne ko to wo ek Moulvi hai par wo bhi ek islamic
sangathan chalate hai jinka kaam muslim logo ko hinduo ke khilaf bhadkana hai Aazad
nagar ki 10% aabadi jo muslim hai inke saath jude hai Ruby ke abbu aur teeno bhai bhi
isse jude hue hai kehne ko to Swami ji aur Moulvi sahab dono ek dusre ke sabse bade
dusman hai par asliyat koi nahi janta ye dono milkar rajneeti ki chaal chalte hain jaat
dharam ke naam par in dono ne apna dhandha khol rakkha tha angrejo ki foot dalo raaj
karo ki neeti aaj bhi in dono ne kayam rakkhi hui hai inka manna hai ki jab tak log dharam
ke naam par ek dusre ka khoon bahayenge tab tak inki dukaan aaram se chalegi
Armaan aur Ruby dono ne mohabbat to kar li par kya hoga jab unhe ek dusre ki sacchi ka
pata chalega khushi se jhoomti hui Ruby apne ghar pahuchti hai aur seedha apni badi
bhabhi ke room me jati hai badi bhabhi Jeenat tab iss ghar me aayi jab Ruby sirf 11 saal ki
thi usse theek 1 saal pehle hi Ruby ki ammi usse choor kar chali gayi thi choti si Ruby ko
uss waqt apni ammi ki kami bohat khalti thi har waqt roti hi rehti thi fir jab Jeenat aayi to
usne na sirf Ruby ko sambhala balki ek maa ka pyar bhi diya Ruby ne bhi usse hi apna sab
kuch maan liya aur apni har baat usse batati yaha tak ki Armaan ki baat bhi Jeenat ko pata
thi sirf Jeenat ko ghar me aur kisi ko nahi Ruby Jeenat ke room me gayi aur usse kas ke
apne gale laga liya

Ruby:- bhabhi bhabhi aaj main bohat khus hon aaj mujhe wo hasil ho gaya jiske bare me
main bas khwabo me hi dekha karti thi Jeenat to uski khushi dekh kar hi samajh gayi thi
ki baat kya hai aakhir wo bhi to iss umar se gujar chuki thi

Jeenat:- lagta hai hamari jaan ne apna pyar pa hi liya uski baat sunkar Ruby chonk gayi

Ruby:- aapko kaise pata chala

Jeenat:- itni si thi tu jab main iss ghar me aayi thi tab se aaj tak maine hi tujhe ek beti ki
tarah paala main tere dil ki baat nahi samjhungi to aur kon samjhega

Ruby:- (mushkurate hue) bilkul sahi kaha aapne aaj Armaan ne hame propose kiya par
tareeka theek nahi tha

Jeenat:- kyu kaise kiya propose usne fir Ruby ne usse sari baat bata di

Ruby:- hai na bhabhi wo bilkul pagal propose karna bhi nahi aata

Jeenat:- han pagal to hai lekin tere pyar me tabhi to bina anjaam ki soche un dono lafango
se bhid gaya ek baat kahu Ruby jo apno ko aur apni mohabbat ko duniya ki har buri balao
se hifazat kar sake asli mayne me wo hi saccha mard hai Ruby aise insaan ka daman kabhi
mat choorna badi mushkil se milte hai deewane zindagi bhar khus rakhega wo tujhe

Ruby:- bhabhi uska saath choorne ke liye maine usse han nahi kaha uske saath to mujhe
puri zindagi jeeni hai mohabbat ki ek nayi dastaan likhni hai Jeenat ne usse kas ke apne
gale laga liya

Jeenat:- tu hamesha khus rahe aur hame kya chahiye idhar Ruby apne pehle pyar ki
khushiya mana rahi thi wahi Armaan ki badkismati ne fir se usse gher liya jab wo ghar
pahucha to uske pita hall me baithe kuch kaam kar rahe the waise to iss waqt wo hamesha
apne dukan par hi hote the par aaj kisi kaam ke chalte ghar aaye the aur theek ussi waqt
Armaan bhi ghar pahuchta hai Armaan ko dekh kar uske pita kehte hain

Diwakar:- aa gaye laat sahab college to 1 baje khatam hota hai aur abhi 4:30 baj rahe hain
kaha rahe itni der

Armaan:- kuch kaam tha iss liye der ho gayi

Diwakar:- kaam tha ya apne un dono aawara dosto ke saath ghoom fir rahe the Armaan
sab seh sakta tha par apne dost Aadil aur Junaid ke bare me kuch bhi galat sunna usse
pasand nahi tha

Armaan:- (gusse se) papa aap hamesha un dono ko bura bhala kyu kehte rehte hain aakhir
unhone aapka kya bigada hai Diwakar ji ko bhi unchi aawaj sunna pasand nahi tha wo bhi
taaw me khade ho gaye

Diwakar:- aawaj neeche kar ke baat kar bhool mat tu apne baap se baat kar raha hai aur
kyu na kahu unhe bura bhala jin logo ne ek bete ko apne baap ke khilaaf kar diya aise logo
ko main kya kahu theek kehte hai Swami ji in musalmano se dur rehne me hi apni bhalai
hai par tu to kabhi unki baat sunta hi nahi jaise ki wo koi paraye hai aur wo dono tere sage

Armaan:- papa aap jis nazar se unhe dekhte ho wo nazar aapki nahi hai Swami ji ki hai ek
baar un logo ko apni nazar se dekho sab saaf dikh jayega ki kon apna hai aur kon paraya
ab unki bahas aur aage badhti tabhi Armaan ki maa Janki waha aa gai Janki Diwakar se
kehti hai

Janki:- ab bhagwaan ke liye bas bhi kijiye subah se bahar gaya ladka ab ghar aaya hai usse
khana to kha lene digiye

Diwakar:- tumhare hi laad pyar ne isse bigada hai apne baap se kaise baat ki jati hai ye tak
bhool gaya hai ye samjhao isse abhi bhi waqt hai sudhar jaaye dur rahe un logo se warna
kahi ka nahi rahega itna keh kar wo bahar chale jate hai fir Janki Armaan se kehti hai

Janki:- chal ja ja ke haath mouh dho le main tere liye khana lagati hon Armaan apne room
me chala jata hai kuch der baad Janki uske room me khane ki thali le kar aati hai aur
Armaan ko deti hai Armaan khana khane lagta hai fir Janki usse kehti hai

Janki:- kyu karta hai tu aisa tu apne papa ki baat maan kyu nahi leta

Armaan:- maa tum bhi aisa bol rahi ho jabki tum to mil chuki ho Aadil aur Junaid se kya
burai hai unme tabhi darwaje se uski badi bhabhi Radha ki aawaj aati hai
Radha:- unme koi burai nahi hai Armaan unke jaisa dost bohat hi kismat walo ko milta
hain burai to hai iss system me jo kabhi nahi chahta ki hindu aur muslim ek ho jaye

Armaan:- main nahi manta aise system ko jo mere dosto se mujhe alag karte ho aise
system ko jad se khatam kar dena chahiye

Radha:- kitno ko khatam karoge inki tadad sirf 20-25 ki nahi hai lakho, karodo ki log jude
hai iss system se khud khatam ho jaaoge par isko khatam nahi kar sakte

Armaan:- to kya hum aise hi jeete rahenge system ka rona rote hue iske khilaaf aawaj bhi
to hame hi uthani padegi na

Radha:- na jane kitne logo ne iske khilaaf aawaj uthai hai wo log ya to chillate chilate mar
gaye ya maar diye gaye par jeet kabhi nahi paye

Armaan:- to fir theek hai main bhi mar jaunga aise system ke saath chalne se acha to mar
jana hai

Radha:- kitni aasani se tumne apni jaan dene ki baat keh di Armaan jara sa bhi hamare aur
apni maa ke bare me nahi socha kya hum tumhe kabhi marta hua dekh sakte hai tabhi
Janki boli

Janki:- jane de bahu koi fayda nahi isse samjhane ka ye bilkul apne papa par hi gaya hai
jaise wo ziddi hai waise ye bhi ziddi hai mera kya hai pisti rehti hon in dono ke beech aise
hi kisi din main mar bhi jaungi to bhi in dono ko koi farak nahi padega apni maa ke mouh
se marne ki baat sunkar Armaan ka dil tadap utha aur wo khada hoke apni maa ko gale
laga kar bola

Armaan:- maa aisi baate kyu kar rahi ho ek tum hi to ho jiski wajah se main iss ghar me
hon warna kab ka chala gaya hota tabhi Armaan ki choti bhabhi Rashmi waha aa jati hai

Rashmi:- (Radha se) dekha didi maine kaha tha na ye sirf maa ji se hi pyar karta hai hum
to kuch hai hi nahi iske liye

Radha:- tum sahi keh rahi ho choti jab isse hamari koi fikar nahi to hum kyu iski fikar kare
chalo yaha se ab kabhi baat nahi karenge isse

Armaan:- are maine aisa kab kaha main to aap teeno se bohat pyar karta hon meri jaan
ho aap teeno itna keh kar charo ek saath gale lag jate hai tabhi Rashmi kehti hai

Rashmi:- maa ab hame iski saadi bhi kar deni chahiye tabhi ye sudhrega
Radha:- bilkul sahi keh rahi ho jab biwi aayegi to wo hi isse iske kaan pakad kar sudharegi
saadi ka naam sunte hi Armaan ko Ruby ki yaad aa gai aur saath me thodi si sharam bhi

Armaan:- maa dekho na ye dono fir se mujhe tang karne lagi

Janki:- tum dono kabhi nahi sudhrogi na kyu mere bete ko hamesha tang karti rehti ho ab
aisa kiya na to dono ko maar padegi Armaan apni dono bhabhiyo ko chedta hua kehta hai

Armaan:- padi daant maza aaya fir kya tha dono bhabhiya lagi Armaan ko pakadne par
Armaan kaha haath aane wala tha

Agle din sunday tha subah se hi Armaan Ruby ko call karna chahta tha par kal wali harkat
se thoda nervous tha call karu ki na karu ye sochte sochte din ke 11 baj gaye the ki tabhi
uska phone baja call Ruby ka tha ye dekhkar Armaan khushi se uchal pada

Armaan:- hello

Ruby:- abhi tak so rahe the kya

Armaan:- nahi to main to subah 7 baje hi jag gaya tha

Ruby:- to fir mujhe call kyu nahi kiya

Armaan:- soch to raha tha ki call karu ya na karu itne me tumhara call aa gaya

Ruby:- acha subah 7 baje se soch hi rahe the lekin call nahi kar paye kal raat bhi call nahi
kiya

Armaan:- sorry galti ho gayi maaf kar do

Ruby:- kiya maaf acha abhi mil sakte ho

Armaan:- bilkul

Ruby:- puchoge nahi ki kis liye

Armaan:- jaise mere na puchne se tum bataogi nahi

Ruby:- aaj main apne friends ke saath shopping karne ja rahi hon tum bhi chalo

Armaan:- ok par kaha

Ruby:- Naveen market me

Armaan:- theek hai main aa jaunga


Ruby:- aa jaunga nahi abhi niklo hum bhi nikal hi rahe hai fir thodi der me Armaan nikal
jata hai waha pahuchkar Armaan Ruby ko call karta hai

Armaan:- kaha ho

Ruby:- ussi pani puri wale thele ke paas jaha pehle bhi hum mile the Armaan turant waha
pahuch jata hai waha Ruby apne sirf ek hi friend ke saath aayi hui thi

Armaan:- tum to sirf do hi log ho par phone pe to keh rahi thi ki tum saheliyo ke saath aa
rahi ho

Ruby:- kyu meri saheliyo se milne ka bada dil kar raha hai kya main aa gayi wo kafi nahi
hai

Armaan:- yaar tum meri baat ka hamesha ulta matlab kyu nikal leti ho maine aisa thode
hi kaha tha

Ruby:- chalo jane do pani puri khaoge

Armaan:- cheee ye bhi koi khane wali cheej hai kya

Ruby:- kyu kya kharabi hai isme sabhi khate hai main bhi khati hon aur mera to ye favorite
hai aur tum iske bare me aisa kaise keh sakte ho Ruby ko thoda gusaa aa gaya tha

Armaan:- yaar gussa kyu ho rahi ho main to sirf ye keh raha tha ki ye ladkiyo ki dish hai

Ruby:- acha to zara hame bhi batao ki ladko ki dish kya hoti hai ab bechara Armaan uski
to bolti hi band ho gayi thi pata nahi aaj Ruby kon se mood me thi jo uski har baat ka ulta
hi matlab nikal rahi thi Armaan ki pareshani dekh Ruby ki friend bol padi

Friend:- bas bhi kar Ruby kab se iski taang kheech rahi hai uska itna kehna tha ki nahi Ruby
zor se has padi usse hasta dekh Armaan samajh gaya ki Ruby itni der se usse sirf pareshan
kar rahi thi

Armaan:- acha to itni der se tum mujhe ullu bana rahi thi

Ruby:- ab ullu ko ullu na banau to kya karu

Armaan:- acha to kal sare raah tumne iss ullu ko kiss kyu kiya Armaan ka itna bolna tha ki
nahi Ruby ki hasi pal bhar me gayab ho gayi usne apni saheli par nazar dali jo mand mand
mushkura rahi thi Ruby usse kehti hai

Ruby:- tu yaha khadi kya kar rahi hai ja apna kaam kar
Friend:- jati hon par tune isko kiss kiya ye baat mujhe kyu nahi batai

Ruby:- tu jati hai ya nahi

Friend:- acha baba jati hon aur han mera kaam kar kar dena itna keh kar wo waha se ek
kapdo ki shop me chali jati hai

Armaan:- ye tumhari friend kis kaam ki baat kar rahi thi

Ruby:- (gusse se) tumhe kuch akal wakal hai ki nahi kab kaha kiske samne kya baat karni
chahiye ye bhi mujhe sikhana padega

Armaan:- yaar isme gussa karne wali kon si baat hai friend hi to hai wo tumhari

Ruby:- ye hi to problem hai ab mere sabhi friends ko pata chal jayega ki maine tumhe kiss
kiya hai wo bhi sare raah

Armaan:- to fir usse leke kyu aayi thi

Ruby:- agar uska kaam na hota to kabhi nahi lati usse

Armaan:- acha to tum uske kaam se yaha aayi ho mujhe laga mujhse milna hoga

Ruby:- sach me dimag se bilkul paidal ho tum mujhe tumse milna tha par saath me ye bhi
aa gayi

Armaan:- aisa kya kaam hai uska

Ruby:- wo sab baad me pehle chalo yaha se kahi aur chalte hai fir dono waha se nikal jate
hai

Wahi dusri taraf Aadil ke ghar me Aadil baitha tv dekh raha tha uski ammi kitchen me thi
ghar me sirf ye do log hi rehte hai abbu ki 2 saal pehle death ho gayi thi sarkari naukari thi
to ammi ko pension milta hai jisse uska ghar theek thaak chal jata hai Aadil tv dekh hi raha
tha ki tabhi darwaje par dastak hui Aadil ne gate khola to dekha samne kuch log khade
hai

Aadil:- jee kahiye kon hai aap aur kisse milna hai unme se ek aadmi bola

Aadmi:- tum Aadil ho

Aadil:- han

Aadmi:- hame Moulvi sahab ne bheja hai tumse kuch baat karni hai Aadil kuch kehne wala
hi tha ki tabhi uske peeche se uski ammi ki aawaj aati hai
Ammi:- aap log bahar kyu khade hai ander aaiye Aadil ghoor ke apni ammi ko dekhta hai
aur darwaje se hat jata hai sabhi ander aa jate hain

Ammi:- ji bataiye Moulvi sahab ne aap logo ko kyu bheja

Aadmi:- darasal baat ye hai ki Moulvi sahab chahte hai ki aap aur aapka beta Aadil hamari
sanstha me shamil ho jaye taki har khatre se aap dono ki hifazat kar sake

Aadil:- khatra bhala hame kisse khatra ho sakta hai

Aadmi:- hinduo se aur kisse iss muhalle me sirf tum hi musalman ho baki hindu hai kabhi
aafat aa gayi to hum hi bachayenge tumhe

Aadil:- pichle 40 saalo se abbu yaha rehte aaye hai aaj tak hame kabhi koi dikkat nahi hui
bakli hamari har mushkil ghadi me unhone hamara saath diya hamari khushiyo me
shareek hue hamara gum banta jab hum eid manate hai to pure mohalle wale hamare
ghar aate hai hame babhaiya dete hai ammi ke haath ki bani kheer khate hai diwali me
jab unke gharo me puja hoti hai to wo log hame prashad khilate hai bohat pyar se rehte
hai hum yaha aut aap log keh rahe hai ki hame unse khatra hai

Aadmi:- ye hindu dikhte kuch aur hai hote kuch aur par ye baat tum abhi nahi samajh
paoge bacche ho aur humne to ye bhi suna hai ki tumhari dosti ek hindu ladke se hai jiska
baap uss Swami ka khaas chamcha hai Armaan ki baat aate hi Aadil ka para chad gaya

Aadil:- (gusse se) khabardar jo dobara mere dost ke bare me kuch kaha to

Aadmi:- warna kya kar loge asliyat to ye hai ki ye hindu hum musalmano ko khus dekhna
bardast nahi kar sakte aur iss baat se tum abhi bhi anjaan ho

Aadil:- isse pehle ki main dhakke maar kar tum sabhi ko apne ghar se nikalu behtar hoga
ki khud hi chale jaao tum chand logo ne hi hamari puri kaum ko badnaam kar rakkha hai
galat kaam tum karo aur saza hame bhi mile isse pehle ki main apna sabra kho du dafa ho
jaao yaha se warna tumko aur tumhare uss Moulvi ko aisi aisi galiya dunga ki saat puste
yaad rakhegi sabhi gusse se khade ho jate hain

Aadmi:- bewakuf hai tu jo Moulvi sahab ke bare me aisi baate kar raha hai jahannum me
jayega tu

Aadil:- sacche Moulvi ka kaam hai insaan ko allaha se jude rehne ki salah de nek raah par
chalna sikhaye logo ko jaat paat ke naam par bhadkane wala shaksh Moulvi ho hi nahi
sakta chalo ab jaao tum sab warna dhakke maar kar nikal dunga sabhi log gusse se waha
se chale jate hai Aadil jakar gate band kar deta hai uski ammi usse ghoorti rehti hai jise
dekhkar Aadil kehta hai

Aadil:- ab aapko kya hua

Ammi:- mujhe nahi pata tha ki mera baccha itna bada ho gaya hai aache bure ki usse itni
samajh ho gayi hai aaj tere abbu zinda hote to teri aisi baate sunkar bohat khus hote kyuki
wo bhi aisi hi soch rakhte the

Aadil:- ammi aakhir beta to unhi ka hua Armaan aur Ruby market se nikal kar thodi hi dur
ek park me jate hai aur ek kone wali bench par baith jate hai dono abhi chup hi the bas
Armaan kuch soch kar mushkurata ja raha tha usse yu mushkurate dekh Ruby kehti hai

Ruby:- kya hua kya soch rahe ho

Armaan:- tumhare bare me

Ruby:- acha aisa kya soch rahe ho mere bare me ki mann hi mann muskurana pad raha
hai

Armaan:- yahi ki tum ajeeb ho kab kya mood ban jaye kuch pata nahi chalta

Ruby:- maine aisa kya kiya

Armaan:- aaj hi dekh lo acha khasa meri taang kheech rahi thi aur kal kal jab main un
lafango ko peet raha tha tab tum mere hi upar bhadak gayi fir baad me pata nahi kya hua
beech road mere gaal par kiss karke bhaag gayi ab batao ho ajeeb ki nahi kiss wali baat
sunkar Ruby sharma jati hai aur apna sir jhuka kar dheere se boli

Ruby:- kyu bura laga kya jab tumhe kiss kiya

Armaan:- pagal na jane kitni der tak to main waha nachta raha khushi ke mare lekin

Ruby:- lekin kya

Armaan:- lekin agar wo kiss mere gaal ki jagah mere (hontho ki taraf ishara karke) yaha
milti to kasam se maza do guna ho jata Armaan ke mouh se aisi baate sun kar Ruby sharam
se laal ho gayi

Ruby:- dhaat besharam bohat gande ho tum

Armaan:- lo ji abhi tak to maine kuch kiya hi nahi fir bhi gande hone ka tag lag gaya koi
baat nahi jab gande ban hi gaya hon to kyu na ganda kaam kar hi lon ye keh kar Armaan
Ruby ko ghoorne lagta hai
Ruby:- kya hua aise kyu ghoor rahe ho kuch ulta seedha to nahi karne wale ho na

Armaan:- nahi ulta seedha to nahi bas ek chota sa rape karunga tumhara

Ruby:- oh to isme bolne wali kya baat hai lo kar lo ye sunkar Armaan chonk jata hai

Armaan:- yaar kitni besharam ho kuch keh rahi ho ki mera rape kar lo jaao nahi karta main

Ruby:- kyu kya hua dar gaye kya itna keh kar wo zor se has deti hai tabhi Armaan uska
haath pakad kar khada kar deta hai aur usse ek ped ke sahare khada karke usse bilkul
chipak jata hai aur apne hoonth uske hoontho ke bilkul kareeb le jata hai dono ki saanse
ek dusre se takrane lagi thi jism aise chipke the ki ek dusre me sama jana chahte ho Ruby
ki dil ki dhadkan badh gayi thi usse laga ki ab Armaan usse kiss karega aaj usse pehli baar
kisi mard ke jism ki garmi ka ahsaas ho raha tha ek anjana sa dar usse lagne laga tha jo
uski aankho se saaf pata chal raha tha par Armaan ne aisa kuch kiya nahi usne apne
hoontho ko Ruby ke hoontho ke aur kareeb kiya aur dheere se bola

Armaan:- mohabbat karta hon tumse apni jaan se bhi zyada chahta hon tumhe aur meri
mohabbat kisi hawas ka gulam nahi hai main apni jaan de dunga par apne pyar ko kabhi
badnaam nahi hone dunga maine tumse pyar kiya hai tumhare jism se nahi mujhe kabhi
bhi na tumhare jism ki bhook thi aur na hai par shayad tumne mujhe un ladko jaisa samajh
liya hoga jiske liye pyar ka matlab sirf vaashna hai agar aisa hai to sorry madem main
aapke layak nahi itna keh kar Armaan Ruby se dur hat jata hai Ruby ek tak Armaan ko
dekhti rehti hai usse jitni khushi mehsus ho rahi thi usse bhi kahi zyada usse apni
mohabbat par garv ho raha tha aakhir usne ek aisa insaan chuna jo sirf aur sirf usse pyar
kar karta hai naki uske jism se Armaan bhi usse dekhta hua usse dur hota ja raha tha ki
tabhi Ruby ne uska haath pakad kar apni ore kheech liya dono fir se usse position me aa
gaye jo abhi thodi der pehle the dono ke hoonth fir se ek dusre ke kareeb the Ruby ne
Armaan ki aankho me aankhe daal kar kaha

Ruby:- I love you Armaan aur itna kehte hi usne apne aankhe band ki aur apne hoonth
Armaan ke hoontho se jod diye yaha Armaan aur Ruby apne pehle kiss me duby hue the
wahi Moulvi ke ghar ka mahool bohat hi garam tha

Aadil ke ghar se beizzat hue log jab Moulvi sahab ke paas jakar puri baat batai to Moulvi
baukhala utha

Moulvi:- uss haram khor ki itni himmat ki mujhe galiya de sale ko sabak sikhana hi padega
Kadir aaj raat hi apne kuch aadmiyo ko lekar jaao aur dono maa bete ka kaam tamam kar
do (Kadir) Moulvi ka sabse khaas aadmi hai Moulvi ke ek ishare par kuch bhi kar sakta hai
kulmilakar Moulvi ke tukdo par palne wala gunda hai Kadir Moulvi ki baat sunkar Kadir ko
choor baki sabhi chonk jate hai unme se ek aadmi kehta hai

Aadmi:- ye kya keh rahe hai Moulvi sahab aap un dono ki hattya kyu karwa rahe hai

Aadmi 2:- abhi wo baccha hai Moulvi sahab duniyadari ki abhi usse samajh nahi hai garam
khoon hai dost ke bare me ulta seedha sun kar bhadak gaya hoga tabhi ek aur aadmi bola

Aadmi:- han Moulvi sahab ye log sahi keh rahe hai waise bhi hamara kaam hai usko
samjhana na ki usse jaan se marna sabhi ki baato ko sunkar Moulvi apne gusse ko dabate
hue turant baat badal deta hai

Moulvi:- are aap sab meri baat ka galat matlab nikal rahe hai maine aisa nahi kaha mere
kehne ka matlab hai ki mujhe un dono ka dimag thikane par lana hoga aakhir ham sab ek
hi mazhab ke hai aur undono ki hifazat karna hamara kaam hai Moulvi ki meethi baato se
sab chup ho jate hai tabhi Moulvi apne aadmi se kehta hai

Moulvi:- Kadir zara gadi nikalo hame kisi jaroori kaam se jana hai itna keh kar Moulvi room
me chala jata hai aur kisi ko call karta hai fir Kadir ke saath gadi me baith kar chala jata hai

Wahi park me uss gehre chumban ke baad jab dono agal hote hai to Armaan hairaan sa
Ruby ko dekhta rehta hai Ruby usse iss tarah khud ko ghoorte dekh kehti hai

Ruby:- kisne kaha ki maine tumhe aaj kal ke ladko ki tarah samajh kar pyar kiya maine
tumhe chaha hai to sirf tumhari acchai dekh kar tumhari nek dili dekh kar dusro ke dard
ko jo apna dard samjhe meri nazar me wo hi saccha insaan hai aur maine ek aise hi sacche
insaan se mohabbat ki hai itne me pata nahi Ruby ko kaise gussa aa gayi usne Armaan ka
kollar pakad liya aur boli

Ruby:- aur han kya keh rahe tum ki tum mere layak nahi ho aur mujhse dur ja rahe the
dobara aisa bhool kar bhi mat kehna aur mujhse dur hone ki baat to kabhi sochna bhi mat
warna sach me main apni jaan de dungi bohat chahti hon tumhe seh nahi paungi ye keh
kar Ruby ki aankhe baras padi apne pyar ki aankho me aanshu dekh Armaan ka dil tadap
utha aur usne kas ke Ruby ko apne gale laga liya

Armaan:- sorry jaan galti ho gayi plz maaf kar do sach me bohat bura hon main apne hi
pyar ko rula diya maine

Ruby:- nahi tum bohat aache ho mera sweet babu


Armaan:- acha to ye baat has ke bhi bata sakti thi waise bhi rote hue tum bilkul achi nahi
lagti bilkul bandariya lagti ho ye sunkar Ruby turant Armaan se agal ho jati hai

Ruby:- kya kaha tumne main bandariya lagti hon ye keh kar 7-8 ghunse jad diye Armaan
ke seene me asar to Armaan ko kuch bhi nahi hua par choot lagne ki acting karne laga
apne seene me haath rakh kar wo karahne laga Ruby ko laga ki sach me Armaan ko dard
ho raha hai to wo bhi apne haath se uss jagah sehlane lagi

Ruby:- kya bohat dard ho raha hai

Armaan:- han

Ruby:- to ab kya kare

Armaan:- tumne mara tum hi dawa lagao

Ruby:- par main kaise kya karu

Armaan:- bas mere dil par bhi ek kiss kar do theek ho jayega Ruby ko samajhte der nahi
lagi ki Armaan nautanki kar raha hai

