Tgjki Roman
Tgjki Roman
Aur
Jinnaat o Jaadu
Ka Ilaaj
Taaleef o Peshkash
Shaikh Muhammad Muneer Qamar
Roman Translitration
Allah Rabbul Aalameen ka shukr hai jisne Quran ko shifa aur hidaayat
bana kar bheja. Durood-o-salaam ho hamare Nabi-e-Mukarram ﷺpar
jo apni ummat ke liye rahmat aur taareekiyo’n mein raushni hain.
Jaadu (sihr) ek (1) khatarnaak haqiqat hai, jiska zikr Quran-o-Sunnat
mein waazeh taur par aaya hai. Allah Ta'ala farmata hai:
ِ ٓاریْنَ ِب ٖهَ ِم ْنَاح ٍدَاِّل َِباِذْ ِن ه
َ َؕاّلل َِ وَماَ ُه ْم َِبض
Aur Wo Us Jaadu Se Allah Ke Hukm Ke Siwa Kisi Ko Nuqsaan Nahi
Pohoncha Sakte The. (Surah al-Baqara: 102)
Is aayat ki tafseer mein Shaikh Salahuddin Yusuf � ne farmaya: “Ye
jaadu bhi us waqt tak kisi ko nuqsaan nahi pohoncha sakta jab tak Allah
ki mashiyyat aur uska izn na ho. Is liye iske seekhne ka faaeda bhi kya
hai? Yehi wajah hai ke islam ne jaadu ke seekhne aur us par amal karne
ko kufr qaraar diya hai. Har qism ke khair ki talab aur zarar ke dafa’ ke
liye sirf Allah Ta'ala hi ki taraf rujoo kiya jaae, kyounke wohi har cheez
ka khaaliq aur kaaenaat mein har kaam usi ki mashiyyat se hota hai”.
(Tafseer Ahsan-ul-Kalaam [King Fahad Quran Printing Complex Edition])
Aaj ke daur mein jaadu ke tariqe pecheeda ho chuke hain, magar uska
ilaaj Quran-o-Sunnat mein maujood hai. Is kitaab mein un Qurani aayaat
aur Sahih Ahadees mein maujood duaao’n ki nishandahi ki gai hai jinhe’n
ilaaj ke dauraan padha jaata hai. Iske saath-saath jagah-jagah salaf aur
haal ke ulama ke tajarba-shuda nuskho’n ka bhi zikr hai.
Allah Shaikh Muneer Qamar ﷿ ke ilm, sehat aur waqt mein khair aur
izaafa kare. Unho’n ne bahut si kitaabe’n likhi hain aur har kitaab ki ek
(1) khusoosiyat hai.
Is jaadu ke unwaan par kitaab mein unho’n ne Quran aur Hadees ki
raushni mein sabhi qism ke jaadu-tona aur nazr-e-badd ka ilaaj zikr kiya
hai. In sha Allah, is kitaab ke padhne ke baad padhne waale ke zehen
mein jaadu-tona ke ilaaj se mutaalliq har qism ke shukook-o-shubhaat
5
door ho jaaenge.
Allah ka be-panaah fazl-o-ehsaan hai ke is kitaab se pehle jaadu ke
mauzu par Shaikh Waheed bin Abdus Salaam Baali ﷿ ki ek (1) kitaab,
jiska naam: ‘ِلسحر ِة الأ ْشرار ِ ِ َّ’الصارِ ُم البَت
َّ ار في التَّص ِّدي ل
ُ َّ (As-Saarimu al-Battaaru fee
at-Tasaddi lis Sahaarati al-Ashraar) “Shareer Jaadugaro’n Ka Qila-qama
Karne Waali Kitaab” ko roman script mein transliteration ka kaam 2015
hi mein mukammal ho gaya tha. Usi roman edition ko do (2) aur baar
2021 aur 2022 mein ghalatiyo’n ki islaah ke baad publish kiya gaya hai.
Agar kisi ko is unwaan par tafseeli kitaab padhni hai to us kitab ke latest
roman edition ko yahan click karke download kar sakte hain.
Is kitab ka pehla roman edition, 2019 mein mukammal hua aur online
upload kar diya gaya. Ab usi edition mein maujood ghalatiyo’n ki islaah
ke baad, mushkil alfaaz ke mafhoom ko shaamil kiya gaya hai. Is roman
edition mein maujood tamaam Qurani aayaat ko
https://quranwbw.com/ se liya gaya hai, aur ahadees aur aqwaal ke arbi
matan ko urdu pdf dekh kar type kiya gaya hai.
Aakhir mein Shaikh Muneer Qamar ﷿ ne Pakistan, Hindustan aur Saudi
Arab mein maujood raaqi (ilaaj karne waalo’n) ke naam aur kuch ke
contact details diye hain. Usi page ke footnote section mein maine
Gulbarga aur Hyderabad mein maujood do (2) raaqiyo’n ki tafseel
shaamil ki hai.
Double-check karne ke bawujood bashari taqaze ki wajah se agar
kaheen ghalati nazar aajaae ya is roman transliteration ke mutaalliq koi
mashwara ho to neeche maujood email par contact keejiye.
[email protected]
Isi tarah mazeed roman script mein islami kutub free mein download
karne ke liye neeche maujood link par click keejiye.
https://archive.org/details/@rehan_syed_barey
Aap se adaban guzaaarish hai ke is kitaab ko padhne ke baad doosro’n
ke saath sawaab-e-jaariya ki niyyat se zaroor share keejiye. Allah meri is
6
koshish ko meri aur logon ki islaah aur ukhrawi kamyaabi ka zariya
banaae aur qubool farmaae. Aameen
Duaao’n ka taalib,
Rehan Syed Barey
Riyadh, Saudi Arabia
June 04, 2025 - 08 Dhul Hajja 1446 (Second Roman Edition)
First Roman Edition published on: Sep 26, 2019 - 27th Moharram 1441
7
Arz-e-Muallif:
ّٰ
م ْن، ت اأ ْعمالِنا
ِ و ِم ْن س ِّيا، سنا
ِ ُ ون ُع ْو ُذ بِالل ِه ِمن شُ ر ْورِ اأنْف، ونستغْ ِفر ُه، ونست ِع ْي ُن ُه، حم ُد ُه
ُ ْ ُ ْ ْ ْ ا َّن ا ْلح ْمد لِل ِه ن
حد ُه ل ش ِر ْيك ل ُه واأ ْشه ُد اأ َّن ِ ضلِ ْل فَل ه
ْ واأ ْشه ُد اأ ْن َّل ا ِل ّٰه الل ُه و، ادي ل ُه ْ ُّ وم ْن ي، ل ل ُه ِ يَّ ْه ِد ِه الل ُه فَل ُم
َّ ض
ُمح َّمدا ع ْب ُد ُه ور ُس ْولُ ُه
Sabab-e-Taaleef:
Ye kitab dar-asal hamari un radio waali taqareer ka majmua hai, jo ham
ne apne haftawaar radio program “Islam Aur Hamari Zindagi” mein
maah Jamadis Saani-o-Shawwal 1423h (2002) mein Saudi Radio,
Makkah Mukarrama se nashr ki thi. Unhe’n hamari lakht-e-jigar Aansa
Nabila Qamar ne tarteeb de kar apni bahen Naadiya Qamar ke ta-
aawoon2 se computer compose bhi kar diya hai. ‘ اهما ُهما الل ُه فِ ْي ا ْل َّدار ْي ِن
ُ فجز
’خ ْيراً ووفَّق ُهما ل ِ ْلم ِز ْي ِد3
8
apna aur apne aizza-o-aqaarib1 ka ilaaj khud kare’n.
Isi tarah baaz log taaweez-gande karwate hain, dhaage, naqsh aur doosri
cheeze’n laate hain, unhe’n baandhte aur apne gharo’n aur dukano’n ya
daftaro’n mein latkaate phirte hain. Wo bhi un cheezo’n se jaan chuda
sakte hain aur hamari is kitab mein darj noorani duao’n aur dawaao’n se
faaeda utha sakte hain.
Yaha’n is baat ko bhi zehen-nasheen kar le’n ke Quran-e-Kareem aur
sahih ahadees-e-rasool ﷺse saabit-shuda azkaar aur duae’n padhkar
aur tib-e-Nabawi ﷺki baaz dawae’n istemaal karke har shakhs taaweez-
gando’n, jinno’n aur jaadu ke asaraat se mehfooz reh sakta hai. Aur agar
badd-qismati se koi un mein se kisi ka shikaar ho gaya ho, to wo khud ya
uske azeez-o-aqaarib bhi in azkaar-o-duao’n se uska ilaaj kar sakte hain.
Aur uska jinn-o-jaadu nikaal sakte aur taaweez-gande ya aaseb-o-mirgi
ke asaraat zaail kar2 sakte hain. Uske liye “dukandaaro’n” ke jaal mein
pahsna zaroori nahi hai.
ّٰ
.ف م ْرضانا وم ْرض ّٰى ا ْل ُم ْسلِ ِم ْين
ِ اش
ْ الل ُه َّم
1 َّ َ
T: ( )ا ِعزہKumbe ke log, rishtedaar, ahle qaraabat [RKT]
2
َ
T: ( )ز ِائل کرناDoor karna, mitaa dena [RKT]
9
ِ الر ِح ْی
م َّ م ِن
ّٰ الر ْح ِ ِ بِس
َّ م الله ْ
Kuch log aise bhi hain jinho’n ne Ilaahi sifaat ka daawa kar rakha hai, aise
nujoomiyo’n aur jaadugaro’n ne logo’n ko apni taraf mutawajje karne
ke liye bade pur-kashish board aawezaa’n1 kar rakhe hote hain.
Jin par kuch is qism ki ibaaraat likhi hoti hain: 40 Saal Ka Tajarba, Jo
Chaaho So Poocho, Mohabbat Mein Nakaami, Rishte Mein Rukaawat,
Aulaad-e-Nareena Ka Taaweez, Mehboob Aapke Qadmo’n Mein, Case
Mein Jeet Kiski? Waghaira. Aise kufriya-o-shirkiya daawe karne waale
nujoomiyo’n, jaadugaro’n aur peero’n se apne imaan-o-aabru aur jeb
bachaae’n.
Ilaaj-e-Sharai
Sharai ilaaj ya damm-jhaad ke liye darj-e-zel 3 sharto’n ka wujood
zaroori hai:
① Damm, Kalamullah, Asma-e-Husna aur Sifaat-e-Ilaahiya se kiya jaae.
② Arabi zabaan ya kisi doosri maaroof zabaan mein ho. Jise har koi
samajh sakta ho.
③ Is baat ka etiqaad ho ke ye damm ba-zaat-e-khud muassir2 nahi, balke
taaseer3 Allah Ta’ala ki taraf se hogi.
Jis damm mein ye teen (3) sharaait paai jaae’n, uske jaaiz hone par ijma-
e-ummat hai. (Fathul Baari Sharah Sahih Bukhari: V10 P206; Sharah Sahih Muslim: V2
P1727)
Albatta kisi jaadugar se ilaaj karwaana jaaiz hi nahi, kyounke jaadu karne
aur jaadu karwaane waale ko to Nabi ﷺne apni ummat se hi khaarij
qaraar diya hai. (Musnad Bazzaar [ba-asaneed-e-jaiyyid]; Tibrani [Hasan]; Sahih At
Targheeb wat Tarheeb lil Albani: V3 P170 H3041-3042)
Aise hi kisi kaahin-o-nujoomi ke paas jaana aur usse ilaaj karwaana bhi
hargiz rawa nahi hai. Kyounke unke paas jaana aur unki baat ki tasdeeq
1 T: Latka ya latkaaya hua, hanging, suspended [RKT]
ِّ ُ
2 T: ()م ٔوثر Asar karne waala, kaar-gar, taaseer karne waala [RKT]
3 T: ( )تاث ْیAsar karna, asar dena, affect, influence [RKT]
ِ
10
karna shariyat se kufr karna hai. (Abu Dawood, Tirmizi, Nasai, Ibne Majah, Sahih
Targheeb wat Tarheeb: Musnad Ahmad (MA) P172; MA: V2 P429; Mustadrak Haakim: H58)
Dushmanaan-e-Deen-o-Daulat Ki Pehchaan
Aaj-kal barre-sagheer mein jaadugar, shobada-baaz, taaweez-gande aur
totey-tonke karne waalo ki badi kasrat ho gai hai. Jo logo’n ko ullu bana-
bana kar unki jebe’n aur imaan loot rahe hain. Unse bachne ki zaroorat
hai. Us tole ko pehchanna koi mushkil amr nahi, aap chand baate’n
zehen mein rakhe’n aur jiske baare mein pata chale ke wo aisa karta hai,
use usi dushman-e-imaan giroh ka fard samjhe’n:
① Mareez ki maa ya maa-baap dono ka aur mareez ka naam pooche.
② Mareez ki qameez, rumaal, naqaab ya koi doosra kapda talab kare.
③ Koi aisa jaadui tilism badd-badaae jo samajh mein na aata ho aur na
hi uske maane maloom ho sake.