Ruby:- acha ruko abhi batati hon ye keh kar wo fir se Armaan ko marne lagi kuch der baad
jab maar peet ka program khatam hua to Armaan bola

Armaan:- ab hame chalna chahiye kafi der ho gayi hai aur tumhari wo friend bhi to
tumhara wait kar rahi hogi friend ke bare me sunte hi Ruby ko uska kaam bhi yaad aa gaya

Ruby:- are main to bhool hi gayi Nigar ke bare me tumse baat karni hai

Armaan:- kya baat karni hai

Ruby:- are wo jo tumhara friend hai na kya naam hai uska han Aadil pyar karne lagi hai
usse har waqt bas ussi ki baate karti rehti hai aur jab se pata chala ki wo tumhara friend
hai tab se to usne mera dimag hi kharab karke rakh diya ki Armaan se bol ki usse baat kare

Armaan:- par usne Aadil ko dekha kab

Ruby:- keh rahi thi ki kisi party me dekha tha tab se uske liye pagal hai kuch kar sakte ho
uska matlab Aadil manega

Armaan:- manega matlab are wo to ye sunte hi behosh ho jayega khushi ke mare kahi
pagal na ho jaye wo aaj tak bechare ko kisi bhi ladki ne ghaas nahi dali jab sunega ki koi
ladki uske liye pagal hai to kahi usse sadma na lag jaye
Ruby:- to fir karo na usse baat

Armaan:- abhi nahi meri jaan thoda maza to lene do uska

Ruby:- theek hai par aaj hi baat kar lena warna wo Nigar mujhe pareshan karti rahegi

Armaan:- jaisi aapki hukum meri mallika fir dono market ki tarah nikal jate hai

Wahi Moulvi Kadir ke saath Aazad nagar se thodi dur ek sunsaan sadak par bane ek bangle
me ghusta hai uss bangle me koi nahi rehta tha bas sirf watchman ke alawa Moulvi gadi
se utar kar seedhe hall me jakar baith jata hai aur kisi ka wait karne lagta hai

Moulvi:- na jane kitni der lagegi unhe aane me bola tha ki jaldi aane ki kosis kare par wo
kabhi meri sune tab na tabhi ek 60-65 saal ka aadmi apne do chelo ke saath ander aata
hai dosto ye koi aur nahi Swami ji the Swami ji apne do chelo ke saath ander aate hai

Swami:- kya baat hai Moulvi sahab itni achanak bulwa liya sab theek to hai na

Moulvi:- (gusse se) kya khaak theek hai sala wo kal ka launda mujse galiya deta hai kehta
hai main Moulvi banne ke layak nahi hon jee to karta hai ki abhi uss kutte ka sar kalam kar
du

Swami:- han to kya galat kaha uss ladke ne aap sahi me Moulvi banne layak nahi hai Swami
ki baat sunkar Moulvi hairat se usse dekhta hua kehta hai

Moulvi:- ye aap kya keh rahe hai aap bhi uss ladke ki boli bolne lage kya hamara saath ab
pasand nahi aa raha kya

Swami:- maine ye kab kaha ki main uss ladke ki tarafdari kar raha hon main to sirf aapko
samjha raha hon dekhiye Moulvi sahab aap aur hum ek hi kashti ke sawar hai jo kaam aap
karte hai wahi kaam hum bhi karte hai aur hamare kaam me krodh ki koi jagah nahi hoti
hamesha thande dimag se kaam lena hi hamara kartavya hai

Moulvi:- to iska matlab koi hame chahe jitni bhi galiya kyu na de ham chup chaap daant
nikal kar haste rahe

Swami:- agar dharam ka dhandha chalana hai to aisa hi karna padega chahe samne wala
hamare mouh par thook hi kyu na de dekhiye Moulvi sahab maine aapko pehle hi kaha
tha ki aap apne kaum walo ko hamare khilaf bhadkayenge aur hum apne jaat walo ko
aapke khilaf fir un logo ko hum apne apne sangathan me shamil karenge jo log pyar ki
bhasa samajhte hai unhe pyar se aur jo log na samjhe unhe dar se jitne zyada log utne
zyada paise
Moulvi:- issi liye to main Kadir ko uss maa bete ko samjhane bhej raha tha apne tareeke
se par mere hi aadmi mere khilaf jane lage

Swami:- jab itne logo ke samne aap un dono ko marne ki baat karenge to log aawaj to
utayenge hi aap baar baar bhool kyu jate hai ki aap ek Moulvi hai aur ek Moulvi ko gussa
karne ka haq nahi hota

Moulvi:- to kya hum aise hi haath par haath dhare baithe rahe kya

Swami:- nahi bilkul nahi jab koi pyar se aur dar se bhi na mane to sirf ek hi tareeka bachta
hai kya kaha tha usne ki hum dharam ke maan par politics karte hai to fir dikhana to
padega hi ki politics kya hoti hai Swami ki baat sunkar Moulvi mushkura deta hai

Moulvi:- mohra to maine chood diya hai bas chaal chalni baki hai

Swami:- bas sahi waqt ka intejar karna hai fir seh aur maat ussi beech Kadir bol pada

Kadir:- Swami ji hamare paas pehle se hi kafi log hai agar wo teeno hamse na bhi jude to
kya farak pad jayega

Swami:- are Kadir miya unke judne na judne se hame koi problem nahi problem to sirf
unki dosti se hai aaj ye teen hai kal 30 honge parso 300 fir 3000 agar aise hi chalta raha to
wo dir dur nahi jab hame apna ye dhandha band karke apne apne gaav ja ke hal chalana
padega ye hindu muslim jab tak agal alag hai tab tak hum hai jab ye dono samuday ek ho
gaya to samjho hamari maut tay hai in dono kaum ko aapas me ladwate bhi ham hai aur
fir unhe bachate bhi hum hi hai jisse done me dushmani bhi zindagi bhar chalti rahe aur
hamara dhandha bhi issi ko to politics kehte hai sadiyo se har bada politician ye hi to karta
aaya hai ye keh kar waha maujood sabhi log thahake laga kar hasne lagte hai

Wahi dusri taraf shaam 7 baje Armaan Abdul chacha ki dukan par jata hai usne pehle hi
Aadil aur Junaid ko phone karke waha aane ko bol diya tha Armaan jab waha pahucha tak
tak dono aa chuke the Armaan bhi unke saath baith jata hai

Aadil:- kya baat hai yaar aaj bade din baad yaha aaya aur hamse aisi kon si important baat
karni hai

Armaan:- batata hon itni bhi kya jaldi hai pehle chai to pila Aadil jake 3 cup chai le aata
hai

Aadil:- han ab bol

Armaan:- ek sarth par pehle bol ki tu hum dono ko party dega


Aadil:- bhala wo kis khushi me

Armaan:- yaar tere bhai ko lover mil gayi yaar ye sunte hi Junaid bola

Junaid:- matlab Ruby ko tune propose kar diya kab

Armaan:- aaj subah hi aur usse kiss bhi kiya

Junaid:- abe kya baat kar raha hai usse kiss bhi kar liya sale tu to bada fast nikla tabhi Aadil
bola

Aadil:- sale ladki tune patai kiss tune kiya lekin party main du

Armaan:- han usse tera bhi to bhala hua na

Aadil:- mera kya bhala hua kya wo mujhe bhi kiss karegi

Armaan:- haram khor teri bhabhi hai wo uske bare me aisi baat karta hai

Aadil:- abe tu baat hi aisi kar raha hai seedhe seedhe bol kya baat hai

Armaan:- to sun uski ek saheli hai jo tujhe chahne lagi hai jab se usne tujhe dekha hai tere
pyar me pagal ho gayi hai har waqt bas tujhe hi yaad karti rehti hai Armaan ki baat sunkar
Aadil aur Junaid dono chonk jate hai Armaan ki baat sunkar dono chonk jate hai

Junaid:- yaar kya baat kar raha hai tu kaisi dikhti hai wo naam kya hai uska

Armaan:- Nigar naam hai uska kasam se badi gajab ki hai tabhi Aadil bola

Aadil:- sale mujhe ullu banata hai koi ladki mujhse pyar kare ye ho hi nahi sakta

Armaan:- abe kyu nahi ho sakta

Junaid:- han yaar kyu nahi ho sakta kya kami hai tujhme acha khasa to dikhta hai smart
bhi hai aur tujhme talent bhi hai

Aadil:- abe kon sa talent

Junaid:- yaar jo banda sirf 3 ghante ki part time naukari me mahine ka 7000 kama le usme
talent to hoga hi

Aadil:- yaar wo to main hameed bhai ke business ka account dekhta hon to thode bohat
paise mil jate hai warna zara se pension se gujara kaha chalta

Junaid:- tujhe 7000 thode se lagte hai yaar yaha bohat se aise log bhi hai jo sirf 5000 ke
liye 12 ghante gadhe ki tarah mehnat karte hai
Aadil:- lekin yaha kuch aise log bhi hai jinhe 50000 rupaye mahina milta hai

Junaid:- yaar jab tu sirf 3 ghanta kaam karke 7000 kama leta hai to soch jab tu full time
karega to 20000 kama lega aur fir experience bhi koi cheej hoti hai hai jaise jaise wo
badhta jayega waise waise teri payment bhi tabhi Armaan bol pada

Armaan:- abe tum dono kaha ki baat kaha le ja rahe ho yaha baat ek ladki ki ho rahi thi
aur tum dono naukari tak pahuch gaye Aadil tune bataya nahi ki tujhe vishwaas kyu nahi
ho raha hai

Aadil:- abe kaise maan lu aaj tak maine na jane kitni ladki ko patane ki kosis ki hai sali koi
theek se baat tak nahi karti aur tu keh raha hai ki koi ladki hai jo mujhe chahti hai

Armaan:- ab tujhe kaise yakeen dilau uska to number bhi nahi hai mere paas warna abhi
teri baat kara deta

Junaid:- yaar tu Ruby se baat kara de wo bolegi to fir isse manna hi padega fir Armaan
Ruby ko call karta hai

Ruby:- kya baat hai itni jaldi fir se yaad aa gai meri fir se kuch chahiye kya

Armaan:- chahiye to bohat kuch par mujhe nahi Aadil ko usse yakeen hi nahi ho raha hai
ki Nigar usse chahti hai ab tum hi samjhao main to thak gaya itna keh kar Armaan Aadil
ko phone pakda deta hai

Aadil:- han Ruby ji kahiye

Ruby:- kya Aadil bhai aapko yakeen nahi hai kya

Aadil:- ab in logo ki baat par main kaise yakeen karu kafi topi pehna chuke hai ye log

Ruby:- par meri baat par to yakeen kar sakte hai na sach me Nigar aapko bohat chahti hai
uska bas chale to abhi bhaag kar aapke paas aa jaye

Aadil:- lekin

Ruby:- koi lekin wekin nahi kal main aapse uski mulakat karwaungi tab tak main Armaan
ke mobile par uski ek photo bhej deti hon tab tak ussi ko dekh kar apne dil ko tasalli dijiye
kuch hi der me Ruby Nigar ki photo bhej deti hai jise dekh kar Aadil apne hosh kho baithta
hai

Junaid:- han to bhai ab bata ladki chahiye ya fir main le lon

Aadil:- kameene dost ki gf par nazar dalte sharam nahi aati


Armaan:- waah bhai gf abhi tak to hum par yakeen nahi tha ab meri gf bol raha hai

Junaid:- waise aaj raat ek ghatna ghatne wali hai apne Aadil sahab sari raat jaag kar katne
wale hai

Aadil:- main bhala kyu jagne laga

Junaid:- bhai naya naya pyar hai asar to dikhayega hi aur upar se agar mashuka ki tasveer
aankho ke samne ho to kis kambakkat ko neend aati hai itna keh kar Junaid aur Armaan
dono has pade

Aadil:- abe aisa kuch nahi hai mujhe nahi chahiye photo

Armaan:- theek hai mat le mera kya ye keh kar Armaan apna phone jeb me rakh leta hai
aur khada ho jata hai

Armaan:- acha ab main chalta hon warna der ho jayegi Armaan ne abhi ek hi kadam
badhaya tha ki tabhi Aadil bol pada

Aadil:- bhai wo photo to mere mobile me send karta ja Aadil ka ye kehna tha ki Armaan
aur Junaid fir se has pade aur unhe haste dekh Aadil bhi mushkurane laga

Agle din Junaid to college chala gaya par Armaan aur Aadil aaj college gol karke Ruby aur
Nigar se milne wale the wo bhi ussi park me jaha Armaan aur Ruby kal mile the dono waha
pahuch kar Ruby aur Nigar ka wait karne lagte hai kuch hi der me dono unhe aati hui
dikhai deti hai Nigar ko apni ore aati dekh Aadil ki hawa nikal jati hai jaise jaise wo paas
aa rahi thi waise waise Aadil ke dil ki dhadkane tez hoti ja rahi thi usne dheere se Armaan
se kaha

Aadil:- bhai tu saath rahega na

Armaan:- kyu be main yaha kya teri love story dekhne aaya hon hamara kaam tha tujhe
Nigar se milana wo ho gaya ab aage tu khud dekh le

Aadil:- aisa mat bol bhai dar se meri fati padi hai samajh me hi nahi aa raha hai kya baat
karu usse

Armaan:- abe wo ek ladki ho ke nahi ghabra rahi hai aur tu ladka hoke dar raha hai sale
mardo ki naak katwa di

Aadil:- abe naak gayi tel lene yaha mera pichwada daaw par laga hai
Armaan:- tera pichwada tu sambhal main to chala apni wali ke saath Aadil kuch kehta tab
tak dono un tak pahuch chuki thi

Ruby:- (Nigar se) le Nigar ye raha tumhara Aadil ab tum dono ko jo karna hai wo karo koi
disturb nahi karega itna keh kar Ruby Armaan ka haath pakad kar unse dur le jati hai jate
jate Armaan Aadil ko aankh maar deta hai bechara aadi bas apne man me hi Armaan ko
galiya deta reh jata hai Aadil aur Nigar dono chup chap ek dusre ke samne khade the kisi
ki bhi himmat nahi ho rahi thi kuch bolne ki tabhi Aadil ke phone me ek massage aaya
usne dekha to paya massage Armaan ne kiya tha abe chutiyo jaisa khada rahega ya usse
baithne ko bhi bolega ye padh kar Aadil kehta hai

Aadil:- are aap khadi kyu hai baithiye na Nigar kuch nahi kehti chup chap bench par baith
jati hai Aadil bhi uske bagal me thodi duri bana kar baith jati hai dono fir chup chap baithe
rehte hai ki tabhi Aadil ke phone par Armaan ka ek aur massage aata hai sale yaha kya
time pass karne aaya hai baat kar usse

Aadil:- jee aapka naam kya hai Aadil ne puch to liya par baad me apne hi sawal par usse
chid hui ki maine ye kaisa bewkufo wala sawal puch liya

Nigar:- (mushkurate hue) ji Nigar

Aadil:- sorry bilkul ulluo jaisa baat kar raha hon darasal aaj pehli baar kisi ladki se iss tarah
baat kar raha hon

Nigar:- ji pata hai mujhe

Aadil:- kya pata hai ki main pehli baar kisi ladki se iss tarah baat kar raha hon

Nigar:- aap ullu hai ye pata hai itna keh kar Nigar khilkhilakar has padi usse iss tarah haste
dekh Aadil bhi hasne laga

Aadil:- to fir iss ullu se pyar kyu kiya ye sunkar Nigar ki hasi band ho jati hai aur Aadil ki
aankho me aankhe dalkar kehti hai

Nigar:- kya karu dil jo aa gaya iss ullu par itna keh kar wo apni nazre neechi kar leti hai
Aadil khisak ke uske kafi nazdeek jata hai aur dheere se apna haath peeche se le jake Nigar
ke kandhe par rakhta hai Nigar bhi dheere dheere Aadil ki baaho me samati chali jati hai
Aadil bhi i love you keh ke usse kas ke apni baaho me bhar leta hai

Udhar Armaan aur Ruby aapas me lage pade the aur idhar Aadil aur Nigar baato baato me
Nigar ke mouh se wo sach nikal jata hai jise sun kar Aadil ke hosh udd jate hai
Nigar:- bhala ho Rubyna ka jiski wajah se aaj tum mujhe mil gaye warna na jane mera kya
hota

Aadil:- kon Rubyna

Nigar:- sach me ullu ho Rubyna ko nahi jante

Aadil:- yaar jab nahi janta to puchunga hi na

Nigar:- are tumhare dost Armaan ki gf Ruby ussi ka pura naam to Rubina hai ye sunkar
Aadil ke hosh udd jate hain

Aadil:- kya Ruby muslim hai

Nigar:- tum to aise chonk rahe ho jaise muslim ward pehli baar sun rahe ho yaha sabhi to
muslim hai tum ho main hon Ruby hai Armaan hai

Aadil:- nahi Nigar Armaan hindu hai uska pura naam Armaan Patel hai ab to Nigar ke bhi
hosh udd jate hain

Nigar:- kya keh rahe ho tum Ruby to samajhti hai Armaan musalman hai

Aadil:- yahi to Armaan bhi samajhta hai warna usse hame pehle hi bata diya hota

Nigar:- to kya hua agar Armaan hindu aur Ruby muslim hai to pyar koi jaat dharam dekh
kar thode hi hota hai

Aadil:- Armaan ko hindu muslim se koi farak nahi padta uske liye insaniyat hi sabse pehle
hai usse sirf ek cheej pasand nahi hai wo hai dhoka mujhe dar hai ki Armaan ko sach pata
chalne par kya hoga kahi usse ye na lage ki Ruby ne apna dharam chupa kar usse dhoka
diya hai

Nigar:- par Ruby ne koi dhoka nahi diya balki uske saath bhi to wahi hua jo Armaan ke
saath hua jab usse pata chalega to na jane uske dil par kya beetegi mar hi jayegi wo to
bohat pyar karti hi wo Armaan se plz Aadil kuch karo kuch bhi ho jaye par unhe agal mat
hone dena

Aadil:- ab to ek hi rasta hai Armaan ko sab kuch sach sach batana padega isse pehle ki
Armaan ko kisi aur tareeke se pata chale mujhe usse baat karni padegi

Nigar:- jitni jaldi ho sake baat karna warna kahi der na ho jaye

Aadil:- mujhe thoda waqt chahiye aisi baate zaldbaji me nahi ki ja sakti warna sab gadbad
ho sakta hai wo dono abhi baat kar hi rahe the ki Armaan aur Ruby waha aa gaye
Armaan:- tum dono ki baate agar ho chuki ho to chale kisi restaurant me kyuki hum dono
ko badi zor ki bhook lagi hai un dono ko dekh kar Aadil aur Nigar apne chahre par jhuti
muskaan late hue kaha

Aadil:- han han chalo hamara ho gaya hai kyu Nigar

Nigar:- han chalo mujhe bhi bhook lag rahi hai Aadil aur Nigar puri sawdhani barat rahe
the ki kisi bhi tarah se dono ko abhi sach ka pata na chale issi ke chalte Aadil sabko
chainees restaurant le gaya taki waha khane ko lekar un dono ko kisi bhi tarah ka sandeh
na ho dono kosis to puri kar rahe the par kya sach kabhi chup saka hai Armaan aur Ruby
ka sach janne ke baad Aadil aur Nigar dono pareshan the unhe samajh me hi nahi aa raha
tha ki wo kare to kya kare

Agle din bhi dono ka yahi haal raha Aadil Armaan ko sach batana to chahta tha par Armaan
ke chahre ki khushi dekh kar chup ho jata usse dar tha ki agar Armaan ko sach ka pata
chala to wo kuch bhi ulta seedha kar sakta hai usne college me hi Junaid se ye baat kahi
jise sunkar Junaid bhi shocked ho gaya usse bhi samajh me nahi aa raha tha ki Armaan se
baat kaise ki jaye

Wahi Nigar ki halat bhi kuch aisi hi thi Ruby ka hasta mushkurata chahra usse baar baar
rok raha tha wo janti thi ki Ruby Armaan ko apni jaan se bhi zyada chahti hai wo ye seh
nahi payegi aur agar Armaan ne usse choor diya to wo pakka apni jaan de degi ye sab
dimag me aate hi Nigar bohat ghabra gayi usne turant Aadil ko call kiya aur usse milne ke
liye bulaya Aadil Junaid ko lekar Nigar se milne chala gaya teeno ussi park me mile

Nigar:- Aadil kuch socha tumne un dono ke bare me

Aadil:- nahi mujhe to kuch samajh me nahi aa raha ki Armaan se kaise baat karu

Nigar:- lekin baat to karni hi padegi na

Junaid:- Armaan ko hum achi tarah se jante hai wo ye nahi samjhega wo sirf Ruby ko hi
doshi samjhega

Nigar:- ek idea hai kyu na main Armaan se baat karu aur tum dono Ruby se ho sakta hai
ki mere baat karne se Armaan samajh jaye aur tumhare baat se Ruby

Aadil:- idea to acha hai par kya baat banegi


Junaid:- bilkul banegi Nigar Ruby ko aache se janti hai agar Nigar ne Armaan ko Ruby ka
dard uski khushi aur Armaan ke liye uski chahta ko theek se batayegi to Armaan uski baat
jaroor samjhega aur issi tarah ki baat hum Ruby se bhi karenge

Nigar:- to fir tay raha kal subah hum log undono se baat karenge dono apni sehmati me
sir hilate hai fir kuch der baad sabhi apne ghar chale jate haim

Agle din Armaan college ke liye ready ho raha tha ki tabhi uske mobile par Nigar ki call
aayi aur usne usse ek garden me milne bulaya aur iss bare me Ruby ko na batane ko kaha
Armaan ne kuch socha aur nikal gaya Nigar ki batai jagah ke liye wahi Aadil ne Ruby ko
call karke park me milne bulaya aur Armaan ko iss bare me pata na chale ye bhi kaha Ruby
ne bhi thoda soch kar han kar di thodi der me Armaan garden pahuch gaya Nigar waha
pehle se hi thi

Armaan:- han Nigar bolo kya baat karni hai

Nigar:- Armaan pehle promise karo ki meri baat sunkar tum gussa nahi karoge aur jo bhi
kahu usse dhyan se sunoge

Armaan:- aisi kya baat hai jiske liye mujhe promise karna padega

Nigar:- Armaan pehle promise karo plz

Armaan:- ok baba promise nahi karunga gussa ab bolo

Nigar:- Armaan tum hindu muslim ke bare me kya sochte ho

Armaan:- ye kaisa bekar sawal hai main in sab jaat dharam ko nahi manta agar manta hota
to aaj Aadil aur Junaid mere dost na hote

Nigar:- jab baat pyar ki ho kya tab bhi tumhari soch yehi rahegi

Armaan:- (gusse se) ye kya bakwas kar rahi ho seedhe seedhe bolo kehna kya chahti ho

Nigar:- Armaan tumhe pata hai Ruby tumhe kitna chahti hai uske ghar me jitne bhi log hai
un sabme tumhari jagah sabse upar hai yaha tak ki usne tumhe apna sab kuch maan liya
hai sab kuch ka matlab samajhte ho na tumhari khushi ke liye apni jaan bhi de sakti hai
wo

Armaan:- han to main bhi usse pyar karta hon meri zindagi hai wo

Nigar:- to kya tum apni zindagi se dur reh sakte hai kya tum apne pyar ki aankho me
aanshu dekh sakte ho kya usse tadap tadap ke marte hue dekh sakte ho
Armaan:- (gusse se) nahi main usse dur rehne ki baat kabhi soch bhi nahi sakta aur rahi
baat uske aansuo ki to main ye kabhi bardast nahi kar sakta

Nigar:- ye jante hue bhi ki wo ek muslim hai uska pura naam Rubyna hai ye sun kar Armaan
bilkul shant ho gaya uske chahre me ab koi bhi bhaw nahi the ek but ki tarah khade hokar
wo Nigar ki baato ko sunta raha

Nigar:- Ruby ne tumhe koi dhoka nahi diya Armaan wo bhi ye hi samajhti rahi ki tum
muslim ho usne sirf tumse pyar kiya bina kisi sharth ke iske aage Nigar kuch kehti Armaan
dheere se bola

Armaan:- (dard bhari aawaj me) kya Ruby ko ye baat pata hai ki main hindu ho

Nigar:- abhi tak to nahi lekin wo puri baat keh bhi nahi payi ki Armaan fir bol pada

Armaan:- aur usse pata bhi nahi chalna chahiye haa ye sach hai ki main hindu hon aur wo
muslim lekin ye bhi sach hai ki main ye baat bohat pehle se janta hon tab jab maine usse
pehli baar baat ki thi uss din shaam ko main kisi kaam se eid gaah road gaya tha waha
maine Ruby ko masjid me jate dekha jab main bhi uske peeche waha gaya to dekha Ruby
namaz padh rahi hai mujhe jhatka to laga par meri mohabbat ke aage sab bekar tha kya
hua agar Ruby muslim hai to isse mere pyar par koi asar nahi padta balki wo har pal badhti
ja rahi hai mujhe ye bhi pata hai ki jab Ruby ko ye sach pata chalega to wo mujhse nafrat
karne lagegi meri shakal tak nahi dekhna chahegi lekin abhi nahi abhi mujhe uske saath
jeena hai uski mohabbat ko apni ruh me basana hai fir chahe wo mujhe choor kar chali
jaye main nahi rokunga jee lunga uski yaad me jaise taise mushkil hoga par kosis karunga
lekin plz usse abhi mat batana ye keh kar Armaan Nigar ke aage haath jod kar khada ho
gaya uski aankho se aansu beh rahe the aur Nigar chup chap uski baat sun rahi thi ab wo
Armaan se kya kehti ki uski Ruby ko bhi aaj hi uska sach pata chala itna keh kar Armaan
waha se chala gaya

Wahi park me jab Ruby ko Armaan ka sach pata chala to uski halat bhi kuch Armaan jaisi
hi thi wo bhi apna haath jode aankho me aansu liye dono se keh rahi thi Ruby plz aap
dono se request hai ki Armaan ko ye abhi pata nahi chalna chahiye ki main muslim hon
wo hindu hai iss baat ka pata mujhe pehle se hi tha tab se jab roz bus stop par main usse
dekha karti thi khud ko bohat samjhane ki kosish ki par apne dil ko na samjha payi ho hi
gayi usse mohabbat mujhe pata hai ki sach pata chalne ke baad wo mujhe chod dega lekin
tab tak main apni zindagi jee lena chahti hon kam se kam iss baat ka sukun to rahega ki
maine apne pyar ke saath kuch waqt to gujara fir meri jaan bhi chali jaye to parwah nahi
lekin plz abhi usse kuch nahi pata chalna chahiye itna keh kar Ruby bhi rote hue waha se
chali jati hai Ruby ke jate hi Aadil Nigar ko call karta hai

Aadil:- han Nigar baat hui Armaan se kya kaha usne

Nigar:- tum abhi mere paas aao aisi baat bataungi ki tum hill jaoge

Aadil:- theek hai main abhi aata hon itna keh kar Aadil aur Junaid dono Nigar ke paas chale
jate hai

Aadil:- batao kya baat hui Armaan se

Nigar:- Armaan ko Ruby ki sari sacchai pehle se hi pata thi tab se jab usne Ruby ko propose
bhi nahi kiya tha

Junaid:- kya keh rahi ho Armaan ko pata hai lekin usne to kabhi hame bataya nahi

Nigar:- wo iss liye ki wo nahi chahta ki Ruby ko iss baat ka pata chale ki wo hindu hai warna
Ruby usse choor degi

Aadil:- oh my god lekin Ruby ko to Armaan ka sach pata hai wo bhi kafi dino pehle se