④ Mukhtalif khaano’n aur naqsho’n par mushtamil taaweez waghaira
de. Jin mein huroof, kalimaat ya adaad-o-hindse4 likhe hote hain. Waise
ْ َ
1 T: ( )خل َوتTanhaai, alaahadgi, gosha-nasheeni [FL]
َ
2 T: (ل شکن ْ Dil todna, maayoos karna, ranjeeda karna [RKT]
ِ )د ِ
3 T: (صول غرض ُ ُ
ْ ِ )حMaqsad ka haasil hona [RSB]
4 T: ( )ہند َسہHindse ki jamaa, ginti ka adad, raqam [RKT] numbers [RSB]
ِ ِ
11
wo is baat ki taakeed kar dete hain ke unke diye hue taaweez ko kholna
hargiz nahi, warna pata nahi kya se kya ho jaaega. Jabke ye bhanda
phootne ke dar se mahez dhamki daraawa hota hai.
⑤ Kisi ghair-sharai amr ka mutaalaba kare, masalan ye ke itne
(umooman 40) dino’n tak paani ko choona bhi nahi, na wazu ke liye aur
na ghusl ke liye aur na hi kisi se musaafaha karna hai aur baaz aamil ek
muqarrara muddat ke liye kisi se bhi milna-julna band karwa dete hain.
⑥ Ghar mein ya kisi khaas jagah dafan karne ke liye kuch de, ya koi
jaanwar zibah karke use dafan karne ka kahe.
⑦ Jaadu ke tilism likhe (tedhi tirchi lakeere’n kheenche)
⑧ Mareez ko kaaghaz ki battiyaa’n de, jinhe’n jalaakar dhuni lene ka
kahe… waghaira. (Fath-ul-Haqqul Mubeen: P130-131; As Saarim al-Battaar (Urdu): P51-52
& P46-47)
12
Taaweez-gando’n, Jinnaat-o-Aaseb Aur Mirgi-o-Saaya Ka
Ijaal-o-Damm
Insaan ki takhleeq mitti se aur jinno’n ki takhleeq aag se hui hai. (Surah al-
Aaraaf: 12)
Jinn ke maane “posheeda” hai aur ham unhe nahi dekh sakte. Albatta
wo hame’n dekh sakte hain. (Surah al-Aaraaf: 67)
Aur takhleeq ke etebaar se jinn, insaan se bhi pehle ke hain. (Al-Hijr: 27)
In qurani tasrihaat1 ki tarah hi Nabi ﷺne farmaya hai ke farishte noor
se, jinn naar (aag) se aur Adam � khaak se paeda kiye gae hain. (Sahih
Muslim: H2996; Sharah Nawavi: V8 P123)
Jinn shakl badal kar kabhi insaan, haiwaan, saanp, bicchu, kabhi oont,
gaae, bakri, ghoda, khacchar, gadha aur kabhi koi parinda ban sakte
hain. (Eezaah al-Adillah Fee Umoom ar-Risaalah Ibne Taimiya)
Aksar auqaat wo kaale kutte aur kaali billi ki shakl ikhtiyaar karte hain,
kyounke kaala rang umooman baatil-o-shaitani quwwato’n ke liye hi
ziyaada mauzoo’n2 hota hai. (Majma’ Fataawa Ibne Taimiya: V19 P52)
1 T: (صی ح ْ َ
)ت َ ُ رWazaahat, saraahat [RKT]
2 T: ( )موزوںMaqbool, pasandida, suitable, appropriate [RKT]
13
baado’n, qabristaan, matrook makaan ya khandaraat aur baazaaro’n
mein aam hote hain.
14
⑪ Sadqa-o-khairat karte rahe’n.
1 T: ( ِ)معدہki jamaa, Peit mein khaana rehne aur hazam hone ki jagah [RKT]
15
③ Surah al-Faatiha ki tilaawat karna. (Abu Dawood: V4 P13-14; Musnad Ahmad: V5
P210; Silsila as Sahiha: H2028)
⑨ Din ho ya raat, kisi khet mein jaae’n ya sehra mein dera lagaae’n aur
samandar mein ho’n ya fiza mein, ye dua zaroor padh le’n. Na jin
chimtega, na jaadu asar karega aur na hi koi zehreela keeda kaatega:
َ .َاتَ ِم ْنَش َِرَماَخلق ِ ا ُع ْوذَُ ِبكلِكم
ِ اتَاهللَِالْتٓام
Main tamaam makhluqaat ke sharr se Allah ke kalimaat ke saath uski
panaah maangta hoo’n. (Sahih Muslim: V4 P2080-2081 H2708-2709; Mukhtasar Muslim:
H1459; Abu Dawood; Tirmizi; Musnad Ahmad)
16
⑩ Jab raat ko (ya kisi bhi waqt) ghabraahat aur dar mehsoos ho, to Allah
Ta’ala ne shaitan se Allah ki panaah maangne ka hukm farmaya hai. (Surah
al-Mominoon: 97-98)
Aur Nabi ﷺne Allah ki panaah maangne ka tariqa bataate hue ye dua
padhne ka hukm farmaya hai:
َ .َِْيَوا ْنَی ْح ُض ُر ْون ِ اتَ َِم ْنَغض ِبهَوش ِرَعِبا ِدهَو ِم ْنَهمز
ِ ْ اتَالْشياط ِ ا ُع ْو ُذَ ِبكلِكم
ِ اتَاهللَِالْتٓام
Main tamaam makhluqaat ke sharr se Allah ke kalimaat ke saath uski
panaah maangta hoo’n. (Sahih Muslim: V4 P2080-2081 H2708-2709; Mukhtasar Muslim:
H1459; Abu Dawood; Tirmizi; Musnad Ahmad)
⑪ Agar kisi ne rozaana 100 martaba darj-e-zel zikr kiya, to use har roz
10 ghulam azaad karne, 100 nekiya’n kamaane aur 100 gunaah mitaane
ka ajr milega aur shaam hone tak poora din wo jinn aur shayateen se
mehfooz rahega:
Aur isi hadees mein ye bhi hai ke agar kisi ne 1 din mein 100 martaba
kaha:
َ .ُس ْبحانَاهللَِو ِبح ْم ِده
Allah apni taareefo’n ke saath paak hai. (Bukhari: H293; Muslim: H2691)
To uske tamaam gunaah bakhsh diye jaaenge, chaahe wo samandar ki
jhaag ke baraabar hi kyoun na ho.
⑫ Hadees mein hai ke agar ghar mein daakhil hote, khana khaate aur
ghar se nikalte waqt Allah ka zikr kar le’n, yaane mutaalliqa duae’n padh
le’n to shaitan apne saathiyo’n mein elaan kar deta hai ke is ghar mein
na tumhare liye raat guzaarne ki jagah hai aur na hi khaane ko kuch hai
aur jab ghar mein daakhil hote waqt zikr na kare’n to wo kehta hai ke
tumhe’n raat basar karne ke liye thikaana bhi mil gaya aur khaana bhi
muyassar aagaya. (Sahih Muslim: V3 P1598 H2018; Mukhtasar Muslim: H1297; Ibne
Majah; Musnad Ahmad)
17
❶ Ghar Se Nikalte Waqt Ka Ek Zikr-o-Dua:
Ghar se nikalte waqt ye dua-o-zikr karne ka hukm hai:
َ .هلل َتوكل ُْتَع ه،َِِب ْس ِمَاهلل
َِ َوّلَح ْولَوّلَقُوةَاِّل َِبا،َِىلَاهلل
Allah ke naam ke saath maine Allah par tawakkal kiya aur mujh mein
(neki karne ya gunaah se bachne ke liye) Allah ki ataa-karda taaqat-o-
quwwat ke siwa kuch nahi hai. (Abu Dawood: Kitab-ul-Adaab: V4 P325; Sahih Tirmizi:
V3 P151 H2724)
Isi hadees mein Nabi ﷺfarmate hain: “Agar ghar se nikalte waqt ye dua
kar le’n to use kaha jaata hai: Tu Kifayat-yaafta-o-Hidaayat-yaafta hai
aur shaitan usse bhaag jaata hai”.
❷ Ghar Mein Daakhil Hote Waqt Ka Zikr-o-Dua:
Ghar mein daakhil hote waqt ye dua kare’n:
ه
َوع ه،ََو َِب ْس ِمَاهللَِخر ْجنا،َ َِب ْس ِمَاهللَِول ْجنا،َا لل ُهمَا ِ ِّنَْا ْسألُكَخ ْْيَالْم ِولِ ِجَوخ ْْيَالْم ْخ ِر ِج
َ .ىلَر ِبناَتوكل ْنا
Aye Allah! Main daakhil hone aur khaarij hone ki jagho’n ki bhalaai talab
karta hoo’n, ham Allah ke naam ke saath daakhil hote aur Allah ke naam
ke saath hi nikalte hain aur apne Rabb par hi hamara tawakkal hai. (Abu
Dawood: V4 P325 H5096; Mojam Tabrani Kabeer; As Sahiha: V1 P394 H225)
Ek sahih hadees mein hai: “Har ghar mein daakhil hote waqt us ghar
waalo’n ko salaam kaho”. (Shobul Imaan lil Bayhaqi; Sahih Jaame al-Sagheer: V1 P153
H526)
⑬ Jab khana khaane lage’n to kahe’n ‘َهلل ِ ِ’ب ْس ِم َاBismillah Allah ke naam
se shuru karta hoo’n. (Sahih Bukhari-o-Muslim) Aur jab shuru mein ye kehna
bhool jaae to khana khane ke dauraan yaad aate hi ye kalimat kahe’n:
‘َٗهلل َأ ولُهَٗ َو َآخِ ُره
َِ ’ ِب ْس ِم َاBismillahi Awwaluhu wa Aakhirahu Allah ke naam ke
saath (khaata hoo’n) iske shuru mein aur iske aakhir mein. (Abu Dawood: V3
P374; Sahih Tirmizi: V2 P167)
18
(Abu Dawood; Sahih Tirmizi: V3 P159; Nasai; Ibne Majah; Mustadrak Haakim; Sahih Jaame al-
Sagheer: V2 P1050)
Lekin iski sanad ki sehat mein ikhtilaaf hai. Allama Albani ne ise ‘Zaeef’
qaraar diya hai. (Zaeef al-Jaame: 2/4/197; Takhreej al Kalaam at Taiyyib: H188; Mishkat: V2
P1216) Jabke Shaikh Abdul Qaadir al-Arnaout ne is hadees ko “Hasan”
likha hai. (Tahqeeq-o-Tahqreej al Azkaar lin Nawavi: P202) Lihaaza pehli dua karna
hi behrehaal behtar hai.
⑭ Baitul khula mein daakhil hone lage’n to ye dua zaroor kar le’n:
ََ .َِا لله ُهمَا ِ ِّنَْا ُع ْوذُ َِبكَ ِمنَالْ ُخ ْبثِ َوالْخبائِث
Aye Allah! Main khabees jinno’n aur khabees jinniyo’n se teri panaah
maangta hoo’n. (Sahih Bukhari: V1 P67 H142; Sahih Muslim: V1 P283)
Baaz riwayaat mein is dua ke shuru mein Bismillah kehna bhi aaya hai.