Nigar:- iska matlab dono ek dusre ka sach jante hai lekin kabhi kisi par zahir kyu nahi hone
diya

Junaid:- (mushkurate hue) apne pyar ko kahi kho na de iss dar se dono chup rahe yaar ye
mohabbat cheej hi aisi hoti hai

Aadil:- to fir chalo unki iss galatfahmi ko bhi aaj hi khatam kar dete hai itna keh kar Aadil
Armaan ko call karta hai

Armaan:- abe kaha hai tu pura college dhund liya nahi tu kahi dikha aur na hi Junaid

Aadil:- yaar abhi hum log pahuche nahi hai bas abhi nikal hi rahe hai

Armaan:- tab tak to teri class Miss ho jayegi

Aadil:- class ko maar goli tu canteen me ruk hum abhi aate hai kuch baat karni hai itna
keh kar Aadil ne call cut kar di aur college ke liye nikal pade

Wahi Nigar ne Ruby ko call kiya to pata chala ki wo apne ghar me hai college gayi nahi to
Nigar bhi Ruby ke ghar ke liye nikal jati hai college pahuch kar Aadil aur Junaid dono
seedhe canteen me chale jate hai jaha Armaan pehle se hi unka wait kar raha tha dono
uske paas jakar baith jate hai
Armaan:- tum dono pagal ho kya salo na khud padhte ho aur na mujhe padhne dete ho

Junaid:- sale tune bataya nahi ki Ruby muslim hai direct Junaid ke mouh se ye baat sunkar
Armaan shocked reh jata hai

Armaan:- tum dono ko ye baat kaha se pata chali

Aadil:- kaise pata chali kaha se pata chali wo sab chod aur ye bata ki tune hame kyu nahi
bataya kya ab tu hame iss layak bhi nahi samajhta ki apne dil ki baat bata sake bas itni si
thi hamari dosti tabhi Junaid khada ho gaya

Junaid:- sale badi achi dosti nibhai tune dil tod diya aaj tune mera ek ladki ke liye tune
apni barso purani dosti ko bhi bhula diya isse acha to tune hame maar hi diya hota

Armaan:- abe nautanki ab ye zyada ho raha hai Junaid ne Aadil ki taraf dekh kar kaha

Junaid:- abe zyada ho gaya kya Aadil ne han me sir hila diya

Junaid:- oh sorry ye keh kar Junaid fir se baith gaya

Armaan:- yaar main tum dono ko iss bare me batane hi wala tha lekin samajh me nahi aa
raha thi ki kaise kahu lekin mere kehne se pehle hi tum dono ko pata chal gaya pata nahi
sala kon kamina hai jisne tumhe ye sab bata diya

Aadil:- oye khabardar jo hamari bhabhi ko kamina kaha ye sunkar to Armaan pura hill gaya

Wahi Nigar Ruby se milne uske ghar jati hai uss waqt Ruby apne room me hi thi wo bhi
wahi chali jati hai

Nigar:- tu aaj college kyu nahi gai

Ruby:- yaar mood theek nahi tha

Nigar:- kyu kya hua Armaan hindu hai iss liye ye sunkar Ruby chonk jati hai

Ruby:- ye kya keh rahi hai tu matlab ye baat tujhe kaise pata chali

Nigar:- Armaan ne kyuki tu to kuch batane se rahi Armaan ka naam sunte hi Ruby bhi puri
hil gayi

Ruby:- kya kaha tune Armaan ne bataya tujhe par tu usse mili kab fir Nigar ne kal Aadil se
hui baat se lekar aaj Armaan tak ki sari baat Ruby ko batati chali gai yaha tak ki Armaan
janta hai ki Ruby muslim hai ye sunkar Ruby ke pairo ke neeche se zameen hi khisak gayi
aur uski aankho me aanshu aa gaye
Ruby:- iska matlab Armaan ko pata chal gaya ki main muslim hon ye theek nahi hua ab wo
mujhse dur ho jayega kaise jeeungi uske bagair

Nigar:- kisne kaha ki wo tujhse dur chala jayega agar usse dur jana hi hota to wo tujhse
pyar kabhi nahi karta usse to pehle se hi pata tha tu muslim hai lekin fir bhi usne tujhse
pyar kiya wo in jaat paat ko nahi manta wo sirf tujhe chahta hai bohat pyar karta hai tujhse
kahi wo tujhe kho na de sirf issi dar se usne kabhi zahir nahi hone diya ki wo hindu hai

Ruby:- tu sach keh rahi hai na Armaan mujhe abhi bhi chahta hai wo mujhse kabhi dur
nahi jayega

Nigar:- han meri jaan wo kabhi bhi tujhe choor kar nahi jayega ye sunte hi Ruby ne kas ke
Nigar ko apne gale laga liya

Wahi Aadil ne jab Armaan ko sari baat batai to Armaan bohat hi pareshan ho utha

Armaan:- salo kisne kaha tha Ruby se baat karne ke liye ab wo mujhe choor degi kya mila
aisa karke

Aadil:- oye agar usse tumhe choorna hota to kab ka choor deti wo ye baat bohat pehle se
janti hai ye sab janne ke baad bhi usne tujhse pyar kiya uske liye iss duniya me sabse
badhkar tu hai kahi tujhe kho na de iss dar se usne ye baat tujhse chupaye rakkha ye
sunkar Armaan ki aankho me chamak aa gai

Armaan:- tu sach keh raha hai wo mujhe kabhi bhi choor kar nahi jayegi

Junaid:- han ye sach hai ek to madad karo aur upar se gali bhi suno

Armaan:- sorry yaar wo main bohat tension me aa gaya tha itna keh kar Armaan ne dono
ko gale laga liya

Wahi Ruby ke ghar me ek gadbad ho gai jab Nigar Ruby ke room me gai thi to wo darwaja
band karna bhool gai aur iska natija ye hua ki un dono ki sari baat Ruby ki badi bhabhi ne
sun liya Nigar ke mouh se sach sunte hi Ruby khushi se jhoom uthi ab uske dil se sara bozh
hi utar chuka tha ab usse koi dar nahi tha Armaan ko khone ka Nigar ke jate hi uski badi
bhabhi Jeenat room me aayi Ruby usse dekh kar khushi se usse lipat gayi

Ruby:- bhabhi bhabhi aaj main bohat khus hon aaj mere dil ka sara dar khatam ho gaya
bhabhi aaj mujhe khul ke nachne ka man kar raha hai itna keh kar Ruby Jeenat ka haath
pakad kar nachne lagi lekin Jeenat ne apna haath jhatak diya

Jeenat:- (gusse se) tu ye theek nahi kar rahi hai Ruby


Ruby:- kya hua bhabhi maine kya kiya

Jeenat:- main Armaan ki baat kar rahi hon bhool ja usse ye hi tere liye acha hoga ye sunkar
Ruby chonk gai

Ruby:- par bhabhi aap to janti hai main usse pyar karti hon aur aap bhi hamare iss rishte
se khus thi fir achanak kya hua aapko

Jeenat:- han main khus thi aur ye bhi chahti thi ki tum dono ek ho jaao par asliyat janne
ke baad ki Armaan hindu hai main aisa hargij nahi chahungi

Ruby:- aisa mat bolo bhabhi main bohat chahti hon usse meri jaan hai wo bhabhi kya hua
agar wo hindu hai to pyar majhab dekh kar nahi hota wo to bas ho jata hai main uske bina
mar jaungi bhabhi plz usse mujhse alag mat karo ye keh kar Ruby foot foot kar rone lagi

Jeenat:- pagal mat ban Ruby aise pyar ka koi bhawishya nahi hota jise samaj ki manjoori
na mile agar ye baat tere abbu aur bhaiyo ko pata chali to wo maar dalenge tujhe maine
teri har zidd puri ki tune jo kaha maine kiya par main teri ye zidd kabhi nahi maan sakti jin
aankho ne tujhe bada hote dekha hai wo aankhe tujhe marta hua nahi dekh sakti

Ruby:- (rote hue) uske bina bhi main nahi jee paungi bhabhi mar jaungi

Jeenat:- (gusse se) theek hai tujhe marne ka itna hi shook hai to tu mar lekin usse pehle
tu mera gala daba de kyuki main to tujhe marta hua dekh nahi sakti isse acha hoga ki tujh
se pehle main hi apni jaan de du

Ruby:- bhabhi aap ye kaisi baat kar rahi ho maine aapko apni maa mana hai aur ek beti
apni maa ki jaan kaise le sakti hai ye sunkar Jeenat ki aankho se bhi aanshu behne lage

Jeenat:- to kya ek maa apne beti ko iss tarah marte hue dekh sakti hai kya meri bacchi jo
main keh rahi hon tum dono ke bhale ke liye keh rahi hon agar kisi ko bhi iss baat ki zara
si bhi bhanak lagi to sabse pehle wo log usse jaan se maar denge kya tu chahti hai ki
Armaan mar jaye Ruby ne turant apna haath Jeenat ke mouh par rakh diya

Ruby:- nahi bhabhi khuda ke liye aisi baat mat bolo jiski lambi umar ki main har waqt dua
mangti hon usse hi meri wajah se kuch ho jaye ye main seh nahi paungi

Jeenat:- isiliye to main tujhse keh rahi hon ki abhi bhi waqt hai sambhal ja warna kahi der
na ho jaye bhool ja usse hindu aur musalman kabhi bhi ek nahi ho sakte duniya wale tum
dono ko kabhi bhi ek nahi hone denge maar denge tujhe aur usse bhi apne liye na sahi
par Armaan ke liye tujhe ye karna hi padega
Ruby:- Armaan ki zindagi ke liye agar mujhe usse dur bhi jana pade to main chali jaungi
par usse kuch nahi hone dungi main usse bhool jaungi bhabhi Ruby ki baat sunkar Jeenat
uske maathe par ek kiss kar ke waha se chali jati hai aur uske jate hi Ruby foot foot rone
lagti hai

wahi Armaan Ruby ko call karta hai par Ruby call nahi uthati Armaan baar baar try karta
hai par Ruby jaan bujh kar call nahi uthati Armaan bohat pareshan ho utha fir usne Nigar
ko call kiya

Nigar:- han Armaan bolo

Armaan:- Nigar ye Ruby ko kya hua wo mera call kyu nahi utha rahi hai

Nigar:- wo to mujhe nahi pata ho sakta hai ghar me sab log ho jis wajah se call nahi utha
rahi hai

Armaan:- han ho sakta hai shayad baad me call back kare ye keh kar Armaan call cut kar
deta hai aise hi pura din beet gaya par Ruby ne na to call uthaya aur na call back kiya
bechara Armaan sari raat jaagta raha iss ummed se ki Ruby call karegi par Ruby ne call
nahi kiya

Agle din Armaan bus stop ke paas khada raha par fir bhi usse Ruby nahi dikhi uske college
me jake pata kiya to pata chala ki aaj Ruby college aayi hi nahi hai Armaan aur bhi
pareshan ho gaya usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki wo kare to kya kare kaise pata
kare Ruby ke bare me usne fir se Nigar ko call kiya

Armaan:- Nigar kal se Ruby call nahi utha rahi hai aur aaj wo college bhi nahi aayi wo theek
to hai na

Nigar:- Armaan tum shaam ko mujhe park me milo tab tak main pata karti hon Ruby ke
bare me waise wo mera call bhi nahi utha rahi hai

Armaan:- pata nahi kya hua usse mera dil bohat ghabra raha hai kahi kuch anhoni to nahi
hui na

Nigar:- tum tension mat lo shaam ko milo theek hai aisa kuch nahi hua hoga itna keh kar
Nigar call cut kar deti hai jaise taise shaam hui aur Armaan nikal pada Nigar se milne lekin
uss shaam kuch aisa hua jiski umeed shayad kisi ko nahi thi Armaan park pahucha aur
Nigar ke paas chala gaya Nigar bohat hi tension me dikh rahi thi
Armaan:- kya hua Nigar kuch pata chala Ruby ka kaha hai wo kaisi hai wo mera phone kyu
nahi utha rahi hai wo theek to hai na Nigar udas mann se kehti hai

Nigar:- wo ab tumse baat nahi karna chahti hai Armaan tumse koi matlab nahi rakhna
chahti usne tumse apne sare riste tod liye hai wo ab tumhe bhoolna chahti hai ye sunkar
Armaan ke upar to jaise aasman hi fat pada

Armaan:- mujhe bhoolna chahti hai wo magar kyu main hindu hon iss liye par ye to wo
pehle se janti thi fir maine aisi kya galti kar di

Nigar:- wo to mujhe bhi nahi pata usne bas itna hi kaha hai mujhse ye keh kar Nigar rone
lagi

Armaan:- tum ro kyu rahi ho kahi tum mujhse kuch chupa to nahi rahi iske peeche koi aur
baat to nahi hai batao mujhe

Nigar:- nahi Armaan aur kuch bhi nahi hai

Armaan:- nahi tumhari aankhe tumhara saath nahi de rahi hai jaroor koi baat hai plz Nigar
batao mujhe meri Ruby kabhi aisa nahi keh sakti plz batao Armaan ki halat dekh Nigar uss
par thoda sa chillate hue kehti hai

Nigar:- sach janna chahte ho na tum sun paoge sach himmat hai to suno sach to ye hai ki
Ruby ka man tumse bhar gaya hai wo tumhare saath maza karna chahti thi par tum usse
sacchi mohabbt kar baithoge ye usse nahi socha tha wo to na jane kitno ko choor chuki
hai uska dil jis se bhar jata hai wo usse choor kar kisi aur ko pakad leti hai mardo se khelna
uski aadat hai aur tum bhi uska shikar ban gaye Nigar ki baat sunkar Armaan ko viswaas
nahi hua

Armaan:- nahi tum zhoot bol rahi ho Ruby aisi nahi hai wo mujhse pyar karti hai wo kabhi
bhi mere saath aisa nahi kar sakti tum zhoot bol rahi ho

Nigar:- main zhoot nahi bol rahi hon Armaan main bhala apne friend ke bare me itna
ganda kaise bol sakti hon tum khud socho Armaan agar wo seedhi saadhi ladki hoti to kya
uss din beech raah tumhare gaalo me kiss karti Nigar ke itna kehte hi Armaan ki aankho
ke samne wo drishya aa gaya jab Ruby ne beech rashte uske gaal par kiss kiya tha fir usse
wo bhi yaad aaya jab Ruby ne issi park me ped ke peeche uske hoontho par kiss kiya jabki
Armaan kiss nahi karna chahta tha ab usse Nigar ki baat kuch had tak sahi lagne lagi thi

Armaan:- agar Ruby aisi thi to tumne ye baat mujhe pehle kyu nahi batai
Nigar:- main to tumhe bohat pehle bata dena chahti thi lekin Ruby ne mujhe dhamki de
rakhi thi ki agar maine kuch bhi bataya to wo mujhe barbad kar degi uss Moulvi ke saath
mil kar Moulvi ka naam sunte hi Armaan gusse se bol utha

Armaan:- Moulvi kya Ruby uss Moulvi se mili hui hai

Nigar:- wo kya uska pura pariwar Moulvi ke chamche hain

Armaan:- iska matlab kal jo kuch bhi usne Aadil se kaha wo sab dhong tha uska pyar uske
wade sab dikhawa tha dhokha diya usne mujhe kyu kiya tumne mere saath aisa Ruby kyu
Armaan bilkul tut gaya tha aur Nigar iss bahane Armaan ko gale laga kar usse dilasa dene
lagi Armaan ko bhi uss waqt kisi sahare ki jarurat thi aakhir uske dil ko ek gehri choot lagi
thi to Armaan ne bhi Nigar ko apni baaho me bhar liya par ye sahara uske liye kuch hi der
ke liye tha ki tabhi Nigar bol padi

Nigar:- ye kya kar rahe ho Armaan choro mujhe ye kehti hui Nigar jhatke se usse alag ho
gai

Nigar:- Armaan bhoolo mat main tumhare dost ki amanat hon aur main usse bohat pyar
karti hon tum iss tarah mujhe nahi chu sakte Armaan ko laga ki iss tarah uske gale lagna
shayad usse acha na laga ho

Armaan:- sorry Nigar galti se ye ho gaya uska itna kehna tha ki nahi Aadil peeche se bol
pada

Aadil:- waah mere dost badi achi dosti nibhai tune apne hi dost ki gf par buri nazar rakhte
tujhe sharam nahi aayi

Armaan:- yaar to galat samajh raha hai isse aage Armaan kuch kehta Aadil usse rokte hue
fir bol pada

Aadil:- pagal nahi hon main aur na hi andha hon jo mujhe kuch samajh me nahi aayega
yaar dil tod diya tune mera tere liye sab se ladta raha lekin tune hi meri peeth par chura
ghonpa itne salo ki dosti ka ye hi sila diya tu to janta tha na ki main isse kitna pyar karta
hon fir bhi tune iske saath badtamiji ki

Armaan:- bhai meri baat to sun

Aadil:- (gusse se) bhai mat bol mujhe aaj se maine tere saath apna har rishta khatam kar
diya kamine tu bhi bilkul Ruby ki tarah ban gaya ek chuti to dusri pakad li aur to aur wo
bhi apne dost ki gf ko Nigar ne mujhe pehle hi phone par bata diya tha Ruby ke bare me
aur maine hi usse kaha tha ki tujh se milkar sari baat bata de par tu to ussi par gandi nazar
dalne laga tujhse aisi umeed nahi thi itna keh kar Aadil Nigar ka haath pakad kar waha se
jane laga lekin Armaan ne uska haath pakad kar kaha

Armaan:- (rote hue) aisa mat bol bhai Ruby to mujhe choor kar chali gai ab agar tu bhi
mujhe choor dega to main kaise jee paunga bahi mat jaa mujhe choor kar Aadil palta aur
ek jhatke me apna haath chuda kar Armaan ke gaal par ek thappad maar diya

Aadil:- sach kehte the sab ki tu bharoshe ke layak nahi hai par main nahi manta tha lekin
aaj jo tune kiya hai usse tujh par se mera sara bharosa uth gaya hai ab tu mare ya jeeye
mujhe koi farak nahi padega itna keh kar Aadil Nigar ka haath pakad kar waha se chala
gaya aur bechara Armaan aankho me aanshu liye unhe jate hue dekhta raha raat ke 8 baje
Moulvi ke ghar par naqab se apna chahra dhake ek ladki sabki nazar se bachti hui Moulvi
ke samne khadi thi uss waqt siway Moulvi aur uske kuch khaas aadmi ke alawa waha koi
nahi tha ladki ne jab apna naqab hataya to Moulvi ke chahre par muskurahat aa gai

Moulvi:- aao Nigar kaho kaam pura hua

Nigar:- jee Moulvi sahab Armaan ko Ruby ke khilaf aisa bhadkaya hai ki ab to wo usse sirf
nafrat karega aur Aadil ko bhi usse dur kar diya ab to Aadil uski shakal tak dekhna pasand
nahi karega

Moulvi:- waah kamal kar diya tumne

Nigar:- ye sab to aapka hi plan tha maine to bas uss par amal kiya hai aapke hi kehne par
maine Ruby ke room ka gate khula rakkha aur jab uski bhabhi aayi to Armaan ke hindu
hone ki baat kahi agar ye na hua hota to aage ka plan bhi pura nahi hota

Moulvi:- teer bilkul sahi samay par nishane par laga Armaan aur Ruby bhi alag ho gaye aur
Aadil ko bhi usse alag kar diya ab to usse hamare paas aana hi padega

Nigar:- Moulvi sahab ek request hai aapse ki plz Aadil ke saath kuch mat karna usse ek
baar maaf kar digiye wo khud aapse maafi mangega main wada karti hon

Moulvi:- lagta hai tumhe usse mohabbat ho gayi hai chalo kar dunga usse maaf tumne
mera itna bada kaam kiya to iska inaam to tumhe milna hi chahiye Moulvi ki baat sunkar
Nigar khush hokar waha se chali gai Nigar ke jane ke baad Moulvi Swami ko call karta hai

Moulvi:- Swami ji ek khus khabri hai Armaan se Aadil aur Ruby dono ko alag kar diya ab
kal Junaid ki bari hai usse bhi alag kar dunga
Swami:- ye aapne kya kiya Moulvi sahab maine kaha tha ki unki dosti me darar aani
chahiye alag nahi karna hai unki madad se mujhe uss Armaan se apni beizzati ka badla
lena hai uss harami ne mujhe galiya di thi meri izzat uchali thi iski saza to usse mil kar
rahegi

Moulvi:- aap karna kya chahte hai

Swami:- jaan se marna chahta hon uss kamine ko jab tak main uski laas nahi dekh leta
mujhe shanti nahi milegi

Moulvi:- par ye hoga kaise

Swami:- aaj nahi to kal Armaan Ruby ko mana hi lega aakhir wo ladki pyar jo karti hai usse
fir dono apne pyar ko anjaam dene ke liye ghar se jaroor bhagenge kyuki wo achi tarah se
jante hai ki yaha rehte hue wo kabhi bhi ek nahi ho payenge ghar se bhagne me sabse
bade madadgaar shabit hote hai unke dost ab agar Aadil aur Junaid Armaan se agal ho
gaye to fir hame kabhi bhi pata nahi chal payega ki wo dono bhaag kar gaye kaha iss liye
main keh raha hi ki Aadil aur Junaid ko apni taraf milao aur unhe fir se Armaan se dosti
karne ka natak karne ko kaho jab Armaan aur Ruby fir se ek honge jab ye dono unhe
bhagne ki salah denge jab wo raji ho jayenge to wo dono hi unhe hamari batai jagah par
bhej denge fir hum hindu muslim ki duhai dekar sabhi logo ko bhadka denge jisse unke
apne hi unka khoon kar denge isse mera badla bhi pura ho jayega aur koi ham par saq bhi
nahi karega

Moulvi:- waah Swami ji waah kya idea hai dono ki maut se logo ko aisa sabak milega ki wo
fir kabhi apni biradri ke bahar na to kisi se dosti karenge aur na hi mohabbat theek hai
Swami ji jaisa aap keh rahe hai waisa hi hoga kal Nigar Aadil ko mere paas layegi main
usse Armaan ke khilaf aur bhadka dunga jisse wo khud uska sabse bada dusman ban
jayega fir wo wahi karega jo ham kahenge thodi der aur baat karke Moulvi call cut kar
deta hai tabhi Kadir (Moulvi ka khaas aadmi) kehta hai

Kadir:- ye kya Moulvi shahab aap uss Aadil ko itni jaldi maaf kar denge bhool gaye kya uss
din usne aapke logo ke samne aapki kitni beizzati ki thi

Moulvi:- main kuch nahi bhoola Kadir aur kisne kaha ki maine usse maaf kar diya usne
mere logo ke samne meri beizzati ki hai sabak to usse sikhana hi padega par abhi nahi
waqt aane par pehle usse hum apna kaam nikalwa le fir uska number hai
Agle din wade ke mutabik Nigar Aadil ko Moulvi ke paas le kar aayi Aadil ko dekh kar
Moulvi gusse se pagal ho raha tha par jaise taise usne apna gussa dabaye rakkha aur ek
jhuti muskaan chahre par liye bola

Moulvi:- aao Aadil beta hum tumhara hi intejar kar rahe the Aadil Moulvi ke paas jake
uske pairo par gir gaya aur bola

Aadil:- hame maaf kar digiye Moulvi sahab anjane me hamse bohat badi galti ho gayi main
nasamajh ye jaan hi nahi paya ki kon apna hai aur kon paraya ek kamine insaan ke liye
maine aap jaise ek nek dil farishtye ko bura bhala kaha aapka dil dukhaya paap kiya hai
maine iske liye to shayad allah bhi mujhe maaf nahi karega aaj main apne sare gunah
kabool karta hon Moulvi sahab aap chahe mujhe jo bhi saza de main has kar kabool kar
lunga bas aap mujhe maaf kar de apni tareef sunkar Moulvi khush ho gaya aur Aadil ko
utha kar apne gale laga liya aur bola

Aadil:- der se hi sahi par tumhari aankh to khuli maine to pehle hi kaha tha ki tumhara
dost bharoshe ke layak nahi hai lekin uss waqt tumne meri baat suni nahi aur uska natija
tum ab bhugat rahe ho Nigar ne bataya mujhe kaise usne iske upar buri nazar dali ye
sunkar hi mera to khoon hi khool utha man me aaya ki jaan le lu uss kamine ka par hum
aisa nahi kar sakte kyuki jaan lena na lena upar wale ka kaam hai wo hi usse iss ghinone
kaam ki saza dega tabhi Aadil gusse se bol utha

Aadil:- nahi Moulvi sahab upar wala nahi usse saza main dunga usse jaan se maar dunga
main uski himmat kaise hui meri Nigar ko haath lagane ki

Moulvi:- pagal mat bano Aadil hosh se kaam lo main tumhari dil ki halat samajh sakta hon
lekin gusse me tum kahi aisa kaam mat kar dena jisse baad me tumhe hi pachtana pade

Aadil:- nahi Moulvi sahab chahe kuch bhi ho main uss kamine ko zinda nahi chodunga
bhale uske baad mujhe jel hi kyu na jana pade

Moulvi:- to fir Nigar ka kya hoga Aadil aur tumhari ammi unka kya wo seh payegi kuch
saalo pehle wo apne sohar ko kho chuki hai ab agar tum bhi unse dur chale jaoge to kya
wo jee payegi ye sunkar Aadil ki aankhe chalak uthi

Aadil:- to fir aap hi bataye kya karu main iss waqt mere seene me aag jal rahi hai aur ye
tabhi bujhegi jab wo kamina Armaan mar nahi jata lekin ye bhi sach hai ki ammi aur Nigar
dono hi meri jaan hai unhe kuch ho jaye ye bhi mujhe manjoor nahi hai Moulvi muskura
kar kehta hai
Moulvi:- ek rasta hai jisse tumhara badla bhi pura ho jayega aur tum par koi aanch bhi
nahi aayegi ye sunkar Aadil ki aankho me chamak aa gai

Aadil:- kon sa rasta bataiye mujhe

Moulvi:- sabse pehle to tum uss Armaan se fir se dosti karo

Aadil:- (gusse se) nahi ye kabhi nahi ho sakta ek to main usse jaan se marna chahta hon
aur aap hai ki mujhe usse fir se dosti karne ko keh rahe hai

Moulvi:- pehle meri puri baat suno tum usse dosti to karoge par sirf dikhawe ke liye fir
Moulvi Aadil ko apna pura plan samjha deta hai jise sun kar Aadil bohat hi khus ho jata
hai

Aadil:- bohat acha plan hai lekin ek problem hai Junaid wo abhi bhi Armaan ko apna dost
manta hai aur wo aisa hargiz nahi hone dega

Moulvi:- uska rashta bhi hai hamare paas hum Junaid ko bhi apni taraf mila lenge

Aadil:- par kaise fir Moulvi Aadil ko ek aur plan samjhata hai jise sun kar Aadil chonk jata
hai

Aadil:- nahi nahi Moulvi sahab hum aisa nahi kar sakte ye galat hoga

Moulvi:- agar Armaan ki jaan leni hai to ye karna hi padega aur waise bhi ye sab ham
karenge tumhe to baad me jakar usse bhadkana hai bas thodi der sochne ke baad Aadil
han kar deta hai Moulvi khus hokar Aadil ko gale laga leta hai