(Fath-ul-Baari: V1 P244)
Aur baitul khula se nikalte waqt ye kahe’n: ‘َ ’ ُغفْر انكAye Allah! Main
tujhse bakhshish maangta hoo’n. (Abu Dawood; Tirmizi; Ibne Majah; Zaad al Ma’ad
[Tahqeeq al-Arnaout]: V2 P387)
⑯ Jimaa’ (ham-bistari) ke waqt darj-e-zel dua kiya kare’n. Aap aur aapki
aulaad jinn-o-shaitan se mehfooz rahegi:
ِ َا لله ُهمَج ِن ْبناَالْش ْيطانَوج ِن،َِِب ْس ِمَاهلل
َ .بَالْش ْيطانَماَرزقْتنا
Aye Allah! Tere naam se, Aye Allah! Hame’n shaitan se bacha aur tu jo
aulaad hame’n ataa kare, use bhi shaitan se bacha. (Mukhtsar Sahih Bukhari liz
Zubaidi Ma’ Tarjuma English: P896; Sahih Muslim: V2 P1078 H1434)
19
⑰ Ek zaeef riwayat mein hai ke bilo’n aur suraakho’n mein peshab
hargiz na kare’n. Aur raawi-e-hadees se uski mumaaniat ki wajah poochi
gai to unho’n ne bataaya: “Kehte hain ke un mein jinn rehte hain”. (Abu
Dawood; Nasai; Zaeef At Targheeb lil Albani: V1 P77)
Khaas ajwa khajoor oola hai, lekin agar wo nahi to madina munawwara
ki koi bhi khajoor kha le’n, kyounke madina munawwara ki har khajoor
mein ye taaseer maujood hai. Jaisa ke Nabi ﷺki ek doosri hadees se
pataa chalta hai. (Sahih Muslim: V3 P1618)
Aur Allama Ibne Baaz � likhte hain: “Agar koi madina munawwra ke
alaawa mutlaqan kahee’n ki bhi 7 khajoor khaale to wo bhi mufeed
hain”. (Ba-hawaala Al Ilaaj bir Ruqiya Minal Kitab wa Sunnah Ma Ad-Dua lish Shaikh Saeed al-
Qahtani: P89)
⑲ Nabi ﷺne baaz deegar tadabeer aur ehtiyaate’n bhi batlaai hain,
masalan Aap ﷺne farmaya: “Apne darwaze band rakha karo, apne
khane peene ke bartano ke mu’n dhaanp kar rakho, apne chiraagh bujha
kar soya karo. Apne mashkizo’n (paani ke bartano’n) ke mu’n band karke
rakha karo, shaitan band darwazo’n ko nahi kholta, dhakkan nahi
uthaata, na mashkizo’n ka tasma kholta hai aur chuhiya to ghar waalo’n
samet ghar ko aag laga deti hai”. (Sahih Muslim; Abu Dawood; Tirmizi; Musnad
Ahmad; Sahih al-Jaame: 1080; Irwa al-Ghaleel lil Albani: P39)
⑳ Ek hadees mein Nabi ﷺne farmaya: “Saal mein ek (1) raat aisi bhi
aati hai, jis mein wabaa (bimaari) utarti hai aur wo jis khaane ke nange
bartan ya khule mu’n waale paani ke mashkize (bartan) ke paas se
guzarti hai, us mein daakhil ho jaati hai”. (Mukhtasar Muslim: H1282; Musnad
20
Ahmad (ba-hawaala) Sahih al-Jaame: H4159; As Sahiha: H37)
㉑ Ek aur hadees mein Aap ﷺka irshad hai: “Agar kisi ke liye (bartan ka
dhaankna nahi, balke sirf) yehi mumkin hai ke wo bartan ke mu’n par koi
lakdi ka tukda (chadi waghaira) rakh de aur us par Allah ka zikr kar de
(Bismillah padhe) to yehi karle…”.(Muslim; Ibne Majah; Musnad Ahmad (ba-hawaala)
Sahih al-Jaame: H4160; As Sahiha: H37; Irwa al-Ghaleel: H39)
Awwalan: Azaan:
Sahih Bukhari mein hai ke mareez ke kaan mein azaan kahe’n. Jinn-o-
shaitan (in sha Allah) gooz1 maarta hua bhaag niklega. (Bukhari: V1 P307 H574)
① Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِم َاke baad Surah al-Faatiha
mukammal.
1
ُ
T: ( )گوزWo gandi hawa wo peeche se aawaaz ke saath khaarij hoti ho, paad [RKT]
َ
ْ )غی َم
2 T: (ح َرم Jisse nikah jaaiz ho, naa-mahram [RKT]
21
② Surah هللَ‘ al-Baqara ki pehli 5 ayaat
’.ال ُْم ْفلِ ُح ْون‘ ’ِ taب ْس ِمَا ِ
⑥ Surah هللَ‘ Aale Imran ki 18th ayat: ’.الْع ِزیْ ُزَالْح ِك ْي ُمَ‘ ’ taش ِهد ُ
َاهللَ‘… ’ا ُع ْوذُ َِبا ِ
⑧ Surah هللَ‘ al-Aaraaf ki ayat 54-57: ’.لعلك ُْمَتذك ُر ْونَ‘ ’ taاِنَربك ُُمَال ِذ ْ
ىَ‘’..ا ُع ْوذُ َِبا ِ
⑨ Surah ’ aur ayatصا ِغ ِریْنَ‘ ’ taوا ْوحيْنا‘’..ا ُع ْوذُ َِبا ِ
هللَ‘ al-Aaraaf ki ayat 117-119:
’ ko baar-baar padhe’n.وا ُلْ ِِقَالْسحرةُ هَس ِج ِدیْنَ‘ 120
⑪ Surah ’.ول ْوك ِرهَال ُْم ْج ِر ُم ْونَ‘ ’ taوقالَف ِْرع ْو ُنَ‘’..ا ُع ْوذُ َِبا ِ
هللَ‘ Yunus ki ayat 79-82:
⑮ Surah هللَ‘ ar-Rahman ki ayat 28-34: یَ هااَلءَِر ِبكُماَ ُتك ِذ هب ِ َ
ن‘ ’ taی ْسـل ُهَ‘’..ا ُع ْوذُ َِبا ِ ’.ف ِباَ ِ َ
22
َ ُ ’و ُهوَالْع َِزیْ َُزَالْح َِك ْي.
‘م
⑳ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُعوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke baad 3 martaba poori Surah
ْ
al-Kafiroon.
㉑ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke baad 3 marataba poori Surah
al-Ikhlaas.
㉒ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke baad 3 marataba poori Surah
al-Falaq.
㉓ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke baad 3 marataba poori Surah
an-Naas.
Saalisan: Azkaar-o-Duaae’n
In 23 qurani azkaar-o-duao’n ke alaawa mareez ko hadees ki darj-e-zel
duae’n padhkar bhi damm kare’n, jinhen baaz ahle ilm aur tajarbakaar
hazraat ne mufeed-e-matlab1 qaraar diya hai. Masalan:
َِانَاهلل
ِ َو ِب ُسلْط،َام
َ ُ امَوّلََ ُتض َْ ِ ََو ِبعِزَةَِاهللَِال،َىَل َي ْسَ ِم ْن ُهََش ٌَءَ ُم َْمت ِن ٌع
ُ َتَّلَ ُتر ْ ذ
َِ ََآمنَا َِباَهللَِال،َِ② ِب ْس ِمَاهلل
ََو ِم ْن،َل
َ ٍ ِ َو ِم ْنَش ِرَك ُ ِل َُم ِس ٍرَوَ ُم ْع،ََاْلبالِس َِة
َ ْ ِنَكُلِهَاَع ِئ ِذیْن َِباهللَِ ِمن ُ َن ْحت ِج،َالْم ِن ْي ِع
بَ َِباَ ْسماءَِاهللَِال ُْح ْس ه
َ،َََو ِم ْنَش َِرَماَخلقَوذرأَوبرأ،َار ِ ش ٍرَماَیَ َُكنََُ ِبالنَه
ِ َ و ِم ْنَش ِرماَیكِنََُ ِباللَ ْي ِلَوی ْخ ُر ُج َِباَلنَه،َارَوی ْخ ُر ُج َِبالَ ْي ِل
1T: Wo duaae’n jo ulama aur tajarbakaar hazraat ne mufeed (faaedamand) aur muassar qaraar
di hain [RSB]
23
َصراطٍ ََُم ْست ِق ْي ٍ َ
م. اصي ِتهاَاِنََر ِِب َْع ه
ىل ِ ارََ،و ِم ْنَش ِرَك ُ ِلَد ابَ ٍَةََ،رَ ِِبَْآخِ ذ ٌَِبن ِ و ِم ْنَش ِرَطو ِ
ار ِقَاللَ ْي ِلَوالنَه ِ
ِْي ََ،وأ ْنَ اتِ َ ،م ْن َغض ِبه َوعِق ِابه ََ ،و ِم ْن َش ِر َعِبا ِده ََ ،و ِم ْن َهمز ِ
ات َالشياط ْ ِ َ هلل َالتَٓام ِ أ ُعو ُذ َ ِبكلِم ِ
ات َا ِ ⑧
یَ ْح ُض ُر َْون.
َالله ُهمَأنْتَ ُتك ِْش ُفَ ⑨ ا َلله ُهمَاِ ِّنَْأ ُع ْوذُ َِبو ْج ِهكَالْك ِریْ ِمََ،وكلِماتَِكَالتَٓام ِ
اتَِ َ،م ْنَش ِرَماَأَنْتَآخِ ذ ٌَِبن ِ
اصي ِتهََ ،
َج ْن ُدكََ،وّلَیُ ْخل ُفَو ْع ُدكََُ ،س ْبحانكَو ِبح ْم ِدك. الْم َأ ْثمَوالْم ْغرمََ ،
َالله ُهمَّلَیُ ْهز ُم ُ
َاهللَكانََ،وماَل ْمَیشأَْ
⑪ ا َلله ُهمَأنْتَر ِِبَّْلَإِلهَإِّلََأنْتََ،عل ْيكَتوكَل ُْتََ،وأنْتَر ُبَالْع ْر ِشَالع ِظ ْي ِمََ،ماَشآء ُ
24
ْ َو َأن َاهلل َأحاط َ ِبكُ ِل،َ ىل َك ُ ِل َشَ ْي ٌئ َق ِدیْ ٌر
َ،ًَ ََش ٍَء َ َعِلْما م َأن َاهلل َعَ ه
َ ُ َأَ ْعل،َِ َوّل َح ْول َوّل َقُوة َإِّلَ َِباهلل،َ ل ْم َی ُك ْن
َ ٌ َصَك ُ ِلَشَ ْي
.ً ئَعدد َا وأ ْح ه
Raabian: Zajr-o-Taubeekh:
Nabi ﷺne ek (1) aaseb-zada aadmi par musallat jinn ko daraaya,
dhamkaaya aur farmaya:
‘َاّللَِ ِم ْنك
( ’أ ُع ْوذُ َِب هAuzubillahi Minka) “Main Tujhse Allah Ki Panaah Maangta
Hoo’n” (3 martaba).
‘هلل
َِ ( ’اَ لْع ُنك َِبل ْعنةَِاAla’nuka Bi-laanatillaahi) “Main Tujh Par Allah Ki Laanat
Bhejta Hoo’n”. (Muslim)
Phir Nabi ﷺne jinn se mukhaatib hokar farmaya: ‘هلل ِ ’ا ُ ْخ ُر ْجَع ُدوَا
َِ َأناَر ُس َْو ُلَا،هلل
“Aye Allah ke dushman! Nikalja, main Allah ka Rasool Hoo’n” . (Musnad
Ahmad: V4 P170-172; Zaad al Maad: V4 P68)
25
Isi tarah Shaikh-ul-Islam Ibne Taimiyya � kabhi apne kisi saathi ya
shaagird ko aaseb-zada aadmi ke paas bhejkar jinn ko kehelwaate ke
usse nikal jaao. Tumhara ye fe’l1 tumhare liye jaaiz nahi aur kabhi khud
jaakar use kehte aur mareez ko ifaaqa2 ho jaata. (Aalam al-Jinn wash Shayateen
by Dr. Umar Sulaiman al-Ashqar)
② Sahih Bukhari mein hai ke Nabi ﷺne Habb as-Sauda (Kalonji Black
Seeds) ko maut ke siwa har marz ke liye baais-e-shifa qaraar diya hai.
(Bukhari ma al-Fath: V10 P150 H5687)
③ Zaitoon (darakht aur phal) bada baa-barkat hai, jiska zikr Quran-e-
Kareem mein kai jagah aaya hai. (Surah an-Nahl: 11; Surah al-Mominoon: 20; Bil-lafz-
e-Shajra ( )شجرةSurah Abas: 29; Surah at-Teen: 1)
26
al-Jaame al-Sagheer: V1 P18; Tirmizi [Umar bin Khattab � se riwayat]; Sahih Tirmizi: V2 P166
H1508)
1
T: ( )اِ ْستِفا َدہNafa paana, faaeda uthaana [RKT]
27
Sihr (Jaadu) Ka Ilaaj-o-Damm
Sihr (Jaadu) bar-haq hai. (Surah al-Aaraaf: 116) Sihr aur uske mukhtalif
segho’n ka zikr Quran-e-Kareem mein Surah al-Baqara (Aayat 102) ke
alaawa kam-o-besh 60 muqamaat par aaya hai. (Dekhiye Al Mojam al-Mufahris
li Alfaaz al-Quran al-Kareem, Maadah Seher: P439-440)
Aur isi tarah Bukhari-o-Muslim mein bhi iska zikr hai. (Bukhari: V4 P49 H5766;
Muslim: V4 P1719) Aur usi muqam par Labeed bin Aasim yahoodi ke Nabi ﷺ
ko jaadu karne ka waaqia bhi mazkoor hai. Aur tamaam mufassireen ka
ittifaaq hai ke Quran-e-Kareem ki aakhri 2 surah ke nuzool ka sabab bhi
usi jaadu ka ilaaj-o-izaala tha. Albatta jaadu ka seekhna Quran-e-Kareem
(Surah al-Baqara: 102) ki roo se kufr aur jaadu karna sahih ahadees ki roo se
haraam-o-kabira gunaah hai. (Bukhari Ma Al Fath: V10 P224; Muslim: V1 P92 H145; Al
Mughni li Ibne Qadaama: V8 P151; Al Kabaaer liz Zahbi: P14) Aur baaz ahadees ki roo
se jaadugar ki saza “saza-e-maut” hai. (Abu Dawood: V3 P228; Tirmizi: V4 P60 H460;
Muwatta Imam Maalik: P543; Bayhaqi: V8 P136)
1
T: ( ) َم ْع ُمورBhara hua, labrez [RKT]
2
T: (ي النَّ ْف ِس
ُّ ِش ْه َوان
َ ) Wo shakhs jiski nafsaani khwahishaat (shahwat, laalach, ghussa) us
par haawi ho [RSB]
3
T: ( )با ِدیَہ نَ ِشیںJungle mein rehne waala, khaana-badosh [RKT]
28
Khaas Bi Tibb an Nabawi )ﷺ
Jaadu Ke Ilajaat-o-Damm:
Agar kisi ko jaadu kar hi diya gaya ho, aur tark-e-azkaar-o-wazaaif ke
natija mein kisi par jaadu apna asar dikhla hi de, to uska ilaaj do (2) tarah
se mumkin hai:
① Ek (1) ye ke jaadu ko jaadu hi ke zariye zaail karwaya jaae, lekin ye
qatan haraam-o-naajaaiz hai.