Wahi Junaid ke ghar me jaha Junaid ka bhara pura pariwar tha ammi abbu aur ek choti
behan jo abhi 12th me padhti hai ghar ki halat bhi achi hai abbu sarkari naukari karte hai
aur ammi ek simple si housewife hai kulmilakar bohat hi hasi khushi pariwar hai uska

aaj Junaid college nahi gaya tha wo Aadil aur Armaan ke beech hue hadse ko lekar bohat
pareshan tha usse samajh nahi aa raha tha ki dono me sahi hai kon aur wo kiski side le
Armaan aur Aadil dono uske bohat purane aur aache dost hai agar wo kisi ek ki side leta
hai to dusra naraz ho jayega aur wo dono me se kisi ko naraz nahi karna chahta kulmilakar
wo dharam sankat me fas gaya tha abhi wo hall me baith ye sab soch hi raha tha ki tabhi
uski behan Nadia bahar se rote hue aayi jise dekh kar Junaid bhaag kar uske paas gaya

Junaid:- kya hua Nadia tu ro kyu rahi hai par Nadia ke gale se koi aawaj nahi nikalti bas zor
zor se roti rehti hai uska rona sunkar uski ammi jo kitchen me thi bhaag kar waha aati hai
Ammi:- are meri bacchi kya hua tujhe tu ro kyu rahi hai Nadia apni ammi ko apne paas
pakar unse lipat jati hai aur foot foot kar roti rehti hai

Junaid:- are kuch bolegi bhi kya hua kyu ro rahi hai Nadia sissakte hue boli

Nadia:- bhai jab main coaching se padhkar ghar aa rahi thi to raste me kuch logo ne mere
saath badtamiji ki mujhe gande gande comments marne lage jab maine unki baato par
koi dhayan nahi diya to unme se ek ne mera haath bhi pakda aur mujhe gadi me
kheenchne lage lekin tabhi waha Aadil bhai apne kuch dosto ke saath aagye jinhe dekh
kar wo sabhi gunde bhaag gaye aur main bhaag kar ghar chali aayi ye sunkar ammi ke bhi
aansu nikal gaye

Ammi:- haay meri bacchi tu theek to hai na tujhe kahi chot to nahi lagi na tabhi Junaid
gusse se chilla utha

Junaid:- kon the wo log bata mujhe main unki jaan le lunga salo ki himmat kaise hui meri
behan ko chune ki tabhi Aadil waha aa jata hai

Aadil:- main batata hon kon the wo log Junaid palat kar Aadil ko dekhta hai aur bhaag kar
uske paas jata hai

Junaid:- kon the wo bata mujhe main unhe nahi chodunga

Aadil:- acha kya kar lega tu unhe police ke hawale karega ya unhe jaan se marega

Junaid:- unhe jaan se maar dunga

Aadil:- kuch nahi kar payega tu akele unhe ladne jayega to khud mar jayega ye ghinona
kaam un aawara hindu ladko ka hai jo har roj hamari bahu betiyo ke saath badtamiji karte
hai aur hum haath pe haath dhare baithe rehte hai pata hai wo log aisa karne ki himmat
kaise kar pate hai hamari wajah se kyuki hamare ander ekta nahi hai tabhi to wo log jab
jee me aaye hamare saath badsaluki karte rehte hai aaj agar hum ek ho jaye to kisi ki bhi
mazal nahi hogi hamare ghar ki izzat par aankh utha kar dekhne ki Junaid jo apni baean
ke saath hue iss hadse se baukhalaya hua tha usse Aadil ki sari baate sach lagne lagti hai
Aadil usse aur bhadkate hue kehta hai

Aadil:- kal Armaan ne Nigar ke saath badtamiji ki jiski wajah se maine usse bohat zaleel
kiya ho sakta hai ki wo iss baat ka badla tujhse le raha ho Nadia ke zariye

Junaid:- par Armaan aisa kyu karega wo to dost hai mera


Aadil:- dost to wo mera bhi tha fir bhi usne Nigar ke saath badtamiji ki isiliye main keh
raha hon uss kamine ka koi bharosha nahi hai wo kisi bhi had tak ja sakta hai Aadil ne apni
baato ka aisa jaal buna ki Junaid ko ab uski sari baat sahi lagne lagi aur usse bhi Armaan
hi gunahgar lagne laga

Junaid:- main jaan se maar dunga Armaan ko apne dost ke hi peeth par chura ghonpa
kamine ne

Aadil:- jaan se to usse main bhi marna chahta hon par aise nahi aur bhi buri tarah se aur
koi hum par saq bhi na kare

Junaid:- lekin kaise fir Aadil Junaid ko Moulvi ka pura plan samjhata hai jise sunkar Junaid
bhi khush ho jata hai

Junaid:- Armaan ab to tu gaya kaam se hamari bahan ko chedne ka anjaam bohat hi


bhayanak hoga tere liye aur teri uss mashuka ke liye (ye sara plan Moulvi ka tha) jaha ek
taraf Aadil aur Junaid Moulvi ke kahe anusar uske plan ko anjaam dene ki baat kar rahe
the

Wahi dusri taraf Armaan in sab se bekhabar apne room me baitha apni kismat par ro raha
tha

Armaan:- (mann main) ye mere saath hi kyu hua kis galti ki saza mil rahi hai mujhe zindagi
me pehli baar kisi ko chaha kisi ko apne dil me basaya aur ussi ne mere dil ke tukde kar
diye jiske saath jeene ki chahat thi usi ne mujhe marne ke liye choor diya Ruby aakhir kyu
kiya mere saath aisa kya gunah tha mera mera pyar meri sacchi mohabbat ko tumne pal
bhar me tabaah kar diya kyu aayi tum meri zindagi me kitna khus tha main har waqt apne
dosto ke saath masti karta tha sab ke saath har pal ke maze leta tha lekin ab ab to jaise
zindagi bemaloom hi ho gayi hai mera dost jo mere har gum me har khushi me zindagi ke
har utaar chadhaw me mere saath rehta tha aaj wo bhi mujhe dur ho gaya sab tumhari
wajah se hua hai Ruby na tum kabhi meri life me aati aur na mai khud ko iss kadar akela
mehsus karta meri hasti khelti khushiyo se bhari zindagi tumne veeran kar di aakhir kyu
kyu kiya aisa nahi Ruby iska jawab to tumhe dena hi padega ye keh kar Armaan ghar se
nikal gaya aur seedha pahuch gaya Ruby ke college lekin Ruby usse kahi nahi mili uski
saheliyo se puchne par pata chala ki wo kuch dino se college aa hi nahi rahi hai

Armaan:- (mann main) aakhir kab tak tum mujhse chupti firogi Ruby aaj nahi to kal tumhe
mere samne aana hi padega aur mere sawal ka jawab dena hi padega issi tarah do din aur
beet gaye Armaan har roj subah Ruby ke college ke bahar khada rehta aur tab tak rehta
jab tak college ki chutti na ho jati lekin fir bhi usse Ruby nahi mili jab ek ek karke sare
students chale jate to wo bhi bujhe man se apne ghar chala jata in kuch hi dino me Armaan
sabhi se bilkul kat sa gaya tha use na apne ghar walo ki fikar thi aur na khud ki use to iss
baat ka bhi hosh nahi tha ki pichle kuch dino se Junaid ne na usse koi call kiya aur na hi
mila use iss waqt bas ek ki hi talash thi aur wo thi Ruby

Wahi Ruby ki halat bhi theek nahi thi har waqt apne room me baithi bas roti rehti thi apne
pyar se dur hone ka dard jitna Armaan ko tha usse kahi zyada Ruby uss dard ko mehsus
kar rahi thi Ruby ki halat Jeenat se chupi nahi thi abhi Ruby apne room me baithi aanshu
baha rahi thi ki tabhi Jeenat waha aayi aur bade pyar se uske sir par haath ferte hue boli

Jeenat:- Ruby kuy kar rahi hai tu aisa tujhe iss halat me dekh kar kya hame acha lagta hai
ab bas bhi kar beta aur laut aa apni zindagi me mujhe fir se wahi hasti khelti hui Ruby
chahiye jo pehle hua karti thi apni bhabhi ki baat sunkar Ruby apni aanshu bhari aankho
se usse dekhti hui boli

Ruby:- jiski zindagi hi ujad chuki ho wo bhala khus kaise reh sakti hai bhabhi

Jeenat:- aisi baate kyu kar rahi hai meri gudiya abhi teri zindagi theek se suru hi kaha hui
hai aur to khatam hone ki baat kar rahi hai lagta hai tu abhi tak Armaan ko bhooli nahi hai
tune mujhse promise kiya tha ki tu Armaan ko bhool jayegi ab tu hi apna promise tod rahi
hai

Ruby:- kya karu bhabhi usse bhoolne ki bohat kosis kar rahi hon par har gujarte pal ke
saath mujhe uski yaad aur tadpati hai wo meri rag rag me sama chuka hai bhabhi meri
saanso me bas chuka hai agar mujhe usse bhoolna hai to mujhe apni saanse hamesha ke
liye band karni hogi

Jeenat:- tu pagal ho gai hai kya jo aisi ulti seedhi baate kar rahi hai khabardar jo fir kabhi
aisi baate ki to

Ruby:- to fir aap hi bataiye main kya karu mar nahi sakti kyuki aapko promise kiya hai aur
Armaan ke bina mera jeena mushkil hai aise me main kya karu

Jeenat:- tu fir se college kyu nahi suru kar deti bahar niklegi to tere dil ko kuch sukun
milega aur Armaan ko bhoolne me bhi madad mil jayegi

Ruby:- kya ye sab itna aasan hoga bhabhi tabhi Jeenat ne uska haath pakad kar apne sir
par rakh liya aur boli
Jeenat:- bas ab aur kuch nahi sunna mujhe kal se tu college jayegi aur tujhe meri kasam
tu mara nahi karegi ab bechari Ruby keh bhi kya sakti thi usne apne aanshu ponche aur
ek feeki si muskaan dekar han me sir hila diya

Agle din Ruby bemann se college ke liye nikalti hai man to nahi kar raha tha par kya kare
bhabhi ne apni kasam jo de rakkhi thi raste bhar bas ye hi dua maang rahi thi ki Armaan
na dikhe kyuki agar Armaan uske samne aa gaya to shayad wo khud ko nahi rok payegi
aur uska apni bhabhi se kiya promise tod baithegi par shayad upar wale ko kuch aur hi
manjoor tha Ruby jaise hi college parking me apni scooty khadi karke mudi to Armaan
uske samne khada tha dono khamosh the aur sirf ek dusre ki aankho me hi dekh rahe the
Armaan ki aankho me Ruby ko usse bichadne ka dard saaf nazar aa raha tha mann to kar
raha tha ki abhi lipat jaye Armaan se magar apni bhabhi se kiya hua wada uske samne
deewar banke khadi thi usne jaldi se apni nazre jhuka li aur waha se jane lagi ki tabhi
Armaan bol pada

Armaan:- kyu kiya mere saath aisa ye sunte hi Ruby ke kadam ruk gaye par usne apni nazre
nahi uthai pal bhar kuch socha aur fir apne kadam badhane lagi lekin iss baar Armaan ne
uska haath pakad liya aur bola

Armaan:- kyu aayi meri zindagi me kyu ki meri zindagi tumne barbad kya mila tumhe aisa
karke answer me Ruby sirf itna hi boli

Ruby:- mera haath chodo Armaan

Armaan:- (gusse se) pehle mere sawal ka jawab do kyu kiye mujhse zhute wade kyu
dikhaye wo haseen sapne zhute pyar ka dikhawa karke kyu khela mere zajbaato ke saath
jab mera dil hi todna tha to kyu mere dil me mohabbat jagai Ruby ne ek nazar charo taraf
dali kafi students unhe hi dekh rahe the Ruby ne thoda tez bola

Ruby:- Armaan maine kaha na mera haath chodo

Armaan:- mere sawal ka jawab diye bina main tumhe yaha se jane nahi dunga tabhi Ruby
ke kuch classmates waha aa gaye

Pehla:- oye hamare hi college me aake hamari hi friend ko chedta hai himmat kaise hui
teri

Dusra:- chal haath chod iska warna acha nahi hoga Armaan ek nazar un logo par dalta hai
lekin Ruby ka haath nahi chorta wo fir Ruby se puchta hai
Armaan:- batao Ruby kyu kiya mere saath aisa kya galti thi meri isse pehle ki Ruby kuch
kehti un students me se ek ne kaha hum batate hain tune kya galti ki hai itna kehte hi 7-8
ladko ne Armaan ko pakad liya aur sab milkar Armaan ko marne hi wale the ki tabhi Ruby
beech me aa gayi aur sab ladko ko dhakka dekar Armaan se dur karti hui chillai

Ruby:- tum logo ki himmat kaise hui isse haath lagane ki ye hum dono ki aapas ki baat hai
tum sabko isme padne ki koi jarurat nahi hai ab kisi ne bhi agar isse chua bhi to mujhse
bura koi nahi hoga jaao tum sab yaha se Ruby ki baate sunkar sabhi waha se chale jate hai
fir Ruby palat kar Armaan ki taraf dekhti hai aur kehti hai

Ruby:- tum theek keh rahe ho maine kabhi tumse pyar nahi kiya main sirf tumhare saath
khel rahi thi ab mera mann tumse bhar gaya to maine tumko chod diya ab tumhe tumhara
jawab mil gaya na ab plz jaao yaha se aur khuda ke liye fir kabhi mujhse milne ki kosish
mat karna Ruby ek saans me keh to gai lekin wo apna dard chupa na saki uska dard uski
aankho se behne laga tha jise dekh Armaan halka sa muskuraya aur bola

Armaan:- han Ruby mujhe jawab mil gaya ab mujhe yakeen ho gaya hai ki tum mujhe
beintehan mohabbat karti ho tumhare lafz to zhute the par tumhari aankho ne sara sach
bayan kar diya mujhe ye to pata chal gaya ki tum mujhse kitna pyar karti ho par ye nahi
samajh me aaya ki tum aisa kar kyu rahi ho aakhir wo kon si majburi hai jiske chalte tum
mujhse dur bhagne ki kosis kar rahi ho koi aisi baat to hai jise tum mujhse chupa rahi ho
aur wo baat main jaan ke rahunga wo bhi aaj hi itna keh kar Armaan waha se jane lagta
hai aur Ruby apni bheegi aankho se usse jate hue dekhti rehti hai kuch der tak Ruby wahi
khadi roti rahi fir apne aanshu ponch kar apni class me chali gai aadhe ghante baad Ruby
apne class me baithi thi samne professor lecture de rahe the par Ruby ka dhyan waha
nahi tha wo to apni gehri soch me dubi hui thi uska dhyan tab tuta jab uska mobile vibrate
hua usne dekha to paya Armaan ka msg hai usne jaldi se uss msg ko padhne lagi Ruby
main ye to jaan gaya ki tum mujhse kitna pyar karti ho par ye nahi jaan paya ki aakhir wo
kon si baat hai jis wajah se tum mujhse dur jane ki kosis kar rahi ho sach kahu Ruby main
kabhi nahi chahta tha ki tumhari aankho me aanshu aaye lekin aaj meri hi wajah se
tumhari aankho me aanshu aa gaye iske liye main khud ko kabhi bhi maaf nahi kar sakta
tum agar ye hi chahti ho ki main kabhi tumse na milu to aisa hi hoga main fir kabhi tumse
nahi milunga par ye bhi sach hai ki main tumse juda hokar jee nahi paunga iss liye aaj main
khud ko khatam kar dunga jiase hum dono ki takleef dur ho jayegi Ruby main ussi park
me ussi ped ke paas hon jaha kisi din tumne mujhe apna banaya tha aaj ussi ped ke neeche
main apni jaan dekar hamesha hamesha ke liye tumse dur ja raha hon Ruby jab tak tum
ye msg padhogi tab tak shayad main jaa chuka honga lekin Ruby plz rona mat kyuki main
mar kar bhi hamesha tumhare saath hi rahunga main kabhi tumse juda nahi hounga main
ja rahu Ruby apna khayal rakhna ye padhte hi Ruby ke pairo ke neeche se zameen hi khisak
gai apne pyar ko kho dene ke dar se uska pura jism kanpne laga uski dil ke dhadkano ki
raftaar bohat badh gayi thi wo apni chair se khadi hui bina professor ki parwah kiya bahar
bhaag gai sabhi hairat se Ruby ko dekhte reh gaye par iss waqt Ruby ko kisi ki koi fikar
nahi thi wo abhi zald se zald Armaan tak pahuchna chahti thi wo bhaag kar parking me gai
aur apni scooty lekar full speed me chalakar park pahuchi wo itni dari hui aur itni jaldi me
thi ki usse scooty ka stand bhi na lagaya gaya wo scooty ko aise hi choor kar daudti hui
park ke ander uss ped ke paas pahuchi jaha Armaan ne bataya tha par waha samne ka
nazara dekh kar Ruby ke paaw tham gaye uski aankho se aanshuo ka sailaab foot pada
Ruby jaise hi uss ped ke paas pahuchi to dekha ki Armaan apni dono baahe failaye
mushkurata hua ussi ko dekh raha tha Ruby ke kadam wahi jam gaye aankho se aanshuo
ki dhara beh nikli Armaan ussi tarah khade reh kar kehta hai

Armaan:- mujhe pata tha ki tum zaroor aaogi ye sunte hi Ruby bhaag ke Armaan ki baaho
me chali gai aur foot foot kar rone lagi

Ruby:- bohat bure ho tum meri jaan hi nikaal di tumne aisa bhi koi karta hai kya Armaan
ne bhi usse kas ke apni baaho me samet kar kaha

Armaan:- kya karu jaan karna pada taki sach khud tumhare mouh se bahar aa jaye yaar
jab itna pyar karti ho to mujhse dur kyu gai kyu mere saath saath khud ko bhi itni takleef
di kya jarurat thi aisa karne ki Ruby sissakte hue boli

Ruby:- main bohat dar gayi thi Armaan apne rishte ko lekar hamare ghar wale kabhi bhi
hame ek nahi hone denge jab bhi unhe hamare bare me pata chalega to na jane wo kya
karenge mujhe apni koi tension nahi hai mera jo bhi ho mujhe farak nahi padta lekin mere
ghar walo ne tumhe agar chua bhi to main seh nahi paungi iss liye maine tumse dur hone
ka socha lekin reh nahi payi dekho tumhare paas pagalo ki tarah bhagte hue aa gayi

Armaan:- tum meri takat ho Ruby jab tak tum mere saath ho main puri duniya se lad sakta
hon agar tum hi mujhse dur chali gayi to aise hi tadap kar mar jaunga wada karo Ruby
chahe kuch bhi ho tum fir kabhi mujhe alag nahi hogi

Ruby:- nahi Armaan ab mujhe kisi ki bhi parwah nahi hai hamare pyar ka chahe jo bhi
anjaam ho hum jeeyenge to saath me marenge to saath me Ruby ka itna kehna tha ki
tabhi peeche se aawaj aayi aise kaise mar jaoge hum tumhe marne denge tab na dono
palat kar dekhte hai samne Aadil aur Junaid dono khade the Aadil ko dekh Armaan khush
ho jata hai
Armaan:- Aadil mere bhai tu yaha

Aadil:- kya karu yaar aana hi pada aakhir tujhse maafi jo mangni thi

Armaan:- maafi kis liye

Aadil:- mujhe pata chal gya hai uss din jo bhi hua usme teri koi galti nahi hai galat to wo
halaat the uss waqt koi bhi hota to wahi karta jo tune kiya tha par maine tujhe hi doshi
tehra diya lanat hai mujh par apne bhai jaise dost par saq kiya maine ye kah kar wo
Armaan ke samne ghutno ke bal baith gaua aur bola

Aadil:- Armaan tujhe jo bhi saza deni hai de de main haste haste kabul kar lunga lekin plz
ho sake to mujhe maaf kar de Armaan aage badh kar Aadil ko khada karta hai aur usse
apne gale laga leta hai

Armaan:- pagal ho gya kya dost hai tu mera tere liye kuch bhi kar jaunga to kya teri thodi
si narajgi nahi seh sakta tujhe mujhse maafi manngne ki koi jarurat nahi wo baat to main
kab ka bhool chuka hon aur tu bhi bhool ja

Aadil:- iska matlab tujhe mujhse koi sikayat nahi hai tabhi Junaid bol pada

Junaid:- han mere baap ab kya wo likh kar dega fir Armaan bola

Armaan:- aaj main bohat khush ho aaj mujhe mera pyar fir se mil gya aur mere dost bhi
ye kah kar Armaan dono ko apne gale laga leta hai kuch der baad teeno alag hote hai

Junaid:- yaar Armaan tu Ruby ko lekar kahi aur chala ja yaha rehkar tum dono kabhi ek
nahi ho paaoge

Armaan:- tu mujhe yaha se bhagne ke liye keh raha hai tu pagal hai kya pyar kiya hai maine
koi paap nahi kiya main yahi rahunga agar jarurat padi to apne ghar walo ke khilaaf khada
ho jaunga lekin dar kar ye sahar nahi chodunga tabhi Aadil bola

Aadil:- yaar Junaid theek keh raha hai tu Ruby ko lekar kisi aur sahar chala ja kuch dino ke
liye fir jab mahool thanda ho jayega wapas aa jana yaar wo log tere apne hai kab tak naraz
rahenge ek na ek din tum dono ko apna hi lenge

Armaan:- lekin main jaau hi kyu maine faisla kar liya hai chahe hamara kuch bhi ho koi
hame apnaye ya na apnaye bhale hi hame jaan se kyu na maar de magar hum ye sahar
choor kar nahi jayenge aakhari saans tak ladte rahenge
Junaid:- yaar tune to badi aasani se bol diya hame marne ka bhi koi dar nahi par tune ek
baar bhi apni maa ke bare me socha hai uss bechari ka kya hoga jab wo teri laas apni
aankho se dekhegi wo to jeete jee mar jayegi han agar tu chala jata hai to kam se kam
usse iss baat ki lasalli to rahegi ki mera beta kahi bhi hai magar zinda hai ye sunkar Ruby
bol padi

Ruby:- han Armaan ye theek keh raha hai abhi hamara yaha se jana hi theek rahega waise
kuch hi dino ki to baat hai hum fir wapas aa jayenge

Aadil:- aur nahi to kya waise bhi hum to yaha hai hi har pal ki khabar tujhe dete rahenge
jab mahool theek ho jayega hum tum dono ko yaha bula lenge kuch der sochne ke baad
Armaan kehta hai

Armaan:- jab tum sab yahi chahte ho to theek hai hum dono ye sahar choor dete hai

Junaid:- (khush hote hue) ye hui na baat aaj raat ko hi tum dono ko yaha se jana hoga tab
tak tum dono ghar jaao aur apna jaruri samann pack kar lo raat ke 11 baje hum gadi lekar
apne bus stop par khade rahenge tum dono wahi aa jana

Aadil:- ab tum dono jaao tab tak hum tum dono ka kuch bandobast karte hai

Armaan:- theek hai jaisa tum dono theek samjho fir Armaan aur Ruby waha se chale jate
hai unke jate hi Aadil aur Junaid apne asli rang me laut aate hai Aadil kisi ko ishara karta
hai to aas paas ke pedo ke peeche se 2 aadmi nikal kar aa jate hai ye dono Moulvi ke
aadmi the

Aadil:- suna na tum dono ne wo dono aaj raat bhagne wale hai ye acha mauka hai hamare
paas unhe khatam karne ka

Aadmi:- theek keh rahe ho hum aaj raat hi dono ka kaam tamam kar denge tabhi Junaid
gusse se bola

Junaid:- nahi tum log kuch nahi karoge usse hum marenge apne haatho se tabhi iss dil ko
sukun milega

Aadil:- chalo Moulvi sahab ke paas ab aage kya karna hai wo hi batayenge fir ye charo
Moulvi se milne chale jate hai Aadil aur Junaid un dono aadmiyo ke saath Moulvi se milne
chale jate hai aur Armaan Ruby apne apne ghar ghar pahuch kar Armaan seedha apni maa
ke paas jata hai jo abhi apne room me hi thi

Armaan:- maa mujhe aapse ek jaruri baat karni hai


Janki:- han beta bol

Armaan:- maa main kuch dino ke liye bahar ja raha hon

Janki:- kaha ja raha hai tu wo bhi aise achanak

Armaan:- ek bohat hi jaruri kaam hai maa kuch din lag jayenge

Janki:- kitne din

Armaan:- wo to mujhe bhi nahi pata par han jaldi hi wapas aane ki kosis karunga

Janki:- tere college ka kya hoga aur tere papa se kya kahungi

Armaan:- maa ye kaam college se zyada jaruri hai aur rahi baat papa ki to unko shayad koi
farak nahi padega ki main ghar par hon ya nahi

Janki:- lekin beta tu ja kaha raha hai kuch to bata

Armaan:- maa thoda sabar karo sab pata chal jayega

Janki:- theek hai kab jana hai

Armaan:- aaj raat ko hi Janki uth kar almari se kuch paise nikal kar Armaan ko deti hai

Janki:- le ye 10000 Rs hai itne se ho jayega ya aur du

Armaan:- maa iski koi jarurat nahi hai mare paae paise hai

Janki:- jo de rahi hon wo rakh warna maar khayega tabhi room me Armaan ki bhabhi
Radha aa jati hai

Radha:- kya baate ho rahi hai maa bete me

Janki:- dekh na bahu ye aaj raat ko hi bahar ja raha hai kehta hai jaruri kaam hai par batata
hi nahi kya kaam hai

Radha:- acha bahar ja raha hai par kaha

Armaan:- bhabhi abhi agar bata diya to sab gadbad ho jayega lekin bohat jald aap sabhi
ko sab pata chal jayega

Radha:- chal theek hai paise hai tere paas ya du

Armaan:- nahi bhabhi maa ne de diye hai tabhi Armaan apni maa se kehta hai
Armaan:- maa meri ek iccha puri karogi Janki bade pyar se uske baalo pe haath ferti hui
kehti hai

Janki:- bol na beta kya karna hai

Armaan:- maa aaj kya tum apne haatho se mujhe khana khilaogi theek ussi tarah jaise
bachpan me khilaya karti thi Janki muskurati hui boli

Janki:- achanak aisi farmaish kyu

Armaan:- bolo na maa khilaogi na bada mann kar raha hai tumhare haatho se khana khane
ka

Janki:- bete ki iccha ho aur maa puri na kare aisa kabhi ho sakta hai kya chal khilati hon
tabhi Radha boli

Radha:- ye to galat baat hai Armaan main teri bhabhi hon aakhir mera bhi kuch haq banta
hai tujh par to sirf maa ji hi kyu tujhe khana khilaye hum bhi to khila sakte hai

Armaan:- aap bhi khila dena fir teeno hall me jakar dining table par baith jate hai Rashmi
sabke liye khana lagati hai waise ghar me iss waqt in charo ke alawa aur koi nahi tha fir
Janki aur Radha apne haato se Armaan ko khilane lagti hai jise dekha Rashmi bhi suru ho
jati hai Armaan in teeno ki jaan tha aur ye teeno milkar bade pyar se apne jigar ke tukde
ko khana khilati hai Armaan ke iss harkat se bohat hi pyar bhara mahool ban gya tha par
ye pyar sirf chand lamho ka hi tha ab un teeno ko kaha pata tha ki unka ye pyara Armaan
hamesha ke liye unse dur jane wala tha ek aisi jagah jaha se koi laut kar nahi aaya tab kya
hoga inka kaise seh payegi sach ko ye to aane wala waqt hi hame bata sakta hai

Wahi dusri taraf Ruby bhi bohat khush thi aur hoti bhi kyu na aakhir apne pyar ke saath
ek nayi suruat jo karne wali thi uski khushi dekh kar Jeenat bhi khush thi