② Iska doosra tariqa sharan jaaiz hai aur uski kai shakle’n hain:
1
T: Dekhiye is roman edition ka page: 12 [RSB]
2
T: ( )اِعا َدہDohraana, dobaara kara [RKT]
29
Saaniyan: Jaadu Ke Zariye Daakhil Kiye Gae Jinn Ko Nikaalna:
Jaadu ki ek qism ye bhi hai ke jaadugar kisi jinn ko mareez ke jism mein
daakhil kar deta hai, jo use aziyyat pohonchata rehta hai. Agar dua’n aur
damm ke zariye ham ne us jinn ko nikaal bhagaaya to jaadu khatam aur
us ilaaj par mushtamil duae’n aur damm ham aage chalkar zikr karne
waale hain. (in sha Allah).
Pehla Ilaaj-o-Damm:
① Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِباpadhkar Ayatal Kursi yaane Surah al-Baqara: 255
padhe’n, phir iske baad
② Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاpadhkar mukammal Surah al-
Kafiroon. (3 baar)
1
T: ( )فَصْدJism ki kisi rag se ganda khoon nikaalne ka amal, jo nashtar kin ok se rag mein
shagaaf laga kar kiya jaata hai [RKT]
30
③ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘هلل
َِ مَا
َ ِ ’ ِب ْسpadhkar mukammal Surah al-
ُ ’قُ ْلَ ُهو ه. (3 baar)
Ikhlaas ‘ََاّللَاح ٌد
④ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاpadhkar mukammal Surah al-
Falaq ‘َ’قُ ْلَا ُع ْوذُ َِبر ِبَالْفل ِق. (3 baar)
⑤ Auzubillah ‘َهلل
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, Bismillah ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاpadhkar mukammal Surah an-
ِ ’قُ ْلَا ُع ْوذُ َِبر ِبَالن. (3 baar)
Naas ‘َاس
⑥ Surah ِ ’ا ُع ْوذُ َِباpadhkar ‘ۤ ’وا ْوحَيْن َاta ‘َ هص ِغ َِریْن. (ayat 117-119)
al-Araaf ki: ‘َهلل
⑦ ِ ’ا ُع ْوذُ َِباpadhkar ‘َ ’وقال َف ِْرع ْو ُنta ‘َ’ول ْو َك ِره َال ُْم ْج ِر ُم ْون. (ayat
Surah Yunus ki: ‘َهلل
79-82)
In aayaat aur surah ko padhkar paani par damm kare’n aur us paani se
mareez kuch peele, aur baaqi se nahaale. Hasb-e-zaroorat 2-3 ya usse
ziyaada martaba usi amal ko dohraae. In sha Allah marz-e-sihr zaail ho
jaaega. (Tafseer-e-Qurtubi: V2 P49-50; Fath-ul-Baari: V10 P233; Musannaf Abdur Razzaq: V11
P13; Fathul Majeed: P259-261; Hidayatul Mustafeed; V2 P828-833; Taiseer al-Aziz al-Hameed:
P420; Hukm as-Sihr wal Kahaana li Ibne Baaz: P7-9; Az Zawaajir lil Haithami: V2 P104-105;
Fataawa Ibne Baaz: V3 P279; Fath al-Haqq ul-Mubeen: P179-191; Shareer Jadugar... Tarjuma As
Saarim al-Battaar: P67-107)
Doosra Ilaaj-o-Damm:
Ibne Abi Haatim aur Abu ash-Shaikh ne Laith bin Abi Sulaim se naql kiya
hai. Wo kehte hain: “Mujhe ye pata chala hai ke agar koi darj-e-zel
aayaat ko padhkar paani par damm kare aur wo paani mareez ke sar
par bahaade to bi-iznillah biwi se door kar dene waale ya deegar jaadu
se shifa mil jaaegi”. Wo aayaat ye hain.
② Surah ِ ’فلماَۤالْق ْوا‘ … ’ا ُع ْوذُ َِباta ‘َ’ول ْوَك ِرهَال ُْم ْج ِر ُم ْون.
Yunus ki ayat 81-82: ‘َهلل
31
َِ ’فوقعَالْح ُقَ‘ … ’ا ُعوذُ َِباta ‘َ’ر ِبَ ُمو هسَو هه ُر ْون.
③ Surah al-Aaraaf ki ayat 118-122: ‘هلل
ْ ْ
Teesra Ilaaj-o-Damm:
Ibne Battaal kehte hain ke Wahb ibn Munabbih ki kitab mein likha hai
ke beri ke 7 patte le’n aur unhe’n 2 patthar mein (haawan-o-daste ya
phir kundi danda waghaira se) khoob koot-pees le’n. Phir us maleede ko
paani mein daal kar us par Aayat al-Kursi aur chaaro’n qul 3 martaba
padhkar dam kare’n. Aur mareez ko us paani se 3 ghoont pilaade’n aur
baaqi paani se use nehla de’n. Uska jinn-o-jaadu aur taaweez-gando’n
ke asaraat sab door ho jaaenge.
Agar koi shakhs jaadu waghaira ke zariye apni biwi ke jima (hambastari)
se rok diya gaya ho to uske liye bhi ye teer ba-hadaf1 nuskha hai. (Hawala-
jaat-e-saabiqa: # 107)
Chautha Ilaaj-o-Damm:
Darj-e-zel aayaat-o-Surah 3-3 martaba padhkar dam kare’n aur takleef
waali jagah par mareez khud ya uska koi mehram daayaa’n-haath pher
de.
1
T: ( )تِیر بَ َہ َدفAisa teer jo theek nishaane par lage, muassar, theek nishaane par, to the
point [RKT]
32
هللَ‘ ④ Surah an-Naas
هللَ‘ ’ Auzubillah,ا ُعوذُ َِبا ِ ’قُ ْلَا ُعوذُ َِبر ِبَالن ِ
اسَ‘ ’ِ Bismillah,ب ْس ِمَا ِ
ْ ْ
)(Bukhari Ma al-Fath: V9 P62 & V10 P208; Muslim: V4 P1723
Paachwaa’n Ilaaj-o-Damm:
Darj-e-zel duae’n padhkar mareez ko damm kare’n:
② Mareez ki takleef waali jagah par apna daayaa’n-haath rakh kar 3
هللَ‘ martaba kahe,
’ِ Bismillah aur phir 7 martaba ye dua kare:ب ْس ِمَا ِ
اتَ ِم ْنَش ِ
رَماَخلقَ(Muslim: V4 P1728)َ. ⑤ أ ُعو ُذَ ِبكلِم ِ
اتَاهللَِالتَٓامَ ِ ْ
ِْيَوأ ْنَی ْح ُض ُر ْو ِ َ
ن. اتَ ِم ْنَغض ِبهَوعِق ِابهَو ِم ْنَش ِرعِبا ِدهَو ِم ْنَهمز ِ
اتَالشَياط ْ ِ ⑥ أَ ُع ْوذَُ ِبكلِم ِ
اتَاهللَِالتَٓام ِ
)(Abu Dawood; Sahih Tirmizi: V3 P171
ْنلَ
ىَ ،و ُم ْ ِ ات َالس ْب ِع َورب َالْع ْر ِش َالْع ِظ ْي ِمَ،ربناَورب َك ُ ِل َش ْيءٍَ،فالِق َالْح ِ
ب َوالنَو ه ⑧ اَ لل ُهم َرب َالسمو ِ
َاْلو ُل َفليْس َق ْبلكَ
اصي ِتهَ ،أنْت ْ اّل ِن ْ ِج ْي ِل َوا َلْ َُق َْرآ ِنَ ،أ ُع َْو ُذ َِبك َ ِم ْن َش ِر َك ُ ِل َش َْي ٍ َ
ئ َأنْت َآخِ ٌذ َِبن ِ الت ْورا ِة َو ْ َ
ئَ،وأنْت َالظاه ُِر َفليْس َف ْوقك َش ْي ٌءَ،وأنْت َالْبا ِط ُن َفليْس َ ُد َْونكَ
ش ْي ٌءَ،وأنْت َا ْاَلخِ ُر َفليْس َب ْعدك َش َْي ٌ َ
33
ٌَ ش ْي
(Sahih Muslim: V4 2084)َ.ء
⑪ Sunan Ibne Majah mein sahih sanad se saabit ye dua bhi aai hai:
.َهللَی ْش ِف ْيك
ُ ََا،ْي
ٍ ْ ىَع ِ َ ِم ْنَحس ٍدَح،َ ِم ْنَك ُ ِلَش َْي ٍئَیُ ْؤ ِذیْك،هللَأ ْرق ِْيك
ْ اس ٍدَو ِم ْنَك ُ ِلَ ِذ َِ ِب ْس ِمَا
(Sahih Ibne Majah lil Albani: V2 P268; Al-Ilaaj bir-Ruqaa Shaikh Saeed al-Qahtani: P96-101)
④ Surah al-Baqara: aayat 163-164 ‘َ ’واِل ه ُهك ُْمta ‘َ’ی ْع ِقل ُْون.
⑤ ُ ’ ۚا هta
Surah al-Baqara: (Aayat al-Kursi) aayat 255 ‘َّلل َّل ۤ َ اِلهه َاِّلَ َ ُهو
‘م َ ِ ’و ُهوَالْع.
َ ُ ىلَُالْع ِ َظ ْي
⑥ Surah al-Baqara: (aakhri do (2) aayate’n) aayat 285-286 ‘َ ’ هامنَالر ُس ْو ُلta
‘َ’الْ هك ِف َِریْن.
34
⑦ Surah Aale Imran: aayat 18-19 ‘ََاّللَانه
ُ ’ش ِهد هta ‘َ’ال ُْم ْفلِ ُح ْون.
⑭ Surah al-Ahqaf: aayat 29-33 ‘َۤ ’واِذَْصرفْناta ‘دیْ ٌَر َ ’ع ه.
َ ْ ىلَك ُ ِل
َِ ََش ٍَءَق
⑱ Surah al-Jinn: aayat 1-9 ‘َهلل ِ ’قُ ْلَا ُْو ِحَاِلَ‘ … ِ’ب ْس ِمَاta ‘’شِ هابًاَرص ًدا.
ِ ’ا ُع ْوذُ َِبا, ‘َهلل
⑳ Surah al-Falaq ‘َهلل ِ ’قُ ْلَا ُع ْو ُذ َِبر ِبَالْفل ِقَ‘ … ِ’ب ْس ِمَا.
ِ ’ا ُع ْو ُذ َِبا, ‘َهلل
35
Jaadu Ki Mukhtalif Aqsaam Aur Unka Ilaaj-o-Damm
Baaz ahle ilm-o-tajarba ne jaadu ke ilaaj mein asaani ke liye jaadu ko
mukhtalif anwaa-o-aqsaam mein taqseem karke har kisi ka alag-alag
ilaaj aur damm tajweez kiya hai. Jaadu nikaalne ke baaz tajarba aur siqa-
o-motamad1 hazraat ki kutub se unke ilm-o-tajarba ka nichod pesh-e-
khidmat hai:
1
T: ( ) ُم ْعت َ َمدEtebaar kiya gaya, jis par logon ko etemaad ho, bharosa kiya hua, qaabil-e-
etebaar [RKT]
36
④ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Surah al-Baqara ki aayat: 163-164 padhe’n.
⑤ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعو ُذ َِب هke baad Surah al-Baqara ki aayat 255, aayat al-Kursi padhe’n.
ْ
⑥ ‘َاّلل
ِ ’أ ُع ْوذُ َِب هke baad Surah al-Baqara ki aakhri do (2) aayate’n, yaane
aayat 285-287 padhe’n.
⑦ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Surah Aale Imran ki aayat 18-19 padhe’n.
⑧ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Surah al-Aaraaf ki aayat 54, 55 aur 55 padhe’n.
⑨ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب ه
ْ ke baad Surah al-Aaraaf ki che aayaat: 117-122 padhe’n aur
un mein se ye aayat ‘َدیْن َ ِ ْ ’وا ُلbaar-baar padhe’n.
َِ ِقَالسحرةُ هَس ِج
⑩ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعو ُذ َِب هke baad Surah Yunus aayat 81 aur 82 padhe’n aur ye kalimaat
ْ
‘ََاّللَسَي ُ ْب ِطلُه
’اِن هbaar-baar padhe’n.
⑪ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke baad Surah TaaHaa ki aayat 69 ki baar-baar tilawat kare’n.