Jeenat:- nazar na lage meri bacchi ko aise hi hamesha khush raha kar tujhe khush dekh
kar mere dil ko bada sukun milta hai

Ruby:- bhabhi ek baat batao aap mujhse kitna pyar karti ho

Jeenat:- ye kaisa sawal hai iss duniya me sabse zyada main tujhse pyar karti hon tu meri
jaan hai gudiya

Ruby:- bhabhi agar mujhe kuch ho jaye to aap kya karogi ye sun kar Jeenat gusse se boli
Jeenat:- thappad khayegi tu dobara kabhi aisa boli to agar tujhe kuch ho gya to teri ye
bhabhi bhi nahi jee payegi wahi mar jayegi ye kehte kehte Jeenat ki aankho me aansu aa
gaye jise dekh Ruby turant uske gale lag gayi aur boli

Ruby:- bhabhi main to bas aise hi keh rahi thi plz aap ro mat warna main bhi ro dungi

Jeenat:- pagal ladki fir aisa kabhi mat kehna chal ab apna haath mouh dho le main khana
lagati hon ye keh kar Jeenat bahar chali gayi Ruby ne ye baat to mazak me kahi thi par
usse kaha pata tha ki uska ye mazak aaj sach hone wala hai aane wala samay bada hi dukh
de hone wala tha do hasta khelta pariwar bardad hone wala tha wo bhi chand logo ki
sajish ki wajah se

Udhar Armaan aur Ruby khushiyo ko apni aankho me sametne ki kosis kar rahe the shayad
ye pal unki zindagi ke aakhari pal ho wahi Aadil aur Junaid Moulvi ke samne khade the

Aadil:- Moulvi sahab jaisa aapne bola tha hamne theek waisa hi kiya Armaan se dosti kar
li aur usse Ruby ko lekar bhagne ko bhi manna liya aaj raat hi dono bhagne wale hai ye
sun kar Moulvi khush ho gya

Moulvi:- ye to bohat hi aachi khabar sunai tumne yani ki aaj raat hi dono ka kaam tamam
ho jayega

Junaid:- han Moulvi sahab ab unhe pata chalega ki hamari koom se bhidne ka kya hasra
hota hai sale ko zinda jala denge

Aadil:- Moulvi sahab aage ka kya plan hai unhe kaha aur kaise marna hai

Moulvi:- chalo hamare saath aisi baate yaha nahi ho sakti kisi aur ne sun liya to sab gadbad
ho jayega fir Moulvi aur Kadir Aadil aur Junaid ko lekar ussi bangle me jate hai jaha Moulvi
aur Swami mila karte the waha pahuch kar Aadil aur Junaid bangle ki sajawat aur uski
khoobsurati dekh kar dang reh jate hai

Moulvi:- kya hua aise kya dekh rahe ho bangle ko

Junaid:- itna sunder bangla maine aaj tak nahi dekha kya ye aapka hai ye sunkar Moulvi
halka sa muskuraya aur bola isse bhi bade aur kai sare bangle hai mere paas tabhi peeche
se ek aawaj aayi ye bangla tum logo ka ho sakta hai Aadil aur Junaid palat kar dekhte hai
to dang reh jate hai samne se Swami apne do aadmiyo ke saath chala aa raha tha unki
halat dekh Moulvi kehta hai
Moulvi:- daro mat ye hamse alag nahi hai kehne ko hum dono alag hai par sare kaam hum
saath me milkar karte hai aur iss kaam ke master mind bhi ye hi hai

Aadil:- yani ki sara plan Swami ji ka hai tab kah Swami unke paas aa chuka tha sofe par
baithata hua kehta hai

Swami:- sahi kaha tumne ye sara plan mera hi hai main hi Armaan ko maarna chahta hon

Junaid:- par kyu wo to aapki jaat wala hai fir aap usse kyu marna chahte hai

Swami:- hamare dhande me koi jaat paat nahi hota jo bhi hame aur hamare dhande ko
nuksaan pahuchhane ki kosis karega hum usse zinda nahi chodenge Armaan ne bhi wahi
kiya iss liye hum usse jaan se marna chahte hai aur hamara ye kaam tum dono karoge
badle me ye bangla tumhara aur saath me dhero rupaye ye sunkar Aadil aur Junaid khush
ho jate hai

Junaid:- kya main ye ghar theek se dekh sakta hon mera bada mann kar raha hai

Moulvi:- han han kyu nahi aakhir ye tumhara hi hone wala hai ye sunte hi Junaid uthkar
ghar dekhne laga

Wahi Aadil Swami se kehta hai

Aadil:- hum log taiyar hai par hum unhe marenge kaha

Swami:- yaha se 25 km dur ek jungle hai waha ek tuti hui jhopdi hai tum log un dono ko
aaj raat wahi le jaoge fir Swami apne jeb se ek sisi nikal kar Aadil ke haath me deta hua
kehta hai

Swami:- ye dawa kisi tarah un dono ko khila dena isse dono behosh ho jayenge fir uss
jhopdi ko aag laga dena jisse wo dono aaram se maut ki neend so jayenge ye sunkar Aadil
muskuraya

Aadil:- plan badhiya hai lekin wo jagah hai kaha

Moulvi:- tum log Kadir ke saath jake wo jagah dekh lo fir raat ko un dono ko wahi le jana
mere kuch aadmi pehle se hi waha zhadiyo me chupe rahenge tum apna kaam karke unhe
ishara kar dena wo log pure jhopdi ko aag laga denge fir Aadil aur Junaid Kadir ke saath
uss jagah ko dekhne ke liye nikal jate hai unke jate hai Moulvi Swami se kehta hai

Moulvi:- kya Swami ji aap kya sach me ye bangla un dono ko dena chahte hai ye sunkar
Swami muskuraya
Swami:- are Moulvi sahab kehne me kya jata hai waise bhi Armaan aur Ruby ke marte hi
in dono ki bari hai bechare marne se pehle khush ho jayenge

Moulvi:- lekin Aadil aur Junaid ko hum marenge kaise

Swami:- ye dono jab Armaan ko marenge tab hum pure Aazad nagar me ye baat faila
denge ki Armaan ki hattya musalmann ne ki hai jisse hindu bhadak jayenge aur issi mauke
ka fayda utha kar Aadil aur Junaid ko Armaan ka katil bata kar unhe apne aadmiyo se main
marwa dunga aur ye baat aap apne koom walo me faila denge

Moulvi:- isse to dange hone lagenge

Swami:- to hone digiye na kuch log marte hai to mare par koi hum par saq nahi karega
charo ki maut dange ka roop le legi iss baat pe Moulvi aur Swami dono thahake maar kar
hasne lagte hai

Raat ke 11 baje Aadil aur Junaid car lekar bus stop pe dono ka wait kar rahe the dono puri
taiyari ke saath aaye the unhe bas intejar tha to sirf Armaan aur Ruby ke aane ka

Wahi Armaan apni maa aur dono bhabhiyo se vida lekar ghar se nikalta hai anjaam se
bekhabar wo seedhe bus stop pahuchta hai

Dusri taraf Ruby bhi sabke sone ke baad chupke se ghar se nikal jati hai ek hi time pe dono
bus stop pahuch jate hai

Aadil:- (Armaan se) yaar ab hame aur der nahi karna chahiye agar kisi ne dekh liya sab
gadbad ho jayega

Junaid:- chalo ab tum dono jaldi se baitho fir charo jaldi se car me baith jate hai Junaid car
aage badha deta hai car me iss waqt khamosi chai hui thi koi kisi se kuch nahi bol raha tha
Armaan aur Ruby apno se bichadne ka gum apne ander samete hue the reh reh kar dono
ko apne pariwar ka pyar aur unke saath bitaye khushnuma pal yaad aa rahe the wahi Aadil
aur Junaid bhi khamosh the iss waqt unka mann do taraf bhaag raha tha mann se aawaj
aati kya main jo kar raha hon wo sahi hai pura bachpan jis dost ke saath bitaya aaj ussi ko
marne ja raha hon nahi nahi jisne har sukh dukh me mera saath diya main usse kaise maar
sakta hon tabhi unka dimag bola agar main in dono ko maar deta hon to itna bada bangla
aur dhero rupaye sab mere honge waise bhi Moulvi sahab hamari kaum ke hi hai wo hame
koi galat seekh nahi denge aakhir me jeet dimag ki hi hui ab dono milkar Armaan aur Ruby
ki hattya apne gusse ki wajah se nahi balki paiso ke lalach me aakar karne wale the pichli
seat par baitha Armaan abhi bhi apni soch me gum tha ki tabhi uske kaano par sissakne ki
aawaj padi uske Ruby ko dekh to paya ki wo ro rahi hai usne Ruby ko apne saath chipkaya
aur bola

Armaan:- tumhare dil ki halat main aachi tarah samajh sakta hon jaan apno se bichadne
ka dard kaisa hota hai main janta hon

Ruby:- kya hum kabhi wapas nahi aayenge kya hamare ghar wale kabhi hame nahi
apnayenge

Armaan:- hum jaroor wapas aayenge aur dekh lena hamare ghar wale bhi hame jaroor
apna lenge bas kuch hi waqt ki baat hai fir sab theek ho jayega mujh par bharosha hai na

Ruby:- tum par to apni jaan se zyada bharosha hai Armaan Ruby ka dukh halka karne ki
kosis kar hi raha tha ki tabhi car ruk jati hai

Armaan:- (Junaid se) kya hua gadi kyu rok di Junaid samne ki taraf ishara karte hue kehta
hai

Junaid:- samne dekh chal to aise raha hai jaise ghumne nikla ho Armaan samne dekhta
hai ek ladka jo kareeb ussi ki umar ka hoga ek haath me sharab ki botal liye beech road
me ladkhadate hue dheere dheere chal raha tha uski chaal hi bata rahi thi ki wo bohat
nashe me hai Junaid 2-4 baar horn deta hai par wo ladka tas se mas nahi hota ant me
Armaan utar kar uske paas jata hai aur uske kandhe par haath rakh kar kuch kehne hi wala
tha ki wo ladka bol pada koi mujhe pagal kehta hai to koi sharabi bulata hai magar mere
dost iss zalim duniya me agar jeena hai to pina to padega hi

Armaan:- yaar duniya itni bhi buri nahi hai iss duniya me har dum saath nibhane wale dost
bhi hai aur apni jaan se zyada chahne wali mohabbat bhi

Ladka:- ek waqt tha jab hum bhi kisi dil ke sehzade hua karte hai dosto ki mehfil me jaan
hua karte the par aaj na dost apne rahe aur na mohabbat sab waqt ka khel hai mere dost
aaj tumhare saath hai to kal tumhare khilaf

Armaan:- shayad zindagi ne bohat dukh diye hai tumhe kon ho tum naam kya hai tumhara

Ladka:- (muskurate hue) Aazad naam rakha tha apno ne bade pyar se magar iss zalim
duniya ne hame kamina bana diya ye keh kar Aazad ek kadam aage badha aur fir ruk kar
Armaan se bola
Aazad:- ek baat yaad rakhna mere bhai iss duniya me koi kisi ka nahi hota na koi dost aur
na hi mohabbat sab matlab parast hai itna kehkar Aazad dheere dheere waha se chalta
chala gya par apni baato ki chaap Armaan ke dimag me chood haya

Armaan:- (mann me) kya iski baate sach hai duniya me koi kisi ka nahi hota kya mere dost
bhi kisi matlab se mera saath to nahi de rahe hai han aisa ho sakta hai warna Aadil jitna
gusse me tha itni jaldi kaise maan gya ya fir ye bhi ho sakta hai ki usse sach me apni galti
ka ehsaas hua ho warna usse mujhe nuksaan pahuchha kar bhala kya fayda ho sakta hai
nahi nahi mere dost galat nahi hai Aazad ke saath dhoka hua hai to iska matlab ye nahi ki
mere saath bhi ho Armaan ye soch hi raha tha ki Aadil ne usse aawaz di aur chalne ko kaha
Armaan ne bhi apna sir zhatka aur car me baith gya Junaid ne car aage badha li kuch hi
der me sab ussi jhopde ke paas pahuch jate hai jaha Armaan aur Ruby apni aakhari saanse
ginne wale the jhopde ko dekh kar Armaan kehta hai

Armaan:- yaar hum yaha kyu aaye hai hame to dusre sahar jana hai na

Aadil:- aaj raat hum yahi rukenge 2 baj rahe hai ab itni raat ko safar karna theek nahi
rahega agar Police walo ne dekh liya to gadbad ho jayegi

Ruby:- kaisi gadbad

Junaid:- yaar wo tarah tarah ke sawal puchenge kaha se aaye ho kaha jana hai itni raat ko
safar kyu kar rahe ho aur hum sab students hai ye wo log shakal dekh kar hi jaan jayenge
upar se Ruby tum bhi saath ho to kahi unhe saq na ho jaye ki hum tumhe ghar se bhaga
ke le ja rahe hai tabhi Armaan bola

Armaan:- tum log theek keh rahe ho itni raat ko aage badhna theek nahi rahega lekin kya
iss jungle me rehna theek hoga hum highway par bane kisi hotel par bhi to ruk sakte the

Aadil:- yaar bilkul baccho jaisi baate karta hai highway par bane hotels ke bare me tu nahi
janta kya log raat ko waha kyu rukte hai upar se Ruby ko saath dekhenge to wo log yahi
samjhenge ki hum masti karne aaye hai kya tu ye bardast kar payega ki sabhi log Ruby ko
gandi nigaho e dekhe tabhi Ruby boli

Ruby:- nahi nahi hum yahi rukenge aur waise bhi tum sab saath ho to mujhe koi dar nahi
hai waise sirf thodi der ki hi to baat hai

Junaid:- bilkul aur subah hote hi hum yaha se nikal jayenge Armaan jhopde ke charo ore
nazar dalta hai
Armaan:- theek hai jab tum sabki yahi iccha hai to chalo ander chalte hai fir sab uss jhopde
ke ander aa jate hai jhopda bilkul tuta hua tha peeche ki taraf ek khidki thi jisme koi
darwaja nahi tha jagah jagah bhusho ke dher lage the chaat ki halat bhi theek nahi thi
charo ek bhuse ke dher par baith jate hai tabhi Armaan bola

Armaan:- bas ye raat kisi tarah kat jaye fir hum sabki pahuch se bohat dur nikal chuke
honge

Aadil:- sahi kaha tune bohat dur chale jaoge tum dono itna dur ki koi chah kar bhi tum tak
nahi pahuch payega Junaid Aadil ke kandhe ko pakad kar usse chup rehne ka ishara karta
hua kehta hai

Junaid:- matlab kisi ko bhi ye pata nahi chalega ki tum dono kis sahar me ho tabhi Ruby
boli

Ruby:- Armaan mujhe bhook lagi hai

Armaan:- jaan ab iss jungle me main tumhare liye kya laon thoda sabar kar lo subah hote
hi hum kisi dhabe me jakar bhar pet khana khayenge itna keh kar Armaan ne Ruby ko apni
baaho me bhar liya issi mauke ka fayda utha kar Junaid Aadil ko ishara karta hai to Aadil
bag se kuch kele nikalta hai jisme pehle se hi behoshi ki dawa ko inject kiya gya tha

Aadil:- ye lo tum dono kele kha lo isse thodi bohat bhook to mil hi jayegi

Armaan:- tu ye kele kyu laya hai

Aadil:- yaar raat ka safar hai socha bhook to lagegi hi to saath le aaya ab hame to lagi nahi
ye tum aur Ruby hi kha lo Armaan ne turant wo kele le liye

Armaan:- dekha isse kehte hai dost har cheej ka kitna khayal rakhte hai thanks yaar

Junaid:- (mann me) ye to tujhe upar jakar hi pata chalega ki hum kya cheej hai bas ek baar
isse kha to sahi fir kya tha Armaan aur Ruby kele khane lagte hai Ruby ne abhi 2 hi kele
khaye the ki uska sar ghoomne laga saanse bhari hone lagi Ruby apna sar pakadte hue
ladkhadati aawaj me boli

Ruby:- Armaan ye kya ho raha hai mujhe chakkar kyu aa rahe hai Armaan ne Ruby ko apni
baaho me le liya

Armaan:- (ghabrate hue) kya hua jaan tum theek to ho na Ruby kuch na bol payi uski
aankho ke samne andhera chata chala gya aur wo behosh ho gayi ye dekh Armaan bohat
dar jata hai aur ghabrai nazro se Aadil aur Junaid ko dekhta hai dono usse dekh kar hans
rahe the

Armaan:- tum dono has kyu rahe ho kya milaya hai kele me

Aadil:- kuch nahi yaar bas thodi si behoshi ki dawa milai thi ye sun Armaan chonk jata hai

Armaan:- behoshi ki dawa lekin kyu

Junaid:- taki jab hum iss jhopde ke saath tum dono ko bhi jalaye to na to tum bhaag sako
aur na chilla sako ye sunkar Armaan gusse se pagal ho jata hai wo Ruby ko side me lita kar
Junaid ka gala daboch leta hai

Armaan:- kamine kyu kar raha hai ye sab tu kya bigada tha hamne tera ab Armaan ka sir
bhi ghoomne laga saanse bhari hone lagi nazre dhundhali hone lagi jaise hi Armaan ki
pakad Junaid ke gale se dheeli hui to usne usse dhakel diya aur Armaan Ruby ke bagal me
gir gya Armaan adhkhuli aankho se ladkhadati aawaj me pucha

Armaan:- aisa kyu kiya

Aadil:- yaar kya karega jaan kar hum nahi chahte ki marte hue tujhe koi dukh pahuchhe
bas itna jaan le ki tujhe maar kar hame bohat paise milenge tabhi bahar se 4-5 aadmi
haatho me jalti mashaal liye aa jate hain ab dheere dheere Armaan bhi behosh ho jata hai

Aadil:- chalo ab apna aakhari kaam ko anjaam dete hai sabhi log jhopde ke bahar aa jate
hai aur jalti hui mashaal se pure jhopde me aag laga dete hai pal bhar me wo jhopda dhu
dhu karke jal uthta hai aur saath me jal uthi Armaan aur Ruby ki mohabbat aaj fir se iss
nirdayi samaj ne apne matlab ke liye ek aur premi jode ko maut ki saza de di aakhir kya
gunaah kiya tha in dono ne kya pyar karna gunaah hai agar hai to logo ka apne bhagwaan
se maa baap ka apne bacche se pyar karna bhi gunaah hai aap kahenge ki dono ke pyar
me anter hai par main nahi manta pyar ka arth hai bharosha zindagi ke har mod pe saath
nibhana har burai se raksha karna bhagwaan se hum ye hi apekcha rakhte hai maa baap
bhi to bacche se yahi apekcha rakhte hai aur issi ko pyar kehte hai jab ye galat nahi hai to
Armaan aur Ruby ka pyar bhi galat nahi hai dono ek dusre par apni jaan se zyada bharosha
karte the hamesh ek dusre ke saath chalna chahte the sacchi mohabbat ko khud khuda
nahi thukra sakta to hum kaise thukra sakte hai aakhir log ye kab samjhenge jhopde se
uth rahi aag ki lapto ke saath saath bahar khade un darindo ke thahake ki aawaj bhi gunj
rahi thi apne kiye iss anarth ka kisi ko koi pachtawa nahi tha thodi der me puri jhopdi
raakh ke dher me badal jati hai fir sab waha se nikal jate hai Aadil aur Junaid khush to
bohat the par unhe ye nahi pata tha agal number ab unka hai Armaan aur Ruby ke marne
ki khabar jaise hi Moulvi aur Swami ko mili to dono khushi se jhoom uthe

Moulvi:- Swami ji ab to aap khush hai na aakhir dil ki murad jo puri ho gayi

Swami:- han Moulvi sahab ab jake mann ko shanti mili sale ne mera apmaan kiya tha pata
nahi tha usse ki wo kisse panga le raha hai issi baat me jashan to banta hai

Moulvi:- abhi nahi Swami ji aapka kaam to ho gya ab mera bhi ho jaye fir dil khol kar jashan
manayenge

Swami:- ye bhi theek hai kal tak aapka kaam bhi ho jayega Armaan ko aapne thikane lagya
to Aadil aur Junaid ko hum lagwa dete hai ye keh kar Swami aur Moulvi dono hasne lage

Agle din Armaan ke ghar walo ko to ye pata tha ki Armaan kuch dino ke liye bahar gya hai
par Ruby ke ghar me sab iss baat se anjaan the ki Ruby ghar par nahi hai uski bhabhi Jeenat
usse uthane uske room me jati hai par Ruby usse kahi nahi milti wo bathroom me bhi
check karti hai lekin Ruby waha bhi nahi thi

Jeenat:- kaha chali gayi subah subah bata kar bhi nahi gayi wo Ruby ko call karti hai par
Ruby ka phone switch off tha Jeenat pareshan ho uthi

Jeenat:- phone bhi band par ja kaha sakti hai wo aaj se pehle kabhi bhi wo bina bataye
kahi nahi gayi upar se phone bhi band ya allaah kahi iss ladki ne kuch ulta seedha kadam
na utha liya ho ye soch kar Jeenat bohat dar jati hai aur bhagti hui apne sohar Sikandar
Shaikh ke paas jati hai

Jeenat:- suniye Ruby ghar par nahi hai na jane kaha chali gayi Sikandar jo abhi apne office
jane ke liye ready ho raha tha bola

Sikandar:- yaar gayi hogi apne kisi saheli ke ghar isme itna ghabrane wali kon si baat hai

Jeenat:- aaj se pehle wo bina bateye kabhi nahi gayi aur upar se uska phone bhi band aa
raha hai mujhe badi ghabrahat si ho rahi hai

Sikandar:- are begam sahiba aap kuch zyada hi fikar kar rahi hai kahi gayi hogi aa jayegi
ab wo koi bacchi to nahi hai aur rahi baat phone ki to ho sakta hai ki battery khatam ho
gayi ho ye keh kar Sikandar room se nikal kar hall me aa jata hai nashte ke liye par Jeenat
abhi bhi apne room me hi thi uska dil in sab baato se nahi maan raha tha lekin fir bhi apne
dil ko tasalli dete hue wo bhi bahar hall me chali gayi jaga dining table par Ruby ke sath
Aalam Shaikh aur uske teeno bhai Sikandar Akram aur Zakir baith kar nashta kar rahe the
Jeenat ko dekhte hi Aalam puchne laga

Aalam:- are Jeenat beta hamari sehjadi kaha hai abhi tak so rahi hai kya

Jeenat:- nahi abbu wo to ghar par hi nahi hai na jane subah subah kaha chali gayi

Aalam:- kya kuch bata ke nahi gayi

Jeenat:- nahi abbu aur uska phone bhi band hai

Aalam:- kaha gayi hogi Aalam ne sirf itna hi kaha tha ki tabhi darwaje ke paas se aawaj aai
hum batate hain tumhari beti kaha gayi hai sab darwaje ki ore dekhne lagte hai Moulvi
apne do aadmi ke saath waha khada tha usse dekh sab khade ho jate hai

Aalam:- are Moulvi sahab aap yaha khabar bhijwa diya hota hum khud chale aate aapke
paas

Moulvi:- kuch jaruri baat karni thi tumse iss liye khud chale aaye

Aalam:- je kahiye

Moulvi:- kya tum logo ko sach me nahi pata ki tumhari beti kaha hai

Aalam:- shayad apne kisi saheli ke ghar gayi hogi

Moulvi:- ye tumhari galat fehmi hai Aalam Shaikh tumhari beti kisi saheli ke ghar nahi gayi
bakli apne yaar ke saath ghar se bhaag gayi hai ye sunte hi waha maujood sabhi ke pairo
tale zameen hi khisak jati hai

Aalam:- nahi nahi Moulvi sahab meri bacchi aisa nahi kar sakti wo hamare mouh par kalikh
nahi pot sakti

Moulvi:- ye to kuch bhi nahi Aalam Shaikh jab tumhe pata chalega ki wo kiske saath bhagi
hai tab to tum jeete jee mar jaoge Aalam apni kaanpti aawaj me kehta hai

Aalam:- kon hai wo

Moulvi:- Swami ka sabse bada chamcha Diwakar Patel ka chota beta Armaan Patel ke
saath ye sunkar to sabhi apna hosh hi kho dete hai siway Jeenat ke usse to sab pata hi tha
lekin ye nahi pata tha ki Ruby aisa kadam bhi utha sakti hai wo chup chap khadi aansu
baha rahi thi aisa hi kuch haal Armaan ke ghar par bhi tha Swami ne jab Armaan ka sach
sabko bataya to sabhi par mano bijli si tut padi jaha Janki Radha aur Rashmi aansu baha
rahe the wahi Armaan ke dono bhai Sanjay aur Avinash apne sar par haath rakkhe baithe
hue the Diwakar to mano pagal ho chuka tha

Diwakar:- (gusse se) itni giri hui harkat karne wala insaan mera beta ho hi nahi sakta samaj
me meri izaat uchaal kar rakh di kamine ne kahi mouh dikhane layak nahi choda aisi
santaan paida hone se to acha hai tha ki wo mar jata kam se kam aaj ye din to na dekhna
padta kaan khol ke sun lo sabhi ab Armaan se koi bhi kisi bhi tarah ka sambandh nahi
rakkhega mar chuka hai wo hamare liye Diwakar ke iss faisle ke aage sabhi majboor the
aur shayad sabhi Armaan ko hi doshi tehra rahe the

Wahi Ruby ke ghar me mahol bohat hi garam tha Ruby ke teeno bhaiyo ne apni talware
nikal li

Zakir:- zinda nahi chodunga uss Diwakar ko sale ka pura khandan hi khatam kar dunga

Akram:- uss Armaan ne hi hamari behan ko bahla fusla kar bhaga ke le gya hoga warna
Ruby aisa kabhi kar hi nahi sakti teeno aage badhe hi the ki tabhi Aalam bol pada

Aalam:- ruko kaha ja rahe ho aur kiske liye ja rahe ho uss ladki ke liye jisne apne hi khandan
ko barbad kar diya kahi mouh dikhane ke kabil nahi choda koi kahi nahi jayega mar chuki
hai wo hamare liye bhool jaao ki wo tumhari bahan thi

Sikandar:- (gusse se) to kya abbu hum aisi hi chup ho jaye koi hamari izaat uchale aur hum
khade khade tamasha dekhte rahe tabhi Moulvi bola

Moulvi:- kisne kaha chup chap baith kar tamasha dekho hum unhe aise hi nahi choor
denge badla to jaroor lenge par abhi nahi sahi waqt aane par

Zakir:- aakhir kab aayega wo waqt

Moulvi:- bohat jald bas apne seene ki aag thandi mat hone dena ek ek aansu ka badla
lenge hum un hinduo se Moulvi ki bhadkau baate kisi badi anhoni ki ore ishara kar rahe
the ek aag lagne wali thi jisme pura Aazad nagar jalne wala tha plan ke mutabik Swami
aur Moulvi ne dono pariwaro ke seene me aag to laga di par iss baat ka zara sa bhi bhanak
tak lagne nahi diya Armaan aur Ruby iss duniya me hai hi nahi agar wo abhi ye bata dete
to iss mamle ke janch hoti aur ye wo dono bilkul nahi chahte the kyuki Aazad nagar ka
Police Inspector dono par apni nigahe tedhi kiye hue tha usne to dono ko ye bhi keh rakha
tha ki jis din un dono ke khilaf koi bhi subut mila to wo usse chodega nahi halaki Swami
aur Moulvi ne bohat kosis ki usse kharidne ki par wo bika nahi aise me agar Armaan aur
Ruby ke maut kj janch hui to wo dono bhi fas sakte the iss liye abhi dono ne ukne marne
ka zara sa bhi jikar nahi kiya unhe to intejar tha hindu musalmann ke beech hone wale
dango ka jiski aad me wo apne gunaho ko chipa sakte the khair ab waqt aa chuka tha Aadil
aur Junaid ke marne ka Moulvi aur Pandit ki yojna se befikar Aadil aur Junaid apni maooj
masti me lage hue the aakhir kaam jo aisa kiya tha dono ne Nigar bhi inke saath hi thi
teeno ki khushiyo ka koi thikana nahi tha sara din ghumte firte masti karte rahe unhe ye
bhi nahi pata tha ki Pandit ke 4 aadmi unpe nazar rakkhe hue the jo mauka pate hi teeno
ko maut dene wale the

Shaam ke 7 baj rahe the Nigar Aadil ki bike par aur Junaid apni bike par baitha masti karte
hue chale ja rahe the teeno iss waqt highway ke ek sunsaan hi jagah se gujar rahe the un
gundo ko isse acha mauka nahi milta unhone jaldi se apni car unke samne khadi kar di aur
charo gunde haath me talwar liye neeche utar gaye apne samne char hatte katte gunde
haatho me hatiyar liye khade dekh un teeno ki hawa nikal jati hai

Aadil:- (darte hue) kon ho tum log aur kya chahiye tumhe gundo me se ek bola

Gunda:- tum teeno ki jaan ye sunkar Nigar ghabra jati hai aur wo Aadil se kas ke chipak
jati hai

Junaid:- lekin tum log hame kyu marna chahte ho aakhir kiya kya hai hamne

Gunda:- wo sab hame nahi pata hame to bas tum teeno ko jaan se marne ko kaha gya hai

Aadil:- kisne bheja hai tum logo ko ye sun kar sabhi gunde zor zor se hasne lagte hai

Gunda:- hame Swami ji ne bheja hai tum teeno ka khel khatam karne ke liye ye sun kar
teeno ke pairo ke neeche se zameen hi khisak jati hai

Junaid:- nahi aisa nahi ho sakta wo bhala hame kyu marna chahenge hum bhi to ab unke
hi aadmi hai

Gunda:- (haste hue) kis galat fahmi me ho jo log apne dost ke na hue wo bhala kisi aur ka
kya hoga

Aadil:- dekho shayad tum logo se koi galti ho rahi hai wo kabhi hame nahi marwa sakte
main abhi Moulvi sahab se tumhari baat karwata hon

Gunda:- ruk number main milata hon itna keh kar wo gunda apne mobile se Moulvi ko
call karta hai

Gunda:- (phone par) han Moulvi sahab zara bataiye inhe ki hamne inhe kyu roka itna keh
kar wo phone ka speaker on kar deta hai
Moulvi:- are yaar tum sab baato me time west kyu kar rahe ho jaldi se khatam kar do
teeno ko koi bhi bachna nahi chahiye itna hi kafi tha teeno ke liye ab Aadil Junaid aur Nigar
samajh chuke the ki Moulvi ne unhe usse kiya hai ab teeno ke paas apni jaan ki bheek
manngne ke alawa aur kuch nahi bacha tha

Nigar:- (gundo se) dekho plz hame jane do hame phasaya ja raha hai uss kamine Moulvi
ne chaal chal kar hame phasaya hai

Gunda:- issi ko to politics kehte hai meri jaan tumhare haatho tumhare hi dost ki jaan bhi
le li aur ab tum logo ko raste se hata kar mamla bhi rafa dafa kar denge

Aadil:- iska matlab ab hum nahi bachne wale

Gunda:- koi shaq

Aadil:- (muskurate hue) bohat aachi chaal chali hai tere uss Moulvi aur Pandit ne lekin
shayad unhe nahi pata ki aisi choti moti chale hum school me chala karte the wo bhi tab
jab teachers se daant padne wali hoti thi ab zara soch ki agar hum uss samay aisi chaal
chal chalte the to ab kitne khatarnak ho gaye honge

Gunda:- maut ko samne dekh kar dimag out ho gya hai kya ye kya bakwas kiye ja raha hai

Aadil:- asli politics kisi kehte hai ye aaj hum tujhe batayenge

Junaid:- abe tu bhi na kaha in gadho ke aage sur laga raha hai inhe itni samajh thode hi
hai inhe to dikhana padega

Gunda:- (gusse se) abe kya dikhayega tu

Aadil:- yaha nahi zara peeche palat kar dekh sab samajh me aa jayega sare gunde peeche
palat kar dekhte hai to sabhi ki saanse atak jati hai aur saath me Nigar ki bhi kyu ke samne
aur koi nahi Armaan khada tha

Gunda:- tum tum zinda ho lekin tum to mar chuke the na

Armaan:- (muskurate hue) yaar uss waqt mood nahi kar raha tha marne ka iss liye marna
cancel kar diya

Gunda:- par ab nahi bachega tu ab hamare haatho se marega ye sunte hi Armaan ne


kheech ke ek thappad uske gaal par jad diya

Armaan:- tu sach me gadha hi hai tujhe kya laga main akele yaha aaya hon Armaan ka itna
kehna tha ki nahi 4-5 Police ki gadi waha aakar khadi ho gayi aur sabhi gundo ko gher liya
ye dekh sabhi gundo ki sitti pitti gum ho gayi sabne apne hathiyar daal diye aur haath
khade kar liye tab tak Inspector Zaib Khan bhi waha pahuch gaye

Zaib:- thanks Armaan aaj tumhari wajah se ye gunde mere haath lag paye hai salo ki na
jane kab se talash thi mujhe

Armaan:- thanks to hame aapko kehna Zaib bhai agar aapne hum par bharosha na kiya
hota to ye kaam hum kabhi nahi kar pate

Zaib:- yaar uss Pandit aur Moulvi ka sach sabke samne lane ke liye main kuch bhi kar sakta
hon ek baar bas ek baar tum saboot la kar do fir dekhna dono ko nanga karke sare raah
marta hua le kar jaunga

Armaan:- bas ek din aur fir sare saboot aapke paas honge lekin usse pehle in logo se ek
kaam to karwa lon (gundo ki taraf ishara karte hue)

Armaan:- chal apne phone se Pandit ko call kar aur usse bol ki tune teeno ko maar diya
aur khabardar jo koi bhi chalaki ki to ab bechare gunde kar bhi kya sakte the unhone wahi
kiya jaisa Armaan ne kaha tha fir Zaib Khan un gundo ko jeep me bitha kar le jata hai uske
jate hi Armaan Aadil aur Junaid ke paas aata hai

Aadil:- yaar agar tune aaj zara si bhi der ki hoti to hum log nikal liye hote upar

Armaan:- abe aise kaise jab tak main hon tab tak mere dosto ko koi chu bhi nahi sakta
Armaan ko zinda dekh aur Aadil Junaid ko usse iss tarah milte dekh Nigar bilkul shocked
reh gayi thi usse kuch samajh me nahi aa raha tha ki aakhir ye chakkar kya hai Armaan ne
uski ore dekh kar haste hue bola

Armaan:- kya hua madem zhatka laga mujhe zinda dekh kar tabhi Aadil bola

Aadil:- daro mat ye koi bhoot nahi hai sach me jeeta jagta khada hai waise tumne kosis to
aachi ki thi hamare beech deewar khadi karne ki par shayad tum nahi janti ki duniya chahe
idhar ki udhar ho jaye lekin hamari dosti kabhi nahi tut sakti fir Junaid bola

Junaid:- chalo ab main tumhe pura khel samjhata hon ye sab kabse aur kaise khela hamne
thoda flash back me jaao kis tarah tum Ruby ke peeche padi hui thi ki tumhe Aadil se pyar
ho gya hai jab se tumne usse party me dekha tab se tum uski deewani ho gayi ho tum reh
nahi pa rahi ho iske bina tum par yakeen karke tumhari tadap dekh kar Ruby ne Armaan
se ye baat batai tabhi Armaan ka dimag thanka ki ye to impossible hai aisa ho hi nahi sakta
pata hai kyu kyuki pichle kai saalo se Aadil kisi party me gya hi nahi jab se uske abbu ki
death hui hai tab se wo party me jana hi choor diya ab tum khud socho jab wo kai saalo
se kisi party me gya hi nahi to tumne usse kaha dekh liya ye sunkar Nigar ka sir jhuk gya
tab Armaan bola

Armaan:- hame tum par saq to tha par yakeen nahi tha iss liye ham sab wo hi karte rahe
jaisa tum chahti thi Aadil se tumhari mohabbat Ruby se meri duriya sab aise hi chalne diya
fir waqt aaya hame apni chal chalne ka hamne sabse pehle Ruby ko ye baat batai uss
bechari ka to dil hi tut gya usse to yakeen hi nahi ho raha tha ki uski sabse aachi saheli hi
usse dhoka de rahi hai hum ye to jaan chuke the ki ye sab khel tum khel rahi ho par kyu
ye nahi jante the iss liye tumhari har chaal me hum log jaan bujh kar phaste gaye jab
tumne bataya ki Ruby ne mere saath dhoka kiya hai wo mujhse pyar nahi karti uska
character kharab hai uss waqt mujhe tum par gussa nahi taras aa raha tha kis tarah ek
ladki iss had tak gir sakti hai ki apni hi saheli ko zaleel karne me lagi hai Ruby ke saath kya
hua tha ye mujhe ussi waqt pata chal gya tha usse ne mujhe phone karke bataya tha ki
uski bhabhi ne sab sun liya hai wo bhi tumhari chalaki ki wajah se tab maine hi kaha tha
ki kuch din college mat aaye aur apna phone switch off kar de fir hame intejar tha tumhare
agle kadam ka wo tumne do din baad uthaya Aadil aur mere beech ladai karwa kar ham
sab wahi karte rahe par hame kuch samajh me nahi aa raha tha ki tum aisa kar kyu rahi
ho fir Aadil bola

Aadil:- lekin ussi raat hame sara sach pata chal gya jab tum uss kameene Moulvi se milne
gayi tab jake hame pata chala ki ye sab khel Moulvi tumse khila raha hai bas fir kya tha
hamne bhi apna master plan banaya main aur Junaid Moulvi ke aadmi ban gaye taki uske
plan ko aachi tarah samajh sake usse milne ke baad hi hame pata chala ki Moulvi aur
Pandit ek dusre me mile hue hai aur wo Armaan aur Ruby ko khatam karna chahte hai
unke uss plan ko hamne anjaam diya lekin apne style se Pandit ne hame behosh ki dawa
di taki main in dono ko ye dawa dekar aaram se jala saku plan ke mutabik Armaan aur
Ruby ne Moulvi ke aadmi ko dikhane ke liye behoshi ka natak kiya fir jab ham sab jhopde
se bahar nikle theek ussi samay Armaan aur Ruby bhi khidki se bahar nikal gaye aur jungle
me chip gaye hamne to sirf khali jhopda jalaya sari baate sunne ke baad Nigar boli

Nigar:- jab tum logo ko sara sach pehle se hi pata tha to ye sab natak kyu kiya agar zara si
bhi galti ho jati to

Armaan:- taki hame Moulvi aur Pandit ke khilaf saboot mil sake jab bhi Aadil Moulvi se
milta tha to uski shirt me ek camera laga hota tha aise karke hame sare saboot milte chale
gaye hame te ye bhi pata tha ki wo dono tum teeno ko marwa kar pure sahar me dange
karwana chahta hai lekin ab unki ye iccha kabhi puri nahi hogi kyuki kal hi unka video pura
sahar dekh raha hoga hum live dikhane wale hai aur hamare plan me kabhi galti ho hi nahi
sakti thi kyuki ye sara plan hamne nahi kisi aur ne banaya hai tumhe kya laga hum sirf teen
log hai ye sunkar Nigar hairat se usse dekhne lagi Armaan aage bola

Armaan:- madem hum teen nahi char log hai aur wo jisne ye sara khel racha hai wo
hamara dost hai blood game ke writer Puneet punu naam hai uska aur uska banaya hua
plan kabhi fail nahi ho sakta Nigar apna sar neeche karke boli

Nigar:- main manti hon ki jo maine kiya bohat galat kiya uss Moulvi ke behkawe me aakar
na jane kya kya gunah kar diya yaha tak ki apni bahan jaisi dost ko bhi dhoka diya allah
mujhe kabhi maaf nahi karega lekin ek baat sach hai ki main Aadil se sacche dil se
mohabbat karti hon ye jante hue bhi ki ab wo mujhe nahi apnayega lekin tab bhi main
ussi se mohabbat karti hi rahungi main apni zindagi ki aakhari saans tak usse mohabbat
karti rahungi itna keh kar Nigar wahi ghutno ke bal baith kar foot foot kar rone lagi Aadil
dheere se usse uthata hai aur kehta hai

Aadil:- sahi kaha tumne maine kabhi pyar kiya hi nahi bas natak karta raha lekin uss ladki
se jo pehle thi par ab jo ladki mere samne hai wo puri tarah badal chuki hai ab mere samne
ek pyari si khoobsurat si ek pari hai aur bhala main uska dil kaise dukha sakta hon Nigar
ne hairat se Aadil ki aankho me dekha usme usse apne liye beshumar pyar nazar aaya
Aadil ne dheere se uske maathe par kiss kiya aur bola

Aadil:- han Nigar ab main tumse bohat pyar karta hon kya tum mujhse saadi karogi jawab
me Nigar ne apne hoonth Aadil ke hoontho par rakh diye aur dono sari duniya se bekhabar
ek dusre me samate chale gaye wahi Junaid apni aankhe fade dono ko dekh raha tha
Armaan ne uske sir par ek chapat lagate hue kaha

Armaan:- chal be kya dekh raha hai dono apne me mast hai unhe disturb mat kar aur
mujhe choor de apni bike se Ruby wait kar rahi hogi

Junaid:- abe dekhne de na aisa live show maine kabhi nahi dekha

Armaan:- sale sharam nahi aati apne dost ki chumma chati dekh raha hai

Junaid:- to kya karu apni kismat me to kuch hai nahi tere paas bhi hai ab Aadil ke paas bhi
aa gayi bacha main salo apne dost ke liye to kuch karte nahi upar se gyaan bant te rehte
ho Rajesh khanna ki ek movie thi haathi mere saathi meri zindagi bhi theek waisi hi ho
gayi hai haath hi mere saathi Armaan hasta hua Junaid ko waha se le jata hai Aadil aur
Junaid ki maut ki khabar Moulvi aur Pandit ko raat ko hi mil chuki thi dono ki khushiyo ka
koi thikana nahi tha
Agle din Moulvi aur Pandit dono apne ussi bangle me milte hain

Swami:- Moulvi sahab ab to aap khush hai na un dono ko upar pahuchha kar aapka badla
pura ho gya

Moulvi:- han Swami ji ab jake dil ko bada sukun mila hai salo ne badi beizzati ki thi meri
tabhi unke saath baitha Kadir bola

Kadir:- lekin Swami ji Nigar ko kyu marwa diya usse to bacha lete mere liye hi sahi sali item
badi chikni thi iss baat par Moulvi hasta hua bola

Moulvi:- kyu Kadir miya dil aa gya tha kya uspe ya fir uss phool ko bhi sungh kar kuchal
dete

Kadir:- phoolo ko sirf sunghne me hi maza aata hai Moulvi sahab agar zyada din tak apne
paas rakhenge to sad jayegi tabhi Swami bola

Swami:- are Kadir miya nirash kyu hote ho Nigar na mili to na sahi ladkiyo ki kami hai kya
hamare paas abhi apne aashram se 3-4 apsaraye bulwata hon jo pasand aaye to tumhara

Kadir:- kacchi laki ko masalne ka maza hi agal hota hai Swami ji ek alag sa nasha hota hai
unme jo aapki un apsarao me nahi

Swami:- chinta kyu karte ho wo bhi kacchi kaliya hi hongi bas thodi mehnat karni hogi
kyuki unhe meri asliyat ka pata nahi hai wo log to mujhe apna bhagwaan mante hain ye
sunkar Kadir aur Moulvi khush ho gaye

Moulvi:- agar unka bhagwaan hi unka bhoog lagana chahte hai to ye bade garv ki baat
hogi seedhe jannat jayegi wo sab ye keh kar teeno apni haiwaniyat ki hasi hasne lagte hai
iss baat se bekhabar ki unka kala aur ghinona chahra iss waqt pura Aazad nagar dekh raha
hai video ko dekh kar logo me ek aakrosh sa phailta ja raha tha chahe hindu ho ya
musalmann jo bhi wo video dekh raha tha gussa uske ander bharta ja raha tha Aazad
nagar ke sare hindu jinhone uss pakhandi ko apna devta apna bhagwaan apna sabkuch
maan liya tha ab iss video ko dekh kar unki sari galatfahmi dur hoti ja rahi thi yahi haal
muslimo ka bhi tha jis Moulvi ko unhone khuda ka ek nek banda samjha asal me wo ek
darinda niklega ye unhone nahi socha tha samaj ka gussa tab sir chad kar bola jab uss
video se unhe ye pata chala ki Armaan aur Ruby ki hatya kar di gayi hai aur ye hatya kisi
aur ne nahi balki in dono kameeno ne apne swarth ke liye ki hai aur to aur ye dono iss
hatya ko dange ka roop dena chahte the fir kya tha bhadak utha pura Aazad nagar iss
waqt jay ho movie ka ek dailog bilkul issi situation ke liye bana hai aam aadmi ek sota hua
sher hai ungli mat karna warna cheed faad dalega jaha iss waqt pura Aazad nagar gusse
ki aag me jal raha tha wahi do gharo me matam sa cha gya tha

Armaan aur Ruby ke ghar me bhale hi un dono pariwaro ne apne baccho se sare nate tod
liye the par wo the to unke apne hi bechare apne baccho ki maut ka sadma bhala kaise
bardast kar pate

Ruby ke ghar me

Aalam:- (rote hue) meri bacchi ko maar dala un darindo ne jis insaan ko maine khuda
samjha ussi ne meri duniya ujaad di kya galti thi uski aisa kya gunah kar diya tha usne jo
meri phool si sehjadi ko itni berahmi se maar dala tabhi Ruby ka bhai Sikandar khada ho
kar bola

Sikandar:- abbu uss din to aapne hame rok liya tha par aaj nahi rokenge aaj uss Moulvi ko
mere haatho se koi nahi bacha sakta tabhi Jeenat boli

Jeenat:- main bhi chalungi Ruby sirf aapki bahan thi lekin mere liye wo meri beti thi meri
jaan thi wo aur ek maa hone ke nate main uss kameene insaan ko nahi chodungi shayad
usse nahi pata ki ek maa agar apne bacche ke liye sari duniya ke aage jhuk sakti hai to wo
hi maa apne bacche ke liye sari duniya ko jala bhi sakti hai aaj main usse bataungi ki ek
maa se uske bacche ko cheenne ka anjaam kya hota hai

aisa hi kuch haal Armaan ke ghar me bhi tha

Janki:- (rote hue Diwakar se) mil gayi na ab aapke kaleje ko thandak yahi chahte the na
aap sabhi ki Armaan iss ghar se chala jaaye ab to wo itna dur chala gya ki ham chah kar
bhi usse nahi bula sakte ab to khush hai na aap to jaiye khushiya mannaiye aise chup chap
sir jhuka ke afsos kyu manna rahe hai Janki ki baate sun kar Diwakar apna sar upar utha
kar usse dekhte hai Diwakar ki bhi aankho me iss waqt aansu the

Diwakar:- tum kya samajhti ho Janki ki main Armaan se pyar nahi karta tha are beta tha
wo mera mera jo gussa tha wo sirf dikhawe ke liye tha taki wo hamesha sahi raah me chal
sake jab bhi wo so jata to chupke se main uske room me jata uske sirhane baith kar ghanto
usse dekhta rehta kabhi wo mujhse paise to manngta nahi tha iss liye main hi chupke se
uske jeb me paise rakh diya karta tha taki usse kabhi bhi kisi bhi cheej ki kami na ho jis din
wo uss ladki ke saath ghar choor ke chala gya tha uss raat main bohat roya aur bas ye hi
dua karta raha ki wo jaha bhi rahe khush rahe aaj nahi to kal wo laut kar aayega hi hamare
paas lekin uss kameene Pandit ne meri sari khushiya cheen li maar dala mere bete ko
chodunga nahi main usse jaan se maar dunga tabhi Armaan ke dono bhai Sanjay aur
Avinash bhi khade ho gaye

Sanjay:- chaliye papa aaj zinda nahi chodenge uss Pandit ko sabhi apne apne gharo se
nikal chuke the hazaro lakho ki tadad me log maut bankar Pandit aur Moulvi ki taraf badh
rahe the in sab baato se anjaan Pandit Moulvi aur Kadir bangle me apni raas lila me magan
the

Idhar unhe marne ke liye pura sahar nikal pada tha wahi in sab se bekhabar ye teeno apni
raas leela me lage hue the Pandit ke aashram se teen ladkiyo ko zabardasti laya gya aur
teeno (Pandit Moulvi aur Kadir) bhookhe bhediyo ki tarah hall me hi un par zhapat pade
teeno ladkiya apni laaz bachane ke liye bohat kosis karti rahi issi zhapta zhapti me ladkiyo
ke kapde aadhe fat chuke the ab isse pehle ki wo kameene had se aage badh pate teeno
ke pichwade par ek ek laat padti hai aur teeno ladkiyo se chut kar dur ja girte hai mauka
pakar teeno ladkiya apne ardh - nagna shareer ko apne hi haatho se chipati hui ek kone
me dubak kar baith jati hai aur rone lagti hai wahi jab Pandit Moulvi aur Kadir palat kar
dekhte hai to unki aankhe fati ki fati reh jati hai kyuki samne sakshat tridev (Armaan Aadil
aur Junaid) unki maut bankar khade the aascharya se unka mouh khula ka khula reh gya
jaldi se khade hokar teeno hairat se ek dusre ka mouh dekhne lage jaise puch rahe ho ye
kaise ho sakta hai Pandit kaanpti aawaz me bola

Pandit:- tum teeno zinda ho lekin tumhe to hamne marva diya tha

Armaan:- kyu zhatka laga hame zinda dekh kar shayad tu bhool raha hai ki jaan lena aur
dena sab uss upar wale ka kaam hai tujh jaise kameeno ka nahi waise bhi teri itni aukaat
nahi ki hame maar sake fir Aadil bola

Aadil:- plan to tum logo ka acha tha hamare haato Armaan ki hatya karwa kar fir hame
bhi jaan se maar dena aur fir pure sahar me dange karwa kar hamari mauto ko dange ki
wajah bata kar saaf bach jana great plan

Moulvi:- Nigar ne to tum teeno ko alag kar diya tha fir tum ek kaise hue

Junaid:- hamari dosti itni kacchi nahi hai Moulvi ki halki si hawa chali aur tut ke bikhar gayi
are agar khud khuda bhi aakar hame alag karna chahe to bhi nahi kar sakta to fir teri kya
aukaat hai

Moulvi:- matlab tum logo ko pehle se hi pata tha Nigar ke bare me


Armaan:- (muskurate hue) han Moulvi hame pata tha bas tera plan samajhne ke liye hame
natak karna pada

Aadil:- chaal tum logo ne bhi chali aur chaal hamne bhi chali par afsos ki hamari chaal tum
logo se zyada aachi thi tumne jo teer hame marne ke liye chalaya tha hamne ussi teer se
tum teeno kameeno ka sikar kar diya ye sunkar Kadir bhadak utha

Kadir:- apni juban ko lagam do wo bas itna hi keh paya tha ki Armaan ka ek zor dar thappad
uske gaal par pada

Armaan:- jab bade kuch bol rahe ho to beech me bhooka nahi karte kya tere malik ne
tujhe itna bhi nahi sikhaya

Moulvi:- sikhaya to bohat kuch hai waqt aane par ye kya kar sakta hai ye tum nahi jante
ho

Aadil:- waqt bas ye hi to nahi hai tumhare paas kabhi bhi tum teeno ka bulawa aa sakta
hai tabhi Pandit bola

Pandit:- acha hua ki tum sab zinda ho shayad hamare hi haatho tum logo ki maut likhi hai

Moulvi:- tum teeno ne bohat badi galti kar di yaha aakar ab yaha se zinda nahi ja paoge
ye sunkar teeno zor se hasne lage unhe yu hasta dekh Pandit fir bola

Pandit:- lagta hai maut ko samne dekh kar teeno pagal ho gaye hai ye sunkar Armaan ne
usse haath se rukne ka ishara kiya aur samne deewar par lagi led tv ko on kar diya jisme
iss waqt uss bangle ke ander ka live show chal raha tha ye dekh kar teeno ki hawa kharab
ho jati hai Moulvi hairat se kehta hai

Moulvi:- ye sab kya hai ham tv par kaise Pandit apne charo ore nazar ghumata hai

Pandit:- iss ghar me camera kisne lagya tabhi Junaid bola

Junaid:- ye nek kaam maine hi kiya hai yaad hai wo din jab tum logo ne hame yaha bulaya
tha aur Armaan ko marne ke badle me ye bangla hamare naam karne ko kaha tha aur
main iss bangle ki khoobsurati dekhne chala gya tha bas ussi waqt ye cameras bhi laga
diye yaha Aadil tum logo ko apni baato me lagaye hue tha aur waha main apne kaam ko
anjaam de raha tha

Armaan:- aur sirf itna hi nahi jab jab Aadil tum logo se milne jata tha tab tab uske shirt me
ek camera laga hota tha ab to tum logo ka asli chahra sabke samne aa gya hai kheel
khatam ho gya hai tum sab ka bohat bewkoof bana chuke ho tum log bhagwaan aur allah
ke naam par bohat ladwaya hai hame par ab nahi jin bholi bhali janta ko tum logo ne loota
hai aaj wo hi janta dekhna tum sab ka kya hasra karti hai Armaan ki baat sunkar Pandit
Moulvi aur Kadir teeno ke pairo ke neeche se zameen hi khisak jati hai teeno apna sir
jhuka kar chup chao khade hue the tabhi Aadil ki nazar un teeno ladkiyo par padti hai jo
abhi bhi apne haatho se apna jism dhake hue thi jin aankho me kuch der pehle aansu the
ab unhi aankho me ek chamak thi Aadil bhaag ke ek room me gya aur waha se teen chadar
lakar un teeno ladkiyo ko dhak diya teeno ne shradha se Aadil ke samne apne haath jod
liye

Aadil:- kab tak dusro ke samne aise hi haath jodti rahogi apni takat ko pehchano nari hi
tum log maa durga ka roop ho tum apne ander ki shakti ko jagao aur dikha do in kameeno
ko ek aurat apni izaat aur apni maan maryada ki raksha karne ke liye maa kali bhi ban sakti
hai jaao jake maro inhe aur tab tak marna jab tak tum log thak na jaao itna kafi tha un
teeno ladkiyo me josh bharne ke liye fir kya tha teeno ladkiya tut padi Pandit Moulvi aur
Kadir par jaha abhi thodi der pehle teeno ladkiya chilla rahi thi ab wo teeno kameene
chilla rahe the Armaan Aadil aur Junaid khade hokar ye tamasha dekh rahe the abhi teeno
ladkiya Pandit Moulvi aur Kadir ko peet hi rahi thi ki tabhi Inspector Zaib Khan waha aa
gya