ْ
⑫ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب ه
ْ ke baad Surah al-Mominoon ki aakhri chaar (4) aayaat 118-
118 padhe’n.
⑬ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب ه aur ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاpadh kar Surah as-Saaffaat ki pehli dus aayate’n
ْ
padhe’n.
⑭ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هpadh kar
ْ Surah al-Ahqaf ki aayat: 29-32 padhe’n.
⑮ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هpadh kar
ْ Surah ar-Rahman ki aayat: 33-36 padhe’n.
⑯ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هpadh kar
ْ Surah al-Hashr ki aayat 21-24 padhe’n.
⑰ ‘َاّلل
ِ ’أ ُع ْو ُذ َِب هaur ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِم َاke baad Surah al-Jinn ki pehli nau (9) aayaat
padhe’n.
37
⑱ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هaur ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke
ْ baad poori Surah al-Ikhlaas padhe’n.
⑲ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعو ُذ َِب هaur ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke
ْ baad poori Surah al-Falaq padhe’n.
⑳ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هaur ‘َهلل
ِ ِ’ب ْس ِمَاke
ْ baad poori Surah an-Naas padhe’n.
Ye amal ya damm baar-baar aaraam aajaane tak karte jaae’n, paani par
damm karke wo paani mareez ko pilaaya jaae aur in aayaat ko ba-kasrat
suna jaae. Ya in par mushtamil cassette ba-kasrat sune jaae’n.
Khusoosan Surah as-Saaffaat, Surah Yaseen, Surah ad-Dukhan aur
Surah al-Jinn baar-baar (rozaana kam-az-kam 3 baar) suni jaae’n. In Sha
Allah shifa haasil ho jaaegi.
Ek Zaroori Wazaahat:
Cassette se quran sunne ka amal baaz ahle tajarba ulama ne zikr kiya
hai, lekin agar koi khud padh sakta ho to uske liye khud tilaawat karna
hi ziyaada baais-e-roohaniyat hai. Ya phir uska koi azeez paas baith kar
padha kare. Haa’n agar in dono soorato’n mein se koi bhi mumkin na ho
to phir cassette sunne mein bhi in sha Allah koi harj nahi aur cassette
sunne ki baat aainda safhaat mein jaha’n-jaha’n bhi aae, waha’n-waha’n
is wazaahat ko pesh-e-nazar rakha jaae.
Yaha’n ye baat bhi zehen mein rahe ke kabhi-kabhi damm ya ilaaj ke
dauran chand dino’n tak mareez ki takleef mein izaafa bhi ho sakta hai,
lihaaza ghabraae’n nahi, silsila-e-ilaaj-o-dua jaari rakhe’n. Ek mahina
poora hone tak ya usse pehle-pehle hi Allah ke fazl se takleef khatam ho
jaaegi.
Aaraam aajaane ke baad mareez ba-kasrat tauba-o-istighfaar kiya kare
aur ‘هلل
َِ ‘ ’ّلَح ْولَوّلقوةَاِّلَ ِباlaa haula walaa quwwata illa billah’ padhta rahe.
Namaz-o-tilaawat-e-quran ki pabandi kare aur subh-o-shaam ke azkaar
ko apna wazifa-o-maamool banaale, taa-ke us par dobaara aisa hamla
na ho.
38
Mohabbat Ke Jaadu (Tiwala) Ka Ilaaj:
Zindagi khushi-o-gham se ibaarat 1 hai, is mein khushiya’n aur
naraazgiyaa’n aati jaati rehti hain. Kisi se naraazgi ya shuhar se naa-
chaaqi2 par fauran tiwala yaane mohabbat paeda karne ke jaadu-tone
aur taaweez-gande karwakar use apni mohabbat mein phasaana aur
apni taraf maail karna shuru kar diya jaata hai. Aur kabhi-kabhi ye itna
mehnga padh jaata hai ke un taaweezo’n ke ulte asaraat se shauhar
mustaqil bimaar rehne lagta hai aur nafrat mein mazeed badh jaata hai.
Lihaaza aise jaadu-tone aur taaweez-gande karne aur karwaane se Allah
ka khuaf khana chaahiye. Haa’n agar kabhi koi, kisi par aisa jaadu karwa
hi de to us mareez ko bhi wo damm kare’n, jo ham ne tafreeq-o-judaai
ka jaadu door karne ke liye zikr kiya hai. Albatta mohabbat ke jaadu ko
zaail karne ke liye Surah al-Baqara ki ayat 102 na padhe’n. Balke uski
jagah Surah at-Taghaabun ki aayat 14, 15, 16 padhe’n aur mareez ko
damm kare’n aur damm kiya hua paani mareez ko pilaae’n. Aur jaadu ka
asar khatam hone tak use damm karte rahe’n aur damm kiya hua paani
pilaate rahe’n. Aur us damm waale paani ko kuch doosre paani mein
milaakar usse ghusl bhi karwae’n.
Isi tarah paani par darj-e-zel aayaat ke saath damm karke wo paani bhi
mareez ko pilaae’n:
① ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Aayat al-Kursi, yaane Surah al-Baqara ki aayat 255.
② ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Surah al-Aaraaf ki che aayaat: 117-122 padhe’n.
③ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب هke
ْ baad Surah Yunus, aayat: 81 aur 82 padhe’n.
④ ‘َاّلل
ِ ’أ ُعو ُذ َِب هke
ْ baad Surah Taa Haa ki aayat: 69 padhe’n.
1
T: Zindagi khushi aur gham mil kar bani hai [RSB]
2
T: ( )ناچاقNaa-ittefaaqi, ranjish, an-ban [RKT]
39
mufeed, balke baaz ahle ilm ka mujarrab1 bhi hai.
Sihr-e-Majnoon-o-Diwaangi Ka Ilaaj-o-Damm:
Baaz takhreeb-kaar aur aziyyat-pasand log jaadu ke zariye kisi ke
dimaagh par jinn sawaar karwakar use junoon-o-diwaangi mein mubtala
karwa dete hain. Usi jaadu ke silsila mein Sunan Abu Dawood: Kitab ut
Tibb ke baab 19 mein sahih sanad se saabit ek waaqia-o-ilaaj mazkoor
hai, jo-ke is tarah hai:
① Hazrat Kharjah bin Salat � apne chacha se riwayat karte hain ke wo
Nabi ﷺki khidmat mein haazir hue aur Musharraf-ba-islam hue, wapasi
mein unka guzar ek gaao’n se hua. Kya dekhte hain ke ek aadmi junoon-
o-diwangi aur paagal-pan mein mubtala hai aur bediyo’n mein jakda hua
hai. Uske lawahiqeen ne Hazrat Kharjah � ke chacha se poocha: “Kya
tum junoon ka ilaaj kar sakte ho?” Wo kehte hain: Maine Surah al-
Faatiha padhkar damm kiya, to shakhs shifa-yaab ho gaya. Unho’n ne us
par mujhe 2 bakriya’n dee’n. Main Nabi ﷺki khidmat mein haazir hua
aur saara waaqia keh sunaaya. Aap ﷺne poocha: “Kya tum ne Surah al-
Faatiha (quran) ke alaawab hi kuch padha?” Maine arz kiya: “Nahi”. Us
par Aap ﷺne farmaya: “Us damm ya jhaad phoo’nk par tumhara ye
muaawaza2 lena sahih hai”.
Ek riwayat mein hai ke wo musalsal teen (3) din tak subh-o-
shaam Surah al-Faatiha padhkar use damm karte rahe, jab Surah al-
Faatiha mukammal karte to mu’n ka luaab3 jama karke us mareez par
phoonkte the. (Sahih Sunan Abu Dawood: V2 P737)
② Is jaadu ke ilaaj-o-damm ke alaawa sihr-e-tafreeq-o-naza’ ke ilaaj ke
taur par zikr ki gai aayaat-o-surah padh kar damm kare’n aur un ayaat
ke record par mushtamil cassette bhi mareez ko rozaana 2-3 marabat
sunaate jaae’n.
Pehle ilaaj-o-damm (sihr-e-tafreeq-o-naza’) mein zikr ki gai aayaat-o-
1
T: ( ) ُم َج َّربaazmaaya hua, tajarba kiya hua [RKT]
2 َ َ ُ
T: (عاوضہ )مEwaz, badla [RKT]
3 ُ
T: ( )لعابZabaan se risne waali ratoobat ya nami, mu’n se nikalne waali ratoobat [RKT]
40
surah ke saath hi Surah Hud, Surah al-Hijr, Surah Qaaf, Surah al-Mulk,
Surah al-Aala, Surah az-Zilzaal, Surah al-Humazah ka sunna bhi is marz
par mufeed hai.
In aayaat aur surah ki paabandi bhi koi zaroorat nahi, un mein munaasib
kami-beshi bhi ki ja sakti hai aur in sab aur deegar aayaat ko padhkar
mareez ko damm kare’n aur pani par damm karke wo bhi use pilaae’n.
Bi-iznillah jald hi sehatiyaabi hogi.
1
T: Peecha, peeche jaana, peecha karna, peeche lage rehna [RKT]
41
nazar bhi nahi aata. Jisse wo khofzada ho jaata hai. Is ke liye baaz ilaaj-
o-damm ye hain:
① Sabse pehle aise shakhs ko wohi damm kare’n jo jinnaat-o-jaadu ko
zaail karne aur khusoosan sihr-e-tafreeq-o-naza’ ke ilaaj ke liye zikr kiya
ja chuka hai.
② Iska doosra ilaaj ye hai ke wo rozaana sone se pehle wazu karke
Ayat al-Kursi padhe. Nabi ﷺke
(Bukhari Ma al-Fath: V13 P113; Muslim: V4 P2081)
ek (1) irshad ki roo se subh tak uske liye Allah ki taraf se muhaafiz
muqarrar ho jaaega aur shaitan uske qareeb bhi nahi phatkega. (Bukhari
Ma al-Fath: V4 P487) Phir Surah al-Ikhlaas ke saath hi aakhri 2 surah (yaane
Surah al-Falaq-o-Surah an-Naas) padhkar apne haatho’n mein phoonk
maare aur apne haatho’n ko chehre aur jis mein ke saamne hisso’n se
shuru karke mumkin hadd tak poore jis mein par phere aur Nabi ﷺki
sunnat ke mutabiq ye amal teen (3) martaba dohraae. (Bukhari Ma al-Fath: V9
P62 & V10 P208; Muslim: V4 P1723) Ek irshad-e-Nabawi ﷺhai ke “In teeno (3)
surah ko subh-o-shaam 3-3 maraba padhe’n, to ye har cheez se kaafi ho
jaaengi”. (Abu Dawood: V4 P322; Sahih Sunan Tirmizi: V3 P182)
Rozaana raat ko Surah al-Baqara ki aakhri do (2) aayaat padhe
ya sune. Kyounke sahih hadees mein hai ke “Jisne kisi raat ye do (2)
aayaat padhli, wo use kaafi ho jaaengi”. (Bukhari Ma al-Fath: V9 P94; Muslim: V1
P554) Aise mein Subha Surah as-Saaffaat aur raat ko sote waqt Surah ad-
Dukhkhaan padhe’n, ya kam-az-kam sune. Har 3 din mein kam-az-kam
ek (1) marabata pura Surah al-Baqara padhe ya sune.
Rozaana Subh-o-Shaam 7 martaba ye dua kare’n:
َُ ح ْس ِِب
َ ِ َعل ْيهَِتوكَل ُْتَو ُهوَر ُبَالْع ْر ِشَالْع ِظ َْي،ََاهللَّلَ َا ِ َل ههَ َا ِّلََ ُهو
.م
(Abu Dawood: V4 P321 [sanad jaiyyid]; Amal al-Yaum wal Laila: P37 H72)
42
ََاْلع ه
.ْىل ْ ي ِف َْالنَدَ ه َْ ِ َْوا ْجعل،َْاّن
َ ِ َِن َ ِ اّنَْوفُكَ ِره
ِ َْسَش ْيط ْ ِ ْ ِبَالَ َله َُهمَا ْغ ِف ْر َِلَْذ َن
ِ ِبَوَاخ ْ ِ ② ِب ْس ِمَاهللَِوض ْع ُتَج ْن
(Abu Dawood: H5054; Al Azkaar: P77 par Imam Nawavi ne Sahih qaraar diya; Mishkat: H2409 ke
hashiya par Albani ne Sahih qaraar diya)
③ Iska teesra ilaaj ye hai ke mareez ko Surah Haa Meem Sajda, Surah al-
Faatiha, Surah al-Jinn teen (3) marataba rozaana padhne ya kisi se sunne
ka kahe’n, ya phir in Surah ko ek (1) cassette mein record kare’n aur
mareez ko rozaana teen (3) martaba sunaae’n. Kuch arsa tak ye amal
aur ilaaj-o-damm karne se mareez in sha Allah shifayaab ho jaaega.
1
T: (عضْو ُ ) Badan ka koi hissa [RKT]
2
T: ( )ا َ َلمMusibat, gham, takleef, dard [RKT]
43
lekar us par ye damm kare’n:
Surah al-Faatiha, Surah Bani Israel ki aayat 82 ke alfaaz
‘ْي ٌ ْن ُل َ ِمن َالْق ُْر ها ِن َما َ ُهو َشِ ف
َ ْ ٓاء َور ْحم ٌة َلِل ُْم ْؤ ِم َِن ِ ُ ’ونaur quran ki aakhri do (2) surah,
Surah al-Falaq aur Surah an-Naas padhe’n. Phir ye dua kare’n.
.َهللَی ْش ِفيك
ُ َا،َد
ٍَ اس ِ ْ نَك ُ ِلَن ْف ٍسَأ ْوَع
ِ ْيَح َ ْ اهللَی ْش ِف ْيكَ ِم ْنَك ُ ِلَداءٍَیُ ْؤ ِذیْكَو ِم
ُ اس ِمَاهللَِأَ ْرق ِْيكَو
ْ ِب
Aur phir ye dua padhe’n:
Sihr-e-Istihaaza-o-Saelaan-e-Rehm Ka Ilaaj-o-Damm:
Ek irshad-e-Nabawi ﷺse pata chalta hai: “Shaitan insaan ke andar youn
gardish karta hai, jaisa uske jism mein dauran-e-khoon hota hai”. (Bukhari:
V4 P282; Muslim: V14 P155)
Jaadu ke zariye kisi aurat par musallat kiya hua jinn aurat ke rehm par
choka1 maarta ya edh lagaata hai, jiske natije mein usse musalsal thoda-
thoda khoon risna shuru ho jaata hai. Jaisa ke Hazrat Hamna bin Jahash
� ke istihaaza ke baare mein ek sawaal ke jawab mein Nabi ﷺne
farmaya tha: “Ye to shaitan hi ka kaam (edh lagaana) hai”. (Tirmizi [Hasan
Sahih])
Aur doosri riwayat mein hai: “Ye haiz nahi, balke ek rag ka khoon hai”.
(Nasai; Musnad Ahmad [Sanad Jaiyyad])
1
T: ( )چوکاThes, zarb, jhatka [RKT]
44
kare, gaane-o-mausiqi se kulli ijtinaab1 kare. Sone se pehle wazu kar liya
kare aur Aayat al-Kursi zaroor padha kare aur muawwizaat (teeno Qul)
padhkar apni hatheliyo’n par damm kare aur unhe’n apne poore jism
par pher le. Aayat al-Kursi aur Muawwizaat ko din bhar baar-baar
padhe. Ya kisi se sune ya phir ek ghante ki cassette mein baar-baar Aayat
al-Kursi record ho, use rozaana ek baar sune.
Aise hi baar-baar muawwizaat padhe ya unka bhi ek (1) cassette rozaana
sune. Use paani par sihr-e-tafreeq-o-naza’ waala damm karke de’n. Jise
wo har teesre din peeti aur ghusl karti rahe. Taqreeban 1 maah ke is
amal se wo in sha Allah shifayaab ho jaaegi.
Sihr-e-Bandish Ka Ilaaj-o-Damm:
Kabhi aisa bhi hota hai ke jaadu ke asar se ek tandrust aadmi apni biwi
se jimaa’ nahi kar sakta aur yehi haalat mard-o-zan ke saath hi pesh
aasakti hai. Iska ilaaj ye hai:
① Use pehle number par zikr karda sihr-e-tafreeq-o-tanaaza waala 2
damm kare’n.
② ‘َاّلل
ِ ’أ ُعوذُ َِب ه
ْ ke baad padh kar Surah Yunus aayat 81-82, Surah al-Araaf:
117-122 aur Surah Taa Haa ki aayat: 69 padhkar paani par damm kare’n.
Jise mareez piye aur usse hi ghusl bhi kare.
③ Beri ke 7 taaza patte 2 pattharo’n mein pees kar paani se bhare
bartan mein daal de’n aur us paani par Aayat al-Kursi aur Muawwizaat
padhkar damm kare’n. Us paani ko mareez chand dino’n tak peeta rahe
aur usse ghusl karta rahe. In sha Allah jald jaadu toot jaaega.
④ Mareez ke kaan ke paas mu’n karke jaadu ki pehli qism (seher-e-
tafreeq-o-nazaa’) mein zikr ki gai aayaat-o-surah ki tilaawat kare’n aur
Surah al-Furqan ki aayat 23 bhi ba-kasrat dafa uske kaan mein padhe’n.
Chand ayyaam tak aisa karne se wo in sha Allah shifa-yaab ho jaaega.
⑤ Imam Sha’bi � se Haafiz ibne Hajar � ne Fathul Baari Sharah Sahih
1
T: ( )اِجْ تِنابEhteraaz, pehlu-bachaana, parhez [RKT]
2
T: Jhagda, fasaad, takraar [FL]
45
Bukhari mein ye ilaaj bhi naql kiya hai ke mareez beri waghaira kisi
kaante-daar darakht ke neeche chala jaae aur uske daae’n baae’n se
kuch patte lekar unhe’n bareek peesle, phir unhe’n paani mein milaakar
us par Aayat al-Kursi aur Muawwizaat padhe aur phir usi paani se
nahaae. (Fath-ul-Baari: V10 P233)
⑥ Fathul Baari mein hi ye ilaaj bhi likha hai ke mareez mausam-e-bahaar
mein jungal, biyabaan aur baagh mein jitne phool jama kar sake, unhe’n
ek (1) saaf bartan mein daal kar us bartan ko paani se bharle, phir us
paani ko thoda sa ubaal-le. Jab wo thanda ho jaae to to us par
Muawwizaat padhkar damm kare aur usse ghusl kare. In sha Allah
tandrust ho jaaega. (Fath-ul-Baari: V10 P234)
⑦ Ek bartan mein paani bhar kar us par pehle Muawwizaat padhe’n,
phir ye dua padhkar damm kare’n:
ِ اتَ ِم ْنَش
(Sahih Muslim: V4 P728)َ.َرَماَخلق ِ ③ اَ ُعوذَُ ِبكلِم
ِ َاتَاهللَِالْتَٓام ْ
Ab mareez is damm waale paani ko peeta aur usse nahaata rahe, in sha
Allah jald shifa haasil ho jaaegi.
1 َ
T: (ناص
ِ )عKisi giroh ke afraad [RKT]
2 T: Sperm and chromosomes [RSB]
46
aulaad banwa dete hain. Aise hi wo jinn ko kisi aurat par musallat kar
dete hain aur rehm ke saath uski sharaarat ke natije mein wo baanjh
hokar reh jaati hai. Ya phir wo hamal ko istiqraar nahi paane deta. Ye
aam bimaari bhi hai, agar wo ho to kisi hakeem ya doctor se ilaaj
karwae’n aur agar ye jinnaat-o-jaadu ke asar se ho, jiska pata use damm
karne se hi lag jaaega ke us par kap-kapi taari hogai hai. Jism sunn hone
laga hai waghaira. To us jaadui baanjhpan aur na-qaabil-e-aulaad hone
ka ilaaj ye hai:
① Jaadu ki pehli qism sihr-e-tafreeq-o-nazaa’ ka jo ilaaj zikr kiya gaya
hai, wohi Surah-o-Ayaat mareez rozaana 3 martaba padhe, ya kisi se
sune ya phir unhe’n ek (1) cassette mein record karke mareez ko
rozaana 3 martaba sunne ka kahe’n.
② Mareez rozaana subh Surah as-Saaffaat ki tilaawat kare, ya use sune.
47
① Rozaana namaz-e-fajr ke baad:
.ئَق ِدیْ ٌَر َو ُهوَع ه،َولهََٗالْحَ ْم ُد،َلهََٗال ُْمل ُْك،ََٗاهللَو ْحدهََّٗلَش ِریْكَله
َ ٍ َىلَك ُ ِلَشي ُ َّلَ َا ِ َل ههَ َا ِّل
Ko ba-kasrat (kam-az-kam 100 martaba) padhe’n.
② Sone se pehle Surah al-Mulk ki tilaawat kare’n, kisi se sune’n ya
cassette se use sune’n.
③ Rozaana subh-o-shaam 3-3 martaba ye dua padhe’n:
1-2 maah tak ye silsila jaari rakhne se bi-iznillah shifa haasil ho jaaegi.
48
record kare’n aur mareez ko rozaana kam-az-kam 1 martaba sunne ka
kahe’n.
④ Usey Muawwizaat padhne ya sunne ka kahe’n ya phir ek ghante ki
doosri cassette mein Muawwizaat record kare’n jise mareez rozaana
kam-az-kam 1 martaba zaroor sune.
⑤ Mareez ko sihr-e-tafreeq-o-tanaaza waala damm kare’n aur paani par
bhi damm karek use pilaae’n aur us paani se use nehlaae’n aur ye amal
musalsal 3 din kare’n.
⑥ Mareez namaz-e-fajr ke baad 100 martaba ye zikr kare:
Nazar-e-Badd Ka Ilaaj-o-Damm
Nazar-e-badd lag jaati hai, iska pataa Quran-e-Kareem❶ aur hadees
shareef se bhi pata chalta hai. Nabi ﷺne farmaya: “Nazar bar-haq hai”.
(Bukhari: V4 P44 H5740; Muslim: V4 P1719 H2188; Tirmizi; Mustadrak Haakim; Ibne Majah;
Sahih al-Jaame: V1 P223 H938)
Aur ek hadees mein Aap ﷺne ye bhi farmaya hai ke “Allah ki qaza-o-
qadr ke baad meri ummat ke aksar logo’n ki maut ka sabab yehi (nazar-
e-badd) hogi”. (Musnad Bazzaar; Tayaalisi; Tareekh Imam Bukhari; Al Ahadees al-
Mukhtaara liz Ziya al-Maqdisi; Sahih al-Jaame Sagheer: V1 P263 H1206)
❶• Surah Yusuf: 67 (Tafseer ke saath). Hazrat Yaqoob � ne apne beto’n ko isi nazar-
e-badd se bachaane ke liye alag-alag darwazo’n se shehro’n mein daakhil hone ka
hukm farmaya tha. Isi tarha Surah al-Qalam: 51-52 (tafseer ke saath) aur Surah al-Falaq
ki aakhri aayat se bhi yehi zaahir hota hai aur yehi baat Musnad Abu Yaala, Mojam
Tabrani Kabeer aur Mustadrak Haakim mein bhi aai hai; Sahih al-Jaame: 556 [Second
edition] •
49
Khud Nabi ﷺbimaar hue to Hazrat Jibraeel � ne Aap ﷺko damm kiya
aur ye dua padhi:
② Surah Kahaf ki 29th aayat se pata chalta hai ke agar koi cheez pyaari
lage to ‘َهلل
ِ َّل َح ْول َوّل َقُوة َاِّل َِبا،َ َاهلل
ُ ‘ ’ماشآءMa Sha Allahu Laa Haula Walaa
Quwwata Ilaa Billahi’ kahe’n. (Surah al-Kahf: 29; Sahih al-Jaame al-Sagheer: P556)
Aur baaz ahadees mein iske saath hi barkat ki dua karne ka zikr
bhi aaya hai. (Musnad Ahmad: V4 P447; Sahih Ibne Majah: V2 P265; Mustadrak Haakim;
Amal al-Yaum wal Laila Ibne Seena; Mutwatta Imam Maalik: V2 P938; Zaad al-Maad: V4 P170)
50
Yaane ‘ََاهلل
ُ َتبارك،ََاهلل
ُ ‘ ’ماشآءMaa Sha Allahu Tabaara Kallaahu’ kahe ya phir
‘كَ ِف ْي َِه ِ ‘ ’ا لله ُهمَبAllahumma Baarik Feehi’ kahe.