Zaib Khan:- (Armaan se) tum logo ka program kitni der tak chalne wala hai

Armaan:- bas baaki sab bhi aate hi honge thodi der me tabhi darwaje se Puneet ki aawaj
aayi

Puneet:- hum aa gaye bhai

Armaan:- yaar baki sab kaha hai

Puneet:- bas aate hi honge

Zaib Khan:- yaar tum log jaldi apna kaam khatam kar lena aur dhyan rahe ye teeno mar
na paye baki ye camera band kar diya na

Puneet:- ghabrao mat Zaib bhai sare cameras band hai aur hum aapki naukari par bilkul
bhi aanch nahi aane denge tabhi ek ladka bhagta hua aaya aur ek zor dar thappad Pandit
ke gaal par lagya

Puneet:- are Masti bhai aap yaha


Masti:- kya karu bhai rok nahi paya khud ko in kameeno ko peetne ka itna acha mauka
haath se kaise jane deta sale danga karayenge ye keh kar ek thappad Moulvi aur ek Kadir
ke bhi laga di tabhi peeche se rgcrazyboy bhai ki aawaj aayi

Crazy boy:- ham sab bhi hain line me sab palat kar dekhte hai RG bhai ke saath waha ki
Singh Rahul Meltu Sandeep sab khade the itne logo ko dekh kar Zaib Khan bolta hai

Zaib Khan:- yaar itne log ye teeno to mar jayenge

Armaan:- bhai daro nahi sab ek ek thappad hi marenge ye sab mere dost hai fir kya tha
sabhi tut pade Pandit Moulvi aur Kadir ke upar bechare teeno sirf bachao bachao hi
chillate reh gaye tabhi Puneet ki nazar sabse peeche khade Monu bhai par padi jo chup
chap tamasha dekh rahe the

Puneet:- kya hua Monu bhai aap nahi peetoge kya

Monu:- yaar main ahinsa ka pujari hon Gandhi ji ka bhakth hon main kisi par haath nahi
uthata tabhi peeche se Don Lover ki aawaj aayi

Don Lover:- koi baat nahi Monu bhai ka kota main puri kar dunga jab bhi aata hon reps
deta hon aaj laat dunga in kameeno ko sale hamare beech danga karayenge itna keh kar
tut pada teeno par teeno ki halat bohat kharab ho chuki thi tabhi waha gusse se dhadta
hua Rudra Rajput bhai aa gaye

Rudra:- salo ko kaat dunga cheer dunga faad dunga himmat kaise hui mere dosto ko
marne ki Puneet unka gussa shant karata hua bola

Puneet:- bhai tum mat maro warna teeno mar jayenge aur Zaib bhai ki naukri khatre me
aa jayegi

Rudra:- uff kya mushkil hai ab main in kameeno ko maar bhi nahi sakta chalo koi baat nahi
Zaib bhai ke liye kuch bhi waise meri pari nahi aayi kya tabhi

Aazad bhai:- (Kamina786) ki aawaj gunji

Aazad:- pari nahi sahi para to aa gya ab ye Aazad in teeno ko duniya se azad kar dega itna
keh kar Aazad apne haath me pakdi hui sharab ki botal ko Moulvi ke sir par patakne hi
wala tha ki RG bhai ne pakad liya

RG:- are bhai jaan se nahi marna hai chao to 2-4 thappad maar lo
Aazad:- ok jaan se nahi marta lekin in teeno ke ande zaroor phodunga ye sunkar Pandit
Moulvi aur Kadir jaldi se apne haath se apne ando ko cover kar liya

RG:- are bhai ande bhi nahi phodne hai

Aazad:- to kya phodu

RG:- kuch mat phodo waise bhi ye teeno pehle se hi tut foot chuke hai tabhi waha Kiran
(Gudiya) aa gayi

Gudiya:- par main to peetungi hi itna keh kar Gudiya ne apne pairo se sandal nikal liya

Gudiya:- aaj main inka takla khol dungi fir kya tha sab dekhte hi reh gaye aur Gudiya teeno
ke sir par sandal ki barsaat suru kar di tabhi waha Gudiya Gudiya chillati hui uski didu
(Aprajita) bhi aa gayi

Aprajita:- bas kar Gudiya warna teri tabiyat kharab ho jayegi Rudra Aprajita ke paas ja kar
bola

Rudra:- pari bohat der laga di aane me

Appu:- wo sab baad me Rudra pehle Gudiya ko shant karao

Rudra:- are Gudiya shant hi jaao aur bas bhi karo kitna marogi unhe

Gudiya:- Rudra beech me mat aao warna main tumhara takla fod dungi ye sunkar Rudra
chup ho gya

Appu:- Gudiya plz shant ho ja warna sach me teri tabiyat kharab ho jayegi aur raat bhar
mujhe tere daiper badalne padenge

Gudiya:- chahe kuch bhi ho jaye didu par main inhe nahi chodungi Aprajita se aur na raha
gya usne Gudiya ko peeche se kas ke pakad liya aur unse dur le gayi lekin Gudiya apni
takat laga ke apne aap ko chudane ki kosis karne lagi

Gudiya:- didu choor do mujhe aaj main inhe ulta tang dungi teeno itna dar gaye the ki
bhaag kar Zaib Khan ke kadmo me gir gaye

Pandit:- Inspector hame arrest kyu nahi karte jaldi se hame lock up me daal do warna ye
ladki hame jaan se maar degi

Zaib Khan:- kya hua dar gya na isse are isse to pura xossip darta hai to teri aukat hi kya hai
shaitano ki nani hai ye jhansi ki rani hai ye dosto ke liye Gudiya sweet hai aur dusmano ke
liye aafat ki pudiya hai ye tabhi Armaan Aadil aur Junaid teeno ka girebaan pakad kar
uthate hai

Armaan:- dekha tune ye hai mere dost isse kehte hai dosti mere ek baar bulane se hi na
jane itni dur dur se aa gaye wo bhi sirf mere liye bol kar du tum logo ko inke hawale

Pandit:- nahi Armaan plz hame in logo ke hawale mat karo warna sab milkar hamari jaan
le lenge tabhi Aadil bola

Aadil:- daro nahi hum tum jaise nahi hai tum logo ko saza sirf kanoon dega tabhi bahar se
ek constable bhagta hua aaya aur Zaib Khan se bola

Constable:- sir bahar bheed bekabu hoti ja rahi hai aap jaldi se in teeno ko yaha se le
chaliye

Zaib Khan:- theek hai chalo chalte hain itna keh kar sabhi un teeno ko lekar bahar aa jate
hai bahar hazaro ki tadad me log khade hue the sabhi ki aankho me ek gussa bhara hua
tha jaise hi Police Pandit Moulvi aur Kadir ko lekar bahar nikli sabhi ek saath chillane lage
maro in kameeno ko salo ne dhokha diya hai hame puri Police force bheed ko kaabu karne
me lagi hui thi ye nazara dekh un teeno ki to saanse hi atak gayi tabhi Armaan bola

Armaan:- dekho tum log ye hai aam janta ye jab apni par aa jaye na fir itihaas badal deti
hai kal tak jo log tere aange jhukte the aaj wahi tujhe gaaliya de rahe hai tera khoon karna
chahte hai tu inhe aaps me ladwana chahta tha na dekh aaj ye sab milkar tujhse ladne
aaye hai bohat kheel liya tum logo ne ye zaat paat ka khel bas bohat hua ab zindagi bhar
jail me baith kar Swami Swami Moulvi Moulvi khelte rehna ye sunkar teeno ke sir sharam
se jhuk gaye aur fir Police un teeno ko kisi tarah bheed se bachati hui le gayi jaise hi bheed
kuch kam hui ki tabhi Armaan ke kandhe par kisi ne haath rakha usne palat kar dekha to
paya ki uske pita Diwakar aur saath me pura pariwar waha khada hai aur sabhi ki aankho
me aansu hai unhe dekhte hi Armaan bola

Armaan:- papa aap sab yaha bas itna hi keh paya tha ki Diwakar ne usse kas ke apne gale
laga liya aur rote hue bole

Diwakar:- beta tu zinda hai tujhe nahi pata kya haal ho gya tha mera jab se tere marne ki
khabar hame mili

Armaan:- papa plz chup ho jaiye mujhe kuch nahi hua ye sab to bas ek natak tha in logo
ka sach sabke samne lane ke liye
Diwakar:- itna kuch karne se pehle tune ek baar bhi nahi socha ki agar tujhe sach me kuch
ho jata to fir hamara kya hota are hamari nahi to kam se kam apni maa aur bhabhiyo ke
bare me hi socha hota dekh apni bhabhiyo ko kaise ro ro kar apna bura haal bana liya hai
aur teri maa wo to bechari pagal ho gayi hai zinda lash ban gayi hai

Armaan:- maine unhe promise kiya tha ki main jald hi wapas aaunga to bhala main apna
wada kaise tod sakta hon main zaroor wapas aata

Diwakar:- chal beta ghar chal teri maa tujhe dekh kar fir se jee uthegi Armaan abhi apne
baki ke pariwar se mil hi raha tha ki tabhi Jeenat uske samne khadi ho gayi

Jeenat:- (rote hue) Armaan meri bacchi kaha hai kya wo bhi zinda hai ya

Armaan:- aap Ruby ki bhabhi ho

Jeenat:- han ab bolo na kya meri bacchi zinda hai

Armaan:- han bhabhi Ruby zinda hai aur sahi salamat hai ye sunkar Jeenat Aalam aur uske
teeno bhaiyo ke chahre par khushi ki ek lahar daud gayi Aalam Armaan ka haath apne
haatho me lekar kehta hai

Aalam:- kaha hai meri beti

Armaan:- abhi bulata hon ye keh kar Armaan Kiran (Gudiya) ko call karta hai

Armaan:- Gudiya Ruby ko yaha lekar aana

Kiran:- abhi lati hon darasal Armaan ne Ruby ko Kiran ke paas uske ghar me rakhwa diya
tha taki agar usse kuch hua to Ruby safe reh sake kyuki Kiran ke ghar me ghusne ki himmat
kisi ki nahi thi call cut hone ke kuch der baad hi ek badi si car unke paas aakar ruki jisme
se sabse pehle Aprajita fir Kiran aur uske baad Ruby utri Ruby ko dekhte hi Jeenat bhaag
kar uske paas gayi aur usse kas ke apne gale laga liya car se Ruby ke utarte hi Jeenat bhaag
ke uske paas gayi aur kas ke usse apne gale se laga liya

Jeenat:- (rote hue) meri bacchi meri jaan tu theek to hai na tujhe kuch hua to nahi na
Jeenat ko iss tarah rote dekh Ruby bhi rone lagi

Ruby:- nahi bhabhi main theek hon mujhe kuch nahi hua

Jeenat:- kaha chali gayi thi tu pata hai mera kya haal ho gya tha jab tv par tere marne ki
bas itna hi keh payi aur fir se ro padi Jeenat Ruby ne pyar se uske aansu ponche aur boli
Ruby:- un logo ka sach samne lane ke liye hame aisa karna pada bhabhi se sab hamara
plan tha Jeenat jhuta gussa dikhate hue boli

Jeenat:- badi aayi plan karne wali aage se fir kabhi aisi harkat ki na to dekh lena mujhse
bura koi nahi hoga Ruby se apne kaan pakad kar ek sweet si smile ke saath kaha

Ruby:- sorry bhabhi ab nahi karungi maaf kar do na apni iss Gudiya ko uski aisi harkat se
Jeenat bhi muskura padi aur fir se usse gale laga liya tabhi

Aalam:- (Ruby ke abbu) bole

Aalam:- Jeenat beta meri sehjadi par mera bhi kuch haq hai fir Ruby apne abbu ke gale
bhi lag gayi

Aalam:- bohat dara diya tha tune meri bacchi mar hi gya tha main to Aalam ki aankhe bhi
num ho gayi thi

Ruby:- kya abbu ab aap bhi rone lage aap to mere sher abbu hai aur sher bhi kabhi rote
hain kya

Aalam:- theek hai nahi rota par ek wada kar ki fir kabhi aisi harkat nahi karegi

Ruby:- promise abbu ab se fir kabhi aisi harkat nahi karungi Aalam pyar se uske maathe
ko chumte hue kehte hai

Aalam:- chal beta ghar chal aaj bade din baad sukoon ki neend aayegi

Wahi Armaan ko bhi uske pariwar wale chalne ko keh rahe the par shayad Ruby aur
Armaan ke dil me kuch aur chal raha tha Ruby apne abbu ko dekh kar boli

Ruby:- abbu aapse ek baat karni hai

Aalam:- han beta ghar chalke baat karte hai

Ruby:- nahi abbu baat bohat jaruri hai Aalam ke saath saath uske sabhi ghar wale uski ore
dekhne lagte hai

Ruby:- abbu hum Armaan se mohabbat karte hai aur usse shadi karna chahte hai Ruby ke
mouh se ye baat sunkar sabhi ke hosh udd gaye yaha tak ki Armaan ki family walo ki bhi
tabhi Armaan ke pita Diwakar Armaan se kehte hai

Diwakar:- Armaan ghar chal hame der ho rahi hai aur pata nahi teri maa ki kya halat ho
rahi hogi
Armaan:- papa main bhi Ruby se bohat pyar karta hon plz maan jaaiye

Diwakar:- gusse se nahi Armaan ye kabhi nahi ho sakta hum hindu hai aur wo muslim
hamare beech kabhi koi rishta nahi ban sakta

Armaan:- lekin papa bas itna hi keh paya tha ki Diwakar fir bol pade

Diwakar:- Armaan tujhe meri kasam agar ek lafz bhi aage bola to mera mara hua mouh
dekhega ye sunkar to Armaan ke pairo ke neeche se zameen hi khisak gayi ab bechara
bolta bhi to kya tabhi Aalam ki aawaj garji

Aalam:- Ruby hamara mazhab hame dusre zaat me nikah ki izazat nahi deta hindu aur
muslim kabhi ek nahi ho sakte

Ruby:- lekin abbu tabhi Aalam fir bol pada

Aalam:- Ruby tujhe tujhe meri kasam ek lafz bhi tune kuch bola to ghar chal hame der ho
rahi hai dono bilkul chup ho gaye the bole bhi to kya apne pyar ko bachane ke liye kitna
kuch nahi kiya lekin koi fayda nahi hua Pandit aur Moulvi ka khel to inhone khatam kar
diya lekin inki failai nafrat ko khatam na kar sake Ruby aur Armaan ek dusre se dur ja rahe
the dono ki aankho me aansu the par lab sile hue the dono chah kar bhi kuch nahi kar pa
rahe the bas aankho me aansu liye apni mohabbat ko khud se dur jate dekh rahe the
Armaan ke ghar pahuchte hi Janki (uski maa) usse lipat gayi aur rone lagi

Janki:- Armaan mera beta tu zinda hai Armaan bhi apni maa se lipat gya uski aankho se
bhi aansu nikal aaye

Armaan:- han maa main zinda hon ye sab to bas ek natak tha unka sach samne lane ke
liye

Janki:- tere iss natak ne meri jaan hi le li thi pata hai kitna royi hon main tujhe zara sa bhi
taras nahi aata kya mujh par kyu itna satata rehta hai mujhe ab fir kabhi aisi waisi harkat
ki na to dekh lena main mar hi jaungi Armaan ne turant apna haath apni maa ke mouh
par rakh diya aur bola

Armaan:- fir kabhi aisi baat mat karna abhi to aapko bohat jeena hai meri saadi karwani
hai mere bacche sambhalne hai ye sunkar Janki muskura deti hai

Janki:- acha to koi ladki pehle se hi pasand kar rakkhi hai

Armaan:- han maa hai ek bilkul pari jaisi hai tabhi Diwakar ji garaj kar bole
Diwakar:- Armaan maine tujhe manna kiya hai na ki tu uss ladki ka naam bhi nahi lega
Armaan muskura kar bola

Armaan:- par papa maine to uska naam liya hi nahi maine to sirf pari kaha ye sunkar
Diwakar ji thoda haklate hue bole

Diwakar:- han wo main wo keh raha tha ki chahe kuch bui ho jaye ek muslim ladki iss ghar
ki bahu kabhi nahi banegi

Armaan:- kya ye aapka aakhari faisla hai

Diwakar:- bilkul aur mera faisla kabhi nahi badlega

Armaan:- agar badal gya to

Diwakar:- tu badalwayega kaise ghar se bhaag kar ya apni jaan dene ki dhamki dekar
Armaan muskurate hue bola

Armaan:- nahi papa ye sab ulte seedhe kaam main nahi karta kayar nahi hon main aapka
hi beta hon thodi bohat zidd to mujh me bhi hai dekh lena aap khud meri saadi usse
karwayenge aur usse iss ghar ki bahu bhi banayenge

Diwakar:- sapne mat dekh aisa kabhi nahi hoga chahe jo kar le mera faisla atal hai itna
keh kar Diwakar ji bahar chale jate hai unke jate hi sabhi Armaan ko gher lete hai

Sanjay:- (bada bhai) yaar tune to aa bail mujhe maar wali baat kar di kya jarurat thi papa
ko challenge dene ki

Avinash:- (chota bhai) yaar acha khasa usse lekar bhaga tha saadi kar ke aa jata fir papa
bhi kuch nahi kar pate

Armaan:- kyu main bhaag kar saadi kyu karu mera pura pariwar hote hue main anatho ki
tarah saadi nahi kar sakta meri saadi hogi aur ussi se hogi aur aap sabhi barati bankar
nachte hue chalenge

Radha:- par ye mumkin kaise hoga papa ji kabhi nahi mannenge

Armaan:- (muskura kar) mannenge bhabhi wo jarur mannenge bas sab waisa hi hota rahe
jaisa main chahta hon

Rashmi:- (choti bhabhi) fir se koi plan bana rakha hai kya

Armaan:- banana padta hai bhabhi main to pehle se hi janta tha ki papa kabhi bhi hamare
rishte ko nahi mannenge iss liye ek plan pehle se hi ready kar ke rakha hai tabhi Janki boli
Janki:- wo sab to theek hai lekin pehle ladki to dikha

Armaan:- kal dekh lena na photo me kya maza hai usse samne la kar khada kar dunga

Janki:- lekin

Armaan:- baaki baate baad me pehle khana do bohat zor ki bhukh lagi hai fir sab mil kar
khana khane lagte hai

Wahi Ruby ke ghar me sabhi chup chap dining table par baithe khana kha rahe the ki tabhi
Ruby chahakte hue Jeenat se boli

Ruby:- waise bhabhi kaisa laga wo aapko handsome hai na ye sunkar Jeenat to kya Ruby
ke teeno bhai ki hawa kharab ho jati hai wo sab Ruby ko hairat se ghoorne lagte hai tabhi
Aalam bola

Aalam:- Ruby kya tujhe meri di hui kasam bhi yaad nahi hai jo tu uss ladke ka naam le rahi
hai

Ruby:- (masumiyat se) par abbu maine to uska naam liya hi nahi waise bhi hindustani
aurate kabhi bhi apne shohar ka naam nahi leti ye sunkar Aalam gusse se kehte hai

Aalam:- tu apni had se aage badh rahi Ruby ye jo tu khawab dekh rahi hai wo kabhi pure
nahi honge main aisa kabhi hone nahi dunga

Ruby:- gussa mat hoiye abbu jo hakikat hai main wahi bata rahi hon aap khud mera nikah
usse karwayenge warna

Aalam:- warna kya fir se ghar se bhaag jayegi ya iss baar apni jaan de degi to fir sari baat
hi khatam ho gayi marta hua to hum tujhe dekh nahi sakte isse acha to tu ja jake usse
saadi kar le magar yaad rakhna iss saadi me iss ghar ka koi bhi insaan shareek nahi hoga

Ruby:- nahi papa na hi main ghar se bhagungi na hi apni jaan dene ki kosis karungi aur na
hi uski yaad me din bhar room me baithi roti rahungi Aalam Shaikh ki beti hon kisi kamjoor
insaan ki nahi hamari saadi ke liye aap khud manoge wo hi aapko mannayenge

Aalam:- to tu mujhe challenge kar rahi hai

Ruby:- abbu usse maine chuna hai kuch khaas baat to hogi usme waise bhi wo aapka hone
wala damad hai ab wo jane aur aap main beech me nahi aaungi

Aalam:- theek hai main bhi dekhta hon kaise hoti hai tum dono ki saadi itna keh kar wo
uth kar chale gaye unke jate hi Jeenat kehti hai
Jeenat:- Ruby tu pagal ho gayi hai kya abbu se iss tarah baat karte hai

Ruby:- bhabhi wo mere abbu hai unki izzat mere liye sabse pehle hai main aisa koi kaam
nahi karungi jisse unhe sharmindgi mehsus ho

Sikandar:- wo to hame pata hai par ye bata ye sab hoga kaise wo manna payega abbu ko

Ruby:- pehle ye batao aapko wo laga kaisa

Akram:- acha laga

Ruby:- sirf acha

Zakir:- are baba bohat acha laga smart hai handsome hai ab to khush ab bata kise karega
wo

Ruby:- kya bhai jo itna bada plan bana kar Pandit aur Moulvi ko jail bhej sakta hai to
sochiye wo apne pyar ko pane ke liye kya kuch nahi kar sakta bas dekhte jaiye kaise abbu
khud hamari saadi ko raji hote hai ye keh kar Ruby bhi apne room me chali jati hai

Agle din subah ke 8 baje the Armaan ke ghar me sabhi log dining table par baith kar nashta
kar rahe the par Armaan waha nahi tha to Diwakar ji Janki se bole

Diwakar:- ye Armaan kaha hai kya abhi tak so ke nahi utha koi kuch keh pata usse pehle
hi darwaje par dastak hui

Janki:- ab itni subah kon aa gya

Radha:- main dekhti hon ye keh kar usne jaise hi gate khola to samne Ruby ko dekh uski
aankhe hairat se badi ho gayi Ruby ke saath 2-3 bags bhi the Ruby ne bade pyar se Radha
ko kaha

Ruby:- namaste bhabhi ab isse pehle Radha kuch keh pati peeche se Diwakar ji apni kadak
aawaj me bole

Diwakar:- aye ladki tum yaha kya kar rahi ho

Ruby:- ji wo Armaan uski baat ko beech me hi kat te hue Diwakar ji fir bol pade

Diwakar:- tum Armaan se nahi mil sakti aur tumhari himmat kaise hui yaha aane ki

Ruby:- ji main Armaan ke liye nahi balki aapke liye aayi hon

Diwakar:- par hame tumse milna to dur tumhari shakal dekhna bhi pasand nahi hai dafa
ho jaao hamare ghar se
Ruby:- par uncle main yaha se jane nahi yaha rehne aayi hon ye sunkar Diwakar ke saath
saath pure ghar ke sadasya hi hill gaye

Diwakar:- kya bak rahi ho tum iss ghar me tumhari koi jagah nahi hai yaha rehna to dur
iss ghar me main tumhe kadam tak nahi rakhne dunga

Ruby:- kyu uncle Armaan ki baat se dar gaye kya ki kahi main sach me aapko pasand na
aa jaau

Diwakar:- duniya chahe idhar ki udhar ho jaye fir bhi main tumhe iss ghar ki bahu nahi
banaunga

Ruby:- agar aapko apne aap par itna hi confidence hai to fir rehne digiye na mujhe yaha
bas kuch hi dino ki to baat hai agar maine aapke dil me jagah bana li to aapko hamari sarth
maanni hogi agar nahi bana payi to main khud Armaan ki zindagi se dur chali jaungi kuch
soch kar Diwakar ji bole

Diwakar:- theek hai mujhe ye challenge mannjoor hai par apni baat yaad rakhna agar
mere dil me tumhare liye zara si bhi jagah nahi bani to tum Armaan ko hamesha hamesha
ke liye bhool jaogi

Ruby:- main wada karti hon ye sunkar Diwakar ji ke hoontho par ek vijayi mushkaan aa
jati hai jaise unhe pata hi hai ki ye sharth to wo hi jeetne wale hai

Diwakar:- (Radha se) jaao Armaan ko bula kar lao

Ruby:- ji wo ghar par nahi hai wo mere ghar gaye hai ye sunkar fir se sabhi chonk jate hai

Diwakar:- acha to ye sab tum dono ka plan tha koi baat nahi main bhi uska baap hon
haarna maine seekha nahi Janki isse Armaan ke room me le jaao aaj se ye wahi rahegi itna
keh kar Diwakar ji bahar nikal jate hai unke jate hi Radha Ruby ko ghar ke ander le aati hai
Ruby sabse pehle Janki ke pair chuti hai

Janki:- (khushi se) bas bas beta teri jagah waha nahi mere dil me hai itna keh kar Janki
Ruby ke maathe ko chumti hui kehti hai

Janki:- bohat sunder hai meri bahu bilkul chand ka tukda hai hai na Radha

Radha:- aakhir dewrani kiski hai

Rashmi:- meri hai aur kiski Rashmi ki baat sunkar sabhi has pade
Wahi Ruby ke ghar par bhi iss waqt yahi haal tha Armaan ko dekh kar Aalam ka khoon
khool utha

Aalam:- tumhari himmat kaise hui iss ghar me kadam rakhne ki main tumhari parchai bhi
Ruby par nahi padne dunga

Armaan:- ghabraiye mat meri parchai uss par nahi padegi kyuki wo iss waqt mere ghar me
hai

Aalam:- kya Ruby tumhare ghar me hai

Armaan:- han jis tarah aapko hamare riste se etraaz hai ussi tarah mere pita ji ko hai to
hamne ye faisla kiya hai ki wo kuch din tak mere ghar me rahegi aur main uske ghar me
jisse hum aap dono ke dil me apni jagah bana sake

Aalam:- band karo apni bakwas main abhi jaa raha hon apni beti ko wapas lane main usse
uss ghar me hargiz nahi rehne dunga aur tum bhi dafa ho jaao

Armaan:- kya hua dar gaye kya hamare challenge se

Aalam:- main kisi se nahi darta

Armaan:- to fir accept kigiye hamara challenge agar main hara to Ruby ki life se hamesha
hamesha ke liye chala jaunga warna aapko hamari saadi karani padegi

Aalam:- mujhe sharth mannjoor hai tum reh sakte ho yaha

Armaan:- thanks abbu

Aalam:- abbu mat kehna mujhe main tumhara abbu nahi

Armaan:- aaj nahi to kal ban hi jayenge

Aalam:- khwab mat dekho kuch dino ke mehmaan ho fir jaise aaye ho waise nikal jana
itna keh kar Aalam bhi bahar chale jate hai

Armaan:- (mann me) dil jeetne aaya hon chup chap baithne nahi agar aapke mouh se
maine beta na bulwaya to mera naam Armaan nahi Armaan ne sabhi ghar walo ko salam
kiya sabhi Armaan se milkar bohat khush hue ab chalega baap patao abhiyan

Din ke 11 baje ek chote se restaurant me sare dost baithe baate kar rahe the Armaan Ruby
Aadil Nigar Junaid aur Armaan ka ek khaas dost Nikhil waha maujood the
Armaan:- yaar hum dono ne unhe challenge to kar diya par karunga kya ye kuch samajh
me nahi aa raha hai

Junaid:- yaar jab okhali me sir daal hi diya hai to musalo se kya darna koi na koi plan to
mil hi jayega

Aadil:- han yaar tu ghabra kyu raha hai ham sab hai na tere saath

Ruby:- maine Armaan ke bharoshe uncle ko challenge to kar diya par ab mujhe bhi bohat
dar lag raha hai kyuki uncle bohat gusse wale hai pata nahi meri kon si baat pe unhe kab
gussa aa jaye