َ ْ ار
③ Jo log nazar lagaane mein maaroof hote hain, unki nigaho’n se apne
aapko aur apni qeemti-o-khoobsurat aur pyaari cheezo’n ko ehtiyaatan
bacha kar rakhe’n. (Mojam Tabrani Sagheer-o-Ausat-o-Kabeer; Shobul Imaan lil Bayhaqi;
Taareekh Baghdad; Sharah as-Sunnah lil Baghwi: V13 P116; Zaad al-Maad: V4 P173; Silsila
Ahadees as-Sahiha: V3 P436 H1453)
1
َ
T: ( )ت ِائبTauba karne waala, gunaah se baaz aane waala [RKT]
51
Musnad Ahmad; Ibne Hibban; Jaame al-Usool li Ibne Aseer: V7 P584 H5740; Sahih al-Jaame:
2/4/37 H3908 (Old edition) V3 P743 H4020 (New edition); Zaad al-Maad: V4 P163)
Nabi ﷺne isi silsila mein ek (1) sahabi ko ghusl karwaya tha. (Nasai; Ibne
Majah; Muwatta Imam Maalik; Ibne Hibban; Jaame al-Usool: V7 P584 H5740; Sahih al-Jaame:
2/4/37 H3908)
52
ِ اتَ ِم ْنَش
(Sahih Muslim: V4 P1728)َ.َرَماَخلق ِ ④ اَ ُعوذَُ ِبكلِم
ِ َاتَاهللَِالْتَٓام ْ
َ ِ ض ُر َْو
َ .ن َ ُ َوأنَی ْح
ْ ،ِْي ِ َو ِم ْنَهمز،َوش ِرَ َِعبا ِده،َ ِم ْنَغض ِبهَوعِق ِابه،ات
ِ اتَالشياط ِ ⑤ اَ ُع َْو ُذَ ِبكلِم
ِ َـاتَاهللَِالتَٓام
(Abu Dawood: H3893; Sahih Tirmizi: V3 P171; Sahih al-Jaame: V1 P181 H701)
َ .اءَّلَیُغا ِد ُرَسَقم
ً َشِ ف،ََأنْتَالشا ِِفَّْلََشِ فاءَإِّلَشِ فا ُؤك،َف
ِ َاِ ْش،َبَالْبأس ِ ⑥ ا ل َله ُهمَربَالن
ِ َأذْ ِه،َاس
(Sahih Bukhari ma al-Fath: V10 P206; Sahih Muslim: V4 P1721)
⑦ Aakhri teen (3) surah padhkar bhi damm kare’n. (As Saarim al-Battar: P130)
Mulaahaza:
Surah al-Faatiha aur Muawwazaat waghaira duae’n padhkar (zam-zam
ya baarish ke) paani par youn phoonk maarna ke us mein maamooli sa
luaab bhi shaamil ho jaae. Use peene aur apne ya mareez ke oopar
chidakne mein koi harj nahi. Balke do (2) ya ziyaada martaba bhi aisa kar
le’n to koi muzaaiqa nahi hai.
Kyounke ye baaz salaf-e-saaliheen se saabit hai aur Allama Ibne
Uthaimeen � ke baqaul mujarrab-o-naafe hai. Aur Nabi ﷺaakhri teen
(3) Qul Shareef padhkar apne haatho’n mein phoonk maar kar apne
chehra-e-aqdas aur jism-e-mubaarak par haath phera karte the. (Fataawa
Ibne Uthaimeen: V1 P71-72 Fatwa:37 Jamaa-o-Tarteeb: Fahad Nasir as-Sulaiman; Neez dekhiye
Al Ilaaj an Tareekh as-Sihr wal Kahaana Khatar Azeem… li Ibne Baaz: P305 [ba-zel Fath al-Haq al-
Mubeen])
Isi tarah Nabi ﷺne paani par damm karke Hazrat Saabit bin Qais � ko
pilaaya aur kuch unke oopar baha diya tha. (Abu Dawood: V4 P10)
Aise hi baaz ahadees ki roo se (Kalonji, Black Seeds ya Zaitoon, Olive ke)
tel par damm karke use malna bhi saabit-o-jaaiz hai. (Musnad Ahmad: V3 P497;
As Sahiha: V1 P108 H379)
Albatta kisi bartan waghaira par qurani aayaat zafraan waghaira paakiza
cheez se likh kar, unhe’n paani ya tel se dhokar us paani ya tel ka
istemaal baaz kibaar1 ahle ilm, masalan: Imam Ahmad, Ibne Taimiyya
aur Ibn al-Qaiyyim � waghairahum ke nazdeek to rawa hai. (Fataawa Ibne
1 T: ()کبار
ِ Bargazida, moazzaz, mukarram, kabeer ki jama, buzurg aadmi [RKT]
53
Taimiyya: V19 P64; Zaad al-Maad: V4 P170)
Aur jaha’n tak kuch aayaat aur dua aur azkaar ka likh kar gale ya
raan ya baazu par baandhne ya sarhaane ke neeche rakhne ka taalluq
hai, to us taaweez baandhne ke silsila mein bhi aqrab-o-oola1 yehi hai
ke aisa na kiya jaae. Kyounke Nabi ﷺne aisa na kiya, na karne ka hukm
farmaya. Lihaaza ye umoor raajeh-tar2 qaul ke mutabiq mamnoo hain.
Albatta Damm karna saabit hai, wo kare’n. (Fataawa Ibne Taimiyya: V19 P645-66-
67 Fatwa: 30-32)
54
Jis mein nazar-e-badd, mirgi, aaseb-o-saaya, taaweez-gando’n aur
jaadu-tone ki tamaam aqsaam ke ilaaj ke taur par padhkar damm karke
اهللَال ُْموفِ ُ َ
قunke asaraat ko zaail kar sakte hain. 1 و ُ
الدیْ ِنَ
مَ َِ كَیَ ْو ِ َ َّللَر ِبَال هْعلَ َِم ْْيۙ َ َالر ْح هم ِنَالرحَِ ْي ِ َ
مَََ َٗ َ هملِ ِ ح ْي ِمَ﴾ َ َا لْح ْم ُد ِ ه ََِاّللَِالر ْح هم ِنَالر َِ① ﴿َ ِب ْس ِم ه
ْيَ
ْی َغَ ْ َِذیْنَ َ انْع ْمتَ َعلَ ْ ِ ْ ٗؕ َ َالصراط َال ُْم ْستَ َِق ْيمَ َٗ َ ِصراط َال َِ ْي َٗ َا ِ ْه ِدنا ِ
َٗ َ َا ِیاكَ َن ْع ُب ُد َو َا ِیاكَ َن ْست َِع ْ ُ َ
َ)(Surah al-Faatiha: Complete ْي َٗ
ٓال ِ ْ َ الْم ْغ ُض ْو ِبَعلَ ْ ِ ْ
ْیَوّلَ َالض َ
ذیْنََیُ ْؤ ِم ُن ْونََ
دیَلِل ُْمت َِق ْْيۙ َ َال َِ بَّلَرَیْبٗؕ َ َ َِف ْي ِهٗؕ َ َ ُه ًَ ٓم َ هذلِكَالْ ِك هت ُ مَ﴾َال ٓ ۚ َ َاّللَِالر ْح هم ِنَالر َِ
ح ْي ِ َ ② ﴿َ ِب ْس ِم ه
ذیْنَ َیُ ْؤ ِم ُن ْونَ َ ِبما َۤ اُنْ ِزل َاِلَ ْيكَ َوما َۤ َا ُنْ ِزل َ ِم ْن َقَ ْبلِكؕ َ َ
ْٰن َیُ ْن ِفق ُْونۙ َ َوَال َِ ب َ وَیُ ِق ْي ُم ْونَ َالصلهوة َو ِمماَرزق ه ُ ْ َ ِبالْغَ ْي ِ َ
دیَ ِم ْنَر ِب ِه ْمؕ َ َوا ُول ه ِٓىكَ ُه ُمَال ُْم ْفلِ ُح ْونََ َ اّلخِ رةَِ ُه ْمَیُ ْوقِ ُن ْونۙ َ َا ُول ه ِٓىكَع هىلَ ُه ًَ
و ِب ْ ه
)(Surah al-Baqara: 1-5
بَ ِمنَالسمَٓاءَِفَِ ْي َِهَ ُظل هُم ٌتَورعْ ٌدَوب ْر ٌقؕ َ َی ْجعل َُْونََاص ِابع ُه ْمَ مَۢبُ َْك ٌمَ ُع ْ ٌَ
مَف ُه ْمَّلَی ْر ِج ُع ْونۙ َ َا ْوَكصَ ِي ٍ َ ③ ُص ٌ َ
ریْنََ َ)(Surah al-Baqara: 18-19 ط َۢ َِبالْ هك ِف َِ
اّلل َُمحَِ ْي ٌ َ ِِف َْۤ هاذ ان ِ ِه ْمَ ِمنَالصوا ِع ِقَحذرَالْم ْو ِ ؕ َ
ت َو ه ُ
َ ُ ْ ِّ ُ
1
)وهللا ال ُم َوفق( T: ]Aur Allah hi kaamyaabi dene waala hai [RSB
55
⑥ هامنَالر ُس ْو ُل َِبماَۤ اُنْ ِزلَاِلَ ْي َِهَ ِمَ ْنَر ِب ٖهَوال ُْم ْؤ ِم ُن ْونؕ َ َكَ ُ ٌلَ هامن َِب ه
اّللَِومل هٓ َِىك ِت ٖهَو ُك ُت ِب ٖهَو ُر ُسلِ ٖهؕ َ َّلَنُف ِر ُقَبَ ْْيَ
اّللَنف ًْساَاِّل َُو ْسعهاؕ َ َلهاَماَ فَ ه َُ ْيَ َّلَیُكلِ ُ َ اح ٍدَ ِم ْن َُر ُسلِ ٖ ؕ َه َوقال ُْواَس ِم ْعناَو اط ْعناَ ُغفْر انكَربناَواِلَ ْيكَالْم ِص ْ َُ
سيْن َا َۤا ْوَا ْخطاْناؕ َ َربناَوّلَت ْح ِم ْلَعلَيْن َا َۤاِ ْص ًراَكماَحملْتهَ تؕ َ َربناَّلَ ُتؤاخِ ذْناَۤا ِ ْنَن ِ َ
كسب ْتَوَعلَ ْيهاَماَ ا ْكتسب ْ
اَب ٖ ؕ َه َوا ْع ُف َعنَۥَاؕ َوا ْغ ِف ْر َلن ۥاؕ َ َو ْارح ْمن ۥاؕ َ َ انْت َم ْولهىناَ
ن َق ْبلِناؕ َ َربناَوّل َ ُتح ِملْنَاَماَّل َطاقة َلن ِ عىلَ َال َِ
ذیْنَ َ ِم ْ َ
َ)(Surah al-Baqara: 285-286 فان ْ ُص ْرناَعىلَالْق ْو ِمَالْ هك ِف َِریْنۙ َ
اَه َتلْق ُف َماَیاْفِك ُْونۚ َ َفوقع َالْح ُق َوبطل َماَكان ُ ْواَی ْعمل ُْونَۙ َ س َا ْن َا لْ ِق َعصاكؕ َ َفاِذ ِ َ ل َ ُم ْو هۤ َ
⑨ وا ْوحَيْن َا َۤا ِ ه َ
ْي َر ِب َُم ْو هسَ دیْنۙ َ َ َ َقال ُْۤوا َ هامنا َِبر ِب َال هْعل َِم ْ ۙ َ ف ُغلِ َُب ْوا َ ُهنالِك َو انْقل ُب ْوا هَص ِغ َِریْنَ َٗ َوا ُلْ ِ َ
ِق َالسحرةُ هَس ِج َِ
َ)(Surah al-Aaraaf: 117-122 و هه ُر ْونََ
دیْنَۙ َوا ْع ُب ْد َربكَ ق َص ْد ُرك َِبماَیق ُْول ُْونَۙ َفسبِحْ َِبح ْم ِد َر ِبك َو ُك ْن َ ِمن ه
َالس ِج َِ ⑪ ولق ْد َن ْعل ُم َانك َی ِض ْي ُ َ
ْيۙ َ َ)(Surah Taa Haa: 97-99 حهَ
تَیاْتِيكَا َلْي ِق ْ ُ
َ)(Surah Taa Haa: 29 ⑫ وا ْجع ْل َِلَْو َِزیْ ًراَ ِم ْنَاه ِْىلۙ َْ
56
ْیَیُخي ُ َ
لَ ِص ُ ُ ْ َ
ِقَ َقالَب ْلَا لْق ُْو َاؕ َفاِذاَحِ بال ُُه ْمَوع ِ َ ِقَواِماَۤا ْن َنك ُْونَاولَم ْنَا لْ ه َ
سَاِماَۤا ْنَ ُتل ْ ِ َ
⑬ قال ُْواَ هی ُم ْو هۤ َ
َاّلع ه َ
ْىلَ َوا لْ ِقَ سَ َ ُقل ْنَاَّلَتخ ْفَ اِنكَانْت ْ عَ َفا ْوجس ِ َ
َِف َْنف ِْس ٖهَخَِ ْيف ًَةَم ُْو ه َ اِلَ ْي َِهَ ِم ْن َِس ْح ِر َِه ْمَانهاَت ْس ه َ
ثَا هتَ َفاُلْ ِ َ
ِقَالسحرةُ َُسج ًداَ دَ هسحِ ٍ ؕ َر َوّلَیُ ْفلِحََُالسا ِح ُرَحَ ْي ُ َ
اَِف َْی ِمي ْ ِنكَتل ْق ْفَماَصن ُع ْواؕ َ َ اِنماَصن ُع ْواَكَ ْي َُ
م َِ
َ)(Surah Taa Haa: 65-70 قال ُْۤواَ هامنا َِبر ِبَ هه ُر ْونَو ُم ْو ه َ
سَ
ق َّلَۤ اِلههَ َاِّلَ ُه َوؕ َر ُبَ كَالْح ُ ؕ َ ⑭ افح ِس ْب ُت ْمَانماَخل ْق هنك ُْمَعبثًاَو انك ُْمَاِلَيْناَّلَ ُت ْرج ُع ْونَ َفت هعىلََ ه ُ
اّللَالْملِ ُ
َاّلل َاِل ه ًهاَ هاخَرؕ َّل َبُ ْرهان َله َِب ٖ ؕ َه َفاِنَماَحِ س ابُه َ ِع ْند َر ِب ٖ ؕ َه َ اِنه َّل َیُ ْفلِحََُ
م َ َ وم ْن َی ْد َعُ َمع ه ِ الْعَ ْر ِش َالْك َِریْ ِ َ
ْي َ)(Surah al-Mominoon: 115-118 الر ِح َِم ْ ۙ َ الْ هك ِف ُر ْونَ َوقُ ْلَر ِبَا ْغ ِف ْرَو ْارح ْمَو انْتَخَ ْ َُ
ْيَ ه
َ)(Surah al-Furqan: 23 ⑮ وق ِد ْمناَۤا ِ هلَماَع ِمل ُْواَ ِم ْنَعم ٍلَفجعل ْ هن ُهَهب ً
ٓاءَمنْثُ ْو ًراَ
57
⑱ واِذْ َصرفْنا َۤ اِلَ ْيكَ َنف ًراَ ِمن َال ِْج ِن َی ْست ِم ُع ْونَ َالْق ُْر هانؕ َ َفلماَحضَ ُر ْو ُه َقال ُْۤواَان ْ ِص ُت ْو َاؕ َفلماَقُ ِ َ
ض َ ول ْواَاِ هلَ
یَاِلَالْح ِقَ ق ْو ِم ِه ْم َُم ْن ِذ َِریْنَ َقال ُْواَ هیق ْومنا َۤ اِناَس ِم ْعناَ ِك هت ًباَ اُن ْ َِزلَ ِم ْ َ
ن َۢب ْع ِد َُم َْو هسَ ُمص ِد ًقاَلِماَبَ ْْيَیدیْ ِهَی ْه ِد ْۤ
م َ ِم ْن َعذ ٍ
ابَ اَب ٖه َی ْغ ِف َْر َلك ُْم َ ِم ْن َذُن ُ ْو ِبك ُْم َوَیُ ِج ْر ُك ْ َ
اّللَِو ها ِم ُن ْو ِ
اع َ ه م َ َ هیق ْومن َا َۤا ِ َ
جي ْ ُب ْوا َد ِ َ ل َط َِریْ ٍ َ
ق َم ُْست َِق ْي ٍ َ وا ِ ه َ
ْيَ اّللَِفلَيْسَ ِب ُم ْع ِج ٍز َِِفَ ْاّل ْر ِضَولَيْسَلهَ ِم ْنَدُ ْون ِ ٖ ۤهَا ْو َلِي ُ
ٓاءؕ َ َا ُول ه ِٓىك َِِف َْضل ه ٍلَم َُِب ْ ٍ اعَ ه
بَد ِ ا َلِ ْي ٍمَ َوم ْنَّلَیُ ِج ْ
ىلَ اِنهَع ه َ
ىلَ ُحَا َلْم ْو هتؕ َ َب هۤ َ عَ ِبخلْ ِق ِهن َِب هق ِد ٍرَع هۤ َ
ىلَا ْنَی ْ َِ یَخلقَالس هم هو ِتَو ْاّل ْرضَول ْمَی ْ َ ذ ْ َا ول ْمَیر ْواَان ه
َاّللَال َِ
َ)(Surah al-Ahqaaf: 29-33 دیْ ٌرَ ك ُ ِل ْ َ
ََش ٍءَق َِ
الَن ْض ِربُهاَلِلن ِ
اسَ َاّل ْمث ُ
اّلل َوتِلْك ْ ⑳ ل ْوَانْزلْناَ ههذاَالْق ُْر هانَع هىلَجب ٍلَلر اَ َیْتهَخاشِ ًعاَمُتص ِد ًعاَ ِم ْنَخ ْ َ
شي ِةَ ه ِ ؕ َ
َاّللَ
م َ َ ُهو ه ُ ب َوالشهاد ِةؕ َ َ ُهو َالر ْح هم ُن َالرحَِ ْي ُ َ ی َّل َۤ اِلهه َاِّل َ ُهوؕ َ َ هعلِ ُم َالْغَ ْي ِ َ
ذ َْ لعل ُه ْم َیتفك ُر ْونَ َ َ ُهو ه ُ
َاّلل َال َِ
ٰب َ ُس ْب هحن ه ِ
َاّلل َعماَ ار َال ُْمتك ِ ُ ؕ َ ك َالْق ُُد ْو ُس َالسل ه ُم َال ُْم ْؤ ِم ُن َال ُْم َه ْيم ُ َ
ِن َالْع َِزیْ َُز َالْجب ُ ی َّل َۤ اِلهه َاِّل َ ُهوؕ َ َا لْملِ ُ
ذ َْ
الَ َِ
ض َو ُهوَ ٓاءَال ُْح ْس هِنؕ َ َ َیُس ِبحَُ َلهَم ِ َ
اَِفَالس هم هو ِتَو ْاّل ْر ِ ؕ َ َاّل ْسم ُ ارئُ َال ُْمصوِ ُرَل ُه ْ َاّللَالْخالِ ُقَالْب ِ
یُ ْش ِر ُك ْونََ َََ ُهو ه ُ
َ)(Surah al-Hashr: 21-23 الْع َِزیْ ُزَالْح َِك ْي ُمۙ َ
ح ْي ِمَ﴾َ ُق ْلَا ُْو ِحَاِلَ ان ُهَا ْستمعَنف ٌرَ ِمنَال ِْج ِنَفقا َلُ ْۤواَ اِناَس ِم ْعناَق ُْر هانًاَعج ًب َاۙ َ َاّللَِالر ْح هم ِنَالر َِ ㉒ ﴿َ ِب ْس ِم ه
ىلَج ُدَر ِبناَماَ اتخذَصاحِ ب ًةَوّلَول ًداۙ َ َو انهَ الر ْش ِدَفاهمَنا َِب ٖ ؕ َه َ ول ْنَن ُ ْش ِرك َِبر ِبناَۤاح ًداۙ َ َو انهَت هع ه َ
یَاِلَ ُ ی ْه ِد ْۤ
اّللَِك ِذبً َاۙ َو انهَكان َِرجا ٌلَ اّللَشط ًطاۙ َ َو اناَظنناَۤا ْنَل ْنَتق ُْول ْ
َاّلِن ُْسَوال ِْج ُنَعىلََ ه لَس َِف ْي ُهناَعىلََ ه َِ
كانَیق ُْو َُ
اّللَاح ًداۙ َ َ َاّلِن ِْسَی ُع ْو ُذ ْونَ ِب ِرج ٍ
الَ ِمنَال ِْج ِنَفزا َُد ْو ُه ْمَره ًقاۙ َ َو ان ُه ْمَظ ُن ْواَكماَظن ْن ُت ْمَا ْنَل ْنَی ْبعثَ ه ُ ِمن ْ
د َ ِم ْنها َمقاعِد َلِلس ْم ِعؕ َ َفم ْنَ
دیْ ًدا َو ُش ُه ًباۙ َ َو انا َ ُكنا َنق ُْع َُ
و انا َلم ْسنا َالسمٓاء َفوج ْد هنها َُملِئ ْت َحر ًسا َش َِ
داۙ َ َ)(Surah al-Jinn: 1-9 َی ْستم ِِع ْ ه
َاّلنَی ِج ْدَلهَشِ هابًاَرص ً
58
ََۤع ِب ُد ْون َما
َنۙ َوّل َۤان ْ ُت ْم ه َ م َ﴾ َقُ ْل َ هیۤایُها َ الْ هك ِف ُر ْونۙ َ َّل َۤا ْع ُب ُد َماَت ْع ُب ُد ْو َِ َاّللَِالر ْح هم ِن َالر
َ ِ ح ْي ㉓ ﴿ َ ِب ْس ِم ه
َ َ ۙلَ َِدیْ ِن
َ ِ ُمَ و
َ ْ د َلك ُْمَ َِدیْ ُنك َ ۙ ُ م َوّلَۤانْ ُت ْم هَع ِب ُد َْونَماَۤا ْع ُب َ ۙ ْ ُد َوّلَۤاناَع ِاب ٌدَماَعب ْدت َ ۙ ُ ا ْع ُب
(Surah al-Kaafiroon: Complete)
َ َ ۙح ْي ِمَ﴾َقُ ْلَا ُع ْوذُ َِبر ِبَالْفل ِقۙ َ َ ِم ْنَش ِرَماَخلقۙ َ َو ِم ْنَش ِرَغا ِس ٍقَاِذَاَوقب
َِ َاّللَِالر ْح هم ِنَالر ㉕ ﴿َ ِب ْس ِم ه
َ (Surah al-Falaq: Complete)َ َ ۙاس ٍدَاِذاَحسد ِ د َو ِم ْنَش ِرَح ِ و ِم ْنَش ِرَالن هفث
َ ۙ ِ هت َِِفَال ُْعق
1
T: ( )خال خالIkka-dukka, baaz-baaz, bahut kam, koi-koi [RKT]
2
T: Address [RSB]
59
Pakistan:
① Maulana Abdus Salam Fatahpuri, Jaamia Lahore al-Islamiya, 91 Babur
Block, Garden Town, Lahore. Ph: 5852591
② Haafiz Abdul Shurook, Majlis Iaanah al-Muslimeen-o-Madrasa
Tahfeez al-Quran, bil-muqaabil Madrasa Taqiyatul Islaam, Sheesh Mahel
Road, bhaati, Lahore. Ph: 7112541
③ HaafizHabib-ur-Rahman, Rahmaniya Masjid, Ghadhi Shaahu, Lahore
(baad namaz-e-asr).
④ SyedSaeed Ahmad Shah Mashadi (Hafeed Syed Shareef Ghadyaalwi
�) Bhimbar Kalaa’n, Naz Raiwand, Zila Lahore.
60
Saudi Arabia:
① Shaikh Ali Mushrif al-Umri, Madina Munawwara.
② Shaikh Abdul Qaadir Imam-o-Khateeb Jaamia ar-Rahmah, Ath-
Thuqba, Al-Khobar.
③ Shaikh Abu Ibrahim Adil al-Umairah, Behind Toyota Showroom, Near
Hayaat Plaza, Dammam.
④ Shaikh Waheed Abdus Salam Baali, Maarifat Maktaba as-Sahaba,
Jeddah (west).
⑤ Shaikh Saami al-Mubaarak, Imam-o-Khateeb Jaamia al-Ansaar,
Dammam.
⑥ Shaikh Saeed bin Ali Wahf al-Qahtaani (Muallif Hisn al-Muslim-o-Ilaaj
bir Ruqiyya) waghairahuma.
⑦ Shaikh Aakif ad-Dosri, 25 Al-Aseer Street, Ath-Thuqba, Al Khobar (Ph:
03-8971655,03-8976212 Mobile +966506401467)
⑧ Shaikh Abdul Azeem, Riyadh. (Phone: 01-4582002 Mobile:
+966506401467)
India:
① Maulana Abdul Qaadir aur Maulana Abdul Qadeer, Masjid
Mohammadiya Ahle Hadees, Fatah Darwaza, Hyderabad, Telangana.
② Maulana Muhammad Iqbal, Charminar Book Center (Bangalore se
raabta karke mazeed aise hazraat ka pata haasil kiya jaa sakta hai).
Phone (Kutub Khana): 080-25541519
③ Maulana Syed Shah Waliullah, Imam Masjid-e-Salafi Ahle Hadees,
Mysore (Unse ilaaj ke silsila mein madad li jaa sakti hai).
Isse ziyaada ta-haal hame’n kisi ka pata nahi chal saka1. Ahbaab se agar
1
T: Gulbarga, Karnataka: Zakir Hussain Saahab, Masjid Abdullah bin Masood, (Behind New
Darbar Hotel, opposite Ankal Petrol Pump), Gunj, Humnabad Road, Gulbarga. (Location ke liye
yahan click keejiye. (Mazeed tafseel ke liye mere email par contact kare’n)
61
is silsila mein ta-aawoon kiya to aainda edition mein ham Hindustan
mein unke mazeed pate bhi shaaya kar denge. In sha Allah
Hyderabad, Telangana:
Muhammad Adil bin Arif, House no: 13-5-86, Arif Residency Top Khana Ground, Karwan Rd,
Tappa-chabootra, Karwan, Hyderabad, Telangana. (Location ke liye yahan click keejiye)
1 T: (صب ُّ َ)ت َعBe-jaa himayat, haqeeqat zaahir ho jaane ke baad bhi haq baat se inkaar [RKT]
2 T: ( )عنادDushmani, adaawat, ladaai [FL]
َ ِ
3 T: ( )باال ترZiyaada martaba waala, pare, door, maa-wara, ziyaada ooncha [RKT]
4 T: ()مصالح َ Wo baate’n ya muaamlae jin se bhalaai ho, maslahate’n, nekiyaa’n [RKT]
ِ
5
T: ()رواداری
َ Karam-farmaai, tawaazo, inkisaar, akhlaaq, lehaaz [Urduinc]
6 ْ ) َمTaba’ ki hui ya chaapi hui cheeze’n, kitaabe’n, risaale [RKT]
T: (طبُوعات
62