Armaan:- mujhe pata hai mere papa kitne gusse wale hai lekin tumhare abbu bhi kuch
kam nahi hai mujhe to unki aankho me dekhne se bhi dar lagta hai unki bhayanak laal laal
aankhe jaise mujhe kaccha chaba jayengi ye sunkar Ruby muskurati hui kehti hai

Ruby:- ghabrao mat abbu rosted chikan hi pasand karte hai kaccha nahi khate

Armaan:- kya matlab main murga hon

Nigar:- aur nahi to kya acha khasa ghar se bhage the seedhe saadi kadke wapas aana tha
na ab bhugto

Aadil:- yaar usse aur nurvas mat karo koi plan to bana nahi sakti kam se kam hame hi kuch
sochne do

Ruby:- han to socho na hamne kab manna kiya hum to wo hi keh rahe the jo sach hai

Junaid:- yaar ek idea hai tum dono seedha seedha apne apne baap se bagawat kar do

Armaan:- sale to abhi kya hamne shanti ka paigaam bheja hai unhe ye bagawat hi to hai
khulla apne apne baap ko challenge kar diya ab kya chahta hai talwar lekar unhe jung ke
liye lalkaru

Nigar:- tab to pakka tum logo ka katna tay hai kyuki Ruby ke abbu talwar baji me master
hai aur kusti me bhi champion reh chuke hai ye sunkar Armaan Aadil aur Junaid teeno ki
fati ki fati reh jati hai

Junaid:- aur bhi kuch baki hai unka

Ruby:- (haste hue) nahi bas Tina hi hai

Junaid:- Armaan mere bhai tune to seedhe seedhe sher ke mouh me haath daal diya hai
kaise patayega unhe tabhi Aadil bola
Aadil:- thank god ki mere abbu pehle hi shaan se kharch ho gaye warna meri halat bhi tere
jaisi hoti Nikhil chup chap baitha gaur se sabki baate sun raha tha Armaan ke uski taraf
dekha aur bola

Armaan:- yaar tu to kuch bol koi idea to de

Nikhil:- yaar mujhe to hairat ho rahi hai ki tujh jaisa bewkoof mera dost kaise bana

Armaan:- oye tujhe sharam nahi aati apne dost ko uski gf ke samne bewkoof bol raha hai

Nikhil:- yaar ab tujhe bewkoof nahi to aur kya kahu simple sa plan hai un dono ko patane
ka

Armaan:- acha aur wo kya hai

Nikhil:- dekh tere papa ka readymade shirt banane ka karkhana hai aur Ruby ke abbu
readymade garments ki shop chalate hai

Armaan:- han to

Nikhil:- abe ullu ab aage kya karna hai ye bhi mujhe samjhana padega ab sabhi ko pura
plan samajh me aa gya aur sabhi bohat khush ho gaye

Aadil:- waah Nikhil bhai kya plan hai isse dono buddhe kuch to kareeb aayenge

Nikhil:- ab main chalta hon kuch kaam hai itna keh kar Nikhil waha se uth kar chala gya ab
hai plan ko anjaam dene ka waqt dekhte hai kitna safal hote hai

Agle din plan ke mutabik Armaan ne apne bhai Sanjay aur Avinash ko ek jagah milne
bulaya

Armaan:- (Sanjay se) bhaiya aapko meri ek help karni hai

Sanjay:- han haa bol kya karna hai

Armaan:- bhai kaam thoda risky hai ye sunkar Avinash bola

Avinash:- yaar iski tension tu mat le tu bas kaam bata baki hum par chod de

Armaan:- ye batao aaj kal me koi shirts ke order hai

Sanjay:- han hai na kal hi hai par kyu

Armaan:- kitne shirts jane hai

Sanjay:- 3000 shirts ka order hai


Armaan:- cancel kar do ye sunkar Sanjay aur Avinash dono ke hosh udd jate hai

Avinash:- tu pagal ho gya hai kya 3000 shirts ka order cancel kar du par kyu

Sanjay:- chal Avinash hamara bhai pagal ho gya hai iss liye ulti seedhi baate kar raha hai
tujhe pata hai wo order Singh sahab ka hai aur wo hamare bohat purane grahak hai hum
unka order cancel nahi kar sakte

Armaan:- lekin bhaiya meri baat to suno

Avinash:- hame teri koi baat nahi sunni hum ye order cancel nahi karenge tujhe apni koi
fikar nahi to kam se kam hamare bare me to soch jab ye baat papa ko pata chalegi to wo
hame ghar se nikal denge fir kaha jaunga main Rashmi ko lekar nahi nahi ye nahi ho sakta

Sanjay:- sach keh raha hai tu Avinash tere saath saath papa mujhe bhi ghar se nikal denge
fir Radha ko lekar main kaha jaunga tabhi Armaan unhe emotionaly blackmail karta hua
kehta hai

Armaan:- aapko sirf apne aur apni biwiyo ki hi chinta hai apne chote bhai ki zara si bhi
parwah nahi hai aapko shayad aap log nahi chahte ki main aur Ruby kabhi ek ho sabse
ladke jeeta par aaj main apno se hi haar gya theek hai agar hum dono ka pyar aapko itna
hi khatakta hai to chale jayenge aap sabhi se dur itni dur ki chah kar bhi aap kabhi hame
dhund nahi payenge

Sanjay:- oye nautanki band kar apna drama sochte hai hum kuch

Avinash:- bhaiya hum order cancel to kar denge fir itne maal ka karenge kya

Armaan:- (muskurate hue) main batata hon wo sara maal Ruby garments me jayega

Avinash:- Ruby garments kahi ye Ruby ke abbu ki

Armaan:- han ye unhi ka hai

Sanjay:- yaar bhala wo log hamse maal kyu lenge

Armaan:- lenge bhai jaroor lenge

Avinash:- mujhe nahi lagta wo log mannenge

Armaan:- jaise maine aap dono ko mannaya waise Ruby bhi apne bhaiyo ko manna legi
Armaan ka itna kehna tha ki tabhi Ruby apne teeno bhaiyo ke saath aate hue dikhi

Armaan:- lo ban gya kaam Ruby unke paas aati hui boli
Ruby:- Armaan mere bhai maan gaye

Armaan:- mere bhai bhi maan gaye tabhi Sikandar bola

Sikandar:- yaar tum dono karna kya chahte ho pura plan to batao

Armaan:- papa aur abbu ko kareeb lane ka pehla kadam hai Sikandar bhai aap jaha se
maal lete ho iss baar waha se mat lena aur abbu se keh dena ki unhone hamara maal kisi
aur ko de diya hai aur Sanjay bhaiya aap papa se kehna ki Singh sahab ne order cancel kar
diya

Sanjay:- wo to hum samajh gaye par Singh ka kya kare wo agar papa ke samne aa gya to

Sikandar:- han ye problem to hamari bhi hai hum khan Corporation se maal lete hai iss
baar maal nahi liya to kahi wo seedha abbu ke paas na chala jaye

Armaan:- iska seedha sa solution hai khan Corporation ka maal Singh ko de do

Sanjay:- han ye ho sakta hai isse kisi ko kuch pata bhi nahi chalega

Sikandar:- idea bohat hi acha hai fir kya karna hoga

Armaan:- fir aap log kuch nahi karenge jo karna hai main aur Ruby karenge aakhir ye ladai
hamari hai aur hame isme jeetna hai

Sikandar:- jis tarah tumhara dimag kaam karta hai 100% jeet tum dono ki hi hogi kuch der
aur baat karne ke baad sabhi waha se chale jate hai bas reh jate hai to Armaan aur Ruby
mauka dekh kar Ruby Armaan ke gaal par ek kiss kar deti hai

Ruby:- mera sona kitna smart hai

Armaan:- yaar bas itna chota sa inaam ye to galat hai

Ruby:- to fir kya chahiye mere babu ko

Armaan:- ek kiss hoontho pe wo bhi bada wala

Ruby:- wo to nahi milega

Armaan:- kyu

Ruby:- pehle kamyabi ki pehli seedi to chadh jaao fir dungi

Armaan:- pakka na fir nakhre mat karna

Ruby:- pakka promise


Armaan:- to fir ready ho jaao kyuki bohat jald hi Ruby garments me bikega Patel
Corporation ka maal plan ke anusar khan Corporation ka maal Singh ko de diya gya aur ye
kaam itni safai ke saath hua ki kisi ko koi saq bhi nahi hua lekin asli dhamaka to tab hua
jab Aalam ji ko ye pata chala ki unka order kisi aur ko de diya gya aur Diwakar ji ko zhatka
tab laga jab unhe ye bataya gya ki Singh ne unka order cancel kar diya dono ye sun kar
bohat hi chintit ho gaye Diwakar ji ko iss baat ki tension thi ki wo itne maal ka karenge kya
upar se jo paise gaye wo alag aur Aalam ji ko ye chinta sataye ja rahi thi ki agar unhe maal
na mila to wo shop me kya bechenge ab waqt tha Armaan aur Ruby ko apni apni chaale
chalne ka Ruby garments

Aalam:- aakhir aisi kya baat ho gayi jo khan Corporation walo me hamara maal kisi aur ko
de diya wo aisa kaise kar sakte hai saalo se len den hai hamara unke saath fir achanak aisa
kyu kiya

Sikandar:- abbu jis rate me hum unse maal lete the kisi ne usse zyada rate dekar sara maal
le liya

Aalam:- agar aisi baat thi to unhone humse baat kyu nahi ki hum rate badha dete iss tarah
hamara maal kisi aur ko dene ka kya matlab meri abhi unse baat karao Sikandar ne baat
ko sambhalte hue kaha

Sikandar:- abbu ab unse baat karne ka koi fayda nahi maine baat ki thi unka bas ek hi
jawab hai ki jisne rate zyada diya maal uska

Aalam:- to ab kya kare kahi aur se maal nahi mil sakta kya

Sikandar:- abbu maine aur jagah bhi baat ki hai par ab koi hame maal dene ko taiyar nahi
hai

Aalam:- ya allah ye kya aafat aa gayi ab kya hame ye shop band karni padegi tabhi Armaan
waha aa jata hai

Armaan:- abbu mere paas ek idea hai Armaan ko apni shop me dekh Aalam ji ka para high
ho jata hai

Aalam:- tum yaha kya kar rahe ho ghar pe mann nahi bhara jo mujhe yaha pareshan karne
aa gaye

Armaan:- are nahi nahi abbu main yaha aapko bilkul bhi pareshan karne nahi aaya hon
wo to main yaha se gujar raha tha to aapki shop dikhi iss liye ander chala aaya par yaha
aake pata chala ki ek problem ho gayi hai
Aalam:- ye hamara mamla hai hum dekh lenge tum jaao yaha se aur ye baar baar mujhe
abbu bolna band karo main tumhara abbu nahi

Armaan:- theek hai nahi bolta abbu lekin jab main aap logo se jud gya hon to aapki
problem bhi meri problem hui na iss nate main ye problem solve kar sakta hon aur mere
paas ek idea bhi hai

Aalam:- apna bakwas idea apne paas rakkho hame tumhare madad ki koi jarurat nahi hai
tabhi Sikandar bola

Sikandar:- are abbu ek baar sun hi lete hai kya pata idea sach me hamare kaam aa jaye
waise bhi sunne me kya chala jayega Aalam kuch nahi bole bas apna mouh Armaan se fer
kar dusri ore kar liya

Sikandar:- han Armaan bolo kya kehna chahte ho

Armaan:- bhai maine sab suna ki aap jisse maal lete ho unhone aapka maal kisi aur ko
supply kar diya aur market me kisi aur se bhi itni jaldi maal mil nahi sakta lekin ek jagah
hai jaha se aapko maal mil sakta hai

Sikandar:- kaha se bhala itni jaldi hame itna maal kon de sakta hai Armaan ek nazar Aalam
par dalta hai aur kehta hai

Armaan:- Patel Corporation se

Sikandar:- Patel Corporation kahi ye tumhare pita ji ki to nahi hai

Armaan:- han bhai ye unhi ki hai itna sunna tha ki nahi Aalam ji fir bhadak gaye

Aalam:- nahi ye kabhi nahi ho sakta hum tumhare pariwar ke kisi bhi sadasya se kisi bhi
tarah ka koi rishta nahi rakhna chahte bhale hame maal mile ya na mile lekin hum waha
se maal nahi lenge Sikandar Aalam ji ko samjhata hua kehta hai

Sikandar:- abbu aise to hamari shop band ho jayegi jab yaha maal hi nahi hoga to hum
bechenge kya hamara ghar kaise chalega hamari nahi to kam se kam Jeenat ke bare me
sochiye aap to jante hi hai ki wo maa banne wali hai aisi halat me uski aachi dekh bhaal
honi chahiye agar hamare paas paise hi nahi honge to hum uski dekh bhaal kaise kar
payenge Sikandar ki baat sunkar Aalam shant ho jate hai jab Sikandar ko yakeen hota hai
ki Aalam sheeshe me utar chuke hai to wo Armaan se kehta hai

Sikandar:- han Armaan hum maal lenge par kya wo log yani tumhare pita hame maal
denge
Armaan:- kyu nahi denge bhai maine aaj hi suna hai ki unka order cancel ho gya hai wo
jisko maal dete the unhone kahi aur se maal le liya hai ab agar aap izazat de to main unse
baat karu

Sikandar:- han han kyu nahi agar wo log hame sahi rate par maal denge to hum jaroor
unse maal lenge hame to sirf maal se matlab hai theek hai to main abhi unse baat karke
dekhta hon jaha ek taraf Armaan Aalam ko pata raha tha wahi dusri taraf Ruby bhi
Diwakar ko patane me lagi thi Patel Corporation Diwakar ji ko jab pata chala ki Singh ne
unka order cancel kar diya hai to wo bohat pareshan ho gaye

Diwakar:- Singh hamare saath aisa kaise kar sakta hai kitne saalo se hum ek saath business
karte aa rahe hai aaj tak unhone aisa nahi kiya fir achanak kya hua unhe

Sanjay:- pata nahi papa keh rahe the ki market me humse sasta unhe maal mil raha hai iss
liye unhone waha se maal utha liya

Diwakar:- hye bhagwaan ab hum itne sare maal ka kya karenge kya aur koi nahi hai jo
hamara maal le le

Sanjay:- hamne har jagah pata kiya hai par aisa koi nahi jo hamara maal le tabhi peeche
se Ruby ki aawaj aayi

Ruby:- uncle ek jagah hai jaha aap apna maal bench sakte hai ek to Diwakar ji pehle se
pareshan the upar se Ruby ko waha dekh kar aag babula ho gaye

Diwakar:- tum yaha kya kar rahi ho mehmaan ho mehmaan ban kar raho hamare mamle
me apni naak ghusedne ki koi jarurat nahi hai

Ruby:- main to aapke bhale ke liye keh rahi thi

Diwakar:- mujhe tumhare ahsaan ki koi jarurat nahi hai jo karna hum dekh lenge tum niklo
yaha se tabhi Sanjay baat ko sambhalte hue bola

Sanjay:- papa ek baar sun to lo wo kya kehna chahti hai agar baat hamare fayde ki ho to
problem kya hai fir Sanjay Ruby se kehta hai

Sanjay:- Ruby bolo kya kehna chahti ho

Ruby:- ek jagah hai jaha aapka sara maal ja sakta hai

Sanjay:- kon khareedega hamse

Ruby:- Ruby garments wale


Sanjay:- Ruby garments kahi ye tumhare abbu ki to nahi hai ye sunte hi Diwakar ji bhadak
gaye

Diwakar:- nahi hum un logo ko apna maal nahi denge chahe sara maal aise hi pada rahe

Sanjay:- are papa isme problem hi kya hai maal chahe koi bhi le hame to sirf paiso se
matlab hai waise bhi agar ye maal jayega nahi to baad me hame problem aa sakti hai upar
se workers ki payment bhi to karni hai kaise hoga sab ye sunkar Diwakar ji shant ho gaye
Sanjay fir Ruby se kehta hai

Sanjay:- han Ruby kya wo log hamara maal lenge

Ruby:- zaroor lenge bhaiya unki majburi hai kyuki wo jinse maal lete the unhone apna
maal kisi aur ko de diya hai ab unke paas kuch bhi nahi hai majburan unhe hamse maal
lena hi padega

Sanjay:- Ruby agar aisa hua na to sach me tumhara ahsaan hum kabhi nahi bhulenge

Ruby:- isme ahsaan kaisa bhaiya aap log bhale hi mujhe apna nahi mannte hai lekin main
to manti hon na aur apno me ahsaan nahi hota farz hota hai wahi main bhi kar rahi hon
sara maal to jayega hi saath me pehle se zyada profit bhi hoga profit ka naam sunte hi
Diwakar ji bol pade

Diwakar:- zyada profit wo kaise

Ruby:- uncle abhi unhe maal ki jarurat hai to hame mauke ka thoda bohat fayda to uthana
hi chahiye na ye 3000 shirts hai isse aap kitne me Singh ko dete the

Diwakar:- 250 Rs par shirt ke hisab se 750000 Rs hote hain opar se discount cut karke yahi
koi 700000 Rs milte hain

Ruby:- hum iss maal ke 800000 Rs mangenge unhe abhi maal ki bohat jarurat hai to unhe
hamare rate par maal lena hi padega upar se 0% discount yani ki 100000 Rs ka fayda ye
sunkar Diwakar ji ka chahra khil utha unke hoontho par mushkaan phail gayi ab 100000
Rs ka profit kisi acha nahi lagta

Ruby:- kya kehte hai uncle deal kare unse

Diwakar:- han bilkul karo agar aisa kar diya to main tumhe inaam dunga 20000 Rs

Ruby:- theek hai uncle main abhi unse baat karti hon
Idhar Ruby Diwakar aur Sanjay baat kar hi rahe the ki tabhi Diwakar ke mobile me Armaan
ka call aaya

Diwakar:- han Armaan bolo kya baat hai

Armaan:- papa suna hai aapka order cancel ho gya hai kya aap wo maal hame bechenge

Diwakar:- han bilkul par iss bare me tum Ruby se baat karo itna keh kar unhone phone
Ruby ko de diya

Ruby:- han bolo kya keh rahe ho

Armaan:- suna hai tum logo ka order cancel ho gya hai bada hi dukh hua ye jankar chalo
tum logo par ek ahsaan karta hon hum tum logo ka sara maal khareed lete hai samne
diwali hai agar maal nahi bika to tum sab ki diwali bekar ho jayegi Armaan ke mouh se aisi
baate sun kar Aalam ji ke hoontho par mushkaan aa gayi

Ruby:- hello Mr Armaan aapko hamari chinta karne ki koi jarurat nahi hai hamara maal
bike ya na bike upar wale ne hame itna diya hai ki apne saath saath chaar aur gharo ki bhi
diwali manwa sakte hai aap log apni tension karo hamne bhi suna hai ki aapko iss baar
maal hi nahi mila ab aap kya bechenge aur kya kamayenge diwali to dur ghar me rashan
bhi nahi hoga ye sun kar to Diwakar ji shabaas bol uthe

Armaan:- dekho jarurat hame bhi hai aur tumhe bhi hai aapas me zhagda karne se acha
hai ki sauda kar le

Ruby:- best idea hai to fir yaha aa jao payment karo aur maal le jaao

Armaan:- hum waha kyu aaye tum log yaha aao

Ruby:- kabhi kuwe ko pyase ke paas aate suna hai pyasa hi hamesha kuwe ke paas aata
hai aana hai to aao warna market me aur bhi log hai

Armaan:- theek hai hum hi aate hai itna keh kar Armaan phone cut kar deta hai

Aalam:- kya hua wo maal denge

Armaan:- han maal to denge par hame waha jana hoga

Aalam:- par hum kyu waha jaye wo log bhi to yaha aa sakte hai

Armaan:- maine bhi to ye hi kaha tha par jo aapki beti hai na aapse bhi 10% aage hai

Aalam:- kyu kya kaha usne


Armaan:- kehne lagi ki hame hi waha jana padega warna wo maal nahi denge

Aalam:- kya Ruby ne aisa bola ek hi din me itna badal gayi wo tabhi Sikandar bola

Sikandar:- papa abhi gussa hona ka time nahi hai hame maal chahiye jo sirf unke paas hai
agar kisi aur ne le liya to hum khali haath reh jayenge iss liye gussa thukiye aur chaliye
hamare saath fir sab Patel Corporation ke liye nikal jate hai kuch hi der me sab waha
pahuch jate hai fir un logo ki meeting suru hoti hai jaha Armaan Aalam ke paas baitha hua
tha to Ruby bhi Diwakar ke bilkul bagal me baithi hui thi

Armaan:- hame aapka maal chahiye wo bhi abhi ke abhi

Ruby:- maal ready hai payment karo aur le jaao

Armaan:- 3000 shirts ke hote hai 750000 Rs discount cut kare bante hai 700000 rs

Ruby:- aapko ye kisne kaha ki hum discount de rahe hai hum koi discount nahi denge aur
han rate badh gya hai hum 3000 shirts ke 800000 Rs lete hai

Armaan:- par ye to cheating hai sara sar baimanni hai

Ruby:- ab aap jo samjhe agar maal chahiye to jo rate hamne tay kiya hai wo de digiye aur
maal le jaiye warna gate udhar hai

Armaan:- maal to hame chahiye aur wo hum le kar rahenge bhale 800000 Rs hi kyu na
dene pade tabhi Aalam ji dheere se Armaan se kehte hai

Aalam:- ye kya kar rahe ho aise ho hame nuksaan ho jayega

Armaan:- (zor se) aap tension mat lo uncle iss 800000 ke 1000000 Rs na bana diye to mera
naam Armaan nahi aap inko payment kariye aur chaliye yaha se baat izaat par aa chuki
thi to bhala Aalam ji peeche kyu hat te apne bag se check book nikali aur 800000 ka
amount bhar ke Ruby ko thama diya

Armaan:- maal 1 ghante ke ander hamari shop me hona chahiye

Ruby:- bilkul usse bhi pehle pahuch jayega fir Armaan Aalam aur Sikandar waha se chale
jate hai Ruby Diwakar ji ko check dete hue kehti hai

Ruby:- ye ligiye uncle aapka 800000 ka cheque Diwakar ji cheque pake bohat khush ho
jate hai aakhir 100000 ka profit jo mila hai

Wahi Aalam ji bohat pareshan the


Aalam:- 100000 Rs zyada chale gaye ab uski bharpai kaisi hogi

Armaan:- uncle pareshan mat ho main hon na main ab in shirts ko 350 Rs me bechunga
jisse 3000 shirts ke 1050000 Rs bante hai

Aalam:- log mol bhaw bhi karte hai ye maan kar chalo in shirts ki keemat 300 se upar nahi
jayega

Armaan:- ek idea hai jisse log mol bhaw to dur khushi khushi hamare rate par le jayenge
wo bhi seena chauda karke

Aalam:- bhala wo kaise

Armaan:- aaj kal discount ka jamanna hai uncle log waha zyada bhagte hai jaha unhe
discount milta hai koi 10% discount deta hai to koi 20% koi koi to 35% tak discount dete
hai hum bhi discount denge wo bhi 50% ka bas har shirt ke price tag me rate 700 Rs lagana
hai fir dekhna log ek baar bhi mol bhaw nahi karenge ye sunkar Aalam khushi se uchal
pade

Aalam:- waah kya idea hai aise to hame acha khasa profit hoga hame abhi kaam pe lagna
hoga fir kya tha lag gaye sabhi kaam me ab dekhte hai aage kya hota hai Armaan ka idea
super hit nikla 50% off ka chakkar aisa chala ki 2 din me hi sara stock khatam ho gya aur
profit jitna socha tha usse kahi zyada Aalam ji ki khushi ka koi thikana nahi tha reh reh kar
wo Armaan ki tareef kiye ja rahe the wahi Diwakar ji bhi bohat khush the aakhir itna profit
jo mila tha ab to Diwakar ji Ruby ko lucky mannne lage kyuki uske aane se unka business
kahi zyada acha chalne laga 7 din beet chuke the Armaan aur Ruby ne Aalam aur Diwakar
ji dil me jagah bana li thi aur issi ke saath saath dono gharo ke beech ki kadwahat bhi
khatam ho chuki thi ab to Ruby garments ka har ek maal sirf Patel Corporation se hi jata
tha Diwakar ji aur Aalam ji me ab bol chal bhi suru ho gayi thi aise hi ek din Aalam ji
Diwakar ji se milne unke office gaye payment ki check dene baato baato me Aalam ji bole

Aalam:- Diwakar ji bura na manne to ek baat kehni thi aapse

Diwakar:- han haa boliye

Aalam:- ji main kehna ye chahta hi ki

Diwakar:- aap bezhizhak kahiye

Aalam:- mujhe lagta hai ki main Armaan se lagya hua sharth haar gya hon wo mujhe
pasand aane laga hai aap samajh rahe hai na ki main kya kehna chahta hon itna sunna tha
ki nahi Diwakar ji apni kursi se khade ho gaye aur aage badh kar Aalam ji ke paas gaye aur
bole

Diwakar:- khade hoiye ye sunkar Aalam ji thoda ghabra gaye aur chup chap khade ho gaye
unke khade hote hi Diwakar ji ne unhe gale laga liya

Diwakar:- aapne to mere mouh ki baat cheen li main bhi yahi chahta hon Ruby jaisi
honhaar aur sanskari ladki mere ghar ki izzat bane ye mere liye garv ki baat hogi ye sun
Aalam ji bhi khush ho gaye

Aalam:- to fir barat kab la rahe hai samdhi ji

Diwakar:- bas ab ek acha sa muhurt dekh kar dono ki saadi karwa dete hai

Aalam:- jaisa aap theek samjhe bas hame thoda jaldi bata digiye taki hum aap logo ke
hisab se sara intejan kar sake

Diwakar:- hamare hisab se matlab

Aalam:- are bhai shahab hum chahte hai ki saadi pure hindu reeti riwaj se ho taki aap logo
ko koi pareshani na ho

Diwakar:- nahi bhai shahab saadi hogi to wo aapke hisab se ye hindu muslim ab main bhi
nahi manta baccho ne hamari aankhe jo khol di hai

Aalam:- to fir ek kaam karte hai din me dono ka nikah karwa dete hai aur raat me dhoom
dhaam se saadi

Diwakar:- ye sahi rahega isse hum dono ki iccha bhi puri ho jayegi to chaliye chalte hai
Pandit ji ke paas aachi si tareekh nikalne fir dono Pandit ke paas jake saadi ke liye ek date
nikalte hai theek 15 din baad ka date milta hai dono gharo me khushiyo ka alam tha sab
busy ho gaye Armaan aur Ruby ki saadi ki taiyari me dheere se saadi ka din bhi aa gya din
me dono ka nikah karaya gya aur raat me Armaan puri barat lekar baje gaje ke saath doli
lekar Ruby ke ghar ke liye chal pada uske sare dost uske rishtedar uska pura pariwar
nachte jhumte hue Ruby ko lene chal pade to dosto ye thi Armaan aur Ruby ki kahani
jinhone samaj ki sari bandisho ko tod kar apne pyar ko ek naya aayam diya jate jate main
aap sabhi se bas ye hi kehna chahunga ki apne pyar ko duniya se chupao nahi unke samne
laao unhe apne pyar ki ahmiyat ko samjhao der se hi sahi par wo samjhenge jaroor bas
aapme samjhane kj kabliyat honi chahiye kabhi bhi galat kadam mat uthana kyuki jaan
dene se kabhi pyar hasil nahi hota ulta zindagi bhar ka gum aap kisi apne ki aankho me de
jayenge

You might also like